Abhi tak maine aapko SEO ke bare me bahut bate btayi hai. magar aaj un sabhi se alag or sabse jyada important bat btane ja raha hu ki “Black Hat SEO Vs White Hat SEO Kya Hota Hai“. is post me aapko iske bare me details se btaunga. jisse aap SEO ko ache se samajh sake.
Jaisa ki color se hi pata chalta hai ki black color kuch galat ya bura hone ka hai wohi white color clear or fair hai. bahut se new blogger ki iske bare me pri jankari nahi hoti or wo white hat SEO ki agah black hat SEO ki taraf chale jate hai.
Table of Contents
Black Hat SEO Vs White Hat SEO Kya Hota Hai?
Agar aap ek blogger hai or aapko blogging me kafi time ho chuka hai to aapko iske bare me thodi jankari to jarur hogi. or agar nahi hai to ummid karta h is post se aap kuch behtar sikhoge. Actually hota kya hai ki bahut se new blogger jab iske bare me internet par search karte hai to unhe backlinks ya traffic badhane wali paid website mil jati hai jo ki $5-$10 me backlinks dene ya traffic badhane ka dawa karti hai. newbie unhe kam paise ka offer samajh kar kharid lete hai or ye unka pahla kadam hota hai black hat SEO ki taraf jane ka.
Agar aap bhi blogging me new hai to mai aapko bta du ki jis tarah bina mehanat ke bada aadmi nahi ban sakte bilkul wese hi bina mehanat kiye blog ki traffic badhane ka koi shortcut tarika nahi hota. apne blog ki ranking badhane ke liye aapko bahut mehanat karni hogi or baht kuch sikhna hoga. mai aapko is post me aysi jankari dene wala hu. jisse aapko na sirf SEO ke bare me pata chalega balki aapko un galat rasto par jane se rokega jo aapko andkar ki or le ja rahe hai.
Black Hat SEO Vs White Hat SEO Me Kya Difference Hai?
Humare pas humesha 2 raste hote hai ek achha or dusra bura. hume kis raste par chalna hai ye hume tay karna hota hai. bilkul wese hi yaha bhi humare pas 2 raste hai black hat SEO or White hat SEO. agar aapko iski thodi bhi jankari hai to aap white hat seo hi use karte ho. but problem tab shuru hoti hai jab aap white hat seo me galat karna shuru kar dete ho. jisse white hat seo black hat seo me badal jata hai.
- Blog Ko Google Search Engine Se Submit Kaise Karte Hai
- Blog Ko Bing Webmaster Tools Se Submit Kaise Kare
Yaha mai aapko kuch clear topic se samjhane ki koshish karunga. ho sakta hai ek lambi story se acha aap inse samajh sako.
Black Hat SEO:
kisi bhi post me meta tags likhte samay ye bat dhyan rakhni chahiye ki meta tags me post se sambandhit keyword hi use kiye ho. kei bar kya hota hai ki new blogger post se alag keyword meta tag me add kar dete hai. jo post ko black hat seo ki taraf le jata hai.
2 – Doable Post
kuch blogger search engine me lane or visitors badhane ke liye ek hi post ko 2 bar share karte hai ya bhi koi dusra blog bana kar usme main blog ki post share karte hai. jab search engine in post ko crawl karta hai to se same proccess milti hai. or dheere dheere search engine aysi post ko ban karne lag jata hai.
3 – Keyword
Post likhte waqt is bat ka khyal hona chahiye ki ek hi keyword 10-15 bar se adhik bar use na ho. “ye 10-15 kam jyada bhi ho sakte hai”. actully new blogger se ye galti hoti hai. par mai aapko btana chahunga ki jis tarah har cheez ki ek had hoti hai bilkul wese hi post me keyword ki bhi ek had hoti hai isliye iske bare me janne ke bad ek hi keyword ko post me jyada bar use na kare. search engine lagbhag 2%-5% keword hi prefer karta hai. isse jyada keword ka istemal karna galat hai.
4 – Doorway & Gateway Post
ye un posts ke bare me hai jo bahut short hoti hai or jo ek jaise keyword se bhari hoti hai. search engine inhe bahut jaldi ban kar deta hai. aysi post jyadatar kahi se copy kiya gaya content hota hai.
White Hat SEO:
1 – No Copyrighting
Yeh White Hat SEO ka pahla or aakhri aspect hai. apne blog ya website ko search engine me acha result mil. iske liye mai aapko suggest karunga ki aapki blog ya website ka contect origino hona chahiye. yani aapki blog par copyrihting nahi hogi or sari post aapki likhi hogi to aapki blog search engine me no.1 ranking par hogi.
2 – Search Engine Guidelines
website ko search engine se submit karne ke liye SEO ko guide kiya jata hai. par kya aapko pata hai ki search engine ki bhi guidelines hoti hai. agar hum uska palan kiye bagair site ko search engine se add karte hai. to ho sakta hai humne search engine ke rules ka ulagghan kiya ho.
3 – Extra Images.
iske bare me aapko pahle bhi guide kar chuka hu ki. Bina jarurat ki images post me use na kare. white hat seo technique ye clear karta hai ki post me sirf wohi image use kare jo clearly visitors ke liye helpful ho.
4 – Good Quality Content
white hat seo me good quality content hi sabse important hota hai. agar aap chahate hai ki kam time me aapke blog par jyada se jyada visitors aaye to aysi post kare jo internet par pahle se na ho. yahi good quality content hota hai. sirf yahi nahi aapko chahiye ki post me aysa talent ho jo visitors ka dil jitne ka kaam kare.
To ab aapko chahiye ki White Hat SEO ko Follow kare or Blck Hat SEO ko Avoid kare. jisse aapki website teji se search engine se traffic bana sake. mai aapko ek bar fir se kahna chahunga ki kahi se bhi traffic or backlinks kharidne ki na soche. aane wale samy me iske bar me details se btaunga.
Ab aapki bari hai comment me btane ki:-
- is post ko padne ke bad aapne kya sikha?
- ab aap apni website me kya changes karne wale hai?
- agli bar post likhne par keyword kaise use karenge?
Agar aapka is post ko le kar koi sawal hai to comment me apne thoughts likh kar mujhse puch sakte ho. or agar aapko ye post helpful laga to ise social media par jarur share kare.
Bhai bahot bahot shukriya aapka q ke Aapne bahot jyada helpful aur secret information dee hai
bhai google search console me http or https dono add hai kiya koi dikkat hoga
aur agar ek delete ho ga to kiya kam hoga jo mujhe dubara karna hoga
Yes aapko dono se site submit karni hai.
hi This is another good blog by author. Aapne is blog k madhayam se bhot hi sarlta se blach hat and white hat SEO k difference, fayde or nuksaan bta diye. We are looking for that kind of post.
thanku so much .
Helpful artical
Jab SE Maine blog me sitemap file add ki hai to Google me post ka title nahi aa raha jo me new post write karta hu
Post title pehale kaise show ho tab ye code add nahi kiya tha to post title ke aakhir me mere blog ka name aata tha ab nahi aa raha hai.kya kare
Ye post follow karo Post title ko blog name se pahle kaise show kare
Bahut hi achchi jankari di aapne. Black Hat SEO Ke bare me maine sun rakha tha or thoda bahut janta tha lekin aapke post se mujhe detail jankari mili. Mai puri kosis karunga ki aapke bataye gaye points ko dhyan me rakh kar blogging karu. Ek baar fir sahi margdarshan ke liye Dil se Dhanyawaad 🙂