Google Adsense Account Me Payment Address Change Kaise Kare

Google AdSense hindi blog ke liye sabse best advertising program hai. Bahut se blogger apne blog se earning karne ke liye adsesne hi use karte hai. Is article me mai aapko AdSense par payment & country address yani payee profile payment address details change karne ki information de raha hu. Agar aapne AdSense account address add akrte time koi glati ki hai to aap yaha btaye step follow karke apni payee profile me se misspellings ko fix kar sakte ho.

How To Change Payment Address in Google Adsense Account

New blogger, khas kar ke hindi blogger ke liye AdSense humesha sir dard bana rahta hai or wo galati se AdSense account banate time address dalte time galti kar dete hai. Jabki google ki terms & conditions ke anusarr humara AdSense address or bank account address ek hi hona chahiye.

Agar aapka bank account name AdSense ke name se nahi mil raha or aap se spelling mistake ho gayi hai to aapko AdSense ka payment milne me problem ho sakti hai. Adsense par hum account banate samay jo address bharte hai wo humari payee profile hoti hai or payee profile me humara jo name hota hai AdSense hume usi name ke bank account me payment send karta hai.

Hum payee profile address ko change nahi kar sakte but isme huyi mispelling mistkas ko theek kar sakte hai.

Pahle hum AdSense par payment address ki mistake change ya edit nahi kar sakte the but ab AdSense ne payee profile ko edit karna allow kar diya hai. Ab hum AdSense par apna payment & country address change kar sakte hai. But ye aap tabhi kar sakte ho jab aapke AdSense account me payee profile ko edit karne ka option enable hai.

Is service all country me available nahi hai. Aap sirf Algeria, Bahrain, Bangladesh, Brazil, China, Egypt, India, Indonesia, Jordan, Kuwait, Lebanon, Libya, Malaysia, Morocco, Nepal, Oman, Pakistan, Palestine, Philippines, Qatar, Saudi Arabia, Singapore, Sri Lanka, Thailand, Tunisia, United Arab Emirates, Vietnam and Yemen countries me hi payee profile edit kar sakte ho.

Ye article 17 march 2024 ko likha gaya hai or aane wale time me google AdSense terms change ho sakti hai.

Google Adsense Account Me Payee Profile Payment Address Edit Kaise Kare in Hindi

Aap niche diye step ko follow kar ke google AdSense me apna payment address edit kar sakte hai.

Step 1:

Sabse pahle aap adsense.com site par jaye or apni gmail id se sign in kare.

  1. Adsense par right side me setting ke gear icon par click kare.
  2. Ab pop up menu me Payments par click kare.
  3. Ab left side sidebar me Payee Profile par click kare.
  4. Payee profile ke niche Edit option par click kare.

Change payment address

Step 2:

Ab aapke samne payment profile edit karne ka page open hoga. Yaha aap apne name or address me huyi spelling mistake ko theek kar sakte ho. Yaad rahe aap yaha jo information bharoge aapke bank account ki information bhi yahi honi chahiye. I mean AdSense or bank account me aapka name same hona chahiye.

  1. Apna country select kare.
  2. Agar aapne business plan ke liye AdSense account banaya hai to apna business name add akre or agar aapne Individual yani sirf apne liye AdSense account banaya hai to aapke AdSense account me ye option nahi hoga.
  3. Apna wo name sahi se check kar le jo aapke bank account me hai koi mistake ho to use theek kar le.
  4. Apna sahi address bhare.
  5. Apne city ka name select kare.
  6. Apna pin code enter kare.
  7. Aap jis state me rahte hai, wo select kare.
  8. Finaly save par click kare.

Set up payment address

Bas ab aapka AdSense payment address change ho gaya hai. India me bahut si loaction par payment address change karne ka option enable nahi hai. Agar aapke AdSense account me payee profile edit karne ka option available na ho to aap google AdSense help center me is bare me discuss kar sakte hai.

Ummid karta hu aapko AdSense se related ye article pasand aayega. Abhi AdSense ke bare me sikhne ko bahut kuch hai. Maine iske bare me or bhi post likhi hai aap wo bhi jarur padhe. Sath hi aap bhi humari help kijiye or is post ko apne friends or other AdSense users ke sath share kijiye.

If you like this tutorial then share this article on social networking sites with your friends and some other google AdSense members.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 58 )

  1. Sir mere adsense account me business select ho gya tha to mujhe individual krna tha.
    YOU TUBE par video dekha maine to pta chala Ki wo account delete krni hogi to delete kr di maine.
    Ab dusri gmail account adsense me add krta hun to match nhi ho rha hai sir

    1 form bhi bharne Ko kaha wo bhi bhar diye sir but match nhi ho rha hai

    Aap ke Blogger par bhuut wishash le ke aaye Sir
    Please help kare
    Aap ka bhuut bhut shukriya hoga sir

    Md khalid

    Reply
    • Aap dusri ID se hi adsense apply karo match karna jaruri nahi hai.

      Reply
  2. sir swift code kaise dekhe edit me Sahi hai ki nahi

    Reply
  3. Bhai mena ek youtube channel banye h jisme mena kuch earning kr le h pr mera pass abhi bank ac nhi h pr 1 month m khule jayega tho
    Aur agar mena 1 month tak payment details nhi de tho koi problem tho nhi hogi
    Bhai bata do jaldi

    Reply
    • No problem.

      Reply
  4. Sir
    Aapne Bhuat acha post likha hai
    1 Blog ke template me add karne ke liye kya adsense ke taraf se koi code milta hai.
    2 Kya Ise add karna jaruri hai

    Reply
    • Yes milta hai yes aapko jaha ad dikhana hai wo ad karo like header, sidebar widgets.

      Reply
  5. Mera youtube pe channel h masti ke keede nam se mene usey adsense se connect to kr dia lekin bank account kese ad hoga

    Reply
  6. Sir mene apne ghr ka adress diya tha to kuch ni aya me abhi city me rent pr room le kr rh rha hu abhi mujhe city ka adress dena chahiye pr vo permanent nahi hai kbhi bhi change ho sakta hau

    Reply
    • Google aapke address apr payment send kar chuka hai. Aap apne postman se pata karo. De sakte ho but first apne area ke postman ko bta dena.

      Reply
      • Varify Pin ke liye 30 din se jyada ho chuke hai action pr click krne ke bad ydi doosri bar krta hu to sayad city me to mil hi jayega pr local adress se kr sakte hai ya nahi aur problem kya ho sakti hai

        Reply
        • Nitesh local address par pin aane me 30 day se jyada bhi lag sakte hai. Aap city me rahte ho to wohi ka address de sakte ho.

          Reply

Leave a Comment