Har blogger chahata hai ki uski blog se jada se jada income ho. par iske liye hume kuch niymo ka palan karna padta hai. mai aapko bta du ke india me AdSense ko approved karna bahut mushkil kaam hai. fir bhi bahut se log AdSense ke rules ko tod dete hai or jada paise nahi kama pate hai. aaj mai is post me aapko AdSense account ko approved karne ke tarike btaunga. sath mai aapko btaunga ki kaise AdSense account ko 3-4 din me approved kar sakte hai.
India me AdSense account ko approved karana aasan nahi hai. iske liye aapko AdSense ke rules ko ache se follow karna hoga. is post me mai aapko AdSense account ko jaldi apprved karane ke top 20 tarike bta raha hu. yad rahe agar aap inhe follow nahi karoge to aapka AdSense account approved nahi ho sakta.
Adsense Account Ko Approved Karane Ke 20 Tarike Janiye
1. Adsense ke Niyam or Sharte (Terms & Policy)
sabse pahli bat aapko AdSense ke niymo ka palan karna hoga. yaad rahe AdSense ke niyam har samay badlte rahte hai. isliye AdSense ke niyam or sharto ko padte rahe. aap yaha par click kar ke bhi AdSense ke niyamo ko pad sakte hai.
2. Blog Post Me Kuch Bhi Copyright Na Ho
aap kabhi bhi apne blog ki post me ek shabd bhi copy na kare. iska natiza ye hoga ki aapka AdSense account approved hona to bahut dur ki bat hai. google search engine bhi aapki site ko dikhana band kar dega. or dhire dhire aapki site par visitors aane bhi band ho jayenge.
3. Blog Me 40-50 Ache Ache Post (Article) Dale
apne blog ko AdSense se jodne se pahle aap isme 40-50 ache ache article dalo. galti se bhi kisi dusri site wala article mat dalna. aapko apne dimag or aapki knowledge se article likhne hai.
Or agar aapke andar kuch naya karne ki chhamta hai to aap ayse article dale jo internet par pahle se na ho. kyuki aap agar kuch aysi jankari dologe jo internet par nahi hai to aap bahut se logo ki madad kar sakte hai.
4. Dusri Site Ke Ads Nahi Ho
AdSense account ko approved karne se pahle apni site par lagaye huye sare ads code hata le. or ek bar apni puri site ko check kar le. aap apne blog ki widget me se bhi ads code hata le.
Kyuki AdSense kisi bhi dusri site ke ads manjur nahi karta hai. jaise:- chitika, bidvertiser, yahoo etc.
5. Google Analytics Codes Blog Me Jode
Google analytics bahut acha tarika hai. apni site ko sachcha sabit karne ka. isliye apnji site ko google analytics se connect kar le. google analytics AdSense ko batata hai ki . is site par kitne visitors aate hai.
Or kitno ko yaha apni problebs ka solvation milta hai. Apne blog ya site ko google analytics se jodne ke liye yaha par click kare
6. Blog Ki Template Adsense Support Ho
AdSense account approved karne se pahle apne blog par achi si template upload kar le aki google AdSense ko aapki site ke bare me jada se jada jankari mil sake. yaha mai aapko AdSense support template ke kuch topic bata du jo aapke blog ki template me honi chahiye.
- Template siple sada ho, isme jada rangeen widget add na kare.
- Fast uploading template honi chahiye. taki aapki site par jada se jada visitors aa sake.
- Template par post ki side me kam se kam 2-3 widget honi chahiye. jaise:- populer pst, random, pos, recent post etc.
- Template mobile friendly hono chahiye jo mobile me bhi aasani se khul jaye. or mobile me bhi acha loog dikhe. udaharn ke liye aap meri website ko apne mobile me open kar ke dekh sakte ho.
- Template ka background clean ho. kyuki ise khulne me bahut waqt lagta hai.
7. Minimum Photos
apni site par jada photo add na kare. bahut se log apni post me bahut jada photo add lar lete hai. or natija ye rahta hai ki unka AdSense account approved nahi ho pata. kyuki AdSense faltu ki photos support nahi karta hai.
8. Apne Ads Par Kabhi Bhi Click Na Kare
bahut se log aysa karte hai ki alag alag compuers se apni site ke ads par click karte hai. apne dosto se click karne ke liye kahte hai. aysa karne se hum AdSense ke rules ko tod dete hai.
Isse humara AdSense account kabhi bhi block ho sakta hai. to dosto yaad rahe apne ads par bhul kar bhi click na kare.
9. User Exprerience
aapko apni site ka pura anubhav hona chahiye. kyuki agar aapko apni site ki jankari nahi hogi to aap apne visitors ko sahi jawab nahi de paoge. AdSense ayse blogger ko manjuri nahi deta.
Kyuki wo janta hai ki ye aadmi ek din apni site chalana chod dega. isliye hume apni site ka pura anubhav hona chahiye.
10. Visiters Kahi Se Bhi Na Kharide
Dosto agar aapke andar kuch naya karne ki power hai to aap visitors kharidne ki soch bhi nahi sakte. kyuki agar aap kuch naya kar sakte ho to visitors khud be khud aapki site par aayenge. Google AdSense ki bhi yahi soch hai. isliye kabhi bhi kisi se visitors na kharide.
11. Aapke Blog Ki Template SEO Friendly Ho
aapke blog me jo template aap use karte hai. wo SEO friendly honi chahiye. taki aapke visitors kahi se bhi aapke blog tak pahuch sake. SEO ka matlab hai. SEO Search engines oprater system yani sabhi search engines se judi hui site
12. Blog Google, Bing, Yahoo Search Engines Se Connect Ho
AdSense account karne se pahle ye baat jarur check kare ki google search engine aapki site ya blog ko dikhata hai ya nahi. kyuki agar google aapki site ko nahi janta hoga to wo AdSense ko approved nahi hone dega.
Kyuki AdSense samajhta hai ki jo site google nahi dikha raha wo jarur farzi site hogi. Agar aap apne blog ya site ko google search engine me dikhana chahate hai to aap is post ko follow kare. isme maine site ko google search engines se jodne ki puri jankari de rakhi hai.
13. XML Sitemap Bana Ho
aapki site ke sabhi pages ka sitemap bana hona chahiye. kyuki sitemap humari site ko chote code me badal kar google ko dikhata hai. AdSense ko ise padne me aasani hoti hai. apni site ka sitemap banane ke liye aap yaha click kare.
14. Blog Ki Traffic Achi Ho
Adsense account approved karne se paahle ye jarur check kare ki aapke blog par roj kitne visitors aate hai. kyuki agar aapki site par visitors nahi aayenge to AdSense ise farzi site man kar block kar dega.
Isliye pahle apni site par visitors jode. visitors jodne ke liye apne blog me aysi jankari dale jo pahle se internet me na ho. maine iske bare me btaya bhi hai. AdSense approve karne ke liye aapke blog par minimum 1000 visitors per day aane chahiye. agar aap chahe to visitors badhane ki jankari aapko mil sakti hai.
15. Apna Domain or Email ID
Agar aap chahate hai ki aapka AdSense account complitly approved ho to aapko apne blog me khud ka domain name jodna hoga. or sath me domain se emaol id bhi banani hogi. kyuki blog ke domain se aap sirf hot AdSense account hi bana sakte ho.
16. Robot.txt Use Kare
apne blog me jank files ko rokne ke liye robot.txt code jarur add kare. kyuki agar aap aysa nahi karte ho to aapke blog me bahut sari jank foles add ho jayegi. or AdSense ko aapke blog ko padne nahi degi.
Wese aap jank files se hone wale nukshan ke bare me to jante hi hai. jaise computer me virus aa jate hai to coputer ke program kharab ho sakte hai. wese hi blog me jank files aane par AdSense approved nahi hoga.
17. Blog (Site) 6Month Purana ho
India me blog se AdSense approved karne ke liye blog ka 6mahina purana hona jaruri hai. india ke alawa china or kuch or desho me bhi yahi rules lagu kar rakhe hai. iski wajah ye hai ki 6 mahine ke bhitar hume blogger ki jankari bhi aa jati hai.
Or hum apni site par ache ache article bhi dal lete hai. sath hi 6mahine se pahle humari site se kuch visitors bhi jud jate hai.
18. Alexa Rank Hona Jaruri Hai
bahut se log sochte hai ki AdSense ko approved karne me alexa ranking ki koi jarurat nahi hoti. or wo ise ignore kar dete hai .apr kei bar alexa ranking nahi hone ke karan AdSense approved nahi hota. or humari pareshani bad jati hai. isliye apne blog ko alexa rank se jarur submit kare.
19. Important Pages Hona Jaruri Hai
blog ko AdSense se jodne se pahle apne blog ke liye kuch jaruri page bana le kyuli AdSense chahata hai ki wo humari site ke bare me aasani se jan sake.
- About Us
- Contact Us
- Terms of Usage
- Privacy & Policy
About Us me aap apne or apni site ke bare me jankari dale. jisse aapke visitors ko aapke bare me janne me aasani ho.
Contact Us me aap apni email ID ke sath sath koi contact form bhi add kare. taki koi bhi jarurat padne par aapse sampark kar sake.
Isi tarah apne blo ke visitors ke liye Terms of Usage page banaye taki koi visitor aapki site ka galat istmal na kar sake.
Privacy & Policy me aap ab btaye ki aap apne visitors ko kya kya sikhate ho ya unki help kaise karte ho.
20. Language (Bhasha) Adsense Support Ho
aapki site ki bhasha AdSense support honi chahiye. agar aap apne blog par aysi bhasha use karte ho jo AdSense support na ho to aapka AdSense approved nahi ho sakta.
- AdSense kon konso bhasha support karta hai uske liye yaha click kare
- Email Padh Kar 10,000 Monthly Paise Kamane Ki 5 Websites
I hope aapko ye post pasand aayi hogi. agar aapko internet se sambandhit koi or jankari chahiye to is site ki dusri posts pade. or agar aapko koi or sawal puchna hai to comment me puch sakte hai.
By the way supportmeindia par aapko AdSense ke bare me puri jankari hindi me milegi. iske liye aap humari AdSense se related dusri post pade.
Sir ek post main to aapne yah kah rakha h ki. Blog 6month purana na ho to koi bhi fharak nhi padta bus aapka domain name hona chiye aur is post main aapne yah kah rakha h ki aaapka account 6month purana hona chiye
custom domain ke sath aap kabhi bhi adsense ke liye apply kar sakte ho. blogspot.com submdomain ke 6 month ki limit hoti hai.
Sir maine adsense ke liye address verification pin submit kar chuka hu lekin ab adsense government photo id upload karne ke liye kah raha hai mai apna aadhar card ko download kar jpg former me upload bhi kar raha hu but accept nahi kar raha hai or usme tin option hai 1. National id,2. Passport,3. Driving licence, mere pas national id hai lekin use bhi accept nahi kar raha hai jabki photo bhi ekdam clearly hai to ab mai kya karu
Kya error aata hai?
Ho gya sir dhanywad mujhe photo ke sath or bhi detail dalna tha.
Dear sir Mai apke blog ko pad Kar mobiles se hosting buy aur WordPress site bana chuka Hu aur mere pas laptop nahi hai fir bhi Mai aapki help se apne mobiles se apne site ko degine kar raha Hu please meri site ko check kare aur apna kimti sujhav hame de please sir
Aapki site open nahi ho rahi hai ho sakta hai aapne galat link add kar diya ho. Aap itni mehanat kar rahe ho kyu na ek PC le lo aap 10,000+ me koi second hand PC le sakte ho taki aap achhe se or jyada better kaam kar sako.
Sir ek baar ap mera blog check kar ke bataiye ki agar ham sare adds code hata de. To kya mera blog Adsense ke liye ready hai? Or mera template Adsense friendly hai ?
First aap blog par or post likho or traffic badhao or jab aapke pas daily 500 se jyada traffic ho jaye tab adsesne ke liye apply karna.
Sir contact us Form Kaise banaye aur kaise blog par lagaye
Check this post Blog Me Contact Form Kaise Add Kare Google Drive Ki Help Se