Har blogger ki sirf ek hi koshish rahti hai ki uski post search engine me first page par show ho or use jyada organic traffic mile. Jab wo iske bare me jankari pata karta hai to use sabse pahle pata chalta hai SEO ke bare me magar wo iske bare me achhe se jan nahi pata or bad content likhna shuru kar deta hai. Results, uske blog ki search rank high ki jagah or jyada low ho jati hai. In this post, mai aapko only 3 successful SEO tips bta raha hu jo aapko search engine se better traffic dila sakti hai.
SEO ka matlab hota hai search engine optimization yani is type ka content write karna jo search engine me top position par show ho. Iske liye aapko google and other search engines ki guidelines follow kar ke post likhni hoti hai or keywords ko SEO ke rules ke anusar post content me use karna hota hai.
But some writer SEO ke bare me galat jankari sikh kar ya kuch bad way apna kar uselss content likhna shuru kar dete hai or wo sabse important factor ko bhool jate hai. Jiski wajah se humari site ki search rank increase hone ki jagah kam ho jati hai.
- What is SEO Kya Hai / Search Engine Optimization in Hindi
- Blog Ko First Page Par Lane Ki 3 Super Success SEO Techniques
Jab tak aapke pas good user experience nahi hoga aap kabhi bhi ek Good SEO nahi ban sakte. Isiliye aankhe band karna chordhiye or SEO ke bare me sikhne ke sath sath apne anubhav se bhi kuch sikhiye. Ek better SEO expert banne ke liye aapko behtar experience hona jaruri hai.
3 Super Success SEO Techniques Jo Bahut Se Writer Bhool Jate Hai
Ho sakta hai mai yaha aapko jo trick bta raha hu unke bare me aap already jante ho but ek bar post ko achhe se padhe or soche ki wakai mai sahi kah raha hu or kya aap sach me ye galtiya kar rah ho.
1. Post Topics and Heading:
Aapki post ko search engine me first position par dikhane ke liye sabse important hota hai post ka title better hona. Agar aapki post ka topic effective hoga to user use jarur pasand karega or us par utna hi jyada click karenge.
Google hume post title me 65-70 characters use karna allow karta hai. In 65 characters me hume ek powerful title create karna hota hai. Some blogger is factor ko bhool jate hai or bad title use generate karna shuru kar dete ha. Like:
- Post topic me 50% hindi and 50% english words use karna.
- Title limit se jyada length ka post topic choose karna.
- Extra words kyu, kaise and other ka jyada istemal karna.
- Other blog post se matched topic select karna.
- others.
Maine bahut se blogger ko dekha hai jo apne blog ki post ka title kuch is tarah rakhte hai. What is SEO – SEO क्या है is tarah ke topics galat hai. Aysa writer is liye karte hai taki search engine me unki post ko hindi or english user like kare.
But aesa nahi hai, mai ye nahi kahta ki aap post topic me english words use mat karo karo but only keywords ko english me likho baki sab hindi me hi likho. (Ye tips sirf hindi blogger ke liye hai hinglish blogger ke sath aysa nahi hai.)
Title tag sirf search engine ke liye hi important nahi hota hai balki post title user ke liye bhi utna hi important hota hai.
Mai manta hu ki aap SEO expert ho or aapko iske bare me sabkuch aata hai. But search engine terms & algorithms time to time change hoti rahti hai. So mai aapko suggest karunga ki aap user friendly post title select kare. Post topic post content ke saman important hota hai. So is type ke topics select kare jinhe har ek user like kare.
Aapko ye pata karna hoga ki aapki post ke liye kounsa title better rahega or kis par log jyada click karenge. I sure ek optimize title se aapko 100% organic traffic milega or us par jyada se jyada visitors click karenge. Yaha mai aapko kuch bate bta raha hu jo aapko title tag create karte time follow karni chahiye.
- Kabhi bhi auto-generated title tag use na kare, Some tools aapko automatically title create karke deti hai unse bache or apne experience ke hisab se topics create kare.
- Title me rich keywords and brand words use kare.
- Don’t follow keywords stuffing. I mean kabhi bhi topics me keywords repeat na kare.
- Always apne reader ke liye post topics likhe jo apaki post ko padhte hai. Only search engine ke liye nahi.
- I know title me keyword use karna achhi bat hai but google bahut smart hai. Aapko keywords se jyada is bat par focus karna chahiye ki content kis bare me hai. (What about content)
- Agar aap post title or content me kam se kam keywords use karoge to ye search engine ke sath aapke readers ke liye bhi behtar hoga.
Iske alawa mai is bare me bahut articles likh chuka hu. Aap iske liye humari baki SEO related post read kar sakte hai.
2. Post Length: More Content
Sab jante hai ki post ki better search ranking ke liye post content length bahut important hai. Aapki post me jitna jyada quality content hoga us post ki utni hi better search rank hogi. But kuch writer ise bhool kar bas search engine friendly post likhne me lage rahte hai or jab unhe traffic nahi mil pata to wo other blogger se kahte hai ki “Mere blog par SEO friendly content hone par bhi mujhe traffic nahi mil pa raha hai, mai kya karu.” Its very bad, Aesa nahi karna chahiye, hum only ek side dekh kar nahi chal sakte security ke liye har taraf dekhna jaruri hai. Theek wese hi only search engine ke liye post likhna sahi nahi hai.
Long content humesha search engine me first page par show hota hai but iska matlab ye nahi hai ki aap post me kuch bhi likh do. Post ke har paragraph me clear or useful information honi chahiye. Examples, Neil patel ek ayse writer hai jinke ek ek articles par millions views hote hai. Why, kyuki wo long content likhte hai or bilkul clear information share karte hai. Jise padhne ke bad user ko koi shikayat nahi rahti. I mean unhe post me jarurat se jyada badiya jankari milti hai.
Agar aap short and poor content likhoge to bhale hi wo sometime ke liye top position banaye rakhe. Aane wale dino me uski position down hoti jayegi. Becoz is duniya me sirf aap hi ek writer nahi ho aapse better likhne wale bhi bahut hai, aapko un sabhi be better likhna hoga.
Mai manta hu ki low quality content good nahi hai but long content kabhi bekar nahi hota. Never, content ki length jyada hogi to usme kuch na kuch sikhne ko jarur milega.
Online content marketr humesha kahte hai ki long content likho ye success ki sabse fisrt sidhi hai but bahut se blogger aesa nahi karte hai or ise avoid kar dusri choti choti post likhte rahte hai. Jo sirf kuch time ke liye search engine me show hoti hai uske bad unka search engine se name-o-nishan meet jata hai.
Aapke audience ko more content chahiye so jitna ho sake apne har topic par achhe se or clear tarike se samajhane ki koshish kare.
3. Your Experience:
Aapko blogging me kitna time ho gaya hai 1 month, 6 month, 1 year ya isse bhi jyada or agar abhi tak aapki site par traffic nahi hai to iska main reason hai aap abhi tak khud ko pahchan hi nahi paye. Hume kya karna chahiye se pahle ye sochna hai ki hum kya kar sakte hai.
Khud ki life ko chordh kar dusro ko follow karne wale humesha piche rah jate hai. Agar kuch karke dikhana hai to apne aap ko pahchano or apne experience se kaam karo. Bahut se blogger dusro ke dekhe dekhe unke jaisi post likhte hai. Iska result ye hota hai ki reader use usi ki copyrighting samajh lete hai.
Mai humesha apne reader se kahta hu ki kuch aesa kaam karo jo bilkul alag ho or log aapko sabse alag najro se dekhe. Jab tak aap bheed se bahar nahi nikaloge tab tak aapko koi nahi pahchan sakega. Khud ko sabit karna hai to sabse alag hat kar likho.
Jo dusre log likh sakte hai wo tum bhi likh sakte ho to tum wo kyu nahi karte jo tumhara deemag kahta hai or tumhe jo karna chahiye. Tumhe agar kisi kaam me thoda waqt ho gaya hai to tumhe uske bare me bahut kuch pata chal jata hai. Apne experience se pata karo ki aapke liye kya behtar ho sakta hai.
Aapke reader aapse kya chahate hai and wo aap me kya pasand karte hai, aapko wohi karna chahiye. Agar aap usse hat kar kaam karoge to shayad hi success ho pao. Some people kahte hai ki mai kis topic par post likhu. Mai aapko suggest karunga ki ek time ke bad agar aapko experience hoga to aapke pas content likhne ki kami nahi hogi. In my case, mere pas already itne topics hai ki mai sabhi par post nahi likh sakta.
You can’t have “good SEO” unless you have a good user experience. To have “good SEO” you must have great content (a beneficial user experience).
Aap bhi meri tarah ek blogger hai to fir aapke pas content ki kami kyu hai. SEO sabkuch ho sakta hai but experience master techniques hai. Jo shayad SEO se jyada effective hota hai. Aap jo search engine guidelines ko follow karke nahi kar sakte jo apne experience se kar sakte ho.
If you like this content plz share this with your friends.
blog ke head pe image jaise ‘supportmeindia’ kaise lagaye
CSS coding se laga sakte ho.
Aapki website per di hue information ko follow karte hue sirf 3 month me 70000 alexa rank tak aa gaya. I know alexa rank sab kuch nahi hai fir bhi sirf 3 month me mere liye ye karna ek sapne jaisa tha jise sakaar karne me aapka bahut bada yogdan raha thank you so much always keep smiling take care sir
बहुत ही आसान लफ्ज़ों में आप बड़े काम की बातें बता देते हैं। आपकी ये खासियत काबिलेदाद है। शुक्रिया।
sir post me hum focus keyword kitne bar or kis – kis jaghe par use kar sakte hai.
Jitni bar jaha jarurat ho use kar sakte ho.
Kya aap bata sakte hai block resources ki link ko fetch ya fetch and render karna chahiye . fetch karne par result complete aata hai aur fetch and render karne par partial aa raha hai ,mene 10 days pahale kush link ko fetch and render kiya aur status abhi bhi partial show ho raha hai. aur desktop ya mobile me se kya select karna chahiye.
Ye option sirf ye dekhne ke liye hai ki google aapki site ko kaise index karta hai. Ya fir aapki news site hai to aap apni posts ko jaldi search lana chahate ho to iska istemal karo warna jaruri nahi hai. Mobile or computer aapko jisme index karani hai wo select karo.
Dhanywad Jumeden Khan Bhai Apki Es Post Sa Muja Bhut Kuch Sikhna ko Mela webtechnicalsupports.blogspot.in Ya Mara Blog Hain Mana Abhi Adsense Ka Leya Apply Nahi Keya Hain Mari Site Pa Daily 100-150 Traffic Ha App Mari Site Dhak Ka Muja Kuch Tips suggested Kara Ke main aga kya karu