Jab hum kisi website ya blog ko open karte hai to browser ke link bar me left side me top par site ka icon show hota hai jise website favicon kahate hai. Blogger icon blog ki identity hota hai. Jisse koi bhi hamare blog ko easily pahachan sakta hai or use browser me multiple tabs open hone par aapke blog par jane me koi problem nahi hoti hai. Is liye is post me main aapko blogSpot blog me favicon icon add kaise kare ki details se jankari de raha hu aap follow kijiye.
Blog ko professional banane ke liye aapki site icon hona bahut important hai. Without favicon ke aapki site ka look bekar lagega. Site par icon set karne se aapke reader or search engine dono aapki site ko like karenge. Sabse achhi bat reader ko browser me bahut sari tabs open hone par aapki site ko pahachanne me koi problem nahi hogi.
Site favicon Kya Hai Ye Blog Ke Liye Kyo Jaruri Hai?
Site favicon website ki pahachan hota hai or ye hamari website ke logo ki tarh site ke liye important hota hai. Jab ham kisi site ko browser me open karte hai to browser ke top me site name ke sath site icon bhi show hota hai ise hi site ka favicon kahate hai.
Website ki alag pahachane banane ke liye site par sabse alag favicon hona bahut jaruri hai isse koi bhi new user aasani se aapki website ko pahachan sakta hai or aapki site ki pahachan yad rakh sakta hai to chaliye jante hai ki blogSpot blog me favicon add kaise karte hai.
BlogSpot Blog Me Favicon Kaise Add Kare Ki Jankari
BlogSpot blog me favicon add karne se pahle aapko ye to pata chal hi gaya hoga ki site par icon add krnne ke kya benefit hai to chaliye ab jante hai ki blog me site icon add kaise kiya ja sakta hai.
Actually blogSpot blog me favicon add karna bahut hi simple hai or is post ko read karne ke bad aap bhi apne blog me aasani se site icon add kar sakte ho.
Step 1:
Sabse pahle aap favicon.com website par jaiye or apni site ke liye koi achha icon create kar lijiye. Aap chahe to kisi or website ya photo editor software jaise photoshop se bhi icon bana sakte hai.
Magar site ka icon ka size 16×16, 32*32 ya 150*150 hona chahiye. Jyada size hone par icon show nahi hoga or agar hoga to sahi nahi lagega or favicon ka size jyada hone par aapki site ki loading speed par bhi fark padta hai.
- Sabse pahle aap blogger.com site par jaiye or log in karke apne blog ka dashboard open kijiye.
- Ab drop down menu me layout option par click kijiye.
- Ab favicon ke samne edit option par click kijiye.
Step 2:
Ab aapke samne is tarh ki ek window open hogi. Yaha aap niche bataye steps follow kar ke apne blogSpot blog me favicon set kar sakte ho.
- Choose file par click kar ke apne computer, laptop me se jo icon aapne create kiya tha wo select kare.
- Photo select karne ke bad save option par click kare. Ab aap wapis apne blog ke layout me pahuncha jaoge.
- Last me save arrangement par click kijiye.
Save par click karne ke bad aapke blog me favicon icon add ho jayega ab aapki site ko koi bhi pahachan sakta hai. To friends is tarh se aap aasani se apne blogSpot blog me icon add kar sakte ho or apne blog ka look change kar sakte ho.
Ab jab bhi koi user aapki post ko fir se read karna chahega to wo apne browser ki history me aapki site ka icon dekh kar aasani se aapki site ko open kar sakta hai.
Agar abhi bhi aapke blog par favicon show nahi ho raha hai to is process ko ek bar fir se repeat kare or browser ki history, cookies and cache file delete kar ke blog ko open kare icon show hone lag jayega.
I hope aapko is post me di gayi jankari achhi lagi hogi agar lagi hai to is post ko apne friends ke sath social media par share jarur kare taki wo bhi apne blog me favicon icon add kar sake.
Sir , logo banate samay yadi humne koi image use kiya ho to kya hume favicon bhi banana chahiye .
Yes
Bhai layout main favicon show nhi ho rha hai Kiya karu