Blog Ki Alexa Rank Kaise Increase Kare Top 10 Tips

Alexa rank har website blog ke liye very important hoti hai. aapki site ki alexa rank achi hogi to 70% audience aapki site par alexa rank dekh kar visit karna chahenge. isliye website owner or blogger alexa rank increase karne ke liye bahut sari tips & tricks aajmate hai. jinme se kuch most tricks hoti hai. unhe follow karke aap apne blog ki alexa rank improve kar sakte ho. alexa rank aapke blog ki commercial value badhata hai. or ye to aap jante hai ki website ya blog ke liye commercial value kitni jaruri hai. aapki site ki value jitni jyada hogi. aap AdSense advertisment par aapki CPC utni adhik hogi.

How To Increase Blog Alexa Traffic Top 10 Tips

Agar aap chahate ho ki aapki site ya blog alexa rank par top par ho or aap AdSense se achhi income karo to aap is post me btayi tricks try kar sakte ho. isse pahle bhi mai alexa rank ke bare me kei post kar chuka hu. so agar aap apne blog se jyada se jyada paise kamana chahate ho to pahle apne blog ki alexa rank badhayiye. i promise aapki AdSense se hi achhi kamayi hogi.

Alexa rank ko amazon ne 1996 me launch kiya tha. iska kam hai website blog ki analytics report show karna ki website kaha kitni popular hai. Alexa Rank Kya Hai Alexa Rank Blog Me Kaise Submit Kare post me aapko alexa rank kya hai ke bare me details me jankari milgi. aap chahe to ye post pad sakte hai.

Alexa Rank Website Ki Kin Kin Wajah Se Badhti Hai

Alexa rank blog ki traffic, per day pageviews, social media par activity, website content, new post update, social sharing, guest posting, commenting and backlinks par depend karti hai. yani aapki site par jitna jyada traffic hoga, jitni jyada comment aayegi, jitne jyada log aapki site ko share karenge utni achi alexa rank hogi. iske bare me adhik jankari ke liye aap Blog Me Alexa Ranking Widget Kaise Add Kare post padiye.

Website Ki Alexa Rank Kaise Increase Kare  10 Popular Tarike

Yaha par aapko mai alexa rank improve karne ke kuch best ways ke bare me bta raha hu. jinhe follow karke aap apne blog ki alexa rank ko or jyada better kar sakte ho.

1) Claim Your Site To Alexa:

Sabse pahle apni site ko alexa se submit kae l. apni site ko alexa se submit karne ke liye aap humari Alexa Rank Blog Me Kaise Submit Kare post follow kar sakte ho.

2) Work With Better SEO:

Blog ya website ki alexa rank badhane ka sabse acha tarika hai ki aapki site ki post behtar SEO ko follow kar ke likhi gayi ho. aapki ek SEO friendly post aapki site ko 10k alexa rank top par la sakti hai. better SEO kya hota hai Black Hat SEO Vs White Hat SEO Kya Hota Hai post me iske bare me vistar se btaya gya hai. aap agar best post likhna chahate ho to ek bar is post ko jarur pad le.

3) Social Media Sharing:

Jab aap new post publish karte ho to post ko social media par share jarur kare. becoz aap ek post me ghanto time lagate ho to 5 minute de kar post bhi share kar sakte ho. alexa rank social media activity par bhi depend karta hai.

4) Create Your Site Page:

apni site ke liye facebook, google plus par page banaye or us par continue apne new post share kare. isse aapko visitors bhi milenge. backlinks bhi milega. or aapki site ki alexa rank bhi better hogi.

5) Guest Posting:

Apne blog par guest posting start kare or dusre blog par bhi guest post share kare. isse aapko dusre blogs se backlinks milenge. or jab aapki site ko backlinks milenge to aapki site ki ranking bhi badhegi. aap chahe to supportmeindia par bhi guest post kar sakte ho.

6) Fresh and Clear Article:

Post likhte time post me kisi topic par badha chadha kar content nahi dale. sirf utni bat likhe jo jaruri ho. or post me di gayi jankari clear ho jisse aapke visitors post ko aasani se samajh sake. isse aapki site ki bounce rate badhegi.

7) Comment On Other Blog:

Apne blog se related dusre blog par comment karke unse ache relationship banaye rakhe isse aapki site ki value badhegi. or sath hi aapko adhik traffic bhi milega. lagbhag har success blogger aysa karte hai. commenting blog ke liye backlinks kamane ka sabse acha or free tarika hai.

8) Add Alexa Widget To Blog:

Apne blog me alexa rank widget add kare. blog ki alexa ranking badhane ki ye ek free or easy tips hai. main iske bare me Blog Me Alexa Ranking Widget Kaise Add Kare post me details se styep by step samajhaya hai. aap ek bar is post ko pad le. uske bad fir se is post par aaye.

9) New Update Content:

aapke blog par jitni new or sabse alag jankari hogi. aapke blog ki alexa rank utni achi hogi. agar aap 5 aysi post liokhte ho jo pahle se internet par hai or 1 aysi post likhte ho jo pahle se internet par nahi hai to alexa rank increase karne me wo ek post aapki pahle se mojud 5 post se jyada achhi sabit hogi.

10) Add Alexa Toolbar To Your Browser:

Apne browser me alexa toolbar install kare. ye aapki site ko trace or update karne me help karti hai. alexa toolbar aapki site ko best position me lane me aapki help karegi. apne sath hi apne dosto ko bhi browser me alexa toolbar add karne ko kahe. alexa toolbar se blog ki rank kaise badhti hai ki jankari ke liye aap humari Google Chrome Me Alexa Toolbar Kaise Intall Kare post padiye.

11) Right Post On Alexa: Apni site ki alexa rank increase karne ke liye site par alexa rank par post likhe. jise alexa sabse jyada pasand karta hai.

By the way is post me maine aapko alexa rank improve karne ke jo tarike btaye hai. wo sab best tariko me se hai. mai ek bar fir repeat karta hu ki blog ke liye alexa rank better hona bahut hi jaruri hai. isliye is message ko ignore na kare. or apni site ki ranking badhane ki koshish kare. inme se blog me alexa widget or browser me alexa toolbar add karne me aapko jyada mehanat nahi karni hai. samajh lijiye ye aapko free tohfa hai.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 36 )

  1. Badal Kewat

    Thanks Bhai Aap ne bahut achhi jankari di

    Reply
  2. Utsav

    Sir agar HM ek new blog bana lete hai Puri taiyari k sath ,to usko rank hone me minimum Kitna time Lagta hai JB create krte hai tbse, jumedeen sir Aapne JB blog start kiya tha to usper kitne din bad traffic ane laga tha aur kB rank hone laga tha.aur apne first payment kitne din bad liya

    Reply
    • Jumedeen khan

      Aapke blog par jitni jaldi traffic aayega utni jaldi rank hoga.

      Reply

Leave a Comment

Ad

I need help with ...