Nofollow Aur Dofollow Links Kya Hai Dono Me Kya Fark Hai

Jab mai Search Engine Optimization ke bare me article likhta hu to meri humesha koshish rahti hai ki mai apne reader ke liye kuch better jankari share kar saku. In this post, Mai aapko bta raha hu ki No follow and Do follow links kya hote hai or SEO ke liye konsa link use karna sahi hai.

Jo blogger blog SEO me new hai unke liye Nofollow or Dofollow links ki information hona bahut jaruri hai. Agar aap ko bhi dofollow or nofollow link ki confusing hai to ye post aapke liye useful sabit ho sakti hai.

No Follow or Do Follow Link Kya Hote Hai

No Follow and Do Follow link ke bare me janne se pahle mai aapko suggest karunga ki aap pahle backlinks ko ache se samajh le. Kyuki backlinks ki jankari ke bina ye post aapke sir ke upar se nikal jayegi.

Backlinks Kya Hai or Ye Blog SEO Ke Liye Kyu Jaruri Hote Hai post me maine backlinks ke bare me details se btaya hai. Aap pahle is post ko read kare uske bad is post ko padhe.

No Follow and Do Follow links Ke Bare Me Janna Kyu Jaruri Hai?

Blogging me fir chahe wo kisi bhi topic par ho other site ke links use karne ki jarurat hoti hai. Or agar humse galti se bhi kisi bad site ya fake site jaise p*rn, s*xy product, bad information, hacking tips and criminal info site ka link apne blog ki post ya commnet me add ho gaya to search engine humari site ko spam kar sakta hai.

Jiska natija ye hoga ki humari site search wengine me show honi band ho jayegi. Show is problem se bachne ke liye hume nofollow or dofollow ki jarurat hoti hai. Jiski help se hum bad links ko search engine se chupa sakte hai.

Search engine kisi bhi tarah ki hinsak samgree blog par share karna aloow nahi karta hai. Or agar aapka blog blogger par hai to goole aapke Blog Ko Delete bhi kar sakta hai. So is post me btaye tarike se ye matlab nahi hai ki aap bad links ko search engine se hide kar galat jankari share kar sakte ho.

NoFollow Vs DoFollow Link Dono Me Kya Difference Hai

Upar btayi bato se aapko ye to clear ho gaya hoga ki hume No Follow or Do Follow Links ki jarurat kyo padti hai. Or mai ye bhi man leta hu ki aapko backlinks ke bare me achi jankari hai. So ab mai aapko btane ja raha hu. Do-Follow and No-Follow link ke bare me. Agar aap real me iske bare me jankari chahate ho to meri bat ko dhyan se sune or samajhe.

1. No Follow Links Kya Hote Hai

No Follow Links wo link hote hai jinhe search engine robot post ko index karte time ignore kar deta hai. My means search engine nofollow links ko index nahi karta hai. Iska matlab hai ki website owner ya blogger nofollow link use karega to use search engine pass nahi kar sakta ause sirf human yani peoples hi read kar sakte hai.

Simple shabdo me kahu to hum nofollow link use kar ke search engine se link ko chupa asakte hai. Or apni site ko search ranking me spam hone se bacha sakte hai. No follow links un site ke liye kiya jata hai. Jo fake site ho sakti hai.

Example No Follow Link:

<a href=”https://www.supportmeindia.com/” rel=”nofollow”>Supportmeindia</a>

No Follow link use karne ke liye aapko link me sirf rel=”nofollow” code use karna hai. Uske bad search engine is link ko nahi padh sakta.

2. Do Follow Links Kya Hote Hai

Do Follow Links Sabhi search engines ko links index karne ko allow karta hai. Yani do followe links ko all search engines pass kar sakte hai. Search engines or human dono is link ko padh sakte ho.

Or aap do follow link me Keywords Use Kar ke apni site ki search ranking ko increase bhi kar sakte hai. Mera kahne ka matlab ye hai ki jab hum post me backlinks use karte hai to links ki jagah Focus Keywords bhi use kar sakte hai. Jise anchor text kahte hai.

Example No Follow Link:

<a href=”https://www.supportmeindia.com/”>Supportmeindia</a>

All defualt links Do Follow links hote hai. So aapko link me Do-Follow link use karne ke liye koi extra code use karne ki jarurat nahi hai.

Ab aapko ye bat pata chal gayi hogi ki No Follow and Do Follow links me kya antar hai or ye kaise kaam karte hai. So ab mai aapko ye or bta du ki “Websie Ya Blog Me No Follow and Do Follow link Kaise Use Karte Hai“.

No Follow and Do Follow links

Google ka kahna hai ki hume apni site ya blog me outgoing links use karte time nofollow links use karna chahiye. jisse aapki site ki search ranking low na ho. But iska matlab ye bilkul nahi hai ki aap har jagah nofollow links use karo.

Aysa karne par search engine un links ko index nahi kar payega or aapki site ki search ranking discrease ho jayegi. So ye sawal bahut important hai ki hume nofollow links kaha kaha use karne chahiye. Don’t worry mai iske bare me bhi details se bta raha hu. Aap bas post ko dhyan se padhe.

Do Follow Links Kaha Kaha Use Karne Chahiye:

Hum jo bhi links blog post me use karte hai. Wo sabhi links dofollow links hote hai. Iske liye hume link me koi bhi code alag se add karne ki jarurat nahi hai. Ye kuch point hai jo aapko or bhi aasani se samajh aa jayenge.

  1. Apni site ki other post ke links: Aap apni hi site ki dusri post ka link dofollow link ki tarah use kar sakte ho. Mai hi nahi sabhi blogger or website owner aysa karte hai.
  2. Related content links: Agar koi aapki site se related jankari share karne wali site hai or usse aapke ache relation hai. Aapko us par pura yakin hai ki us par bad information share nahi ki jati hai to aap uska links bhi dofollow kar sakte ho.
  3. High quality websites:  Internet par jo website fomous hai or jinke bare me sabhi o pata hai ki in par 100% sahi jankari hoti hai, Jaise google, yahoo and other.
  4. Original source link: Jis site par aapko pura bharosha hai ki is par original content share kiya jata hai. Uska links bhi aap defualt use kar sakte ho.

No Follow Links Kaha Kaha Use Karne Chahiye:

Jab bhi hume aysi other site ka link apni post me add karne ki jarurat padti hai, Jiske bare me hume puri jankari na ho. Uske link ke liye hum No Follow type ke links use kar sakte hai.

  1. Unrelated sites in content: Jis site ka content aapki site se related na ho or jis par aapko pura bharosha na ho. Uska link aap nofollow typeme use kare.
  2. Bad Sites: First to aapko apni site me p*rn, s*xy product, bad information or hacking ki jankari dene wali site ka link add nahi karna chahie. But agar jyada hi jarurat ho to inke link ke liye 101% nofollow type ka link use kare.
  3. Affiliate Links: Affiliate site pata nahi kis kis tarah ke product sale karti hai. Unme fake information bhi ho sakti hai. So aap affiliate programing site link ke liye bhi nofollow links use kar sakte hai.
  4. In comments section: Comment section me humesha dusri site ka link btate time nofollow links use kare.

Mai aapko yahi suggest karunga ki aap affiliate marketing or other kisi spam site ke liye noindex attribute yani no follow links hi use kare. Or jaha tak ho sake spam website ka link apni site par add karne se bache.

Agar aapko is post ke bare me koi question puchna ho to niche commnet me post kar sakte ho or post achhi lage to ise share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (73)

  1. Avatar for FlyustravelsFlyustravels

    This is best blogging site in Hindi

  2. Avatar for Harsh KumarHarsh Kumar

    Bhai Domain Ki authority ko kese improve kar sakty hai or hum kisi comment mai apni website link krty hai ahref tag sai to vo automatically do follow hogi ya no follow?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. Sabse important quality content likho.
      2. On-page SEO kare, jaise ki title tags, image alt tags etc.
      3. High-quality content likho jise dusre blogger khud hi apni site me link kare.
      4. Internal links and external links ka istemal karo.
      5. Broken links ko time par fix karo.
      6. Quality backlinks banao.
      7. Apni website ko mobile-friendly banao.
      8. Website ko speed up banao.
      9. Jyada ads aur affiliate links use mar karo.
      10. Specific topic par apni pahchan banao.
      • Avatar for Harsh KumarHarsh Kumar

        Bhai Quality Backlinks Ky liye Kuch Suggest Kro

  3. Avatar for Abhimanyu SoniAbhimanyu Soni

    Mera ek tutorial he, waha par link par click karke koi bhi online editor par practice kar sakta he, par google me wo editor ki link bhi index ho rahi he, aur waha par koi content nahi he, isse mere mere jo post search hona chahiye us par problem ho sakti he, aur kya me editor ki link me no follow use kar saktaa hu.

    ek baar aap meri website visit kijiye please.

    • Avatar for जुमेदीन खानजुमेदीन खान

      nofollow tag use karo, koi problem nahi hogi.

  4. Avatar for Dileep GuptaDileep Gupta

    Bahut achhe se apane hame samajhaya hai

  5. Avatar for sandip nayaksandip nayak

    Dear sir
    mene abhi apna ek website open kiya hai digital marketing sikkhne keliye.
    to apse kuch tips sikhna chahtahoon, kya apka contact number mujjhe mail karenge .

    • Avatar for जुमेदीन खानजुमेदीन खान

      आप मुझे ईमेल के द्वारा संपर्क कर सकते हैं

  6. Avatar for Shashi mauryaShashi maurya

    Apne jis tarah do follow or no follow link ko explain kiya hai I appreciate that……thank you for sharing.

  7. Avatar for Sultan singhSultan singh

    sir kya niche related site per commenting se mili huwe backlinks se search rank improve hoti hai. ya rank down ho jati hai. in nofollow backlinks ki kuch value hoti hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Improve hoti hai.

  8. Avatar for JeffyJeffy

    Hi i want to ask you something about the nofollow attribute.

    What if i set comments and backlinks to be DOFOLLOW but i have cloaked links in all posts that have NOFOLLOW attribute?
    Does it affect my page rank or should i put DOFOLLOW in all my cloaked links?

    Will google block my site for having too many affiliate links ?

    Thank you for responding since this is quite important for my site.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. Always use nofollow comments link.
      2. yes you cloaked affilaite link but google is very smart so please mention minimum affiliate links.

  9. Avatar for Pawan GautamPawan Gautam

    very nice information Grateful.
    mera aaj ek bat aachhi tarha Samjh aa gai ki aap blogging ko pura kabhi nahi sikh sakte ho ..

  10. Avatar for MadhushaliniMadhushalini

    I have seen lot of websites uses nofollow than do follow links to get to the front page of google, but it is feasible or will get penalised by google ?

  11. Avatar for Sai KiranSai Kiran

    That was an informative article for a new blogger. It will really keep the newbies focused. Thanks keep sharing more

  12. Avatar for Ammi SinghAmmi Singh

    sir traffic me koi kami ni hai traffic pehle se Jada aata hai but 20-25 days se kabhi bhi Alexa rank kam nahi huyi roz badti hi jati hai patani kya ho gaya hai kuch pata hi ni chal ra

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ok ab aap sirg quality content likhne par dhyan do rank apne aap better ho jayegi.

  13. Avatar for Ammi SinghAmmi Singh

    sir agar hamse koi galat Facebook group ka link post par published ho gaya ho to kya Alexa rank a kharab hogi ??

    Maine ek din fb ke bade bade groups ki links add kiye the post me par WO to sab sahi the par kuch kuch ki language Urdu thi kya meri Alexa rank usi wajah se kharab hori hogi 6 lakh se 12 lakh chali gayi hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi usse alexa rank nahi badhti. Alexa rank aapke content ki quality or traffic par depend karti hai. traffic badhao or badiya post likho.

  14. Avatar for deepak kumardeepak kumar

    Great post thanks for sharing

  15. Avatar for rohaanrohaan

    Thanks bro bahut achhi jankaari hai.

  16. Avatar for pramod kumarpramod kumar

    bahut tagdi jankari di hai bhai mai ye puchhna chahta hu ki apke kisi bhi post ka link ager mai apne site per add karna chahta hu to vo link kaha se miega mtlb ager mai vo link add karne se apke website ka home pege na khulkar Uri post khule thanx

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap jab meri koi post ko open karte ho to uska link search bar me se copy kar sakte ho.

  17. Avatar for AryanAryan

    Bro maine apni site me 12 din pehle gogglesAdSense apply kiya tha lakin dissapprove ho gya lakin apne kha tha 8 ya10 din wait karo gogglesAdSense ka apply button enable ho jayega blog me lakin esa ni hua ab muje ye bataiye mai ab gogglesAdSense ko apply kha se karu( blog me jha earning ka option aata tha wha ab dissapprove aane laga)

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Sabse pahle aap AdSense ke disapproved message me jo aapki site me kamiya btayi thiunhe solve karo. Uske bad AdSense me option enable na ho to aapko domain lena hoga. fir aap domain se AdSense account bana kar ads laga sakte ho.

  18. Avatar for rashid alirashid ali

    HELLO SIR MEIN APNE BLOG KA DOMAIN NAME KHAREEDNA CHAHTA HUN AUR USKA APAYMENT MEIN APNE SIM CARD KE BALANCE SE KARNA CHAHTA HUN KYA HO SAKTA HAI

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ali first to aap small letter me comment kiya karo. second aap sim se payment nahi kar sakte. aapko atm yani debit card ki jarurat padegi.

  19. Avatar for Jai singhJai singh

    Hi sir mei aaj ek suggestion bata raha hu bura lage to please maaf karnaa……
    ↓↑↓↑
    Sir aap sab achhi post karte ho or useful bhi lekin !! Sir mene kafi blog pe search kiya lekin mujhe ek post mei sabhi “ webmaster tool ” ke baare mei nahi bataya gaya hai ! Mei chahta hu ki aap webmaster ko pure tarike se uske har “head” or “subhead” ke baare mei bataye. Thanks

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Jai isme bura mannege ki kya bat hai. Mai to aapo iske badle thanks kahna cvhahunga ki aapne mujhe apne liye post likhne ka mouka adiya hai. Aysa mai pahli bar nahi kar raha hu. maine pahle bhi apne bahut visitors ke liye post likhi hai. Aapke liye bhi jarur likhunga. Thanks

      • Avatar for Jai singhJai singh

        Thanks sir, mere liye nahi ye unke liye hai jo new hai mera alexa india mei 13,000 ho gaya hai leki mujhe aaj bhi yaad hai jab mei new tha tab koi bhi help ni karta tha isliye.

  20. Avatar for surendrasurendra

    Aapki post padhkar ek baat toh samaj aa gayi ki kishi dusri site ki link post me ad karte waqt dyhan rakhana jaruri hai . phele toh mujhe pata nahi tha lekin ab se aage iss code ko jarur use karunga .
    and thanks for advice

  21. Avatar for DilipDilip

    mene template send kr diya hai

    apki ye post pad kar Jo mene back link ke bare me samjha h bo ki agar ham kisi blog PR comment kare to koi us comment se mere blog PR aaye to usase mujhe back link milegi agar ye sahi hai to very very thanks kyoki aj tak meri samajh se bahar thi ki back link kya h

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Your wlkm bro, supportmeindia par regular visit kiya karo. aapko daily koi na koi new jankari jarur milegi.

      • Avatar for sarveshsarvesh

        Sir maine kai vari comment ki h but i hv no respons
        plzz sir batiye kuch asa ki easly m visit kr saku
        Sir plzz mujhe bi batiye ki kese blogging kr skte h

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Srvesh main blogging ke bare me kei post likh chuka hu wo padha karo or kuch samajh na aaye to comment me pucho.

  22. Avatar for DilipDilip

    sir agar koi p*rn site ka link se comment kare to us comment ko delete kr de to sahi hoga

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Dilip plz bacho jaise sawal mat pucho. har ek bad link commnet ko delete hi karna hai.

  23. Avatar for Mangal deepMangal deep

    bhaiya ek sawal hai mera, jaise ki man lijiye mere har ek post me ek ek photo add karta hu, ab me chahata hu har post me jo photo hai uske uppar 700*300 ka add lagana bo kaise possible hoga plz bataye, me manually ek ek post me add nhi karna chahata hu kuch aisa hona chahiye jisse ekbar add karu or har post ke photo ke uppar ho jaye plz bataye bro.

      • Avatar for Mangal deepMangal deep

        bro ye to pata hai ye ek fix place ho gaya. mera kehane ka matlav hai mere post ke andar jitne bhi images honge uske uppar kaise add lagau, manually lagana nhi chahata ek ek karke

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Blogger me aapko ek ek post me ads code paste karna hi padega.

  24. Avatar for shivashiva

    sir ap muje ache tamplet ke baare me bata
    dejiye ki konsa tamplet use kru … .
    or merw kuch swaal he ap ans de dejiye ?
    1. sir me jb bi post krta hu tb niche coment
    ka box kese add kre taaki log cment kr ske ?
    2. sir blog ke last me niche me apna photo
    dalna chahta hu wo kese daalu ?
    3. or sir koi free me acha waala tamlet bta
    dejiye taaki blog ko acha bna sku ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap koi bhi template use karo. bas wo mobile friendly honi chahiye.

  25. Avatar for aryanaryan

    Sir Mene Ekk naya Blog banaya hai ! uspar muze Dher Sare Comment bhi Aa rahe hai par Sir Muze Ye pata nahi Chal raha hai ki unn Comment ka Reply kaha se karu ! kyu ki me Blog Open karte Comment ka Reply du to Google Adsense Invalid Click ke Policy se Account Blog kar degi to Sir Aisa koe tarika hai ki me Bina Blog khole Googleya Gmail se Direct Coment ka Reply de saku jo mere viwer ko bhi mile Aur mereblog par bhi Show hoye plz help mi sir

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aryan mai ummid karta hu kiaap meri bat ko dhyan se padhoge.
      aap blog open karke commnet ka reply karoge to aapka AdSense block nahi hoga. aapko iske bare me jisne bhi btaya hai galat btaya hai. Lagbhag har ek blogger blog ke throw hi commnet ka reply karta hai. Plz understant it.

  26. Avatar for ManishManish

    Sir meri AdSense account approve ho gayi hai.mai chahta hu ki aap muje please bataye ki mai ads kaha kaha lagau.please meri website ko ek baar dekhkar jarur bataye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapka blog open nahi ho raha hai. uski jagah godaddy ki site open ho rahi hai. Aap godaddy customer care me call kar apna domain active karao.

  27. Avatar for Maharshi BhattMaharshi Bhatt

    me jab blogger me enter hota hu aesa likha hua aata hai
    Your blog was locked for violating Terms Of Service. If you wish to request a review of your blog, edit its content and click ‘Appeal’. This blog will be permanently deleted within 89 days unless you request a review.

    ab kya karu……….blog khul hi nahi raha…..edit its content likha hai wo kese add karu

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapka blog google ne lock kar diya hai. Aapne dusro ki post copy ki hogi. apeal par click karke aap bas google se request kar sakte ho.

  28. Avatar for DilipDilip

    apki email I’d kya hai comment me likh do

  29. Avatar for DilipDilip

    sir mujhse zip file XML me convert nhi ho rhi hai plz ap covert kr ke meri email I’d freedilipblog @gmail.com par bhej do kyoki mere pass PC nhi h or computer centre me ye sab karne nhi dete template ka naam
    the funk blogger hai jise gooyaabitemplates.com se download kiya hai plz sir jab mail kar do to ek comment karke bata dena

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      OK, Aap mujhe template send kar do. mai use convert kar dunga. aapko kal template mil jayegi. Is time mai bahut busy hu.

  30. Avatar for DilipDilip

    sir agar gooyaabitemplates.com se free tamplate download kar ke blog PR set kr du to in free template se blog crypt to nhi hoga

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi koi copyrighting nahi hogi. lakho naho croro blogger gooyaabetemplates use karte hai.

  31. Avatar for karan jethwakaran jethwa

    kya aap bata sakte hai ki me template me konse changes karu toh ye problem solve ho jayegi or template change karne se site design fir se karne padegi na

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Har template ki coding alag lag hoti hai. isliye isme mai aapko guide nahi kar sakta. Ye problem aapke template coding chedne se hi huyi hai. Aap fir se yahi teplate dubara download kar ke blog me upload karo. Aapne isko pahle bhi design kiya hai so fir bhi aasani se kar lo. iske liye aap template ka backup le sakte ho.

  32. Avatar for mangaldeepmangaldeep

    mera ek bahut bada confusion hai, man lijiye mere site ka comment do follow hai, or koi bhi muh utha kar hame comment kar deta hai bo bhi p*rn websites ka link to mere website ke ranking kharab hoga kya ???

    or ek question
    man lijiye me dusre dofollow gande gande website me apna websites ke link comment karta hu to isse meri ranking increase hoga ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapke dono hi sawalo ke jawab already post me hai. fir bhi mai repeat karke btata hu.
      1. bad sites link se koi commnet karega to bilkul aapki site ki ranking kharab hogi.
      2. hum nofollow link use karke bad site kaa link apni site par add karke search engine se hide kar sakte hai. But sirf tabhi jab bahut hi jaruri ho. iska matlab ye nahi hai ki aap search engine policy ka galat istemal karo. bad site ka link apni site par post or commnet dono me add karne se bacho.

      • Avatar for mangaldeepmangaldeep

        Or agar man lijiye me apne site ka backlink banane ke liye kuch do follow p*rn site me comment karta hu apne website ka link to ye backlink se site rank kharab to nhi hogi, ?

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Mangal tum ek samajha boy ho kar aysi bevkufi ki bad karte ho yakin ahi hota. are bhai tum khud sharab piyo ya koi or aapkoa sharab pilaye dono tariko se nasha aapko hi hoga. Same wese hi chahe aap poer site ka link add karo ya fir p*rn site me apni site ka link add karo. dono se aapko nukshan hoga.

  33. Avatar for karan jethwakaran jethwa

    Hello bhai,Meri site pe ek problem aa rahi hai.Jab bhi me mere site ke pages open karta hu jaise ki about us,Contact form toh voh double (do baar) aa raha hai.Aisa kyu ho raha hai ? Aur mene page Html bhi check kia sab sahi hai.Par aisa kyu ho raha hai pata nai chal raha ! pls help me

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ye aapke blog ki template ki coding problem hai. Template change karo problem solve ho jayegi.

  34. Avatar for vikashvikash

    Sir,mene aaj 3rd PIN ke liye apply kiya hai,mera Adsense pin av tak nhi aya.Mere pas pan card or bank passbook hai.Agar 3rd tym v pin nahi aya toh mughe kya karna chahye.PAN Card me address nahi hota hai,or Bank passbook me mere address me PIN CODE nahi likha hai.Baki sabhi address same hai ,mughe address proof upload karne wqt kya karna hoga.Or Mai ek sath 2 proof kaise upload karunga.Its urgent Becaz mere earning hold pe hai isi wajah se.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapne sabse badi galti to ye ki hai ki aap 3 bar pin verify kiya. kyuki AdSense sirf 3 time hi pin post send karta hai. I sure aap jo address AdSense par dalte ho AdSense waha posr jarur send karta hai. but postman ki galti se wo post aap tak nahi pahuchti hai. Jab aapko pahli 2 post nahi mili to last option to bacha kar rakhna tha. Agar ab bhi post na mili to aapko personal documnets verify kar AdSense ko feedback bhejna padega. jisme kitna waqt lagega ye google hi janta hai.
      Solution:
      aapko 2-3 verify pin AdSense par nahi dalne hai sirf ek hi dalna hai becoz 3no post me ek hi link hoga. aapne jo address AdSense me set kiya tha. waha ki post office me pata karo. AdSense ki post jarur aayi hogi. or AdSense post send karne ke 25-30 din bad aapko post milti hai.

      • Avatar for vikashvikash

        Postman ne mere ek documents ko parso pahuchaya hai postman ki galti nhi hai.galti meri hai qk mene pahle 2 bar address me apna state nahi diya tha.is bar sahi address hai.but mge dar h agar is bar nahi hua toh mughe bank passbook ka copy scan karna chahye kya

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Nahi, aap aphle 3ri post aane do. ummid karta hu is bar aapne sahi addpress dala hoga or aapko post mil jayegi. Tab tak aap wait karo. fir bhi post na mile to uska solution bhi bta dunga.

          • Avatar for vikashvikash

            Thanq bro,mai bhi apke tarah bahut sara dollar kamana chahta hu.meei present earning per day $5 dollar hai.mere 100 complete ho chuke hai lekin pin ke wajah se mai paise nikal nahi skata.aap plz meei help kardo,qk 5 mnth se din raat bloging kar raha hu.lekin 1 rs v hath nahi laga hai.mai apki tarah hi acha amount chahta.Aoki site bahut achi hai bahut achi

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Vikash mai aapki abhi bhi help kar raha hu or aane wale time me bhi karunga. Bekar ki tention mat lo. Sabkuch sahi ho jayega.

  35. Avatar for karan jethwakaran jethwa

    jab hame koi visitor contact form se message karta hai toh Voh message kaha aata hai.Matlab ke voh messagw hame kaha se or kaise milta hai hai ya pata chalta hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapki gmail ID par jo aapne contact form me set ki hai.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...