On-Page SEO Kya Hai Content Ko Perfectly Optimize Karne Ki 10 Tips

Kya aap jante ho ki hume search engines me first rank par aane ke liye kya karna chahiye. Agar aapka jawab nahi hai to bahut buri bat hai. Or aapko post me top keywords use or target karne or search engine se jyada organic traffic pane ki achi jankari (good information) ki jarurat hai. To mai aapko suggest karunga ki aapko search engines optimization (SEO) ke bare me jan lena chahiye. Is tutorial me mai aapko on-page seo ke bare me kuch important tips & techniques btane ja raha hu. Agar aap really me on-page seo ke bare me janna chahate ho to is articles ko carefully padhiye or har ek poit ko ache se samajhiye.

Top 10 On-Page SEO Techniques To Rank For First Page

Jab hum website blog par new post & page likhte hai ya fir old posts abd page ko optimize karte hai to humare samne two important factors hote hai, On-Page seo Optimization or Off Page Optimization. But humare pas in dono ke bare me koi techniqal information nahi hoti hai. Jiski wajah se humari post search engine me first rank me nahi aa pati hai.

This Article have 4,000+ words about On-Page SEO, Plz read carefully and if you like this post than share it on social networking sites with your friends or other blogger.

In this article, Is tutorial me mai aapko on-page optimization ke bare me kuch behtar (good or better) tips & techniques bta raha hu. Jo aapko aapki website ki post or page ko onpage seo optimize karne me help karegi.

Newbie blogger ko humesha SEO, Onpage Optimization, Search Engines, Search Rank, First Page Ranking and other SEO factors ke bare confusing bani rahti hai. Kyuki Search Engine Optimization easy nahi hai. Bade bade blogger or website owners ko isme problem hoti hai. Jo nahi jante ki post content me keywords ko kaise target kiya jata hai.

I hope is post me aapke SEO se related bahut sare sawalo ke jawab milenge or aap ise padhne ke bad behtar mehssos karoge. Shayad aap isse bhi jyada sikh sako.

On-Page SEO Optimization Kya Hai?

On page optimization SEO ka hi hissa hai. On-page seo ka matlab hotas hai post ko optimize karke first number ki rank me lana. Yani hum apni site ke post content ko kaise optimize kare ki humari post search engine me first rank par aaye. First rank par aane ke liye post me kaise or kaha kaha keywords use kare. Kis tarah se post ko seo friendly banaye.

Mai yaha simple bhasha mai kahunga ki search engine me pahle number par aane ke ke liye hume apni webiste or blog ki post me jo customizing karni hoti hai. Use hi search engines optimization kahte hai. Search engine optimization do tarah ke hote hai. On-page and Off-page. But yaha hum only onpahe seo ke bare me bat karenge.

Website & Blog par new articles likhne ya old post ko optimize karte samay hum jo post title, content, keywords, heading, permalink, images, first and last paragraph, highlight text, internal & external links, Focus keyword and other SEO techniques ka sahi tarike se istemal karte hai. Ise hi On-Page Search Engine Optimization (On-page SEO) Kahte hai.

To kyu na aap bhi apni post ko search engine optimization karke search me first rank me laye. Agar aapka jawab ha hai to is post me btayi tips & tricks ko ache se samajhiye.

Mai jab bhi SEO optimization ke bare me koi articles likhta hu to meri koshish rahti hai ki apne readers ko full guide kar saku. But kuch user post ko pura nahi padhte hai. Mai unse request karta hu ki blogging me success hone ke liye SEO ke bare me janna bahut jaruri hai. So SEO ke bare me jab bhi koi information mile to use carefully padhe or ache se follow kare.

Site Ko Search Me First Page Par Lane Ki 10 On-Page SEO Tips

Jab Aap apni website ke content ko search engine friendly banate ho to aapko sirf search engine se traffic nahi milta hai. But isse aapko social media, backlinks and domain authority ke sath other bahut se factors me bhi labh milta hai.

Jaha tak mujhe pata hai apni website or blog ko har tarah se better banane ke liye search engine optimization ki jarurat hoti hai. Or 99% blogger is bat se agree hai.

Yani website ko on pag optimization karne se aapko bahut sare fayde hai. Mostly, Ab aapse ye kahne ki jarurat nahi hai ki aapko search engine optimization ki jarurat kyu padti hai.

Website ko optimize karne ke liye sabse jyada important hote hai, high qulity, high ranking, high CPC top level keywords. Top keywords ki help se hi aap apni site ki post ko first page par la sakte ho.

Apne blog par high qulity keywords wale post title research karne ki janakri ke liye Blog Post Ke Liye Photo Kaha Se Download Kare – Sabse Aasan Tarika article par visit kare.

Keywords research karne ke liye aap Google Adwords Keywords Planner ko use kar sakte hai. Jo aapko keywords ki rank ke sath keyword CPC, value sabkuch btati hai.

To ab aapko ye pata chal gaya hoga ki On-Page SEO kya hai or ye kaam kaise karta hai. Website blog me iski kyu jarurat padti hai. To ab jante hai ki On-Page Optimization ko perefect optimize kaise karte hai.

Mai aapko highly recommend karna chahunga ki aap apne blog ki post me us post ke liye video bana kar add kare. Isse aapki site par jab koi online videos dekhta hai to aapki site ki Bounce Rate increase hoti hai or sath hi ye search engine ke liye better bhi hai.

Now, Ab hum bat karenge onpage seo tricks ki jo website content ko on-page seo ke liye perfect optimize karne me aapke kaam aayegi.

Yaad rahe search engine optimization karne par humari koshish rahti hai ki search engine me humari post ke jyada se jyada keywords show ho sake. Jiske 3 important tarike hai. Post title, post permalink and post description.

Support Me India Search Result

Upar image me clear dikh raha hai ki search engines me 3 factors hi show hote hai. Hume sabse pahle or sabse jyada inhi me top keywords use karne chahiye. I sure itna karne se hi aapki post first ranking me aa jayegi.

1. Blog Post Title

Onpage seo ka sabse important factor post title hi hota hai. Post title me add keywords se hi aapki post search me aati hai. Search engine post topic me add keywords se hi aapki post ki rank tay karta hai. Post title SEO me sabse bada role play karta hai.

Post ke title me kis tarah ke keywords use kare” Ek important question hai. Jiske bare me shayad aap bhi janna chahate ho. Yaha mai iske bare me kuch tips bta raha hu. Jisse aapko aasani se samajh aa  jayega ki post topic me kaise keywords use kare or topic kaisa hona chahiye.

  1. Targeting Keywords: Post title me only targeting keywords hi use kare. I mean aap jis topic par article likh rahe ho. Aapko uske liye aysa keyword choose karna hai jo aapki post ke liye fit ho.
  2. Don’t Repeat Keywords: Kisi bhi keywords ko repeat na kare. Jaise “On-Page SEO Kya Hai or On-Page SEO Ki Hindi Jankari”. Ye galat hai. Ise ayse use karo. “On-Page SEO Kya Hai: Website Page Ko Perfect Optimize Kaise Kare”. First topic me sirf ek hi keywords hai jise do bar repeat kiya hai. But utne hi words me second topic me on-page seo, website page or  perfect optimize 3-4 keywords hai.
  3. Add Fomous Words: Post title me “Top, Best, Important, Most, Helpful, Review, Full Guide and other fomous words use kare.
  4. Add 0-9 Numbric: Post title me numberic use kare. Visitor us post par jyada clic karte hai jisme 5, 10, 15 and other tips and tricks hoti hai.
  5. Bahut hi simle hai aap second topic choose karoge to aapki post ki ranking first topic wali post se jyada hogi. Fir chahae dono post me ek hi content ho. Means post title se itna fark pad jata hai.
  6. Use Only 35 to 65 words: Post title me kam se kam (Minimum) 35 character or jyada se jyada (Maximum) 70 characters hone chahiye. Agar aap isse jyada shabd use bhi karte ho to wo search result me show nahi honge.
  7. Main Keywords: Aap jis topic par bhi post likho uske content ke liye post title me aysa keyword use karo. Jo post ke putre content me main ho or jiske bare me hi post me information hoti hai. Examply, meri is post me On-Page SEO is article ka main keyword hai. Or aap dekh sakte hai ki yaha par only isi ke bare me jankari hai.

2. Blog Post Permalink

Permalinks bhi post title ki tarah hi seo me major role play karte hai. Permalink me bhi aap targeting or main keywords add kar sakte ho. Permalink post par jane ka URL hota hai. Isme aap keywords use karte time ye tips follow kare.

  1. Remove Extra Words: Post permalink me se extra words ko remove kare or only keywords hi use kare. Post link me se aap symbols, brackets, comma’s etc. ko remove kare. Jaise “yxz.com/0ne-page-seo-ke-liye-top-10-tips-ki-jankari” URL ko aap “xyz.com/one-page-optimization-top-1o-tips”
  2. Choose Short Permalink: Post ka URL jitna ho sake short use kare. Jyada large permalink search me show nahi hote hai.
  3. Add Targeting Keywords: Permalink me keywords to use karne hi hai sdath hi permalink me targeting kwywords jo post title or content me main keywords ko use jarur kare.

Finaly, Jitna ho sake good permalinks use kare. Jo post title or post content se related ho. Yaad rahe aap blogger user ho ya wordress user kabhi bhi permalinks ko default mat chodo.

Post likhne ke bad 3-5 minutes post ki kamiya dur karne me bhi lagaye. Agar aap blogspot user hai to iske bare mai already details me aritcle likh chuka hu.

Aap blogger me permalink use karne ki jankari ke liye Blogspot Blog Me Custom Permalink Kaise Use Kare post padho.

3. Post Meta Tag Description

Search engines me post title or permalink ke bad meta tag sabse important factor hai. Agar aap meta tag ko sahi se use karna sikh gaye to aapki post search result me first ranking par hogi. Kyuki meta tag, meta keywords post ko top page par lane me sabse jyada help karte hai.

Meta tag description me aap 160 characters me post ke bare me (Post Summary) likhni hoti hai. Meri ray hai ki aap yaha post se related keywords hi use karo. Jisse aapko jyada se jyada search click mil sake. Yani aapko better click throw rate (CTR) mil sake.

Meta description me aap jo bhi words add kare wo user friendly hona chahiye. User friendly means user search karne me jo words jyada use karte ho. Lagbhag sabhi search engine post meta tag par focus karte hai.

Jisse aapki post ki search ranking better h osakt iahi. Blogger Me Meta Tags Description Code Kaise Add Kare Post me maine iske bare me details se btaya hai.

4. Post Heading and Sub-heading

Aap post me words ko highlight karne ke liye H2, H3, H4 or H5 heading ka istemal karte ho. Ye SEO ke liye jaruri hota hai. But iska matlab ye nahi hai ki aap heading or sub-heading ko bar bar repeat karo. Aap nice diye step follow kar ke post me heading use kare.

  1. H1 headning ko post content me only ek bar (One Time) post title me hi use kar sakte hai or har blog me post title already h1 tag me hota hai..
  2. H2, H3, H4 H5 ko aap sabhi ko post content me use nahi kar sakte. SEO ke liye aap inme se kisi ek headlinse ko hi istemal kare.
  3. Agar aap H2, H3 and other heading ko bar bar (Mony Time) use repeat karoge to ye Negative SEO mana jayega. Or aapki post ki search ranking bad ho jayegi.

Mai ek bar fir se kahna chahunga ki ki hum post me heading ko bar bar add nahi kar sakte. New blogger ko iske bare me pata nahi hota hai. Agar aapse ye galti ho rahi ho to aap ise jald se jald sudhar sakte ho. Jisse aapko search engine se good traffic mil sake.

5. Optimize Post Images Multimedia

Post me aysi images use karo ki visitors aapki post dekh kar aapke fan ho jaye. Kyuki ek image 2000 words ke barabar hoti hai. So jitna ho sake clear or logo ko pasand aane wali images hi use kare.

Images bhi post ko seo friendly banane me major orle play karti hai. Onpage seo ke liye images ka seo ready hona jaruri hai. Or mai pahle bhi Blogger images ko search engine friendly kaise banaye post me iske bare me bta chuka hu. Is article me aapko blogger images ko optimize karne ki puri jankari step by step milegi.

  1. Images me Alt tag or title add kare. Ise aapko search engine me better ranking milti hai.
  2. Post me only jaruri phots hi use kare. Bina kaam ke images use karna  Bad SEO hoga.
  3. Images me targetting keywords use karke aap apni post ko or jyada seo friendly bana sakte ho.

Jab bhi aap post me koi images use kare to kam se kam size ki image use kare. Jisse aapki post loading time jyada na ho. Or post jaldi open ho. Site speed slow hone par site ki search ranking bhi low ho jati hai.

Yaad rahe post me jaruri image hi use kare. Or kisi or ki images copy na kare. Kyuki yasa karnse se aapki post search engine me show honi hi band ho jayegi.

Blog ki page speed  badhane ke bare me mai already bta chuka hu . Iske liye aap Website Ki Page Speed Kaise Badhaye 10 Best Online Tools [Boost Speed] post par visit kare.

6. Use Keywords

Keywords search engine se adhik traffic pane ke liye sabse jaruri hote hai. Jab koi search engine me koi bhi keywords search karta hai or wo keywords aapki post me hai to search engine aapki hi post ko first page par dikahyega.

Aap ek keywords ko 2.5% to 3% se jyada use nahi kar sakte. Matlab agar aapki post me 1000 words hai to aap 15-20 bar se jyada bar keywords ko repat nahi kar sakte.

Jaha tak mujhe pata hai hume post ke first paragraph and last paragraph me sabse jyada keywords use karne chahiye. But keywords bhi image ki tarah sirf post se related hi hone chahiye. Aap jitna ho sake post me first paragraph me keywords kuse kare.

Post ke last paragraph me aap regular keywords yani jo aap har post me add karte ho ko use kar sakte ho. Jaise mai apni har post me post share karne ke liye ek lines add karta hu. Post content me keywords use karne ke nimn tips follow kare.

  1. Highlight, Bold, underline and Italic keywords: Jaruri (Important)keyword ko highlight, bold, underline or italic kare. Aysa karne se search robots or reader dono keywords par jyada focus karte hai.
  2. Anchor Text: Anchor text kya hota hai. Iske bare me janne ke liye Anchor Text Kya Hai or Ye SEO Ke Liye Kyu Jaruri Hote Hai SEO Guide article padhiye.

Search engine me first page rank pane ke liye aapki post me jyada se jyada keywords hone chahiye. Or post me jyada keywords use karne ke liye post me jyada content hona jaruri hai.

Kyuki hum keywords ko 1.5% se jyada use nahi kar sakte. Isliye mai aapko suggest karunga ki aapki post me minimum 1000 words hone jaruri hai. Or aap isse bhi jyadaa words use kar sako to bahut achi bat hai.

7. Make Your Site Fast Loading

Google search engine humari site ki loading speed bhi check karta hai. Ayse me agar aapki site fast loading huyi to google search robot aapki site ko jaldi index karega.

Or ahar aapki iste ki speed slow huyi to google aapki site ko ignore kar kisi dusri site ke content ko index kar lega. Iss tarah se aapki site search me kam aayegi or site ki search rank kam ho jayegi.

Website ki speed badhane ke liye aap apni site par fast loading theme or template use kare. or site ke home page par kam se kam content show kare. Jaise aap home page par sidebar widget kam kar sakte hai.

Home page par 10 posts ki jagah 5-7 posts show kar sakte hai. Isse aapki site ke home page ka size ka mho jayega or aapki site fast open hogi.

Mai website speed ke bare me already bta chuka hu. Iske loiye aap humari How To Make Your Site Fst Loading Top 10 Important Tips article padhiye.

Yaad rahe visitors usi site par visit karte hai jo 4 second se kam time me open hoti ho. Agar aapki site isse jyada time me open hoti hai to wakai me ye aapke liye pareshani ka metter hai.

8. Add External & Internal Links

Blog post content me apni other post ka links or kisi or website ka links add karna SEO ke liye better hai. Aap apni site ki dusri post ka link add karke apni site par traffic badha sakte ho.

Or dusri sites ka links add karke usse ache relation bana sakte hai. Jo 100% SEO ke liye badiyaa hota hai.

  1. External Links: External links yani kisi dusri site ka links apni post me add karna. Example, Aap google ke bare me post kar rahe ho to aapko us post me google ka link add karna chahaiye. Isse aapki site ki search ranking increase hogi. But kabhi bhi kisi s*xy, p*rn and other bad quality site ka link apni site par add na kare. Isse aapki site ki search ranking low bhi ho sakti hai.
  2. Internal Links: Aap apni post me apni hi dusri post ka link add karne ke liye aajad hai. Or sabse achi bat SEO ke liye bhi aysa karna goodd hai. But yaad rahe post me only post se related other post ke hi links add kare. Jaise blogging ke bare me post likh rahe ho to usme blogging ki hi dusri post ka link add kare. Kisi or category ka link nahi.

Ani site ki post me apni other post ya page ki link add karne se aapki site ki search ranking to badhti hi hai .Sath me aapki site par pageviews bhi badhte hai.

Kyuki isse aapke visitors ek post se dusri post par visit karte hai. Jisse aapki site ki bounce rate improve hogi.

Apni site par only trust site ka hi link add kare. Kyuki search engine kisi bhi tarah ki bad quality jaise hacking, dranks, p*rn and other category ki sites ko allow nahi karta hai.

9. Content Per Post

Mai is bat ko bilkul nahi manta ki aapki post me 100-200 words hone par wo search engine par first page par show ho sakti hai.

So mai apni har post me minimum 1000 words use karta hu or agar koi short post hoti hai to mai kahunga ki usme minimum 700 words to jarur use kare. Isse kam words me post likhoge to search engine se traffic pane ke bare me sochna bhi bekar hai.

Search engine chahata hai ki hum jis topic par post kare. Hum uske bare me reader ko puri infomation de yani complete guide kare. Or agar aap kisi topic par post lkte ho to aap har topic par 1000 words to likh hi sakte ho.

Wese 1000 words ki post bhi search me first page par aa jati hai. But kuch important factors par hi aysa hota hai. Har post me aysa nahi hota hai or agar aapki koi post search me aa bhi jati hai t obahut jald uski search rank down ho jayegi.

Mera yaha ye kahne ka matlab nahi hai ki aap 1000 words se kam words ki post likho hi nahi. Balki mai kahna chahata hu ki ka mwords content ki post se search traffic bahut kam milta hai. Or Uska first page par show hona bahut mushkil hai.

10. Post Content Quality

Last and sabse important techniques hai post content  quality. Yani aapne jo post likhi hai usme share ki gayi information kaisi hai. Aapne post me jo information share ki hai wo internet par kitni viral hai. Kitne log uske bare me jante hai or kitne janna chaate hai.

Hum agar kisi ayse topic par post kar rahe hai. Jis par internet par pahle se bahut sara contnet ho to us articles se hume high traffic milne ke change bahut kam honge. Kyuki koi bhi pahle se padhi huy ijankari ke bare me fir se padhna like nahi karega.

Sabse important bat search engines aysi post par jaldi focus nahi karta hai. Jisse aapki post ko search me aane me time bhi lag sakta hai. Or agar aa bhi gayi to audience aapki post me itna interest nahi lenge.

Agar hum ayse topic par post kare jis par internet par pahle se bahut kam jankari ho ya fir bilkul hi na ho to congratulations, Sabhi aapki post ko padhna pasand karenge or google seconds me aapki post ko index xkarega.

Sabse achi batt search engines or aapke readers ko aapki new post ka intjar rahega. Or wo aapki site ko utna hi pasand karenge jitna ek bhuka inshan kahne ko pasand karta hai.

Post Summary:-

Ab aapko On-Page SEO ke bare me sabkuch confirm ho gaya hoga. To chaliye ab ek bar repeat kar lete hai ki humne kya kya sikha hai. Jante hai post ko ek bar fir se post summary se.

Yaha mai aapko upar btayi jankari ke mostly topics bta raha hu. Agar aapse koi topic miss ho gaya ho to use ek bar fir se padh le.

  • Post title me keywords use karna.
  • Post permalink me keywords use karna.
  • Post meta tag me keywords use karna.
  • Post first paragraph me keywords use karna.
  • Post Last paragraph me keywords use karna.
  • Image alt tag me keywords use karna.
  • Post Heading me keywords use karna.
  • Important or target keywords ko bold, highlight, underline, italic karna.
  • Internal and External links add karna.
  • Permalinks me se stop, extra words ko remove karna.
  • Post me multi-media iamges videos ko add karna.
  • 1000 words se jyada bada post content likhna.
  • Post Images ko optimize karna.
  • Post me all type keywords use karna.
  • Website page laoding time better karna.
  • Post title me 35 to 65 words use karna.
  • Post meta tag me maximum 160 character use karna.
  • H2, H3, H4, or H5 ko bar bar repeat nahi karna.
  • 1.5% se jyada target keyword ko repeat nahi karna.
  • Post ke last me reader se post share karne ke liye kahna.
  • Post me huyi meaning galtiyo ko solve karna.

On-Page SEO, Search Engine Optimization ke bare 100,000 words me bhi post likhu to bhi kam hai. But ab mai is post ko or jyada lamba (longer) nahi karna chahunga.

Maine is post me On-Page SEO Optimization ke bare me jo bhi tips and & tricks btayi hai. Unhe follow karke koi bhi person apne blog par better seo friendly articles likh sakta hai.

Or apni site ki search ranking increase kar sakta hai. Is tutorial me agar aapko koi topic samajh na aaye to aap uske bare me niche comment kar sakte ho. Or agar aapke pas On-Page SEO ke bare me koi or information hai to aap apne tohughts comments me share kar sakte ho.

Agar aapko On-page Optimization ki inforamtion wali post achi lage to ise social media par apne friends or other blogger ke sath share jarur kare.

In: Categories SEO
Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 216 )

  1. Himanshu Kumar

    wahh bhai mai bahut jyada confused the isme ki kaise on page seo kru onpage ka to smjh me aa gya ab offpage kaise kare

    Reply
  2. mani gautam

    meta tag kya h meta tag ku ku use karte or isko kaha lagaya jata h

    Reply
  3. varun mishra

    very nice and helpful thanks for share with us. keep continue.

    Reply
  4. kamodh singh

    इस आर्टिक्ल से मुझे बहुत help मिला thanks

    Reply
  5. Satish Neogi

    Nice information about SEO. Thank you sir.

    Reply

Leave a Comment

Ad

I need help with ...