Google Webmaster Tools Me Site Crawl Errors Fix Kaise Kare

Google webmaster tools (GWT) google ki best free SEO tools hai. Jo har type ke blog or website ki better search ranking banane me help karta hai. Sath hi google search console site ke complete health ke bare me jankari deta hai. Or hume website error ke bare me btata hai. In this post, Mai bat kar raha hu site crawl errors ki jinhe fix kar ke aap apni site ki search ranking badha sakte ho.

Google Webmaster Tools Fix Site Crawl Errors

Google search console ka ye ek bahut hi acha option hai. Jisse hum kuch simple step follow kar ke apni site par se error 404, DNS, Server connectivity and Robot.txt fetch errors fix kar sakte hai. Or apni site ko repair kar ke site ki search ranking increase kar sakte hai.

In my case, Mine crawl error ko fix kar ke try kiya hai. Isse humari site ki search rank 100% better hoti hai. Mai ise agar google ki master technique kahuga to koi badi bat nahi hogi. Kyuki jis tarah google world me no.1 hai. wese hi uski google webmaster service bhi site search engine optimization ki no.1 service hai. Or jiski help se hum site ki badi se badi problem ka pata laga sakte hai and use fix bhi kar sakte hai.

Google Webmaster Tools Site Crawl Errors Ki Jankari – GWT SEO Guide

Ye post 24 february 2024 ko likhi gayi hai or is waqt Google webmaster tools me DNS, Server connectivity and Robot.txt fetch  3 type ke crawl error fix karne ki service available hai. Jo future me kam jyada ho sakte hai.

  1. DNS Error
  2. Server Connectivity Error
  3. Robot.txt Fetch Error

Crawl Errors

  1. DNS errors: Jab hum site ko internet connection disable hone par open karte hai to browser me jo “Unable to connect to the Internet” ka error show hota hai. Ya fir site ka DNS address chane karne par jo error show hota hai. Use DNS error kahte hai. Ye normal issue hota hai. But better site ranking ke liye ise fix karna jaruri hota hai.
  2. Server connectivity error: Ye error server problem or slow internet connection ki wahah se hota hai. Jab koi aapki site ko open karta hai to server problem ke reason se site load hone me bahut time leti hai to server connectivity error show hota hai.
  3. Robots.txt fetch errors: Ye site par sabse common issue hai. Jo Robot.txt File ke karan show hota hai. Yani jab hum kisi page ya post ko Robot.txt ki help se search engine se hide karte hai to search engine me uska link remove hone me 1-5 day lag jate hai. Is time me koi us link par click karta hai to ye error show hota hai.

GWT me ye crawl error normal hote hai or aap inhe kuch simle step follow kar ke fix kar sakte hai. But agar search console aapko crawl error ka mail send kare to aapko real me apni site ko repair karne ki jarurat hai.

Google Webmaster Tools Me Site Crawl Errors Fix Kaise Kare

Google webmaster tools par jaye or apni gmail ID se log in kare or dashboard me jis site par crawl error fix karna hai us site par click kare.

  1. Crawl select kare.
  2. Crawl Error par click kare.
  3. Ab aapko Desktop, Smartphone or Feature phone sabhi par crawl error check karne hai. Jis par error ho us par select kare.
  4. Ab sabhi error links par select kar ke “MARK AS FIXED” par click kare.

Fix Crawl Errors

Humesha yaad rahe ki server loading slow time ki wajah se site par error aate rahte hai. Isliye 2-5 days me google webmaster tools me crawl erro fix karte rahe. Jisse aapki site ki search ranking me kami na aaye or aapko search engine se barabar traffic milta rahe.

Agar aapko is post me di gayi jankari (Information) useful lagti hai to is post ko social media par apne friends ke sath share jarur kare.

In: Categories SEO
Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 144 )

  1. Imran Ahmad

    Jumedin bro mera blogspot blog hai mere pass mobile usability issues ka email aya hai brother aap ise fix karne ka tarika bata dijiye mein bahut koshish kar chuka hu but abhi take ise fix karne me nakam hu please
    help me
    Dusra sawal yeh hai kya blogger blog me custom template use kar sakte hain
    Template change karne se AdSense account me to koi problem nhi hogi

    Reply
    • जुमेदीन खान

      Google issue ke sath solution bhi btata hai, use check karo. Yes karr sakte hai, no problem.

      Reply
      • Himanshu

        Kya ye problem hone pr Adsense approved nhi hota , please btaye.

        Reply
        • Jumedeen Khan

          Ho jayega, lekin agar aap inhe fix nahi karoge to search ranking problem hogi.

          Reply
  2. नवीन शर्मा

    सर आज ही मेरी वेबसाइट पर क्रॉल एरर 6 दिखाए दिए और मैंने उन्हें आपकी पोस्ट पढकर सोल्व भी कर दिया,

    लेकिन ऊपर अभी भी नॉट फाउंड 6 लिखा आ रहा है, तो ये गायब हो जाएगा अपने आप या हमेशा रहेगा?

    Reply
    • Jumedeen khan

      Ye 24 hours me change ho jayega.

      Reply
  3. Afreen

    Thank you so much. Mere search console me kafi dino se yah problem thi, joki ab aap ki wajah se solve ho chuki hai ise share karne ke liye thank you…….

    Reply
  4. Md Rajikul Islam

    Hello Sir
    Mere search console me ye message aiye hai.

    Search Console has identified that your site is affected by 1 new Index coverage related issue. This means that Index coverage may be negatively affected in Google Search results. We encourage you to fix this issue.

    New issue found:
    Indexed, though blocked by robots.txt

    isse kaise fix kare .

    Reply
    • Jumedeen khan

      Aapki site ka koi page robots.txt file se block ho raha hai use check kar fix karo.

      Reply
  5. Zishan Ali Gulzar

    वेबमास्टर टूल में Access Denied का Error 4 दिन से आ रहा हैं. इसे कैसे Fix करे. मैंने सभी फोल्डर के परमिशन को चेक किया, सभी ठीक हैं. परमिशन कोड 0755 डाला हुवा हैं. साथ ही होस्टिंग कस्टमर केयर से भी कांटेक्ट किया और उन्होंने भी बोला की यहां से कोई इशू नहीं हैं. पर ये Error हर रोज आ रहा हैं. कृपया बताये ये Error कैसे ठीक करे.

    Reply

Leave a Comment

Ad

I need help with ...