Smart Phone Ki Battery Life Badhane Ke 10 Battery Saver Android Apps

Smart phone aaj har kisi ke pas hota hai. i hope aapke pas bhi hoga. logo ki tarah aapko bhi apne android phone se ek problem jarur hogi, battery kam chalne ki problem. ji ha dosto hume is problem ki wajah se apne smart phone ko bar bar charge karna padta hai. or bahut problem uthani padti hai. shayad is post me aapki problem ka solvation mil jaye.

top 10 android phone battery saver apps
Hum is post me kuch ayse apps ke bare me bat karenge, jo android phone ki battery life badhane ke kaam aate hai. agar aap apne smart phone ki life se pareshan hai, or ap ek days me ek hi bar apna mobile charge karna chahate hai to ye apps aapke bahut kaam aa sakte hai.

Android Phone Ki Battery Life Badhane Ke 10 Free Apps

Actually battery jaldi khatm hona lagbhag har android phone user ki problem ban gayi hai. bahut si companies ne battery saver apps banaya hye hai. market ayse apss se bhara hua hai, but kuch hi apps ayse hai jo sachmch aapke smart phone ki battery life badhate hai. jin me se kuch ke bare me mai aapko btane ja raha hu.

1. Easy Battery Saver

easy battery saver

Ye android apps battery saver ke liye hi banaya gaya hai. isme aap normal mode, general power saving mode, intelligent power saving mode, super power saving mode, advanced customzed mode me se apni pasand ke mode par select karke battery life badha sakte ho.

Is apps ko manage karna baht hi aasan hai. koi bhi basic mobile knowledze rakhna wala ise use kar sakta hai. battery saver ke sath sath aap isse bluetooth, screen rorate, wifi and other features bhi manage kar sakte ho.

is apps ko 50,000+ user download kar chuke hai. is apps ko install karne ke liye aapke pas 2.2 ya isse jada android version mobile hona chahiye. apps ka size 1-3 MB ka hai.

2. Du Battery Saver
Du Battery Saver

Ye apps battery saver apps me se sabse jada populer hai. isse aap 40% tak battery life badha sakte ho. isme aap one click se battery backup badha sakte hai. click karte hai. mobile me bina kaam ke apps band ho jate hai. isme mobile tapman ko bhi control kiya ja sakta hai.

is apps ko google play se 1,00,000+ user download kar chuke hai. ise use karne ke liye kam se kam 2.3 android version hona chahiye. is apps ko 5,000,000+ ser like kar chuke hai.

3. Battery By Micropinch

Battery By Micropinch

is apps ka sabse acha feature ye hai ki ye aapko battery low hone par warning show karega, game, movie, songs chalate time jab aapki battery 30% se kam ho jayegi to aapko information milegi. or aap battery power saver activate kar sakte hai. ye apps lagbhag har tarah ke mobiles, tablets me kaam karta hai.

is apps ko 1 milion use download kar chuke hai. or 8,000,000+ user like kar chke hai. newandroid system support phones me ye screen lock ka kaam bhi kar sakta hai. is apps ko download karne ke liye aapke pas 2.2+ android mobile hona jaruri hai.

4. Avast Battery Saver

Avast Battery Saver

ye ek aysa apps hai jo aapke smart phone ki battery life badhane ke sath sath phone ki spped bhi badhata hai. sath hi  ye apps aapke mobile ki virus se security bhi karta hai. manage karne me kafi aasan tools hai. jise hum easily use kar sakte hai. is apps ko google play se 5,000,000+ log download kar chuke hai.

5. Advanced Mobile Care

Advanced Mobile Care

ye ek aysa apps hai jis se real me mobile virus ko sacan kiya ja sakta hai. ise IObit company ne android mobile ki security or better services ke liye banaya tha. security ke sath hi is apps se battery ki life bhi badhayi ja sakti hai. isse aap game and other apps ko install bhi kar sakte hai. is aaps ke sath free antivirus or WIFI security scanner bhi aata hai.

is apps ko 1 crore se jada log download kar chuke hai. ye apps battery saver ke sath mobile security ke liye bhi kaam karta hai. yani is apps se real memobile ke virus delete kiye ja sakte hai.

6. Battery Docter

Battery Docter

ye apps battery khatm hone ki jankari deta hai. aapke phone me jab 20% power bachegi to ye apps iski suchna dega. jisse aap apne mobile ko power saver par set karke battery time badha sakte hai. apps mobile me install karne ke bad ek bar activate karne par kaam karna shuru kar dega.

Mobile ki battery kitni bachi hai or kitne time tak kaam karegi, ye apps iski 90% sahi jankari deta hai. isme kuch features bhi diye gaye hai, jisse battery time badhaya ja sakta hai. agar aapke phone me battery jaldi khatm ho rahi hogi to ye apps bluetooth, wifi or bina kaam ke apps ko band kar dega.

is apps ko google play se 7,000,000+ log download kar chuke hai. is apps ko install karne ke liye 2.3+ android version support mobile hona chahiye.

7. Go Battery Saver

Go Battery Saver

is apps ko mobile features ko control karne ke liye banaya gaya hai. ye apps mobile ke bluetooth, WIFI, screen britness, apps, mobile data and other features ko control karne ka kaam kareta hai. isse aap 15-20% battery bacha kar bhi rakh sakte hai. jo important time me kaam aa sakti hai.

is apps ko google play se 7 crore se jada log download kar chuke hai or 5,000,000 se jada log like kar chuke hai. is apps ko use karne ke liye aapke pas 2.2+ opretic system se upar ka android version support phone hona jaruri hai.

8. Battery Dr Saver

Battery Dr Saver

is apps ko battery ki life badhane ke liye banaya gaya hai. ye apps battery ki health, tapman, time par nazar rakhta hai. jis se mobile aaram se kaam karta hai. is apps ko use karne se mobile ki screen hack hone se secue hoti hai. or aap bar bar hacking ki problem se chutkara pa sakte hai. iske sath hi ye apps, full charge alarm, apps, battery low ki suchna deta hai.

is apps ko ab tak 1,40,000 log pasan kar chuke hai or 1 crore se jada download kar chuke hai.  is apps ko use karne ke liye 2.2+ android version ki jarurat hoti hai.

9. Super a Tool Box Cache Battery

Super a Tool Box Cache Battery

is apps ki help se user adroid phone ko aasani se manage kar sakte hai. ise Aipopdev company ke dwara banaya gaya hai. ye apps, memory card ki details, battery time, video time, internet serfing and time show karta hai. is apps ki help se aap web browser, gmail, google plus ki history bhi delete kar sakte hai. is apps ko google play se download kiya ja sakta hai.

is apps ko 60,000 se jada log pasand kar chuke hai or lagbhag 1 crore log download kar chuke hai. is apps ko install karne ke liye phone me kam se kam 2.2 android version system hona chahiye.

10. Juice Defender & Battery Saver

Juice Defender & Battery Saver
Juice Defender apps ko battery saver ke liye develop kiya gaya hai. is apps me 5 tools hai. jinme aap aasani se battery saver, mobile data and other apps ki customize setting kar sakte hai. or apne smart mobile ko better bana sakte hai. ye apps mobile ki power ko full control me rakhta hai. jisse mobile ki battery life 30% tk badh jati hai.

is apps ko google play store par se download kar sakte hai. ise ab tak 1 crore se jda log download kar chuke hai. lagbhag 2 lakh se jada log is apps ko pasand kar chuke hai. is apps ko bhi use karne ke liye aapko phone 2.2+ android version support hona jaruri hai.

Finaly I hope aapko ye post pasand aayi hogi. agar ha to chaliye ab ise apne dosto ke liye share bhi kar dijiye. sath hi humari site ki or bhi post pade.

Kya pata aapko is site par koi jaruri jankari mil jaye. aap hume Facebook, Google Plus, Twitter, Youtube par follow kar sakte hai.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 19 )

  1. sir meri mobile ki bettary bahut kam chalti hai or garam bhi bahut hoti hai kya karna chahiye sir
    kahi mera mobile kharab na ho jaye

    Reply
  2. I visit everyday some web pages and information sites to read articles, but this weblog gives feature based writing.

    Reply
  3. Nice post and aapka you tube pe channel joga pls aap.mujhe us ka ling es whatsapp pe sand ki jiye I am waiting

    Reply
    • meri site par jo share button hai unme YouTube wale button par click karo. mera YouTube channel open ho jayega.

      Reply

Leave a Comment