New blogger ko ye janna bahut jaruri hai ki blog banane ke bad use AdSense se kab jodna hota hai. or AdSense ke liye apply karne ka sahi time kab hota hai. is post me aaj hum isi ke bare me bat karenge. jisse aap ko pata chal sake ki blog ko AdSense ya kisi or advertising site se kab connect karna chahiye. or new blog banane ke bad kab paise kama sakte hai. iske liye kam se kam kitne visitors or pageviews hone jaruri hai.
Blog banane ke bad kya kya karna hota hai. new blogger ko iske bare me jyada kuch pata nahi hota hai. or wo ek do post share karte hi AdSense ke liye apply kar dete hai. jiska natija ye hota hai ki unka AdSense account block ho jata hai. in my case maine ayse bahut log dekhe hai. mai un sab new blogger se kahna chahunga ki mehanat karne se pahle uske fal ki icha karoge to nukshan hi hoga. agar aapko success blogger banna hai to sirf apne kam par dhyan do jab aap mehanat karoge to paisa khud be khud aapke pas aayega. bina mehanat ke duniya me kahi bhi kuch bhi nahi milta hai.
Blog Kaise banaye?
Blog banane ke sabse popular 2 platform hai. ek blogspot or dusra WordPress. inme se WordPress paid hai or blgspot free hai. new blogger ko mai blogger ke liye suggest karunga kyuki ye bilkul free or manage karne me aasan hai. or google ka banaya hone se ye SEO friendly hota hai. iske bare me asdhik jankari ke liye aap Blogpost Vs WordPress Kounsa Platform Behatar Hai post pado isme aapko dono ki puri jankari mil jayegi.
- Blog Ke Sitemap Ko Google Search Console Me Submit Kaise Kare
- Blog Ko Bing Webmaster Tools Se Submit Kaise Kare
Adsense Kya Hai?
Adsense ek advertising site hai. jise google ne hi banaya hai. AdSense ads par click karne ke paise deti hai. AdSense se paise kamane ke liye aapko ek blog website banane ki jarurat padti hai. blog bana kar usme aapko AdSense ke code lagane hai. aap blog me jaha AdSense ke code lagaoge waha ads show honge. or jab koi in ads par click karega to aapki income hogi. iski adhik jankari ke liye ye posts padiye.
Agar aap AdSense ke bare me jyada nahi jante hai to mai aapko bta du ki AdSense ke rules bahut shakht hao or unka ulaghan karne par AdSense aapko block kar sakta hai. mai iske bare me bahut post kar chuka hu so AdSense ke bare me or jyada jankari ke liye aap supportmeindia ki Adsense se related post padiye. ya fir aapko english aati ho to aap AdSense policy par bhi AdSense ke rules ki jankari pa sakte ho.
- Internet Se Ghar Baithe Online Paise Kaise Kamaye
- Online Paise Kaise Kamaye: Internet Se Paise Kamane Ke 20 Tarike
Blog Banane Ke Bad Adsense Ke Liye Apply Kab Kare
Jab AdSense aa[pki site ko review karta hai to aapki site me niche di gayi jankari check karta hai. mai yaha aapko iske bare me kuch bate bta raha hu. jinhe follow karke aapka AdSense account block ya ban nahi hoga.
- Traffic: Adsense account banane ke liye aapke blog par per day 500 pageviews google search engine se aaye visitors se hone chahiye. agar aap isse kab pageviews hone par AdSense ke liye apply karoge to AdSense approved ho bhi jayega to kab traffic ki wajah bahut jald disapproved ho jayega.
- Content: aapke blog par post me share ki jane wali jankari ko hi blog content kahte hai. AdSense aapke blog ke content ko dekh kar hi aapko ads lagana allow karta hai. so AdSense account banane se pahle aapke blog par kam se kam 5000-10000 words ka content hona jaruri hai. itne content ke liye aapke blog par 10+ post honi chahiye.
- Author Talent: jab aap AdSense ke liye apply karte ho to AdSense aapke blog ko review karta hai. yani aapke blog ki sari data check karta hai. usme AdSense aapke talent yani post likhne ka tarika kaisa hai ko bhi check karta hai. or agar aapki post ka talent AdSense ko pasand na aaya to bhi aapka AdSense account approved nahi hoga.
- Copyright Content: aap jo post blog par share kiye hai unme di gayi jankari aapki likhi huyi honi chahiye. or wo jankari aapne kahi se copy kiya hua nahi honi chahiye. agar AdSense ko aapke blog par kuch bhi copyright mila to AdSense account disapproved ho jayega.
- Bounce Rate: bounce rate yani aapke visitors aapke blog par kitne time tak rukte hai or unhe aapke blog par di gayi jankari me kitna interest hai. AdSense ise bhi check karta hai. bounce rate badhane ke liye aap blog par commenting use kare or post me kam se kam 1000 words use kare. jisse visitor aapke blog par adhik time tak ruk sake.
- SEO: AdSense me apply karne se pahle apne blog ko google, bing, yahoo, ask jaise search engine se submit kar le. jisse aapka blog search engine friendly ban jaye. jisse blog par acha traffic hoga or AdSense account jaldi approved ho jayega.
- Blog Design: AdSense account apply karne se pahle apne blog ko ache se design kar le. usme jaruri widget add kar le. in my case mai aapko simple design ke liye kahunga. kyuki simple design ko visitors sabse jyada pasand karte hai. or AdSense ko simple design hone ki wajah se aapke blog ko review karne me aasani hogi. or kam se kam waqt lagega.
- Create Page: AdSense account banane se pahle apne blog par about us, privacy policy, contact us page bana le. google search engine or AdSense dono ko ye page pasand hai.
- Sitemap: apne blog ka sitemap bana le or sitemap ko googe, bing or baki search engine se submit kare. sitemap me aapke blog ki sabhi post, pages ke links add hote hai. jisse AdSense ko blog ki jankari pata karne me aasani hoti hai.
- Traffic Rank: AdSense account banane ke liye aapke blog ki ranking 5,00,000-10,00,000 ke bich honi chahiye. isse jyada ranking huyi to ho sakta hai AdSense account approved na ho.
Ummid hai ab aapko blog banane ke bad AdSense account kab banana chahiye ki jankari mil gayi hogi. to ab aapko kisi se bar bar puchne ki jarurat nahi padegi. or na hi AdSense approved na hone ki problem ka samna karna padega.
- 20 Common Mistakes Jinki Wajah Se Google Adsense Block Hota Hai
- Apna Adsense Account Approved Kaise Kare 4-5 Din Me
Is post me btayi bate follow karke aap aasani se AdSense account bana sakte ho. or agar aapko iske bare me koi sawal puchna ho to niche comment kar sakte ho. sath hi agar aapko is post me achi jankari mili ho to is post ko share karna na bhoole.
vikas saini
Kya aap contact us kase add kre ki jankari de skte h
Jumedeen Khan
Iske bare me maine post ki hai aap search box me search karo.
vikas saini
adsene account me name change bhi kr skte h ya bhi.???
Jumedeen Khan
Ha kar sakte ho iske bare me maine is post me btaya hai AdSense account par address name kaise change kare
vikas saini
Kya bank account ka naam or blogger ka naam same hona chahiye adsene se jodne k liye.jase ki mera naam blog m vikas Saini h or bank account vikas Kumar Saini h.kya iasase problem hogihogo?
Jumedeen Khan
Nahi blogger se koi matlab nahi hai AdSense account me aapko wohi name likhna hai jo aapke bank account me hai. yani AdSense or bank account name same hona chahiye.
krishnachandra baghel
sir mera YouTube par to AdSense account approve ho chuka hai par mere blog me AdSense aproov nahi ho rha hai plz mera help kijiye ….maine bahut try kiya per ho nahi rha hai
Jumedeen Khan
Aap first domain le kar blog me add karo. uske bad AdSense account me domain add karo.
krishnachandra baghel
sir thoda detail me smjhaiye mere blog ko YouTube ki tarah AdSense approov karane ke liye kya karna hoga ,kya mujhe domain name kharidna hoga ? aur fhir use blog se jodna hoga? ya eske liye apki likhi koi post bataiye jise follow karu to problem solve ho . awr plz mera blog dekh kar bataiye na kya kya kamee hai …
Jumedeen Khan
Isi post me btaya hai aap bas post ko padhne ki koshish karo or ache se samajho.
krishnachandra baghel
ek question awr hai sir aapko blogging karte kitle saal ho awr aap roj kitne ghante mehnat karte honge . awr mujhe bhi apke jaise safal hone ke liye kya kya karna chahiye
Jumedeen Khan
Mere bare me janne ke liye aap about us page par visit kare.
sunny aneja
sir ek week se zyada ho gaya mera AdSense review par hai, AdSense fully approved hone me kitna time lagta hai, and jaldi AdSense approve karwane k liye kuch tips bataye
Jumedeen Khan
Adsense fully approved hone me kitna time lega ye aapki site quality par depend karta hai AdSense ko jitni jaldi aapki site samajh aayegi utni jaldi hoga.
Naveen
Sir bidadvertiser mai agar hame bidadvertiser walo ko kuch dollar daine parte hai kya
Jumedeen Khan
Nahi wo pahle se apna commission le lete hai.
Naveen
Sir humare pass AdSense kai alawa koi aur optuon nahi hai kya?????
Jumedeen Khan
Bahut hai, bidvertiser, chitika, infolinks and affiliate marketing.
Pankaj
Apki jaruri jaankari ki vajah se mera Adsense account sirf 1 month mai approve ho gya
Dhanyavaad
pratap gorsera
hi hostingraja.in kaisa rahega hosting ke liye or agar hosting lena ho to kon sa wala plan lena chahiye jaise ki muje ek blog banana hain jismai gadgets ke news review tips tricks karna chahta hu limited 10 gb 1 year enough ya unlimited? ….
Jumedeen Khan
Mai aapko already bta chuka hu ki bluehost ya hostgator se hosting lo.
namdev
Sr mere blogger dashbord m dikha rha h ki post pr 2 comment hue hai lekin muje comment nhi dikh rhe post me jaise apke dikhte hai plzz help
Jumedeen Khan
aap blog ki template change karo.
mayank raj
Help kariye…sir mera blog hai cid script and extra .lekin mere blog par phle se kuch post the maine,use hta diya hai kya mai AdSense ke liye aply kar sakta hu .sir mera blog story ka hai aur story bhaut long hota hai to kya mera post logo ko good lgega .sir mai apne blog ko bilkul aapke blog ki trh sjana chahta hu kya kru.sir mai do bhag me likhta hu ek cid par ,dusra short story mai chatha hu ki cid aur short story ko ek hi blog par do bhago me rkhu kya karu .blog ko besic se janna chahta hu.sir aapko ye nai bate kha se pta chalti hai.help me sir.
Jumedeen Khan
Mayank aapko humari blogging se related or bhi post padho or blogging ko ache se samajho,
Sanjay
sir copy right kya h AGR man lo m ye post likhta hu ki internet se paise kaise kmaye or aise hi same post phle se kisi ne likhi ho to kya meri post copy Mani jayegi jbki agar WO post Maine khud apne hatho se likhi ho plz reply me sir
Jumedeen Khan
Nahi aap khud post likhoge to nahi but same usse match nahi honi chahiye.
namdev
Sr vese to mera focus ek hi blog pr h lekin fr bhi knowledge k liye bta do ki agr mai do blog ek sath chlata hu to kya dono pr ek hi AdSense account se add lga skte hai
Jumedeen Khan
Ha kar sakte ho.
jonny dwivedi
sir mai aapse kuch baat krna chahta hu kya app meri help kr skte h
Jumedeen Khan
Why note, Boliye mai aapki kya help karu.
hubaira mohammadi
Hello sir m apne blog p.pdf file upload karna chahta kaise hoga
Jumedeen Khan
jaise hum image upload karte hai. Same wese hi kar sakte ho.
Sumit kandhway
Hii..mera naam sumit h Maine January m blog bnaya lekin ab m usme likha suru kiya..Maine avi tk sirf 8-10 post hi likhe h..aap mere blog m ja k bta sakte h ki ye kesi suruat h isme mai avi tk skin s related bate likha hu or images Maine Google s search kr k li h aap mughe btaiye ki m sahi ja raha hu ya kahi galti ho rahi h avi mere blog m 5 din m 50 s 87 tk hi visitors aaye h
Jumedeen Khan
Aapko bahut kuch sikhne ki jarurat hai. Aap humari seo se related post padho or post likhne ka sahi tarika sikh kar seo freiendly post likho. ye post padho Blog Banane Ke Bad Kya Kare
wasu
kya aap mere blog ko dekhkar bata sakte hai isme kya kami hai.
Jumedeen Khan
Aapke blog ke home page par hi puri post show ho rahi hai. isliye aapke blog par pageviews kam hote hai. aap blog ki template change karo.
thakor harshad b
Sir mene blog banaliya he par ab blog ko open kese kare or uasame post kese kare vo sab samaj me nahi aata. Help me please
Jumedeen Khan
blogger.com par ja kar gmail id se log in karo or blog par post karne ke liye ye post padho Blog Par New Post Kaise Upload Karte Hai Hindi Me Jankari
chayan rao
sir, mera ek website hai, jisme kuchh jankari hai, par wo jankari dusre site ki hai, mai apne site par dusre site ki link dala hu, kya aisa karne par addsens ke niyam ke khilaf to nahi hoga…
Jumedeen Khan
Agar aapne us dusri site ke link blog post me add kiye hai to AdSense approved ho sakta hai.
Ibraheem Behlim
Bhai mere mind m ek confusion h ki ap sbi ne blog, Facebook, business, ese bhuto pr likh chuke h to ab hum naye blogger ke pas kya bcha h jo copyright na ho… plz answer me quely bro
Jumedeen Khan
Ibraheem indea me wese hi janshankhya bahut hai fir aapne yaha janm kyu liya .Kahi aysi jagah paida hona tha jaha insha hi nahi hote.
Ibraheem Behlim
ye to mere swal ka jwab nhi hua h bhai
Jumedeen Khan
Mera matlab hai ki duniya bahut badi hai. yaha karne ke liye bahut kuch hai. Bas ek bar aap himmat karke starting karo. Fir sekhna aapko itna work milega ki aap kar bhi anhi paoge.