Blogging me sabse badi problem hai copyrigting. aapki site ka content kisi or website se match ho raha hai to aapko search engine se traffic bahut kam milega or aapki site ki search engines me ranking bad (Bahut Kam) hogi. maine bahut se bloggers ko dekha hai. wo dusro ke blog se post copy kar ke apni site par publish karte hai or jab unhe search engine mostly google se high traffic nahi milta to dusro blogger se puchte hai. copyright content ka pata kaise lagaye ke bare me janne ke liye puri post padhe.
“Hello Sir mere blog par 40-50 post hai or sari post maine khud likhi hai. magar meri site par traffic sirf 500-600 pageviews per day hi hai. Plz aap meri site ko check kar ke btayiye kya problem hai.” Ye sawal 3 february ko mere facebook page par Neha Sharma ne message kiya tha.
- Adsense Account Ko Safe Rakhne Ki 12 Important Tips in Hindi
- Adsense Account Ko Approved Karane Ke 20 Tarike Janiye
Ye jaruri nahi hai ki aap jab kisi or site se direct copy karoge to hi copyrighting hogi. ho sakta hai aapka talent kisi or se match ho raha ho. I mean aapka likhne ka tarika kisi or se milta julta ho to bhi copyrighting ho sakti hai.
Yani hum kisi ke talent ko bhi follow nahi kar sakte hume apna sabse alag likhne ka tarika banana hoga. tabhi humari site ko search engine se adhik traffic mil sakta hai or hum apni manzeel tak pahuch sakte hai success ho sakte hai.
Ab important sawal ye hai ki humara talent likhne ka tarika kisi or se match ho raha hai ya nahi. ye hum kaise pata kar sakte hai. don’t worry meri ye post isi ke bare me hai. aap is article me btayi gayi tools par apni site ki post, pages or homepage ko check kar sakte hai ki aapki site par kya kya copyright hai or kya kya originol hai.
Table of Contents
Website Blog Copyright Content Checker Top 10 Free Tools – Check Content Theft
Content Theft ka matlab hota hai chori ki gayi jankari. ye tool aapko btayegi ki aapki post me kaha kaha or kis kis website ya blog se content chori kiya gaya hai. aapko apni site ka home page url ya aapki post ka url add karna hai.
1. Plagium
Copyright content check karne ke liye ye tool sabse best tool hai. aap plagium website par jaye or search box me apni post ka link add karo or quik search ya deep search par click karo. aapki post me jo bhi content copyright hoga or jis website se match ho raha hoga. sabki details aapko mil jayegi. but yad rahe ye site paid hai or aap is par per day 1-5 bar hi copyright content check kar sakte hai.
2. Grammarly
Grammarly website ek multi features website hai. is par aap copyright content check karne ke sath sath post content spellinkg, originol contet bhi check kar sakte ho. mai aapko is site ke liye personally suggest karna cahunga. ye sabse best website hai originol content check karne ki iske bare me aapko aane wale time me details se btaunga.
3. Plag Sotter
4. DMCA Scan
5. Dupli Checker
6. Webconfs – Similar Page Checker
Agar aapko kisi website par shaq hai ki wo aapko copy kar raha hai to aap is tools par ja kar apni site or uski site ka url add kar ke pata kar sakte hai ki uski site aapki site se kitne % match ho rahi hai. examply jaise meri site supportmeindia se meri dusri site hindi.supportmeindia.com 17% match ho rahi hai.
7. Copyscape
8. Duplicate Content Tool
9. Plagiarisma
10. Plagiarism Checker
Ye sab website ek se badh kar ek hai. jo aapko copyright content, originol content, theft content, plagiarism content or duplicate content ke bare me jankari deti hai. agar aap inhe bar bar use karna chahate ho to aapko in par sign up karna padega.
- Blog Post Ke Liye Photo Kaha Se Download Kare – Sabse Aasan Tarika
- Top 15 Websites To Download Free Stocks Images For Your Blog
Blogging karne walo ke liye is post me btayi tools bahut important hai. inki madad se aap pata kar sakte ho ki aapka post likhne ka tarika kisi or se match to nahi ho raha hai or agar ho bhi raha hai to kisse is sabka aapko pata chal jayega.
Thanks for making these blogs that are interconnected mtlb har blog pr click krne ka man krta hai , hme bhi btaaye kaise krte hai ye aap