Anchor Text Kya Hai or Ye Site SEO Ke Liye Kyu Jaruri Hote Hai

Hello Friends, Aaj mai fir hazir hu blog SEO ke bare me ek nayi jankari le kar. Jiske bare me bahut kam blogger jante hai wo hai Anchor Text. Anchor text kya hote hai or ye blog seo ke liye kyo important hai. Iske bare me har website owner or blogger ko jankari honi chahiye. Aap is post ko dhyan se padhiye. I pormise aap comment me khud kahoge ki kamal ki jankari hai.

What is anchor text and why to important for site seo

Jab 2024 me website seo me changes kiye gaye to usme ek sabse bada badlav tha website backlink me kiya gaya badlav jise anchor text name diya gaya. Hum jo blog ki post me internal or external links use karte hai. Bas usi se related hai ye Anchor Text. Kitna acha hoga ki aapko post me use kiye gaye links se bhi search engine se traffic mile.

Anchor Text Kya Hai?

Anchor text wo clickable text hai jinhe hum post me apni dusri post ya kisi other post content se related site ka links add karte hai. Anchor text wo hyperlinks hote hai jinhe hum visitors ka dhyan khichne ke liye highlight karte hai or jisse visitors humare dusre web pages par target ho sake.

Simply basha me kahu to blog post me use hone wale internal or extranal links ko hi anchor text kahte hai. But backlinks tabhi good anchor text hote hai jab hu unhe search engine policy ko follow kar ke use kare. Examply aap is post me dekh sakte hai.

Anchor text

Anchor Text Website SEO Ke Liye Kyu Important Hote Hai

Bahut se blogger anchor text use karne me mistake karte hai or sahi words ki jagah galat words use karte hai. Wese agar mai aapko details me btane baithunga to muje post me 10000 words use karne padenge. So mai aapko iske bare me short me hi bta raha hu. Agar meri koi bat samajh na aaye to commnet me puch lena.

  1. Bad Anchor Text: Jab hum aspni post me koi link add karte hai to link ki jagah hum yaha click kare, more information here, learn more, click kare, click on, click it jaise words use karte hai to ye bad anchor links mane jate hai or search engine inhe ignore karta hai. Jisse inse search engine se hume koi traffic nahi milta hai.
  2. Good Anchor Text: Jab hum post me other link use kare or links title me keywords use karte huye. us link ka sirf most words hi use kare. to wo good anchor text mane jate hai. Ye seo ke liye bhi important hote hai or hume inse search engine se traffic bhi milta hai. Kyuki search engine good anchor text ko index karta hai.

Man lijiye aap abhi post likh rahe hai or aapke pas “make money online” ke bare me koi dusri post bhi hai ya fir aap kisi other site ka link post me add karna chahate hai to jiska title “How To Make Money Online From Blog” hai to aap apni post me uski jagah “Make Money Online From Blog” Words use karoge to ye good anchor text mana jayega.

Isse aap 2 fayde honge. pahla visitors aapki post par se dusre web page par visit kar sakega or search engine bhi is tarah ke links ko index karta hai. So aapko search engine se bhi acha traffic milega.

Anchor Text Use Kar Blog Ki Search Ranking Kaise Badhaye

Ab aapko ye to samajh aa hi gaya hoga ki anchor text kya hote hai or ye blog seo ke liye kyo important hai. So ab mai aapko blog post me anchor text use karne ke kuch best tarike bta deta hu. Jisse aap apne blog ki search ranking increase kar sakte ho.

  1. Targeted Anchor Text: Blog post me other links use karne ka matlab ye nahi hai ki aap kisi bhi dusri post ka links add kar sakte ho ya kisi bhi dusri site ka link add kar sakte ho. Aap post me wohi links use kar sakte ho jo aapki post se related ho or aap jo links dusri site ya post ke add kar rahe ho us par bhi aapki post se related jankari honi chahiye. Kykui Anchor Text ek tarah se post keywordfs ka kaam karta hai. Or hum post content se difference keywords use karenge to search ranking low ho jayegi.
  2. Backlink Anchor Text: Jab koi dusri website me aapki site ka anchor text link add kiya jata hai to usse bhi aapki site ki search ranking increase hoti hai or aapki site ki value badhti hai. Iske bare me aap Backlinks For Blog SEO wali post padh sakte hai.
  3. One-Way Anchor Text Backlinks: Jab aap apni site me kisi or site link add karte ho or wo aapki site ka link apni site par add nahi karta hai to use One-Way Anchor Text Backlinks kahte hai. Search engine one way anchor text ki sabse jyada mang karta hai or isse aapki site ki Pagerank increase hoti hai. Isiliye mai kahta hu ki post me ek external links jarur add kare.
  4. Excessive Anchor Text: Jab aap ek page par jarurat se jyada anchor text use karte ho ya alag alag page me same anchor text use karte ho to aap galat raste par ja rahe ho. Iske liye aapko search engine ki taraf se penalty bhi bhugtani pad sakti hai. Jaisa ki maine upar btaya hai ki hum sirf post content se related links hi post me add kar sakte hai. Warna humari site ki search ranking low nahi bahut low ho jayegi.
  5. Anchor Text Discription: Jab aap post me related links add karte ho or aap links post ka pura title hi use karte ho to use Anchor Text Discription kahte hai. But isse aca aap link post ke sirf keywords hi use karo to better result milta hai.
  6. Spammy Anchor Text: Simple bhasha mai kahunga ki blog post me faltu ke links add karna, bina wajah post me bekar ki sites ke links add karna or sirf post words badhane ke liye extra links use karna spammy anchor texts hote hai. Iska sabse bada nuksan ye hai ki aapki site ki search ranking bilkul low ho jayegi or ye Black Hat SEO ki taraf jane ka bahut acha rasta hai. Is tarah ke links aapki site ko harm karte hai.

Anchor title optimize kar ke aap na sirf apne visitors ke liye acha karoge balki aapki site ki search ranking bhi increase hogi. So aap mujhse puche bina apne blog ki post me add kiye haye links ke title change karne ke bare me soch sakte hai.

Is post ko padhne ke bad aapko achi jankari milegi ye mai aapse post starting me hi kah chuka hu. But fir bhi ho sakta hai mujhse post me koi kami ho gayi ho or aapko isme kuch samajh nahi aaya ho to aap commnet me puch sakte ho.

Agar aapko lagta hai ki ye post aapke liye helpful hai to post ke bare me commnet jarur kare or is post ko social media par share jarur kare.

In: Categories SEO
Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 47 )

  1. Areesha Khan

    And aap mujhai yeh bataye k me wordpress mein auto internal link kaise add karu…

    Reply
  2. Areesha Khan

    Bhai meri website par guest post allow hai aur mery customers mujhai kehty hai m me unhai dofollow backlink du to agar m unhai dofollow backlinks fu to kya meri website rank kam hojaigi mujhai kya faida milyga r log mujhai high quality content send kr rahy h magazine dofollow backlinks du ya nh n kuch log kehty hai k anchor link do to m kya kru mujhaj dar h kahe meri website ka na rank kam hojaegi ap bataye kisi dosri site ko dofollow backlinks Dene se site rank barhti h ya kam hoti h

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Sirf relevant content sites ko dofollow link de wo bhi tab jaruri ho, warna nofollow rakhe.

      Reply
      • Areesha Khan

        Bhai kya dofollow link se ranking kam hoti h internal link se rank barhti h kya site ki

        Reply
        • Jumedeen Khan

          Yes, bekar ki site ko dofollow link nhi dena chahiye.

          Reply
  3. Vikash Gupta

    Bhaiya Maine to is par bilkul dhyan nahi diya

    Reply
  4. Prakash

    बहुत ही बढ़िया जानकारी प्रदान करी है, Anchor text को बहुत ही सहज ढंग से समझाया गया है.

    Reply
  5. Naushad SK Siddiqui

    thankx bro itna batane ke liye aise he text add karte raho bhai aur kuch digital marketting ke basic par dalo bhai better definition ke sath nd again thankx uhhh best of luck bro

    Reply
  6. VISHAL

    Hosting to li hui hai two Years se aur wordpress par hi blog hai, But Related post ka free version nahi bata raha hai

    Reply
  7. VISHAL

    Related post ke liye kon sa plug im use karna chahiye. wordpress me iska free version nahi hai.. mene install kiya hai but aisa aa raha hai

    The free version of Related Posts for WordPress doesn’t support WordPress Multisite/Network!
    Buy the premium version or disable the plugin.

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Aap wordpress.com use kar rahe ho hosting le kar wordpress.org par blog banao.

      Reply

Leave a Comment

Ad

I need help with ...