Google AdSense ek pay per click par kaam marne wali advertising company hai jo advertisement par click ohne par pay karti hai. Bahut se publisher AdSense se lakho me earning karte hai but uni site par million traffic hota hai. Interesting matter wo hota hai jab bahut kam traffic se achhi kamai ki jaye. Yani ki only 10,000 traffic par $10, $20, $30 ya $50 dollar ki earning ki jaye. I sure ye easy nahi hai but is post ko padhne ke bad aap khud khaoge, Yes main kar sakta hu.
Hum jab kisi ko kuch sikhate hai koi tarika btate hai to uske 3 source hote hai ek humne wo tarika kisi or se sikha ho dusra wo tarika humne khud develop kiya ho or khud aajmaya ho. Inme se second source 100% results dene wala hota hai kyuki samne wala already aesa kar chuka hai.
Main bhi yaha aapko kisi se sikha hua tarika nahi bta raha balki main yaha aapko wo secret way btane ja raha hu jo maine khudne banaya hai or aajmaya bhi hai. Sabse achhi bat ye aaj bhi work kar raha hai or is tarike se hum google AdSense program se sirf 10,000 traffic par $20 to $30 kama sakte hai.
Main pichle 1 year se AdSense ka istemal kar raha hu or good earning bhi kar raha hu. Is bich maine apne readers ko bhi AdSense se good earnings karne ke formulas btaye hai. Examples,
- Google Adsense Se $100 Per Day Kaise Kamaye
- Google Adsense Se 10 Dollar Per Day Kaise Kamaye 2024
- Online Blogging Kar Ke Google Adsense Se Paise Kaise Kamaye
- Google Adsense Se Jyada Paise Kaise Kamaye, Best Earning Tips
- Google Adsense Se 1 Click Par $10 To $50 Kaise Kamaye – Secret Tips
- Google Adsense Ad Se Kitni Traffic Par Kitne Paise Kama Sakte Hai
Inke alawa bhi maine google AdSense se adhik income karne ke kei articles likhe hai. Today, aaj main ek bar fir aapko apna AdSense experieince share kar raha hu or kuch aesi tips bta raha hu jinse aap apni AdSense earning increase kar sakte ho.
Aapke liye sabse achhi bat ye hai ki yaha par btayi gayi tips indian traffic ke liye hai or iske liye aapko USA ya UK jaise other AdSense high CPC wale country se traffic ki jarurat nahi hogi.
Table of Contents
Google Adsense Se $20 to $50 Kamane Ke Liye Mujhe Kya Karna Hoga
Aap apne blog par only 10 hazar traffic ke sath AdSense ke 20 to 30 dollar earn kar sakte hai. But iske liye aapko ye points follow karne hone. Main yaha aapko step by step bta raha hu. Aapko chahiye ki inhe carefully read kare or achhe se samajhe.
Google AdSense se 10000 traffic par $20 to $30 Kamane Ke Liye Aapek Blog Par ye Sab Hona Jaruri Hai. Yaad rahe agar aap in step ko follow nahi kar pate ho to shayad hi aap google se good earning kar sakoge.
1. Write Content Using High CPC Keywords:
Sabse pahle aapko keywords researching tools like google adwords keyword planner tool ki help se high CPC keyword search karne hai. Uske bad unme se kisi keywords par aapko content likhna hai. Yaad rahe yaha aapko content me keywords istemal karne ki jankari honi chahiye.
Agar keywords ka istemal karna nahi jante hai to pahle aap SMI blog par SEO se related post read karke iske bare me jankari prapt kar le. Agar aap bina keywords ki jankari or researching ke content write karoge to AdSense se good earning karne ke bare me sochna bhi bekar hai. Aapko only $0.02 to $0.05 hi milega. So care this point and follow carefully.
2. Site Speed & Look:
Second aapki site ka fast laoding hona jaruri hai. Agar site load hone me jyada time leti hai to jahir hai AdSense ads ko load hone me or bhi jyada time lagega. Google AdSense ads se achhi kamayi karni hai to aapke blog par ads fast laod hone chahiye.
Site ki speed ke sath site ka look bhi better hona chahiye. Adsense eb page laod hone par har bar w different ad show karta hai. Aese me aapki site ka look un ads ki wajah se bekar nahi hona chahiye.
Site par aap kahi bhi kisi size ka ads istemal nahi kar sakte. Adsense ne iske rules banaye hai unhe follow kare or sahi jagah par ads show kare. Iske bare me main already Adsense Ke Ads Kaha Kaha Nahi Laga Sakte Hai post me bta chuka hu.
3. Ads Placement:
Adsense se good earning karne ka ye sabse important part hai. Agar aapko AdSense placement ki information nahi hai to bhale hi aapki site par lakho me traffic ho aapki earning kam hogi aapko maximum $0.10 hi milega. Aap ye post padh rahe ho matlab aap AdSense suer ho or jante ho ki main ye sahi kah raha hu ya galat.
Ek AdSense expert jiske pas only 10,000 to 20,000 daily traffic hai wo other AdSense user jiske pas daily 1,00,000 se jyada traffic hai se jyada earning kar sakta hai. Isme sirf uska AdSense placement experience hota hai.
Mostly new AdSense suer kya karte hai ki ek dusre ke ads placement ko dekh kar apni site par ads laga lete hai. But kya really other AdSense user ki btayi trick aapke liye kaam karti hai. Yaha mera jawab nahi hoga kyuki har ek blog par same traffic nahi hota or har ek blogger ke readers me difference hota hai.
Agar meri site par post title ke niche ads sahi work karta hai to jaruri nahi hai ki aapki site par bhi karega. Isi tarah blgo sidebar, header, post content sabhi me AdSense ads ek hi place par all site par same work nahi karta. Kyuki jo readers meri site par focus karte hai wo aapki site par bhi karenge jaruri to nahi.
So avoid other tips and use your own experience, Apn isite par different place par ads lagaye or pata kare ki kis jagah par ad lagane se aapko jyada benefit mil raha hai.
Jis place par ad click or CPC kam mile or earning kam ho but impressions bahut jyada ho waha ad unit use na kare. Blog post title se ke bad, content se pahle, sidebar and header har jagah ads laga kar dekhe uske bad site par ads placement choose kare.
4. User Engagement:
Traffic 2 tarah ka hota hai ek user aapki site ya post ko open karke kuch seconds me hi leave kar jaye or ek user aapke blog par aa kar kam se kam 2-3 minute bitaye or content read kare. First traffic koi kaam ka nahi hai second importnat hai kyuki pahle wala user aapki site par kuch hi second rukta hai itne time me ads load nahi ho pate.
Adsense se aap tabhi earning kar sakte ho jab aapki site par user engagement achha hoga or bounce rate achhi hogi. Agar aapki site par ye nahi hai to AdSense ke good changes nahi hai.
5. Organic Traffic:
Last point hai aapki site par 10,000 traffic me se 3000 to 5000 traffic google search engines se aana chahiye. Search engine se aaye user AdSense ads me jyada interest lete hai or aapko jyada click milte hai. Sirf itna hi nahi interest achha hone ki wajah se aapki CPC bhi high milegi.
Aapko search engine se traffic kaise kamana hai is bare me SMI blog par aapko complete information mil jayegi. Aap humari baki blogging post padh kar iss sabke bare me sikh sakte hai.
How to Earn $20 to $30 From Google Adsense With 10000 Traffic
Tips to Earn More Money From Google Adsense on Low Traffic Site:
Now, ab main man leta hu ki upar btaye 5 step ko aap completly follow karte hai or aapke blog par in five step ko follow karke content likha hua hai. Ab bat aati hai 10,000 user ki ki kaise hum only 10,000 visitors se AdSense se $20 to $30 earn kar sakte hai.
In five step ko follow karne ke bad main gaurantee se kah sakta hu ki aapki AdSense CPC minimum $0.10 hogi. Maximum CPC $5 ya isse bhi jyada ho sakti hai.
Actually, aapke invited traffic se aap google AdSense se achhi earning nahi kar sakte. Main yaha point bta raha hu aapke pas wesa traffic hona chahiye.
- 3,000 google search engine.
- 4,000 direct traffic.
- 2,000 social media sites & Referral Traffic.
- 1,000 traffic from other sources.
Ye 10,000 traffic google analytics ki report ya kisi other tool se count nahi honge. Ye google AdSense par show hone wali traffic report se count honge. Mujhe nahi pata aapki site par kitna traffic hai bas mujhe AdSense me itna traffic chahiye. Yaad rahe aapke blog par 10,000 traffic in step ko follow karna chahiye. Warna ho sakta hai ki aapki earning itni na ho sake.
Ab main is traffic ko 2 part me batunga.
- Mobile Traffic.
- Desktop Traffic.
Mobile user or desktop user se huyi AdSense earning me jameen aasman ka fark hota hai. Iske bare me main niche explain karunga.
1. Organic Traffic:
Jaisa ki maine btaya tha search engine se aaye visitors AdSense ads me jyada interest lete hai. Iski main wajah new user ko ads ke bare me jankari nahi hoti hai or wo nahi jate hai ki AdSense kya hota hai or uske ads kya hai wo bas ads dekh kar us par click karte hai. ye sirf wo apni pasand ke liye karte hai.
Jaruri nahi hai ki search engine se aaya har user ads me full interested hoga. Sirf isi waja se aapko organic traffic se kam CPC milegi but click jyada milenge. 3000 organic traffic se aapko 100 to 200 ad click easily mil jayenge. Magar ye tabhi hoga jab aapki site par user engagement high hoga. Low user engagement apr aapko 3000 traffic par 100 click bhi mushkil se milenge.
Organic traffic ki CPC medium hogi. Lagbhag $0.10 yani $0.10×200 = $20 earning hogi. Wese organic traffic ki CPC jyada bhi ho sakti hai or clicks bhi jyada ho sakte hai. But hum yaha $20 average man lete hai.
2. Direct Traffic:
Agar aap AdSense kafi time se use kar rahe ho to aapko bta hoga ki old readers AdSense ad par bahut kam click karte hai or jinko AdSense ke bare me pata hota hai wo to na ke barbar ad par click karte hai. But main aapko yaad dilana chahunga ki jo person aapki site par daily visit karta hai use aap par kitna trust hoga.
Ab jab bhi use koi product buy karne ki jarurat hoti hai to wo google me iske bare me searching karta hai. Google uski activity ko track karta hai or agli bar jab wo aapki site par aata hai to use uski jarurat ka ads dikhayi deta hai. Ab yaha uska aap par trust kaam karega.
Wo fully interested ho kar us ad par click karega or ho sakta hai wo koi prodcut buy bhi kar le. I know AdSense pay per click par work karta hai but jab koi user aapke ads par 100% interest hota hai to uski CPC high hoti hai or aapko maximum $5 mil sakte hai.
Now, main is traffic ko unique & original traffic man leta hu. Ab agar aapko 4,000 users par 100 click bhi mil jate hai to fully interest hone ki wajah se aapki AdSense CPC $0.20 ke aaspas hogi. Kuch click ki cpc kam or kuch ki jyada bhi ho sakti hai. Ye average CPC hai. Yani aapki earning $0.20×100 = $20 hogi.
3. Social Media Site & Referral Traffic:
Social media ka traffic bhi ek had tak organic traffic ki tarah hota hai but uske jitna better nahi hota. But hu mise bana sakte hai. Aapko bekar ke or extra traffic ki jagah uniqe quality referral traffic kamana hai. Uske liye aap jis topic par post likho usse related socila comunity or groups me hi us post ko share karo taki post me interested people hi post padhne ke liye visit kare.
2000 referral traffic se aapko kam se kam 50 clicks to mil hi sdakte hai jinse aap $5 to $10 earn kar sakte ho. But yaad rahe useless traffic se nahi sirf aese user ke site par aane se jo really me aapki post ko pasand karte hai or use pura padhte hai.
4. Other Traffic:
1,000 other sources traffic se aapko kam se kam $2 to $5 easily earn kar sakte ho. Agar aapko other traffic se earning na bhi ho to ise hum mention nahi karenge.
- Total Clicks: 200 + 100 + 50 = 350
- Total Earnings: $20 + $20 + $10 = $50
Yani aapko 350 clicks se $50 mil rahe hai to aapki average CPC $0.14 hogi. Jo ki jyada nani hai. I know aapki CPC isse kam hogi so chaliye uski bhi wajah bta deta hu. But aapki sirf $0.14 CPC ki jarurat hai jo bahtu jyada bhi nahi hai.
Ab ek sawal jo aapke dimag me aa raha hoga ki kya har bar humari CPC itni ho sakti hai. Iska main aapko simple jawab deta hu wo bhi aapki hi aawaz me. Aap kab se AdSense use kar rahe ho main nahi janta par abhi adsense.com par jaiye or performance report check kijiye.
Go to adsense.com Performance reports >> Common reports >> Platforms yaha par aapke samne 4 option honge.
- High-end Mobile Devices
- Desktop
- Tablets
- other Devices
Yaha par Desktop report me dekhiye ki kitne clicks par kitni earning huyi hai. I sure desktop par kitne bhi clicks honge $0.20 se jyada CPC hogi or mobile version me CPC kam hogi. Agar aesa nahi hai to aapko ads placement optimization karne ki jarurat hai.
Maine upar mobile traffic or desktop traffic isiliye add kiya tha ki desktop par AdSense ki CPC humesha jyada hoti hai. Ab agar aapko 350 clicks me se 100 clicks desktop se milte hai to mobile or dekstop dono ki average CPC $0.10 ho jati hai.
Finally, $0.10 CPC kisi bhi blog or website par ho sakti hai or iska simple sa solution hai aapko google AdSense ki full information hona. Agar aap me ye hai to aap lakho traffic wali sites ko bhi picher chord sakte ho. Its true kyuki main already aesa kar raha hu.
I hope ye article aapke liye helpful sabit hoga to kyo nahi ise social media par share karke dusre logo ki bhi help ki jaye. Information achhi lage to share jarur kare.
agar hum 1 page par 2 ads lagayenge (1 fix ad & 1 normal ad) to kya humara CPC aur IMPRESSION rate badhega?
Sir,domain kharidne k bad website banane k liye kya kya karna hata h.
Step to step btayen.
Thanks
Check here
WordPress Par Free Blog Kaise Banaye in Hindi
Free Website Blog Kaise Banaye – Complete Guide in Hindi
WordPress Par Site Kaise Banaye Step By Step Puri Jankari
Hello sir kya domain lekar baad m WordPress par shift ho sakte h baad m koi problem to nahi aayegi.
No problem.