Google Adsense Par Ads Kaise Banaye Ki Puri Janakri in Hindi

Aaj hum baat karenge ki adsense par ads kaise banate hai. Actually bahut se new blogger ko adsense manage karne me bahut problem hoti hai. Yaha tak ki unhe ads create karne me bhi problem hoti hai. Isliye aaj is post me main aapko yahi batane walahu ki google adsense par ads kaise banate hai. Aap is post ki help se easily adsense par ads create kar sakte ho.

adsense par ads kaise banaye

Adsense par ads banana bahut aasan hai. Bas aapko ek bar iski achi jankari ho jaye. Main apni post Adsense Ke Ads Blog Me Kaise Lagaye me adsense create karne ki jankari bhi share kar chuka hu but is post me aaj hum sirf ads create karne ke bare me baat karenge ki adsense par ads kaise banate hai.

Jaha tak mujhe pata hai 3-4 type ke ads sabse jada populer rahate hai. 1. 300×600, 2. 300×250, responsive and links ads ye sabse better size hai adsense se paise kamane ka. Main supportmeindia par isi size ke ads use karta kar raha hu or 90% blogger isi sizes ke ads use karte hai isliye aapke liye bhi ye size better rahega.Adsense

Adsense Ke Ads Kaise Banaye

Adsense par ads banane ke liye aapko bas thodi si basic jankari ki jarurat hai. Aap aasani se adsense ke ads bana sakte ho. Ads banane ke liye adsense par jaye or log in kare.

1. Ads size

Step 1: 

  1. Go to Adsense home page.
  2. My Ads par click kare.
  3. New ad unit par click kare.

create AdSense ads

Step 2: New ads unit par click karne ke bad ye page open hoga. Aap upar screenshot dekh sakte hai.

  1. Ads ka name choone. Apni site se related ads name hi choone.
  2. Yaha par aap ads change kar sakte ho. links ads, responsive ads, customze size ads. Means aap yaha par click karke apne hisab se ads size create kar sakte ho.
  3. Adsense ne pahle se hi kuch ads size diye huye hai. aap in me se bhi size select kar sakte hai.
  4. Ads type Text & dissplay ads hi select kare.

2. Ads type

Adsense ke ads 3 type ke hote hai. 1. text & dispaly ads, 2. display ads only, 3. text ads only. Aap apni pasand or jarurat ke hisab se ads type select karte hai. In my case mai Text & dissplay ads use karta hu jisse humari jayda income hone ke chance badh jate hai.

3. Ads style

lagbhag har blogger ke liye ye bahut important hai ki ads style konsi better rahti hai. Mera manna hai ki aap apni site ke design ke hisab se ads style choone, kyuki isse aapki site ka look acha hoga or visiters ads par click karna pasand karenge.

But iska ye matlab nahi hai ki aap ads ko bilkul apni site se match kar do. Ads ko itna customize nahi karna hai jo ads ads na lage or site ka part nazar aaye. Aesa karne se visitors bhi aapke ads par click nahi karenge.

ads style

  1. Pahle se diye kisi bhi size par select kare.
  2. Copy and edit par click kare.
  3. Ab apni site ke design ke hisab se color select kare. kisi bhi color ko code pata karne ke liye Yaha Click Kare
  4. Jab aap ads style edit kar rahe honge to yaha par uska preview show hota hai.

4. Custom Channel

Ads banate time custom channel jarur create kare. custom channel name aapki site kis bare me hai se related hona chahiye. jis se adsense aapki site par usi type ke ads dikha sake.

ads custome channel

  1. Create new custom channel par click kare. Ab apni site se related channel name choone.
  2. Yaha aapke sare channels ki list hogi. Aap unme se bhi koi channel select kar sakte ho.
  3. Finally Save and get code par click kare.

Ab ek new popup window open hogi usme aapne jo abhi ads banaya tha uska code hoga is code ko copy kar ke aap apne blog par paste kar sakte ho. Blog par ads kaise lagate hai uske liye Yaha Click Kare

ads code popup windows

Agar aapko is post ke step samjh nahi aaye hai to koi bat nahi adhik jankari ke liye aap ye video dekh sakte hai.

अधिक जानकारी के लिए video देखे 

I hope is post se aapko adsense ke ads create karne me help jarur milegi. Adsense ke bare me or jankari pane ke liye humari site ki Adsense se related post padhe. Humari new post padne ke liye aap hume Youtube, Facebook, Twitter, Google Plus par follow kar sakte ho.

Finally agar aapko ye post real me achi lagi ho to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare taki wo bhi apne blog ke liye ads create kar sake.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 142 )

  1. Dinesh Kumar

    sir aapne bahut hi achchi janakri share ki hai, aapki jankari ko padhne ke bad meine apni web stories mei add lagayi hai, our achcha earning ho raha hai.

    Reply
  2. devraj

    sir aap hindi me bhi likhte he or hindi ko english me bhi to hum bhi esa kare to google add show karega ? or hamara blog kis me gina jayega hindi me ya english me please sir reply jaur dena

    Reply
    • जुमेदीन खान

      हां करेगा, हिंदी में ही गिना जाएगा

      Reply
      • Priya

        Paid blogging kyun jaroori hai

        Reply
  3. Arvind

    Dhyanawad Bhai Shab yeh mere liye bahut important tha ab mein b is article ki help se ads banau ga. Very informative post.

    Reply
  4. abhishek singh

    Bhai shab Bahut Acha Likha hai apne. Acha laga koi hindi mein mein b Blog likh rha hai.
    bahut achi gyan ki baatein likhi hai apne.
    Keep writing bro.

    Reply
  5. Sambhu Nath

    Apke post ki help se maine adsense approve krwa liya and ad set bhi.

    Aap bahut hi acche se batate h jo asani se hum implement kr sakte h.

    Dhanywad sir!

    Reply
  6. Binod Jha

    Maine ek adsense se do site pe code lagaya h..jisme se ek site pr main code nahi dikhana chahta hoon adsense ka… koi upay btaye jisse mai bina site access ka adsense se uss site pe ad displaying disable kr sakoon.

    Thanks!

    Reply
    • Jumedeen khan

      Aap us site se ad code remove kar de.

      Reply
  7. nirmal

    sir mene jaise hi code banaya meri website me add show hone shuru ho gye . aaap jake dekh sakte hai. sir vo sare left side bar me show ho rahe hai. plz kuch help karo

    Reply
    • Jumedeen khan

      Aap auto ads use kar rahe ho. auto ad code ko blog se remove karo aur manually ad unit create kar blog me add karo.

      Reply
  8. Rushiesh Sonawane

    Bro kal mujhe forum se yah pata chala ki, ham blog me manual ads aur auto ads dono laga sakate hai.
    Lekin me aapse ray lena chahata hun. Ki me konsa type use karu. Dono ya fir ek hi jo aap use karte hai.

    Pls bro fulfill jawab dena. Jab se adsense approve hua hai. Bas yahi confusion hai.
    Aur waise aapne bhi in dono ko try kiya hoga. To aapke experience se kona better. For High cpc and High chances of ad clicks.

    Reply
    • Jumedeen khan

      Dono use karo. In my case, maine auto ads use kiye lekin koi jyada benefit nahi hua balki site speed slow ho gayi aap jaha ad dikhana nahi chahate waha ad show hote hai. So main ise use karne ki salah nahi dunga. Manually placement best hai.

      Reply
  9. Dilipsaini

    मैंने Google एडीसन के लिए अप्लाई किया था लेकिन मुझे अकाउंट कितने दिन में मिल जाएगा

    Reply
    • Jumedeen Khan

      1 week me.

      Reply

Leave a Comment

I need help with ...