एसईओ क्या है? What is SEO in Hindi?

What is SEO Kya Hota Hai? SEO Kya Hai, Search Engine Optimization Ki Jankari Hindi Me SEO Full Guide in Hindi, SEO Ki Puri Jankari Hindi Me. Website owner or blogger ko SEO yani Search Engine Optimization bare me basic information hona bahut jaruri hai. SEO ko jane bina aap apne blog par search engines se quality traffic receive nahi kar sakte. To chaliye aaj mai aapko iske bare me details se btata hu ki ye aakhir hai kya or kaam kaise karta hai.

What is SEO Kya Hai Search Engine Optimization in Hindi

Maine SEO ke bare me 100+ articles likhe hai. Jinme iske bare me details se bahut si tips btayi hai. Aaj is tutorial me aapko btane ja raha hu ki SEO kya hai or ye kaam kaise karte hai. Website ko SEO optimization ki jarurat kyu hoti hai.

Actually SEO koi bahut kathin path nahi hai jise samajha nahi ja sake. Agar aap iske bare me carefully padhenge to mera manna hai ki ye 3 words ka lession aapko 1 day me yaad ho jayega or fir aapko iske bare me puri information hogi.

Bas jarurat hai to is lession par ache se focus karne ki jo aap ya mai koi bhi kar sakta hai.

SEO Kya Hota Hai – Search Engine Optimization Ki Jankari

SEO ka matlab hota hai Search Engine Optimization. Yani apni site ko search engine se adhik traffic pane ke liye optimize karna. Ise is shabdo se aasani se samajha ja sakta hai.

SEO stands for “search engine optimization.” It is the process of getting traffic from the “free,” “organic,” “editorial” or “natural” search results on search engines.

Iska hindi matlab hota hai search engine se free, organinc and natuaral traffic pane ke liye apni site content ko optimize karna. Simple bhasha me site par aysa content likhna jisse search engines result me humari post achi position me show ho or hume search se jyada se jyada traffic mil sake.

Google, Bing, Yahoo jaise sabhi search engines me logo ke contnet show hote hai or ye log ek nahibahut sare hote hai. Pahle internet par bahut kam wensote blog hote the but ab duniya kar har teesra aadmi internet use karta hai. Isliye internet par ab millions website blog mojud hai.

Un sabhi me se search engine unhi logo ki post ko first rank me show karta hai jinki posr search engine friendly ho. Yani search engine optimization karke likhi gayi ho.

Video: SEO Explained

Agar aap SEO ke bare me bilkul new hai or ise ache se or kam time me samajhna chahate hai to aap yaha par iska video dekh sakte hai. Is video me search engine optimization ke bare me details se btaya gaya hai.

Ye video search engine land channel se liya gaya hai jo officially SEO ke liye hi video bana kar explain karke work karta hai. Is YouTube channel par aapko Search Engine Optimization ke bare me or bhi bahut videos mil jayenge.

Website Ko SEO Ki Jarurat Kyo Hoti Hai?

Aap internet par online koi bhi business karte ho aapko har online business me visitors (customers) ki jarurat padti hai. Or aaj ki duniya me search engines jaise googe, Bing, Yahoo and Ask most important dactor ban gaye hai. Inke bina online business ko success banana bahut mushkil kaam hai.

Suppose kijiye aap ek website owner hai or affiliate product sell karke ya google AdSense jaisi advertising service use karke earning karte hai to aapko organic traffic ki bahut jarurat hai.

Kyuki aaj har koi sabse pahle search engines me apna topic search karta hai. Success online business karne walo ka kahna hai ki direct aane wale traffic se search engine se aane wale traffic par jyada sell hoti hai.

Agar aapki site par 10,000 direct traffic hai or aap daily $100 kamate ho. Wohi aapki site par agar 5,000 yani 50% traffic search engines se aata ho to aap per day $100 to $500 earn kar sakte ho. Ab ye bat clear ho gayi ki website blog ke liye search engine traffic bahut jaruri hai.

Now, Search engine se traffic pane ke liye aapko SEO ko follow karna jaruri hai. Yani ki aapki site ke liye Search Engine Optimization most important hai.

Basically SEO process 2 type ki hoti hai On Page SEO and Off Page SEO

1. On Page SEO:

Ismke antargat (under) Website speed, Title tag, Meta description, Keyword Dencity, Hedden content, Image alt tag, Internal and external links, URL structure, Bold important keywords, Responsive website deisgn, Post heading, Post length and sitemap optimization aate hai.

Maine iske bare me On Page SEO: Website Ko Search Engine Me First Page Par Lane Ki Top 10 Techniques post me full details me btaya hai. Aap is post ko ek bar jarur padhe.

2. OFF Page SEO:

Off page SEO me Search engine submission, Use keywords in post, Bookmarking your website, Directory submission, Use google plus to boost your site traffic, Use twiiter and other social media sites, Use question answer form, Slide share, Blog commenting or Guest post use karna hota hai.

Isme sabse important factor hota hai Backlinks. Aapki site par jitne jyada backlinks honge google ki nazar me aapki site ki utni hi reputation hogi.

Finally, SEO search engine optimization ke bare me or adhik jankari ke liye aap supportmeindia blog ki SEO se related post adhiye. I promise aapko iske bare me puri jankari milegi. Iske alawa mai is blog par mostly search engine optimization ke bare me hi article publish karta hu.

Agar aap humari future post padhna chahate hai to abhi humare blog ko subscribe kar sakte hai. Ya fir aap chahe to hume social media par follow kar sakte hai.

Isse hum jab bhi apne blog par koi new post share karenge to aapko humari social profile par uski notification mil jayegi.

I hope aapko is post me SEO ke bare me achi information mili hogi. Agar aapko ye post pasand aaye to ise social media par dusre logo ke sath bhi jarur share kare.

In: Categories SEO
Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 110 )

  1. Anurag Yadav

    Aapka post bahut pasand aaya, Dhanyawad.

    Reply
  2. Arti Choudhary

    Your post was very informative and you have explained each point in detail that is beyond helpful. I definitely learned many things and it definitely motivates me to explore niche blogging in the near future.

    Reply
  3. Johan Alex

    I am very impressed with your post because this post is very beneficial for me and provides new knowledge to me.

    Reply
  4. pratibha singh

    Bhut achi jankari di sir

    Reply
  5. Gaurav Patyal

    very nice post thank you for share this

    Reply
  6. nitesh

    bahut hi badhiya post. thanks for sharing.

    Reply

Leave a Comment

Ad

I need help with ...