10 Big Mistakes Jinki Wajah Se Site Par Traffic Kam Ho Sakta Hai

New blogger se galti ho hi jati hai. aap or humse bhi hoti hai. Magar sabse badi galti tab hoti hai jab hum galti ka pata chalne ke bad bhi usme sudhar nahi karte. Jab maine blogging start ki to mujhse bhi bahut sari mistakes huyi but jab mujhe inke bare me pata chala to mujhe sari mistakes theek karni padi. Aaj is post me main aapko blogging me hone wali aysi hi kuch miskakes ke bare me bta raha hu ho sakta hai aap bhi wo mistakes blogging me kar rahe ho.

10-big-mistakes-that-lose-blog-traffic

Hum jante hai ki blogging aasan nahi hai or iske liye bahut kuch sikhne ki jarurat hoti hai. Is post me hum blogger se hone wali mistakes ke bare me bat karenge jo aapke liye bhi helpful sabit hogi. Jab hum blog par new post publish karte hai to post ko SEO friendly or visitors pasand ki banane ke liye bahut mehanat karte hai. but fir bhi humse kuch mistakes ho jati hai jinki wajah se search engine or visiotrs dono humari post ko ignore kar dete hai jiski hume khabar tak nahi hoti.

Agar aap bhi SEO ke bare me aysi mistakes kar rahe hai to aap blog traffic increase karne ke bajaye disscrease kar rahe hai so aapko success blogger banna hai to ye mistakes aapko solve karni hogi. Jinke bare me main us post me details se bata raha hu aap follow kar sakte hai.

Blog Ki Traffic Loss Karne Wali 10 Big Mistakes

1. Missing Sitemap

blogger ki ye sabse badi galti hai. blog ko search console me to add kar lete hai but blog ke sitemap ko search console me add nahi karte. sitemap blog ko search engine me lane me sabse important hai.

Jisme humare blog ki sabhi posts,pages, images, tags, category ka url hota hai. search engine ko sitemap se aapke blog ko samajhne me aasani hoti hai.

2. Template Customizing

Blogspot blogger jyadatar free template hi use karte hai. Agar aap bhi inme se ek hai to main aapko bta du ke bahut si free templates me template banane wali site ke links jhipe rahte hai or kuch new blogger to dusre blogger se template le kar apne blog me use karte hai. Jisme wo apni site ka link bhi add kar dete hai.

New blogger ke sare visitors unki site par chale jate hai or new blogger ko iska pata nahi rahta or wo bas ye sochta rahta hai ki meri blog par visitors kyu nahi badh rahe. Isliye ek bar apni template ki coding check kar le ki usme kisi or ka link to add nahi hai.

3.Blog Title (Name)

Blog title or details choonte time 80% new blogger galti karte hai. Man lijiye aapne koi aysa title rakh liya jis par internet par pahle se hi bahut sari jankari hai. Jaise aap ne apne blog ka name rakha “Support Me hindi” ab “Support me Hindi” internet par pahle se hai or aapne isme 10-20 post bhi dal diye or visitors bhi aane lag gaye.

Ab aapke visitors jab kabhi aapke blog ko kisi search engine me search karega to use aapke blog ke sath mera blog Support Me Hindi bhi milega. Abhi aap new blogger the or maine aapse bahut pahle se blogging start ki hai or mere blog par post bhi aapse jyada hai or jab wo visitors meri site par aayega to wo aapki site ko bhool jayega.

Kyuki use yaha aapse jyada sikhne ko milega. Bb internet par mere jaise kitne blogger ho sakte hai ye aap bhi jante hai. Is tarah mehanat aap karoge or fayda kisi or ka hi hoga.

Tips: Blog Ka name rakhne se pahle se pahle google search engine me search karke dekhe ki usse related koi or blog to nahi hai. or aysa name rakhne ki koshish kare o sabse alag ho. jise search engine me search karne se kam se kam result show ho.

4. Change Template

Maine bahut bloggers ko dekha hai wo aksar blog template change karte rahte hai or fir puchte hai ki mujhe blog banaye itne day ho gaye fir bhi mera blog search engine me kyu nahi aa raha. Actually search engine yani SEO ke liye blog ki template me meta tags, site verification code add karte hote hai.

Jo template change karne par fir se add karne padte hai. so bar bar template change karne se blog sabhi webmaster tools se discannent hota rahta hai. so aap ek bar deside kar le ki aapko konsi template use karni hai. ya kabhi change bhi karo to usme meta tags or baki setting fir se karo.

5. SEO Changes

Blog title ya descripation ko bar bar change karne se search engine par bura asar padta hai. isse search engine ko confusing bani rahti hai ki aapke blog par kya hai or is par kiski jankari share ki jati hai. jis tarah apna name change karne se aapki pahchan par fark padta hai.

Same wese hi blog par padta hai. but iska matlab ye bhi nahi hai ki aap kabhi blog ka name change hi nahi kar sakte ho. kar sakte ho but pahle ye soch lena ki iska aapke visitors or search engine par kitna fark padta hai.

6: Post Title

Blog traffic me post title kitna important hota hai. ye bat aap bhi ante ho. but post title kaisa ho jise visitors or search engine dono pasand kare. aha tak mera experience hai to post title me question word arur add kare aise kyo, kaise, kab, kaha or bhi bahut ho sakte hai.

Dusri bat post title me minimum 30 characters or maximum 70 characters hone chahiye. post title aysa ho ise dekhte hi visitors padna chahe. or is par internet par pahle se bahut kam jankari ho.

7. Template Design

Maine ayse kei blog dekhe hai jinki template same ek jaisi hoti hai. Jisse aysa lagta hai dono ek hi founder ki banayi huyi hai But check karne par wo alag alag logo ki hoti hai. So mera experience to yahi kahta hai ki aapke blog ki template sabse alag or aysi honi chaiye o visitor ka dil jit le.

In my case mai mythemeshop ki ribbon theme use karta hu. ab mai kisi or ko to ribbon theme use karne se mana nahi kar sakta. so maine ise usse bilkul alag design kiya hai.

8. Copyright Content

Blog ki traffic me darar ka kam karta hai kisi or site ka content copy karke apne blog par share karna. aap jo bhi likho jiske bare me bhi post karo usme sirf aapko talent hona chahiye. jaha tak ho sake koi aysi jankari share kare jo pahle internet par na ho.

Yakin maniye 1 originol or new jankari ki post 10 old jankari wali post se jyada traffic hasil kar sakti hai. becoz search engine me aysi post ki no.1 ranking hoti hai.

9. Error 404 Redirect

New blogger se hone wali sabse badi mistakes hai error redirection page nahi banana. Ye page lagbhag sabhi free or paid templates me hota hai. But jaruri hota hai use edit karna. Same ye btana ki aapko ye page kaha par milega.

Ya fir redirection set karna. agar aap hindi blogger hai to “error 404 page not found” page hindi me hi banaye. jisse visitor confuse na ho. or wo samajh sake ki ye blog ki problem nahi balki usne hi galat url search kiya hai.

10. No Blog Backup

Finally or sabse jaruri bat aapko bta raha hu blog ke backup ki, kyuki ho sakta kabhi aapse blog damage ya delete bhi ho jaye. isliye weekly ya monthly apne blog ka backup jarur bana le.

In my case har 5-10 post share karne ke bad blog backup bana liya jaye to sabse brhtar hoga. so agar aapko lagta hai ki aapse bhi galti ho sakti hai to is message ko abhi se follow karna shuru kare.

I hope aapko ye article pasand aaya hoga or aapko isme kuch new sikhne ko mila hoga to comment kar ke bataye ki isse aapne kya sikha or aap blogging me kya kya change karne wale hai.

Sath hi agar aapko ye post achhi lago ho to is post ko apne sabhi friends ke sath social media par jarur kare taki wo bhi is post ko padh sake.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 43 )

  1. Yogendra

    Sir aapne batya ki blog ka regularly backup lena chahiye . Me 4 -5 din backup leta hu par mere backup se related kuch question.

    1. Me hosting cpanel se – files _ file manager_ public html ka backup leta hu.

    2. Database me Php my admin ka backup leta hu.

    Mera question hai – kya ? is tarike (primary domain + add-on domain) dono ka (full backup) ban jata hai. Kyonki meri ek hi hosting par do domain add hai.

    * Par kuch log cpanel se (backup aur wizard) se backup download karne ke suggest karte hai.

    Dono tariko me se kis trike se sahi backup ban jata hai. Aap suggest kare.

    Aur aap in dono me se kis tarike se backup lete hai.

    Reply
    • Jumedeen khan

      Aap sub domain aur domain sabke alag se wp-content file aur database ka backup lo, ye better hai, confusing nahi hogi.

      Reply
  2. Saad Jamil

    sir mein premium theme use kar raha houn tou es mein jab coding check ki tou aus mein template author ka name aur website bhi thi tou kya ye theek hai yaa sahi nhi hai muje kya karna chahiye.?

    Reply
    • Jumedeen khan

      Aap theme se template aur author name change kar sakte ho.

      Reply
  3. Rashmi Dubey

    Meri website par bilkul traffic nahi aata, kya karu? Blogs likhte huye six months ho gaye. Pata nahi earning kab shuru hogi?

    Reply
    • Jumedeen khan

      Aap 2 sabse badi galti kar rahe hai.
      1. Short and Adhura content
      2. Multiple language content.

      Traffic badhane ke liye traffic pane ke raste par chalo jaldi hi aapki site par traffic hoga.

      Reply
  4. ajay

    bhayi is Q ka answer jarur dena
    1.bhayi meri alexa rank 50k par aane par hai lekin trafic bilkul nhi aisa kyo?
    2.me bilkul b earn nahi kar paa raha hu kyo ki traffic hi nhi hai jabki mere se jyada alexa wale log acchi income kar rahe hai ..mujhe lagta hai ki online earn karne ka spna kahi sapna hi bankar na reh jaaye..
    plz meri website check kijiye or jo kami ha wo bataiye..plz
    3. agar me alexa ko 10k par le aaun to kya mujhe traffic mil skta hai?

    Reply
    • Jumedeen Khan

      1. Alexa rank real nahi hai. Movies ki tarah ek dhoka hai.
      2. Internet par 99% fraud hai aap sahi tarika apnao.
      3. Alexa koi search engine nahi hai jisse aapko traffic milega.

      Alexa ko chorho or google ki or dhyan do sath hi site ko sahi se promote karo. Aapki site ko SEO se jyada promotion ki jarurat hai.

      Reply
  5. Akshat Jain

    बहुत अच्छी और बढ़िया जानकारी दी है। इसके लिए धन्यवाद। शायद ये एक नए ब्लॉगर के लिए सबसे महत्वपूर्ण जानकारी हो सकती है।

    Reply
  6. Anand Kumar

    6 number wale point mein aapne likha hai ki Blog Post ka Title 30-70 Words tak hona chahiye. Mere khyal se yahan Words ki jagah par 30-70 characters hona chahiye. Yadi Tiltle ko 30 word mein likha jayega aur each word mein ausatan 3 characters bhi ho to kul milakar 90+ characters se bhi jyada ho jayega.

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Its typing mistake, Thanks.

      Reply
  7. DHANI bhatt

    evening me mera traffic kam kiyu rehta hia jabki aur sites ka evning me high rehta hai…

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Check karo kahi evening me aapka blog down to nahi rahta.

      Reply

Leave a Comment

Ad

I need help with ...