Blog traffic kitna jaruri hai, ye bat har ek blogger janta hai. hum apne blog par traffic badhane ki sabhi koshishe try karte hai. but sabse important tricks ko hum ignore kar dete hai. wo hai top list articles, jisse hum 1 month me 100,000 se jyada visitors prapt kar sakte hai. badhiya article likhna hi blog ki traffic badhane ka no.1 tarika hai.
Aapki post me jitna acha talent hoga utne jyada visitors aayenge. ye bat maine conform ki hai. or ab mai aapko pure wishwas se kah sakta hu ki ek achi post se aap ek mahine me 100,000 se bhi jyada visitors kama sakte ho.
24-dec-2024 ki sham 6pm ko maine Happy New Year 2024 Wishes Quotes post share ki thi. rat 11:59pm tak is post par 5,000+ pageviews ho chuke the. post ka high score 403 pageviews per hours raha. 800 google+ visitors, 132 facebook visitors and 600+ search engine result se visitors hasil huye hai. is post ko ab tak total 270 share mil chuke hai. agar is post ki ek mahine ki traffic pata ki jaye to iski monthly traffic hogi 600,000 pageviews to ab aapko ye to pata chal hi gaya hoga ki ek top listed post 10 contentless posts se jyada traffic kama sakti hai.
Is post sirf 500+ words hai fir bhi itna traffic iski wajah hai sirf iska topic “Happy New Year 2024 Wishes Quotes” jo is time internet par sabse jyada search kiya jane wala topic hai. to ab aap ye to samajh hi gaye honge ki ek acha or popular post topic se kitna traffic badh sakta hai. mai aapko is post me or bhi tricks bta raha hu apna 5 minute ka time de kar post ko ache se pade or achi lage to social media par share bhi kare. or in 6 ghanto ke andar mujhe AdSense se 16.40 US dollar mile hai. yani itne kam time me maine lagbhag 1,000 rupees kamaye hai. ye mere liye ek sapne ke jaisa hai. or is khushi ko mai aapke sath share kar raha hu. kyuki aap hi ki help se ye sab hua hai.
Table of Contents
Top List Articles Se 1 Month Me 100,000 Visitors Kaise Paye?
Jaisa ki maine upar top list post ke bare me btaye hai. wese hi agar hum kuch or step follow karke post likhe to hume search engine se itna traffic mil sakta hai ki hum soch bhi nahi sakte. jinme se kuch step mai aapko bta raha hu. abhi mai aapko utna hi bta raha hu jitna mai janta hu. future me bhi mai apna experience aapke sath share karta rahu, iske liye aap bhi is post ko share karke meri help kijiye.
1) Top List Post Topic (Title)
Top List yani sabse jyada search kiye haye words ki top 10, 20 , 50 ,100 number ki list. aapki post ka title inme jis ranking ka hoga. utna jyada traffic aapko milega. upar maine aapko isi ke result ke bare me btaya hai. post topic ko top list me lane ke liye ye step follow kare.
- post title me numric use kare jaise 10, 20, 50, 100, 200 etc.
- post title me popular keywords use kare. jaise Top, Most, Best, Better and other.
- post title me kya, kaise, kyu jaise question words use kare.
- post title minimum 40 character or maximum 70 character ka hona chahiye.
- post title aysa ho jise internet par sabse jyada search kiya jata hai.
- post title ko dekhte hi visitors use par visit karna pasand kare.
- happy new year jaise most time se sambandhit post title likhte rahe.
- post title post se related hona chahiye, jise search engine ranking badhti hai.
- post title me extra words jarurat padne par hi use kare. jaise se, me, ko etc.
- post title me jitna ho sake utne jyada fomous, top ranking keywors use kare.
upar diye step follow karke likhe gaye post topic is tarah ke hone;
- Top 25 tricks blog par adhik traffic badhane ke liye.
- Blogging me success hone ki top 7 wajah in hindi
- 20 stylies email subscribe widget for blogger blog.
- Top 50 badiya tarike blog ki traffic badhane ke.
- 10 important tarike internet se paise kamane ke.
2) Top List Article
Jab google search engine aapki post ko index karta hai to sabse pahle post ki images or keywords ko dekhta hai. so agar aap chahate hai ki aapki post search me sabse upar aaye to aapki post me kam se kam 2,000 words hone chahiye. kyuki post me jitne jyada words honge utne jyada keywords bhi honge. or jitne jyada keywords honge search enginbe utna acha result dega. sath hi post me 2-5 images bhi use kare. images aysi honi chahiye jo puri tarah post se related ho or jise dekhte hi visitors ko post samajh me aa jaye. yad rahe bina wajah faltu ki photos use karne se search engine aapki post ko block kar sakta hai.
Exaple ke liye aap ye post pad dekh sakte hai:
- Online Paise Kaise Kamaye: Internet Se Paise Kamane Ke 20 Tarike
- Smart Phone Ki Battery Life Badhane Ke 10 Android Apps
- Smart Phone Kar Sakta Hai Ye 10 Kaam, Kya Aap Ne Kabhi Try Kiya Hai
- Computer Vs Laptop Kounsa Behtar Hai, 10 Bato Se Samajhe
- Kya Aap Jante Hai Google Chrome Ki Ye Interesting Tricks
3) Post Talent
Jab post talent ka name aata hai to kuch bloggers sochte hai ki hum me itna talent nahi ki top ranking me aa sake. but mai aapko btana chahunga ki talent humare andar nahi rahta hume banana padta hai. blog post ke talent ki bat kare to isme aapko sirf itna karna hai ki post me aap jo kuch bhi likho wo sabkuch post topic se related hona chahiye. or post ki bhasha aysi ho jise visitors aasani se samajh sake. bina kam ke boring words post me use nahi kare. ek line me kahu to post aysi honi chahiye jiske photos, writing ko dekhte hi samajh aa jaye ki is post me kya jankari di gayi hai.
Example ke liye ye posts dekhe.
- Internet Se Ghar Baithe Online Paise Kaise Kamaye
- Hostgator Hosting Par WordPress Blog Kaise Install Kare
- Hostgator India Se Hosting Kaise Kharide Hindi Me Jankari
- WordPress Par Free Blog Kaise Banaye in Hindi
- Digital Ocean Par Free Hosting Kaise Kharide Cloudways Se
Post likhne ke bad sabse important kam hota hai post ko new visitors tak pahuchana. iska simple tarika hai social media facebook, google plus, twitter, linkedin, pinterest, reddit and other social networking sites. agar aap ye tips follow nahi karte ho to aaj se shuru kar sakte ho. social media par post share karne ka sahi time hota hai sham 6pm to 9pm is samay social media par 90% user active rahte hai. ye mai aapko confirm karne ke bad bta raha hu. aap try karke result check kar sakte hai.
aap ye post follow karke bhi blog ki traffic badha sakte hai.
- Blog Ki Traffic Ghatane Wali 10 Badi Mistakes
- Blog Ki Traffic Badhane Ke 50 Best Tarike in Hindi
- Google Plus Se Blog Ki Traffic Badhane Ke Top 5 Tarike
- Apne (Blog) Website Ki Traffic Kaise Badhaye Ki Jankari
- Blog Ki Traffic Badhane Ki Tips & Tricks
5) Complete SEO
Search engine se traffic pane ke liye sabse important aapke blog ka SEO complete hona chahaiye. mai blog SEO ke bare me bahut post kar chuka hu. jinhe follow karke aap apne blog ko seo friendly bana sakte ho or search engine se acha traffic prapt kar sakte ho. iske liye aapko first seo ki puri jankari honi jaruri hai. seo ke bare me janne ke liye aap humari site ki SEO se related post padiye or apni site ko seo friendly banayiye. blogger blog ko seo ready banane ke liye mai aapko kuch step bta raha hu.
- Blog me Meta tag add kare.
- blog ko sabhi search engine se submit kare.
- blog ka sitemap banaye or sabhi search engine me sitmap add kare.
- blog ki template seo or mobile friendly ho.
- Blog SEO ki compelete guide pane ke liye yaha click kare.
6) Fast Loading Blog
Visitors fast load blog or websites ko sabse jyada pasand karte hai. agar aapke blog ki loading speed 80% se jyada hai to aapko 30% traffic jyada milega. sath hi search engine bhi fast loading sites ko jyada pasand karta hai. us blog ko jaldi inex karta hai.
aap Getmetrix par site speed % check kar sakte hai.
7) Site speed 4 second se kam ho
Google ne ek servuy kiya tha ki visitors kitni second me load hone wali sites jyada use karte hai. is servuy se pata chala ki 70% visitors 4 second se kam time me load hone wali sites ko sabse jyada pasand karte hai.
aap Pingdom par site ki speed second me check kar sakte ho.
8) Optimize Database
Database yani aapke blog ki puri data ka size, website ki speed is par sabse jyada depend karti hai. is liye agar aap blogger free blog use karte hai to aapko database optimize karne ki koi jarurat nahi hai. kyuki aapke blog ka database google ke throw automaticly optimize hota rahta hai. bas aapko post image sahi format me use karni hai. image optimize ki jankari ke liye aap Blogger Images Ko SEO Friendly Kaise Banaye post pade or post me 50kb ke lagbhag size ki hi photos use kare. or agar aap WordPress user hai to w3 cache plugin, super cache plugin use kar sakte hai. in plugin se aap automaticly database optimize kar sakte ho.
9) Post Heading
Post ko adhik seo friendly banane ke liye post me 2-5 post heading jarur add kare. isse search engine ko post content index karne me aasani hoti hai. heading post title se related hi honi chahiye. jisse visitors ko post ko samajhne me or bhi aasani ho.
Jaise aapki post ka title hai “Blog ki traffic kaise badhaye 5 aasan tarike” to aap post me isse related heading add karo.
- Blog traffic kya hai?
- traffic kaha se kama sakte hai?
- traffic badhane ka sabse aasan tarika
- blog ki traffic kaise badha sakte hai?
is tarah se aap post me post topic se related heading add kar sakte hai. agar aap post me achi or post content se sambandhit heading use karne me success ho pate hai to aapki post ki search ranking bina heading ki post se 50% jyada hogi.
10) Post Summary
Maine aapko is post me jo bate btayi hai. agar aap unhe follow karke 10-15 top list article likh lete ho to aap 100% monthly 100,000 visitors recieve kar sakte ho. aapne suna hoga ki ek acha beta 100 bekar beto se behtar hota hai. or wo akela ma parents ko pal sakta hai. bilkul usi tarah ek achi post aapko itna traffic de sakti hai. jo 100 bekar post nahi de sakti. isliye mai aapko personalu suggest karunga ki har post me kam se kam 1,000 words to jarur use kare or agar isse jyada use kar sako to or bhi achi bat hai. post puri tarah complete karke hi blog par share karo.
I hope aapko ye post pasand aayi hogi. or aapko isme koi achi jankari bhi mili hogi. agar mai sahi hu to apna 30 second ka time de kar is post ko share kare. jisse meri or kisi or ki help hogi. sath hi comment me apne thought jarur likhe. kyuki aapke vicharo se mujhe new post likhne ki jankari milti hai. sath hi ye bhi pata chalta hai ki aapko meri wajah se kitni madad mili, jisse future me mai aapko or behtar sikha saku. so comment or is post ko share jarur kare.
- Blog Ko Google, Bing, Yahoo Jaise Search Engines Se Kaise Submit Kare
- Blog Ke Sitemap Ko Google Search Console Me Submit Kaise Kare
Mujhe blogging me 4 month se jyada time ho gaya hai. or ab mai blog SEO ke bare me aapko completly guide kar sakta hu. iske bare me allready post kar chuka hu or aage bhi karta rahunga. in my case mere blog par sabse jyada visitors search engine se hi aate hai. agar aap bhi chahate hai ki aapke blog par search engine se jyada se jyada traffic mile to blog ka seo complete kijiye. fir dekhiye aapke blog ki traffic kaise badhti hai.
Helpful article thanks for sharing
Jumme Deen Bhai mahine me 10.000
Kamane KE liye kitna traffic hona chahiye
Aap adsense use karte ho to daily 2,000 to 3,000 traffic hona chahiye monthly 10,000, 20,000 easily kama sakte ho.
mujhe aapke share key hua article se bhaut help mili.mujhe jab bhi problem hoti hai toh aap ke blog par aana like karta hu.
Sir m blogging start krna Chahta hu to mujhe is platform se shuru krni chahiye …and sir shuru m paid blog bnaye ya fir shuru m free blog use kr skte …
2.. sir blogger.com pr free blog Shi h or bad m is blog ka domain change kr sakta hu or free blog success ho skta h or free blog ko bad m kisi paid plan pr transfers kr skte h or agr kr skte h to
1. WordPress always better hai agar aapke pas budget hai to warna blogger use kar sakte ho.
2. Yes ho sakta hai but blogger par wordpress ke jitne feature nahi hai.
Hello sir . Aapki post mere liye hamesa he usefully rahi hai. Kon ki aapke likhne or use details me samjhane ka tarika or blogger se bahut he alag hai.
Sir mera aapse yah questing hai ke mujhe apne blog ke liye post kahan se likhne chahiye. Matlab post ke liye content kahan se laye. plz sir help me i m your regular reader.
Google me sarch kiya karo or apne competitor ke blog bhi.
Bhai blog se 15000-20000 monthly kamane ke liye daily kitne visitors hone chahiye
10,000 visitors se isse bhi jyada kama sakte ho.
sir g maine ek blog banaya hai. aksmartsupport.in ke naam se, is par maine abhi lagbhag 40 post dali hai. par post view lagbhag 100 hi hoti hai par day. sunday ko ye cross kar jati hai.abhi mujhe ek mahina hone wala hai, kya shuruaat me aisa hi traffic milta hai, ise improve karne ke liye kya karu please bataye.
Good thoda promotion bhi karo.
Bro…mai ek baat samajh nahi pa raha hu ki agar hame apni iss post ko social networking site me share karna hai to kaya kare ?????
Matlab jo aapne ye pura articals likha hai usko copy karke apne frd logo ko send kar de ……….. I m right na
Nahi sirf iska lin kshare karo.
Ok thank you maine ap ki post read kar li hai , ik aur question hai, samjhne ki koshish karna bhut important hai, hum blogger post h1 h2 h3 heading me likhte hain to google search mein post title ke niche jo keyword ate hain wo kis heading ke under hote hain h1 h2 etc ya other ke.
Wo post description hoti hai. Aap ye post padho Blog Post Me Search Description Enable Kaise Kare