Har blogger sochta hai ki main aesa kya karu jisse mere blog par jyada se jyada traffic aaye. Website blog banane ke bad visitors kitne jaruri hai ye bat aap sab jante honge. Kyuki hamari site par jitne jyada users aayenge utni jyada hamari income hogi. Hume jyada paise kama sakenge. Aaj is post me hum yahi janenge ki blog par traffic kaise badhaye.
Agar aapne apna blog nahi banaya hai to pahale aap ye post Website Kaise Banaye padhe le or apna blog banae le.
Blog Par Traffic Kaise Badhaye Tips & Tricks (Naye Blog Par Traffic Kaise Laye 2024)
Yaha main kuch aesi bate or tricks bata raha hu jinhe follow karke aap apni site par traffic badha sakte hai.
1. Blog Title
- Blog title aesa ho jise padhkar har users samajh jaye ki is blog me kya hai.
- Search engine me aapke blog ka name type kar koi search kare to use aapka blog sabse upar mile. Iske liye aapke blog ka name kisi or duste blog se milta jhulta nahi hona chahiye.
- Aapke blog ka name yaas rakhne me aasan simple hona chahiye or jyada bada nahi hona chahiye.
2. Best Design (Template)
Aapke blog ka design jitna achha or aakrshak hoga utne hi jyada visitors use pasand karenge. Isliye aap apne blog ka design jitna ho sake achha ho or simple template use kare.
- Blog ka title or description blog themes se match honi chahiye.
- Blog ke home page par popular post, random post and posts ka man page simple or har kisi ko pasad aabe wala ho.
- Aapke blog ki template me jyada se jyada 3-4 color hone chahiye.
- Apne blog ke liye ek logo jarur chune. Blog ke logo ki puri jankari ke liye yaha Click hare.
3. Use Domain
Agar aap chahte hai ki aapke user wapis aapki site par aaye to aapko apne blog me koi achha sa domain use karna chahiye.
Domain ki puri jankari ke liye yaha Click hare.
4. Add Link in Post
Blog ki har posr me apni dusri post ka link add kare taki aapke users aapki dusri posts bhi aasani se padhe sake.
5. Search Box
Blog ke home page par search box add kare jisse koi bhi apni jarurat ki jankar isearch kar sake.
Example :- Aap is sit ke home page par search box dekh sakte hai.
6. Focus on Target Audience
Is bat ka dhyan rakhe ki aapke user ko aapki site ki sabse jyada konsi post achhi lagti hai so usi ke hisab se aap agli post share kare.
Kai blogger is par bilkul dhyan nahi deta hai or apne blog par har roj alag alag type ki jankari share karte hai. Isse users ko unki site par jaruri jankari nahi milti isse unki site par koi visit nahi karta.
7. Post Matching Image
Humesha apni har post me post se related ek image add kare jo aapke users ko pasand aaye. Extra or bina haruri photo blog post me add na kare.
8. Focus Your Wrighting
Apni posr me likhne ki style par bhi dhyan de kahi koi mistakes to nahi hai. Agar hai to use thik kare. Aap jis language me blogging karte ho wo simple honi chahiye jo sabhi users ko samajh aa sake.
9. Fast Answer all Comments
Apne users ke har sawal ka jawab jaldi se deje ki kosish kare. Kyuki aap jitni jald kisi ki problem solve karenge to ho sakta hai wo wapis fir se aapse help ke liye aapki site par aaye.
10. Add Contact Every Post
Blog ki har post me location add kare taki aapke visitors ko pata chal sake ki is site ko kon manage kar raha hai. Isse unhe aapko or aapki site ko yaad rakhne me aasani hogi.
11. Link Your Profile
Blog me apni puri jankari ke liye apni facebook profile link ya google+ profiel ka link add kare.
12. About Us
About use page banaye or blog ki har post me about use ka option enable kare or usme apne bare me blog se related jankari likhe.
13. Social Media
Blog me social media contact jarur add kare taki log aapse un par bhi jud sake.
- google+
- YouTube
- linked in
Inke alawa or bhi bahut sari social media site hai jin par aap apni site ka promote kar sakte hai.
14. Post Right Time
Agar aap chahte ho ki aapki site par jyada traffic aaye to aap apne post sharte karne ka ek samay tay kar le. Taki aapke users ko pata ho ki aap new post kab share karte hai.
15. Post Continue
Continue post kare aesa ne kare ki kai kai din tak aap post hi na karo or karo to ek din me hi bahut sari post kar dalo.
Agar aap site ya blog se paise kamana nahi chahte hai to koi bat nahi aap youtube se bhi earning kar sakte ho uske liye hamari ye niche wali post padhe.
Agar aapko ye post pasand aaye ya aapka is post se related koi sawal hai to comment kare or is post ko share kare.
Sir, mere website me traffic kaafee kam aa rhe hain, pls, dekh ke bata dijiye ki kya karan hai. Aur maine ap e website me ssl security ke lie cloudfare network ka use kiya, usme kai sare problem aabhar the to maine use delete kr diya.. maine uska use doosri website se kia tha aapkee website me vo article nahi hai…to please aap ek article cloudfare network ke custom domain me ssl security settings enable krne ke liye ek post likhh de.
Read this post WordPress Blog Me CloudFlare Free HTTPS SSL Setup Kaise Kare
Bahut Hi UseFull Trik Hai Thenks
Hi bro mene apna ek blo banaya he or us pr post bhi likhi he but uss pr traffic nhi aa rha he kya aap mere blog ko check kr ke bata denge ki problem kaha ho rhi he mere blog ka link http://www.HindimeShikhe.tk he or ye bhi batana ki mujhe or kya kya karna he apne blog pr jisse blog pr jyada se jyada traffic aaye
Dear bro .com ya .in domain choose karo .tk par india me bhaut kam traffic milega or post achhi likho short and useless post likhne se nuksan hoga fayda nahi.
meri site par ralated post ka jo widghet he usko htakar aapki site ka recommend post for you vala lgana he kaise lgana he btao ?
PHP coding se kisi english blog se iski coding le lo.
meri site ke liye sidebar me matched contact ads ka size kya rakhu?
Width 100% and height 600px ya fir aap responsive matched content ad use karo.