Apni Website Blog Ke Liye Google Sitemap Kaise Banaye

Google sitemap website ke liye bahut important hota hai kyuki sitemap google search engine ko humare blog ya website ke bare me btata hai. Isme aap aapki site ki all posts ke URL add hote hai. Jisse google aapki site ki sabhi pages or posts ko ek list me dekh sakta hai or aasani se unhe crawl index kar sakta hai. Yaha main aapko bta raha hu ki website blog ke liye sitemap kaise banaye.

google sitemap for blog

Google sitemap ke bina bhi aapki site ko crawl and index kar sakta hai but agar aapki site par sitemap ho to google ko aapki site ke pages ko search karne me problem nahi hoti. Agar aapne abhi tak apni site ke liye sitemap nahi banaya hai to ab bana le.

Google Sitemap Khai or Ye Kyu Jaruri Hai

Google sitemap ek file ki tarah hai jisme aap apne blog ya website ke 100, 500 pages and sabhi pages ko add kar sakte hai. Iska kaam website ke pages ko google sahit sabhi search engines ko aapki site ke pages ki list show karna hota hai. Ye site ko search engine me show karne ka sabse best tarika hai.

Blog Ke Liye Sitemap Kaise Banaye

Website ke liye sitemap kaise banaye? Blog ke liye sitemap kaise banaye? Agar aap aese sawal google me search kar rahe hai to ye post aapke liye hi hai. In simple steps ko follow karke aap apni site ke liye aasan ise sitemap generate kar sakte ho.

Step 1:

First aap Create your Google Sitemap ki website XML-Sitemaps.com par jaye. Ab yaha aap type box me apni site ka URL add kar sitemap generate kar sakte ho.

Yaad rahe is tool se aap only 500 pages ka sitemap bana sakte ho. Agar aapke blog par 500 pages se jyada page hai to aap koi or tool use kare ya fir iska pro version use kare.

  1. Apne blog ka url dale jaise supportmeindia.com, supportmeindia.com etc. (Agar aap https:// security use karte hai to URL me https:// jarur lagaye like https://example.com)
  2. More options par click kare.
  3. Include “Page Last modification” attribute ko enable kare.
  4. Automatically calculate “Page Priority” attribute ko enable kare.
  5. Pages “Change Frequency” attribute par Always select kare.
  6. Finally, Sab setting check karne ke bad Start button par click kare.

Generate blogger sitemap

Step 2:

Ab jo windows page kuhlega usme “Please wait, Sitemap generation in progress.” likha hoga. Ab aap thodi der wait kare kuch hi second ya minutes me aapki site ka sitemal completely generate ho jayega.

Sitemap generate hone ke bad is type ki windows open hogi usme view sitemap details par click karna hai.

Generate sitemap completed

Ab aapki site ka sitemap ban gaya hai. Ab aapko 3 steps follow karne hai.

Generate sitemaps

Ab aap apni site ke domain ke bad /sitemap.xml karke open karke dek hsakte hai sitemap work kar raha hoga. Aap chahe to ise apne blog me add kar sakte hai. Iske liye aap apne blog ki robots.txt file ko open kare or usme is tarah se apne blog ka sitemap add kare.

Allow: /
Sitemap: https://www.supportmeindia.com/sitemap.xml

For example. aap ye screenshot dekh sakte hai.

add sitemap in robots txt

Ab bas apako ye sitemap google search console, bing webmaster tool and other web master tools me submit karna hai. Isme ye articles aapki help kar sakte hai.

Agar aapka blog blogger yani blogspot.com par hai to aapko sitemap banane ki jarurat nahi hai. Google automatically apne bloggers blog ke liye sitemap generate kar deta hai. Blogger blog par sitemap kuch is tarah se hota hai.

  • Blogger Dfault URL: https://www.example.blogspot.com/sitemap.xml
  • Blogger Custom URL: https://www.example.com/sitemap.xml

Blogger users ko sitemap sirf google webmaster tool and other webmaster tools me submit karna hota hai. Iski jankari ke liye aap ye post padhe Blogger Sitemap Ko Google Webmaster Tool Me Submit Kaise Kare.

I hope aapko ye jankari pasand aayegi. Agar haa to ise social media par dusre bloggers ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 331 )

  1. sir mere blog me sitemap page nahi bna ha kya mera adsense aprove nahi hoga

    Reply
    • हो जायेगा

      Reply
  2. Bhai jab me search console me sitemap par click kar rha hu to wha ye bata rhe hai ki enter your site map url to kya wha apne blog ka url dena hota hai ya fhir ye url alag hota hai…

    Reply
    • yaha aapko sitemap ka link add karna hai, jaise is post me btaya gaya hai.

      Reply
  3. Bahut achha likha hai aapane.lekin meri website ke page index hote hai lekin bahut time lete hai

    Reply
    • आपकी साईट पर जितनी ज्यादा अपडेट होगी, उतना ही जल्दी गूगल इंडेक्स करेगा

      Reply
  4. kya wordpress kaa alag se Site map bnaa sakte hai aise aur submit kar sakte hai kya ? Yoest bhi maine use kar rkha hai but main alag se submit karna chahta hun

    Reply
    • Yoast sitemap hi kafi hai.

      Reply
  5. bahut hi achha article hai

    Reply
  6. Nice information sir. Sir mera swal yah hain ki ek bar sitemap submit krne ke baad bar bar to nhi krna padega na ? Plz reply sir

    Reply
    • Nahi, sirf ek bar karna padta hai uske bad google aapki new post ko automatically index kar leta hai.

      Reply
  7. thank you sir ye post karne ke liye. maine apna blog banaya hai bahut dino se par abhi tak maine sitemap nahi banaya tha. aapki post ki help se maine sitemap bana liya hai aur use submit bhi kar diya hai.

    Reply
  8. Mene 2din pehle ek aur new affiliate website banai h usme abhi posts published nhi kiye h, usme pages ,home pages, categories sb design krliye h , to kya usse m XML sitemap me submit krdun ya posts likhne ke Baad submit kru.

    Reply
    • Abhi bhi kar sakte ho.

      Reply

Leave a Comment