Website Ki Alexa Rank Improve Karne Ke 10 Badiya Tarike

Alexa kisi bhi website or blog ki popularty pata parne ka ek matra way hai. Alexa website ki traffic rank 99% right show karti hai ki site world me kitni or kis country me kitni fomous hai. Alexa me hum website ki global rank, country rank, backlinks, page rank, bounce rate and other bahut sari jankari pata kar sakte hai. New blogger ke liye alexa rank ko samajhna or iske bare me jankari recieve karna bahut jaruri hai. Kyuki alexa rank ke adhar par hi Advertisment Company humare sath deal karti hai. Jisse hum jyada money earn kar sakte hai.

10 Important Tips To Increase Alexa Rank

Agar aap abhi tak alexa rank ko ignore karte aaye hai to aap bahut badi bhool kar rahe ho. Duniya me jab bhi kisi site ki bat hoti hai to sabse pahle uski alexa rank hi check ki jati hai uske bad website authority & other ranking check ki jati hai.

Google Adsense & Affiliate Marketing Program sites bhi kisi website ya blog ko apne ads lagane ke liye site ki alexa ranking check karne ke bad hi allow karti hai. Advertising site alexa rank ke alawa site ki search ranking or other information bhi check karti hai.

Agar aap “Online Make Money” ke liye blogging kar rahe ho to aapke liye website alexa rank bahut important hai. Koi bhi company aapke sath aapki site ki alexa rank dekhne ke bad hi work karna pasand karti hai.

So agar aap real me apni site se paise kamana chahate ho to aapko apni site ki alexa rank improve karni hogi. Is post me mai aapko alexa rank increase karne ke kuch top formule bta raha hu. Post ko carefuly padhiyega.

Agar aap janna chahate ho ki top site hone ke liye website ki kitni alexa rank honi chahiye, Or advertising site kitni ranking hone par aapke sath deal karna pasand karti hai. Iska jawab hai aapki site ki global ranking 100,000 se kam honi chahiye. 100k ki range me aane wali websites ko top success website mana jata hai.

Ye mai aapko kuch popular website owner or blogger se pata kar ke bta raha hu. Unka kahna hai ki achi ranking ke liye site ki 100k se kam ranking honi chahiye.

Alexa ke bare me ayse bahut se sawal aapke dimag me bhi aate honge or aap inke jawab search karte rahte ho to don’t worry is post me aapko alexa ke bare me har sawal ka jawab milega. Alexa me sabhi websites ki ranking daily update hoti hai, Ye bat shayad aapko bhi pata hogi. Iske alawa hum google page rank checker par bhi site ki ranking pata kar sakte hai. But alexa ke jtina clear result koi bhi site show nahi karti hai. Isliye log sabse jyada isi par focus karte hai. Apne Blog Ki Alexa Rank Kyu Improve Kare? Is sawal ka jawab aapko post me upar btaye content me mil gaya hoga ki website ki ranking increse karne se kya kya fayde hai. Fir bhi mai aapko iske bare me point ke throw bta deta hu.

  1. Site ki alexa rank achi hogi to koi bhi advertising site aapko advertisment offer kar sakti hai or aap unki help se ads laga kar blog se paise kama sakte ho.
  2. Alexa rank high hone par jyada se jyada reader aapki site par visit karna pasand karenge. Har koi sochega ki jab site ki ranking itni achi hai to jarur is par achi jankari milegi.
  3. Internet par aapki site ki value badhegi.
  4. Log aapko low ranking blogger se jyada pasand karenge.
  5. Alexa rank better hone par aapko dusre similiar bloggers ka support milega.

Agar aap chahate ho ki aapke pas bhi ye sab ho to aapke liye alexa rank or bhi jyada important point ban gaya hai. Or ye sab aapko alexa rank increase hone ke bad hi mil sakta hai. About Alexa Ranking Company Alexa ko amazon company ne 1996 me launch kiya tha.

Jiska mission tha world ki sabhi websites ki information (Traffic data and rank) show karna jo ki globaly or nationaly show hoti thi. Dheere dheere alexa company website details btane me duniya ki no.1 company ban gayi. Aaj bhi alexa site ranking jankari dene wali sabhi sites me no.1c hi hai. Har koi website ki traffic pata karne ke lie sabse pahle us site ki alexa ranking check karta hai. By the way aap yaha click kar ke supportmeindia ki alexa rank check kar sakte ho. [ Click here… ]

Mujhe blogging me kafi waqt ho gaya hai or ab mai alexa ke bare me kafi kuch jan gaya hu. Is post me mai aapko apne experience ke hisab se un tariko ke bare me bta raha hu. Jinhe maine already follow kiya hai or aaj mere blog ki jo bhi ranking hai wo aapke samne hai. Agar aapko meri btayi tips sahi lage to follow karur kare.

Website Ki Alexa Rank Increase Karne Ke 10 Important Tarike

Agar aap chahe to paid traffic buy kar ke bhi apni site ki alexa rank sudhar sakte hai but AdSense user ke liye ye buri bat hai. Kyuki google AdSense paid traffic allow nahi karta hai. Isliye mai aapko is post me alexa ranking increase karne jo bhi tricks bta raha hu. Wo sab free hai or aapko inhe follow karne me koi pay nahi karna padega. So aap inhe follow kar ke apni site ko great bana sakte ho.

1. Install Alexa Toolbar in Your Browser

Alexa toolbar install karna website ki ranking increase karne ki sabse aasan, simple or no.1 trick hai. Alexa toolbar alexa server ko aapki site ki data send karta hai or alexa server humari site ki har ek activity ko save karta hai ki humari site par kaha kaha se traffic aata hai. Yani alexa toolbar aapke browser ke system par nazar rakh kar aapki site ka data save karta hai or uske bare me alexa server ko btata hai. So sabse achi bat ye hai ki aap daily sabse jyada apni hi site ko open karte ho.

Ayse me alexa toolbar aapki hi site ka sabse jyada data alexa server ko send karega. Jisse aapki site ki alexa rank increase hogi. Aap apne sath apne dosto ko bhi alexa toolbar install karne ke liye kah sakte hai. Jo aapki site ke regular visitors ho.

Man lijiye aap daily 30 bar apni site ko browser me open karte hai to alexa toolbar 30 bar hi aapki site ka data save karega. Alexa toolbar download karne or alexa toolbar ki adhik jankari ke liye aap Apne Browser Me Alexa Toolbar Kaise Intall Kare post padhiye.

Ek bat aapko btana chahunga ki sirf alexa site se hi download kiya gaya toolbar hi aapki site ki ranking increase karne me help karta hai. Yaha me aapko alexa toolbar ke fayde bta raha hu. Ye sirf ek anuman hai. Jaruri nahi hai ki ye 100% work karega.

  1. Agar aapke pas alexa toobar instal karne wale 100 people aapki site ki ranking check karte hai to aapki site ki alexa ranking 1 month me 100,000 hogi.
  2. Agar aapke pas alexa toobar instal karne wale 250 – 300 people aapki site ki ranking check  karte hai to aapki site ki alexa ranking 1 month me 50,000 se kam hogi.
  3. Agar aapke pas alexa toobar instal karne wale 500 people aapki site ki ranking check  karte hai to aapki site ki alexa ranking 1 month me 20,000 – 30,000 hogi.
  4. Agar aapke pas alexa toobar instal karne wale 800 – 1000 people aapki site ki ranking check  karte hai to aapki site ki alexa ranking 1 month me 10,000 hogi.
  5. Agar aapke pas alexa toobar instal karne wale 1500 – 2000 people aapki site ki ranking check  karte hai to aapki site ki alexa ranking 1 month me 5,000 hogi.

2. Add Alexa Widget on Your Site

Agar aap supportmeindia ke regular reader ho to aapne shuru se hi is blog par alexa widget dekhi hogi. Mai apne blog par alexa widget kyu add karta hu. Agar aapko iski wajah pata nahi hai to mai aapko btana chahunga ki jab hum apni site par alexa widget add karte hai to humare visitors alexa widget par click kar ke humari site ki ranking check karte hai.

Alexa widget se bhi hume same wohi fayda hota hai jo alexa toolbar se hota hai. Isliye iske bare me jyada btane ki jarurat nahi hai. Agar aap mujhse alexa widget add karne ki sahi jagah ke bare me puchoge to mera jawab blog footer hoga.

Kyuki blog footer par visitors sabse jyada dhyan dete hai or sabse badi bat yaha par alexa widget add karne se aapke visitors ko site content read karne me koi problem nahi hogi. Blog me alexa widget lagane ke liye Blog Me Alexa Ranking Widget Kaise Add Kare post padhiye.

3. Write Reveiw Article About Alexa

Alexa par post likhoge to aapki post me alexa keywords use karoge jisse aapko benefit milta hai. Agar aapki post me high keywords honge to aapko search engine se acha result milega. Jisse alexa rank increase hogi kyuki alexa humari site ki search ranking bhi check karta hai.

Article me high keywords honge to aapki site ka traffic bhi badhega or aapki site ki value bhi improve hogi. Or agar aap alexa par acha Top List Articles likh sakte ho to aapki site par wo sab user visit karenge ho alexa ke bare me janna chahate ho.

Isse aapko 2 fayde honge ek wo aapka regular visitor ban jayega or dusro wo bhi aapke kah anusar alexa ranking increase karne ke tips follow karega. Jisse aapko bhi muna fa hoga. Kyuku uske browser me bhi alexa toolbar install hoga or wo aapki site par daily visit jao karega.

Alexa toolbar aapki site ki data alexa ranking system ko send karta ahai. Fir chahe aapki site ko koi bhi open kare, Bas uske browser me alexa toolbar add honi chahiye. Or aapki site ki alexa rank increase ho jayegi.

4. Claim Your Site on Alexa

Alexa me apni site ko claim (Submit) Karne se bhi aapki site ki ranking improve hone me help milti hai. Jab aap apni site ko alexa me submit karoge to alexa system ko aapki sitew ke owner, site content and details ke bare me aasani se pata chal jata hai. Jisse aapki site ki rank better hoti hai.

Bahut se log apni site ko alexa me submit karne ke bad us par dhyan nahi dete hai. But ye adura kaam hai or Jab hum alexa par apni or apni site ki Details add karte hai to hi humari site ki ranking increase hone me help milti hai. Iske bare me adhik jankari ke liye aap Website Blog Ko Alexa Me Submit & Verify Kaise Kare post padhiye. Is post me aapko alexa me site claime karne ki puri jankari mil jayegi.

5. Make High Quality Backlinks

Backlinks Kya Hai or Ye Blog SEO Ke Liye Kyu Jaruri Hote Hai post me maine details se btaya hai ki backlinks blog ke liye kitne important hote hai. Alexa ranking increase karne ke liye aapko apni site ke backlinks par bhi focus karna padega. Alexa system jis aadhar par site ranking show karta hai. Website backlinks unhi me se ek hai. Aapki site par jitne jyada backlinks honge aapki site ki ranking utni hi achi hogi. Backlinks pane ke liye aap dusre blog par guest post kar sakte hai or us post me apni site ka links add kar satke hai. Sath hi aap dusre blog ki post par comment kar ke bhi backlinks kama sakte hai. Iski jankari ke liye yaha click kare. { links… }

6. Post on Webmaster Helping Forum

Jab bhi aap apne blog par new post likho to aap use google help forum, yahoo help forum jaise webmaster forum me post kar.e Isse aapki site ka traffic badhega. Iske liye jab aap webmaster forum me post kare to aap usme apni site ka link bhi add kare. Isse user aapki site ke links par click kar ke aapki site par aayenge to aapki site ki alexa rank increase hogi.

Aap webmaster forms se jitne clicks recieve karoge. aapki site ki ranking utni hi better hogi. Isse aapki site ki alexa rak e sath sath aapki site ki value bhi badhegi. Or sabse achi bat aapko in webmaster forums se refferal traffic milega or aapka other website owners se acha relation bhi banega jo aane wale dino me aapke kaam aa sakta hai.

7. Update Post Regularly

Ye puri duniya ek competition ki tarah hai. kyuki har koi har kisi se aage nikalna chahata hai. Or aaj ke time me internet ki duniya itni badi ho gayi hai ki aapko internet par lakho website owner or blogger mil jayenge. Un sabhi ka ek sapna hota hai success person banna or iske liye wo din rat mehanat karte hai. So ayse me agar aap daily apni site par update nahi karoge to aapse bahut log aage nikal jayenge.

So mai aapko highly recommended karna chahunga ki aap apni site ko success hote dekhna chahate ho to site par daily post publish karo. Mai manta hu ki ye bahut ard work hai but success banna hai to aapko ye hard work karna hi padega. Isse sirf aapki site ki alexa rank hi incease nahi hogi. Balki aapi site par traffic bhi padhega. Aap jab roj artilce likhoge to aapke visitors aapke new post ka per day wait karenge.

8. Write Originol Quality Content

Originol Quality Content alexa rank increase karne me sabse jyada important hai. Aapki site par Originol Quality Content hoga to sabhi reader aapko pasand karenge or aapke blog par visit karna pasand karenge. Jisse aapke blog ki  Bounce Rate better hogi or aapki site ki ranking increase hogi.

Agar aapki site par acha content hoga ato dusre blogger bhi aapki site ka link apne blog me add karna pasand karenge or aapki post ko share karke aapka benefi badhayenge. Jisse aapko dusri site se backlinks milega or alexa rank backlinks par bhi depend karti hai. Kabhi bhi kisi site ya blog se copy paste nahi kare. Isse aapki site ki ranking ke sath or bhi bahut nuksan hai. Copied Content Ko Google Search Se Remove Kaise Karwaye post me maine btaya hai ki copy paste karne se humara kya kya nukshan ho sakta hai.

9. Create Facebook & Google+ Pages

Social media refferal traffic pane ka sabse aasan or free tarika hai. Ayse me aap apni site ke name se  Facebook Page or Google Plus Page banaye or apni har ek new post un par share kare. Isse aapko social media se jyada se jyada refferals traffic milega. Agar aapki post high ranking hogi to aapko facebook, google, twitter se 1000ro visitors milenge or aapki site ki alexa rank increase hogi. Iske alawa bhi aap apni site par Facebook Like Box add kare or apne fans badhaye. Jisse aane wale dino me aapko or jyada traffic milne ki sambhavna hogi. Agar aap WordPress use hai to iske liye plugin use kar sakte ho or blogspot user hai to aap coding ke throw like box blog me add kar sakte ho.

10. Focus Your Viral Content

Post me upar btayi jankari se ek bat aapko clear ho gayi hogi ki jab site ki traffic badhegi to alexa rank apne aap increase ho jayegi. So yaha mai aapko is ka aasan or simple tarika bta raha hu. Aap apne blog ki popular, Viral post ka pata kare or us post se related post share kare.

Isse aapkie visitors ko aapki site par unke kaam ki jankari milegi to wo aapki site par bar bar aana pasand karenge. Viral content ke bare me aap aasani se pata kar sakte ho or usi ko focus kar article likh kar apni site ki alexa rank increase kar sakte ho.

Or agar aapki site par koi viral contewnt nahi hai to aap google analytics ki help se apne visitors ki pasand ka pata kar uske aadhar par post likh kar blog ki traffic badha sakte ho.

In my case mai is trick ko pichle kei dino se folow kar raha hu or mujhe iski madad se or jyada traffic mil bhi raha hai. Ummid karta hu aap bhi aysa kar sakoge or apni site ki traffic badha kar alexa rank increase karoge.

Agar aap in tariko ke alawa or dusre tariko se alexa rank increase karna chahate hai to aap alexa ka premium plan buy kar sakte ho. Jisse aapki site ko traffic bhi milega or aapki site ki alexa ranking bhi better ho sakti hai. Iske liye aapko alexa company ko monthly minimum 700 to 1000 rupees ka payment karna padega.

I hope ye post aapko jarur pasand aayegi. Or aapko is post me alexa ke bare me puri jankari milegi or aap aasani se alexa ranking ko samajh kar apni site ki alexa rank increase karne ki koshish karoge. Agar fir bhi aapka alexa ke bare me koi sawal ho to niche commnet kare or ha is post ko share kar ke humari help jarur kare.

Agar aapko humari site pasand aaye to site ko subscribe jarur kare sath hi hume bhi social media par follow kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 66 )

  1. Deepika

    6 th post on webmaster samajh nahi aaya can u please explain

    Reply
    • जुमेदीन खान

      इसका मतलब ये है की आप Q&A साईट में सवाल का जवाब देते समय उससे रिलेटेड अपनी पोस्ट का link इस्तेमाल करे

      Reply
  2. Harsh Gupta

    Very good bhai. I like your opinion. It is helpful for me

    Reply
  3. manoj pawa

    sir,
    really nice post alexa ke through itna kuch ho sakta hai muje pata nai tha agar mein alexa ka paid member ship lu to kya meri website ki ranking unke tools se bad jayegi please reply sir.

    Reply
    • Jumedeen khan

      Yes aapki site ki rank improve ho jayegi.

      Reply
  4. Akash Yadav

    bahut hi achi jaankari di aapne

    Reply
  5. Avinash Chauhan

    meri bhi website ki Alexa ranking pichhle mahine se improve nahi ho rahi hai. i will try these tips. Thanks for sharing useful information.

    Reply
  6. Hajari prasad

    Bhai mene apne blog ko alexa me abhi submit nhi kiya but phir mere blog ki ranking alexa me dikha rha hai.

    But problem ye hai kabhi mere blog ki ranking india me 2,50,000 dikhata hai aur kuch hour ke baad 1,90,000 tak dikhata hai, aisa kyun ?

    Kya ye sirf mere sath ho rha hai ya sabhi ke sath hota hai ?

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Sabki rank kab jyada hoti rahit hai.

      Reply

Leave a Comment

Ad

I need help with ...