Blog Ke Liye Privacy Policy Page Banane Ki 10 Best Tools

EU GDPR (General Data Protection Regulation) update ke bad ab lagbhag website or blog par privacy policy page banana jaruri ho gaya hai. Is post me main aapko privacy policy page generate karne ke top 10 best free or paid generators or tools ke bare me bta raha hu, jinse aap easily apni site ke liye privacy page bana sakte hai.

Privacy Policy Generator Tools

Privacy policy page aapki site ka ek aesa page hota hai jisme btaya jata hai ki ye site kya kya jankari share karti hai or user ke kis kis data ka upyog karti hai. Privacy page me site advertisement, service etc. sabke bare me btaya jata hai.

Aur bhi kai wajah hai site par privacy page banane ki jaise ki google adsense privacy page hone par hi approval deta hai. Aap apni site ke visitors ke liye privacy page me bta sakte hai ki wo is site ka kis tarah se istemal kar sakte hai aur aap unke data ko kaha kah share karte hai.

Website Ke Liye Privacy Policy Page Banane Ki 10 Best Tools

Normally, apni site ki bhasha me privacy policy page banana better hai. Main is bare me already Blog Ke Liye Hindi Me Privacy Policy Kaise Banate Hai post me is bare me bta chuka hu. Aap chahe to is post ko follow kar manually privacy page bana sakte ho.

Best Generator Tools to Generate Privacy Policy Page:

1. Serp Rank – Free Privacy Policy Generator

Website or blog ke liye privacy policy page generate karne ke liye ye sabse best or free tool hai. Aapko sirf SerpRank.com par signup karna hai uske bad aap unlimited privacy page create kar sakte ho.

Ye tool google adsense, amazon, chitika, clickbank, Doubleclick etc. advertisers ko support karta hai. Matlab aap inke ads use karte hai to is tool se privacy page bana sakte hai. Paid version me or extra features milenge.

2. Free Privacy Policy

Free privacy policy website se aap website, blog or mobile app ke liye privacy page build kar sakte ho. Ye tool GDPR support karta hai matlab isse create ki gayi policy GDPR included hogi.

Ye google me #1 rank par hai. Is tool ka istemal ab tak lagbhag 8 lakh+ people kar chuke hai. Ye nimn third party law ke sath policy generate karta hai.

  • CalOPPA (California Online Privacy Protection Act)
  • GDPR (General Data Protection Regulation)
  • Google AdWords Requirements
  • PII (Personal Identifiable Information)
  • Federal Trade Commission Fair Information Practices

3. Privacy Policies

Ye most popular website hai or personal upyog ke liye bilkul free hai. Agar aap business karte hai to aap pay kar paid version use kar sakte hai.

Ye tool bhi CalOPPA, GDPR ready hai aur word wide site ke liye privacy policy page banane ke liye best hai. Isse aap nimn type privacy page bana sakte ho.

  • Website Privacy Policy
  • Mobile App Privacy Policy
  • GDPR Privacy Policy
  • Ecommerce Privacy Policy
  • SaaS privacy Policy
  • International Privacy Policy

4. Privacy policy Generator

Har koi nahi janta hai ki privacy page kaise banate hai, har koi llaw nahi janta, nahi janta ki privacy agreement kaise ready hota hai.

Ye tool aapke business or customer ke according with law privacy policy page build karke deta hai. Aapko sirf apni company or website name, website URL submit karna hai.

5. Shopify Privacy Policy Generator

Ye ek or free tool hai site ke liye privacy policy page create karne ka lekin iska free trial time 14 days hai, ye bhi GDPR support karta hai.

Ye refund service bhi provide karta hai so agar aapko iski paid service pasand na aaye to aap apne paise wapis le sakte ho.

6. Privacy Policy Online

Is site se aap privacy policy ke sath TOC yani terms of conditions, disclaimer page bhi generate kar sakte ho. Ye advertisement support karta hai.

Agar aap adsense etc. ad network ka istemal karte ho to is tool se privacy policy page generate kar sakte ho. Ye 20+ ad network and custom network choose karne ka option deta hai.

7. Get Terms

Ye tool simply websites or blogs ke liye terms and service or privacy policy statement generate karne ke liye hai. Iske 3 plan hai free, $5 or $15 aap apne hisab se plan choose kar privacy generate kar sakte hai.

Ek blogger ke liye free plan kafi hai ye privacy policy or terms and service dono page ek sath build karti hai. Aap page ko text ya HTML format me copy kar apni site par istemal kar sakte ho.

8. Terms Feed

Ye tool web, mobile iOS & android, desktop apps, ecommerce, SaaS, apps, facebook apps etc. sabke liye hai. Lekin ye premium hai aur ise istemal karne ke liye aapko pay karna padega.

Is tool se aap privacy policy, terms & conditions, EULA, return and refund policy, cookies policy, disclaimer page etc. generate kar sakte ho.

9. Auto Terms and Service or Privacy Policy

Agar aap wordpress user hai to aap plugins ka istemal kar privacy policy page build kar sakte ho. Iske liye aap Auto Terms and Service or Privacy Policy plugin download kar install kare or privacy policy banaye.

Ye plugin automatically aapke wp blog ke liye privacy policy page build kar dega aapko kuch bhi karne ki jarurat nahi padegi.

10. 3dcart Personalized Policy Generator

Online shopping site ke liye privacy policy page build karne ke liye ye tool best hai. Tool GDPR ready policy banati hai or complete privacy documents ready karke deti hai.

Small or medium size business sites ke liye privacy policy page banane ke liye is tool ka use kare ye customer ko aapke online store par secure feel karne wali privacy banati hai.

Last Words,

Inke alawa bhi aapko aesi bahut sair sites mil jayegi jo website or blog ke liye privacy policy page or documents build karke deti hai. Lekin kisi bhi privacy policy ko apni site me include karne se pahle uska review jarur kar le.

Aur privacy page ko apne hisab se customize edit kar le taki aapko future me koi problem na ho. Bad privacy page galat way hai, thoda time nikal kar apni site ke liye right privacy page bana le.

Legal requirement ho na ho aapki site par ek privacy page hona hi chahiye. bahut se countries me ye jaruri bhi ho gaya hai. Agar aapko aesi koi online privacy polcy generator ke bare me pata hai to comments me jarur btaye.

Agar aapko humara ye article pasand aaye to ise social media par apne dosto ke sath share jarur kare.

In: Categories SEO
Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 17 )

  1. Aman

    sir pls help me. i want to change my domain of my wp site. example.com to example.in
    me hostgator ki shared hosting use karta hu. or same hosting par domain change karna hai. sir pls thoda bata degiye es baare me.
    agar me hosting account me primary domain ko change kar deta hu. to kya old domain ko new domain par redirect karna possible hai. i mean
    example.com/blog post To example.in/blog post
    redirection is possible?
    sir pls es baare me thoda detail se bata degiye. me kaise apne blog ka domain change kar sakta hu same hosting par without lossing traffic?

    Reply
    • Jumedeen khan

      Yes possible hai, aapfirst wordpress site setting me ja kar wordpress url or site url dono change kar lo uske bad old domain setting me ja kar use new domain par forward kar do.

      Reply
      • Aman

        but sir domain forword karne ke baad wo only olddomain.com to newsomain.com par redirect hoga ya phir. olddomain.com/blog-post.html To newdomain.com/blog-post.html par refirect hoga?
        sir pls thoda details me bata degiye. mera search engine se aane wala traffic loss to nhi hoga na?

        Reply
  2. Mahi siyag

    Sir URL Rewrite kya hota hai. Is par ek post jarur likhe. Isse related koi bhi post google par hindi m nhi mili.

    Reply
  3. Vishwajeet

    सर मुझे एक बहुत बड़ा परेशानी का सामना करना पड रहा है । मैं कुछ कारणों से आपके forum में यह सवाल नहीं पूछ सका इसलिए यहां पूछ रहा हूं ।

    मेरे search console में मैने जो sitemap submit किया था उसमें कुछ दिक्कतें आ गई है मतलब की all submitted url गायब हो गई हैं indexed में बता रही है कि इतने index हो गए हैं पर submitted में 0 हो गया है 2 error भी आ रही है । परेशानी का कारण बता रहा है कि मेरा sitemap html tag के रूप में है । मैं बहुत बार resubmit try कर लिया और भी बहुत से तरिके try कर लिया पर solve नहीं हुआ आपकी मदद की जरूरत है कृपया क्या करना चाहिए बताऐं

    Reply
    • Jumedeen khan

      Sitemap delete kar fir se submit kar wait karo saare url index ho jayenge.

      Reply
  4. dharmesh rajput

    Very great help! I’m trying to follow this tips for my wordpress sites.

    Thank you so much!

    Reply
  5. Sanjay jadav

    Mene 2. Free Privacy policy se create kiya hai,

    Bus mune ye bataye isme kuch change etc. Karna hoga ya sidha paste kar sakte hai?

    Meri site hindi hai, kya ise hindi translation karke paste karna thik hai?

    Reply
    • Jumedeen khan

      Privacy generate kar use apne hisab se edit karke page me add kar publish karo.

      Reply
  6. hasib sayyed

    wow mai ye use karunga.

    Reply
  7. Sanjoy gorai

    bahut acha tools hai. sir mai ek blogger se .com wala domain buy kiye hoo. wo mujhe gmail and password diya hai. but godaddy ka account nahi diya. kya uski jarurat parti hai.please help me sir

    Reply
    • Jumedeen khan

      Yes padti hai godaddy account ke bina aap domain ke owner nahi honge. domain account access lo.

      Reply
  8. Ashish

    terms feed best tool hain in my opinion. Maine is tool ko past me use kiya hain and subko use karne ka suggestion bhe dunga

    Reply
  9. Ravi Kumar

    Sare Tools Best Hai.. but Mai Custom Aur Tool Dono Ko Combined Karke Page Banaya Hu Sahi Hai .. link website URL Me

    Reply
    • Jumedeen khan

      Perfect hai bro, apni site ki language me hota to or achha hota.

      Reply
  10. Pradeep Tripathi

    Sabhi tools best hai. Humne bhi phle tool se ye page banaya tha. Thanks jmk bhai

    Reply

Leave a Comment

Ad

I need help with ...