Agar aap apne blog me welcome message add karna chahate hai. Or apne visitors ke liye koi notification add karna chahate hai to is post me btaye 2-3 step ko follow kar aap apne blog me pop up welcome message, alert, latest update add kar sakte hai. Is message ko aap apni pasand ke hisab se kisi ke liye bhi use kar sakte ho.
- Blogging Ki Puri Jankari Hindi Me – Blogging Full Guide in Hindi
- Blogspot Par Free Blog Banane Ke Bad Kya Kare Full Guide
Blog Par Pop Up Welcome Message Kaise Add Kare – Add Alert
Aapko sirf apne blog par niche diya gaya code add karna hai. Or aapki site par welcome message add ho jayega.
Step 1:
Blogger dashboard par jaye or Template option par click kare.
Step 2:
Ab Edit HTML par click kare.
Step 3:
Ab ctrl+f keu button daba kar </body> code search kare.
Step 4:
Ab ye code copy kare.
<b:if cond='data:blog.pageType == "index"'> <script language='JavaScript'>alert("Hello Guys, Supportmeindia.com Par Aapka Swagat Hai.")</script> </b:if>
Step 5:
Ab </body> code ke upar (above) upar diya gaya code paste kare.
Follow this screenshot:
Bas ab aapke blog me pop up welcome message add ho chuka hai. Is message ko aap latest news ki tarah bhi use kar sakte ho. Jaise aap apne blog par koi new features shuru karne wale ho to apne visitors ke liye yaha message add kar sakte ho. Sath hi is message me aap link add karke apne visitors ko apni dusri site ki jankari bhi de sakte ho. Iske liye aap “<a href=”https://www.supportmeindia.com/website”>Supportmeindia website</a>” code use kar sakte ho.
- Google Search Console Me URL Parameters Kaise Use Kare
- Google Webmaster Tools Me Targeting Country Kaise Set Kare
Is post me btaye code ko aap blogspot blog ke alawa dusre platform par banaye blog par bhi use kar sakte hai. Aapko sirf </body code se pahle code add karna hai.
Agar aapko is post me btayi trick achi lage to is post ko apne friends ke sath share jarur kare.
Hello ,
Jumedeen khan Bhai
1.Bahut achhi post likhi hai , mujhko ek baat batao ki Javascript ko laptop par kaise run kar sakte hai , mai jab javascript coding ko save karne ke baad browser me open karke output check karta hu to kuchh bhi show nahi hota hai , to kya karna chahiye javascript ko run karne ke liye .
2. Kisi file ka downloadable link kaise bana sakte hai , file banakar usko download karna .
Thanks…
Sorry, I am not a coding expert.
Aapne bhot hi acha jankari share kiya hai welcome code ke bare me thenks for sharing
dost popup message ni a raha mare blog pa plz help me
Follow steps carefully.
Bhai Mera post google me show nahi ho raha aur page view bhi bahu kam as raha hai batao kya kare
Aapka blog google me show ho raha hai agar koi post show nahi ho rahi hai to use optimize karo or SEO friendly banao.
bhai bahut achi jankari hai lekin hum blogger pe coding ke jariye autolike website create kar sakte hai kya ?? ager nhi kar skate to kaise create kare bataye
Nahi kar sakte.
Hello sir,
Plzz..help me pchle 6 month se ek work ko lekr kafi prshn hu plz..help me
Sir wo ek social site h ouska naam parlingo h mujko ous pr work krna h waha pr ads or imp share krne hote h mene suna h ouske liye blog or Google AdSense website bnani h but mujko niii pta ye thik info.h ya nii but mujko ous pr work krna h plz…btao sir kasse kya krna h
Anuj is time mai thoda busy hu aap ek d. Dat me mujhse Facebook par puch lena. Mai aapko check karke bta dunga
bro blog me CATEGORIES ka option kaise lagate hai
Ye post padho Blogger Me Label Kaise Use Kare Post Categories Ke Liye
suvas75.blogspot.in ab open hota hai .uc me ho raha hai.maine google me bhi add ki hai site
Ye aapki template problem hai. Koi dusri template use karo. Or use jyada edit mat karo.
jumedeen bhai mobile me menu nahi dikhai de rahe hai computer me dikhai de rahe hai kya karu aap ek baar mera blog dekh lijiye or bataiye muje kya ad karna hai.
Aapka blog open nahi ho raha hai. sahi link btao.
sir mera ek confisn he jaise mera domain name pahle .in tha to mujhe sirf india se traffic milta tha to maine ur ek domain liya .com, to ap bole ki only search console me submit krna he to site map bhi submitt kiye but verify nhi huwa to mujhe ye samajh nhi aa rha he ki asia ka other contary se traffic mera ayega ya nhi qki site map se sirf .in ko index kr rha he,, plz mujhe btaye thoda detail me,
Humari site ka ek main domain hota hai. baki hum us me kitne bhi domain add kar sakte hai. fir bhi humara main wohi domain hota hai. right, ab aapka .in main domain hai or .com aapko add omn domain hai. So aap search console me sirf .in ko hi add kar sakte ho or usi ka sitemap add kar sakte ho. add on domain ka na to sitemap banega or na hi aap use search console me verify kar sakte ho.