50 Reason Jinse Aapki Site Ko Google Se Penalty Mil Sakti Hai

Google duniya ka sabse bada search engine hai or har website and blog par 30% google search engines se aata hai. Google chahata hai ki wo accurate information, unique content and original jankari share karne walo ko better service provide kare or risk uthane wala hi uske content ka asali malik ho. Isiliye google ek uncompromising mission par hai. Jisme wo bad users ko penalty de kar apne algorithms ko behtar banana chahata hai.

50 Reasons Your Website Penalized By Google

Unfortunately, Google ne agar aapki site ko penalized kar diya to ho sakta hai aapka blog google search me se banned ho ho jaye. Ya fir aapke kuch content google search me se hide kar diye haye. So agar aap nahi chahate hai ki google aapki site ko ban kare to aapko chahiye ki google ki guidelines ache se follow karni chahiye.

Is tutorial me mai aapko kuch ayse reason bta raha hu jinki wajah se google aapki site ko penalty de sakta hai. Actually kei bar google galti se original content ko copyright samajh leta hai. Jisse us original content ke owner ko nirasha hoti hai or google nahi chahata ki uska koi reader use napasand kare. Isiliye google day by day apne SEO rules ko or shakt karta ja raha hai. Isi wajah se mai aapko suggest karunga ki aap google ki latest SEO news padhte rahe.

Google Penalty Kya Hai?

Google pichle 10-15 year se yani lagbhag 2000 se apni search ranking Algorithms me changes kar raha hai. Wastav me in salo me google bahut badal gaya hai. Jaise jaise google ko apne user se shikayte milt irahi google ne apne rules change kiye or aaj google ki guidelines follow kiye bina hum google search me achi rank nahi pa sakte.

2012 ke bad google search me only 10-12 results page show hone lage hai. So in 10 position me apni site ko dikhane ke liye hume SEO ko ache se follow karna hota hai. Jiske liye hum din rat mehanat karte hai.

Google penalty 2 tarah ki hoti hai automatically and manually. 1. Automatic penalty yani SEO ko ache se follow na karne par google me humar isite ka achi position me show nahi hona. 2. Manually penalty ke bare me mai yaha aapko details se bta raha hu.

50 Reason Jinki Wajah Se Google Aapki Site Ko Penalized Kar Sakta Hai

Google lagatar aapki site ko index karta rahata hai or jab aap koi new content share karte ho or aapki post me 100% original content hota hai ot aapki post kuch hi minutes ya fir seconds me google search me show hone lag jati hai. Dusri taraf aapki post copyright hoti hai to googlebot use ignore kar deta hai or wo post jaldi search me nahi aati hai. Aayiye jante hai aysi hi kuch bato ke bare me jinki wajah se aapki site google search se banned ho sakti hai.

  1. Duplicate content: Ho sakta hai aap kisi or ka content copy karo or aapki site search me achi position par show hone lag jaye. But google ki nazar me copyrighting useless work hai or jaise hi use iske bare me pata chalega wo aapki site ko penalty de sakta hai.
  2. Buying links: Google chahata hai ki aap apni site ko apne dam par promote karo. Internet par aapko link sell karne wali bahut si site mil jayegi. But yaad rahe links buy karne se aapki site ki search rank down ho sakti hai.
  3. Excessive links: Apne blog par bahut jyada bina jarurat ke links ko add karna.
  4. Hidden links: Google chahata hai ki site ke sabhi links visiable ho or user ko clear dikhe. Isiliye site content me koi links chipaye nahi.
  5. Footer links: Website footer me unnaturally and bad links add karna.
  6. Broken external links: Bahut bar hum kisi page ko delete kar dete hai to dusre pages me uska link add hota hai us par click karne se erro 404 aata hai. Agar aap ayse hi open na hone wale links ko bahut time tak update nahi karte hai to google ise bad user experience samajhta hai.
  7. Rented links: Google paid links jo ki hume pay karte hai ko kam pasand karta hai.
  8. Site-wide links: Apni site ke sabhi pages ko ek dusre se jodne ke liye unme links add kara SEO ke liye better hai. But ek content me jarurat se jyada links add karna google pasand nahi karta hai.
  9. Forum linking: Hume post me jarurat padne par forum links add karne padte hai. Jaise ki aap blog create karne ke bare me post likh rahe ho to aapko usme uske links add akrne hote hai. But yaha bhi aap kuch hi links add kar sakte hai.
  10. Malicious backlinks: Aapko ye pata hona chahiye ki aapki site par kis bare me bat horahi hai. Aapki site par agar aapke bare me bekar ki bat karne wale log jyada hai to aapko google se penalty mil sakti hai.
  11. Smuggled links: Apni site par adult, s*x, smoking, drinks jaisi merchandise site ka link add karna.
  12. Few outbound links: Google chahata hai ki aapki site content me other websites ka link add kiya jaye or aapki site ka dusri sites se acha relation ho. Agar aap aysa nahi karte hai to bhi google aapki site ko ban kar sakta hai.
  13. Low Quality Contet: Agar aap bahut samay tak helpless content share karte hai.
  14. Content theft: Agar koi aapki site ke content chori kar raha hai to bhi aapki site search rank se unlisted ho sakti hai.
  15. Domain has a bad rep: Agar aapne pahle se use kiya hua domain kharida hai or uska past me bad uses hua hai to us par aapka new site build karna kisi buri tarah se tuti hyi sadak par car chalana jaise hai. Yani wo earch me achi position bana payega ya nahi iski koi garantee nahi hai.
  16. Poor mobile websites: Aapki site mobile friendly nahi hai or us par mobile user traffic bahut kam hai.
  17. Overusing H1 tag: H1 heading SEO ke liye better hai or isse google ko aapke content ko samajhne me aasani hoti ha. But agar aap H1 tags ka galat istemal karte ho to aapki site search se banned ho sakti hai.
  18. Error 404 page: Google chahata hai ki aapki site par error 404 page ho or usme iska reason likha ho. Jisse user ko content read karne me problem na ho.
  19. Links from sites in another language: Bina wajah apni site se unrelated language wali sites ko connect karna.
  20. Keyword stuffed content: Post content me jarurat se jyada or unrelated keywords add use karna. SEO ke liye keywords add karna jaruri hai but iska ye matlab nahi hai ki aap post me post content se unrelated keywords bhi use kare.
  21. Missing sitemap data: Google apaki iste ko index karne ke liye XML sitemap ko sabse pahle read karta hai. So ayse me agar aapki site ka sitemap nahi hoga ya fir sitemap me koi error hai to apaki site ko google se penalty mil sakti hai.
  22. Scraped content: Kabhi kabhi kuch log dusro ki sites se apni site par traffic khichne ki koshish karte hai. Wese har koi chahata hai ki uski site par traffic badhe but kisi or ka bura karke apna bhala karna google ko pasand nahi hai.
  23. Unnatural Anchor text overuse: Ek time tha jab anchor text SEO ke liye better tha. Magar log anchor text me links ke sath khilwad karne lage or difference keywords use karne lage. Jisse google ne ise band kar diya hai. Ab google chahata hai ki aap koi bhi link ko clear add karo.
  24. Many Language Contet: Ek hi content ko alag alag bhashao me share karna. Example. Ek post ko alag alag site par hindi oe english me share karna.
  25. Website timing out or down: Jab koi website bar bar up down hoti hai. Yani kisi problem ki wajah se site open nahi ho pati hai to visitors or search engine ko apaki site khojne me problme hoti hai. Ayse me bhi aapki site search engine se remove ho sakti hai.
  26. Keyword domains: Domain name risky nahi hona chahiye.. Jaise hackinginfo.com
  27. Using blog networks: Google ke anusar jo blog SERPs ke khilap information dete hai. Unhe join karne se aapki site google search se hide ho sakti hai.
  28. Affiliate links all over the place: Google earning karne wali affiliate sites ke khilap nahi hai. Magar apn isite par jarurat se jyada affiliate program links use karna. Mostly redirection links aapki site ki search rank down kar sakte hai.
  29. Overusing meta keywords: Jarurat se jyada meta tags use karna.
  30. Slow speeds: Agar aapki site bahut jyada slow hai to google ko use index karne me problem hoti hai.
  31. Spam Traffic: Website par spam traffic hona. Spam traffic se kisi bhi site ko sirf nukshan ho sakta hai. Fayda kuch bhi nahi.
  32. Comment spam: Site par spam commeting hona. Spam commnets me bad sites ke links hote hai.
  33. Black hat SEO: Agar aap apni site par black hat SEO method se information share karte hai.
  34. Hacking content: Agar aapki site par hacking ke bare me jankari share ki jati hai.
  35. Hacked content: Agar koi aapki site ko hack kar leta hai to google turant aapki site ko SERPs se delete kar deta hai.
  36. Spam reports: Google ne online report karne ki service di huyi hai. Usme agar koi aapki site ki report karta hai or uski report sahi sabit hoti hai to aapki iste search se remove ho sakti hai.
  37. Sponsor links: sponsored links service me sabhi sites ke content ek dusri sites par show hote hai. Ayse me agar aapki site ke links kisi bad site par show hote hai or usse user aapki site par aate hai ya aapki site par se user bad site par jate hai to aapki search rank down hogi.
  38. Robots.txt files: Robots.txt file k galat tarike se use karne se aapki site ka content search engine se hide ho sakta hai.
  39. Over Content: Website par ek hi content ko bar bar publish karna yani repeat karna.
  40. Too many outbound links: Bahut jyada bahari links istemal karna. Apni site par natuaral links add kijiye or bekar ke ke jarruat se jyada dusri sites ke link add karne se bachiye.
  41. Redirection: Website par jyada redirection link add karna. Or agar redirection me 301 error aata hai to google aapki site ko bahut jaldi penalized karta hai.
  42. Duplicate metadata: Aap kisi or site ka metadata copy paste karte ho ya aapki site ka meta data kisi or site se milta ho.
  43. Targeted keywords: Targeting keywords ka sahi se tarike se istemal na karna. Ek post me jarurat se jyada tarket keywords add karne se search engine ko post index karne me problem hoti hai.
  44. Error code: Hositng ya kisi or wajah se aapki site par bar bar error aana.
  45. Over-optimization: Site par content nahi hona or site ka over optimization karna. Examply mere blog par ek bhi post nahi hai or mai visitors ko jhooth bol kar ya apni site par extra topic add karta hu to google meri site ko block kar sakti hai.
  46. Links to illegal suspicious sites: Jin sites par illegal information share ki jati ho unko apni site se link karna.
  47. Link penalized sites: Jin websites ko past me google ke dwara banned kiya gaya hai. Un sites se apni site ko link karna.
  48. Speedy link building: Aysi site ka istemal karna jo aapki site ke liye kam time me bahut sare backlinks bulid karna offer karti hai.
  49. Buy Content: Ho sakta hai aap jisse content kharid rahe ho or wo wohi content kisi or ko bhi sell kar de to aapki site ki search rank down ho sakti hai.
  50. Joining the Wrong Community: Internet par bahut se queation answer community form mil jate hai. Agar aap inme se kisi ayse form ko join kar lete ho jis mar unnatural information share hoti ho.

Agar mai isi topic par post likhu to mujhe 10,000 words ki post likhni hogi. So baki ke bare me aane wale time me bat akrenge abhi ke liye itna hi bahut hai. Wese tab tak aap unhe follow kar sakte ho.

I hope aapko is article me achi jankari milegi. So plz is post ko social media par apne friends ke sath share jarur kare.

In: Categories SEO
Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 57 )

  1. Kamodh Singh

    Hi,

    मैंने कुछ दिन पहले ही एक डोमैन https://shayarihub.com रजिस्टर करके wordpress इन्स्टाल किया है गूगल सर्च

    console में मैंने ब्लॉग को add करके site map भी add कर दिया लेकिन अभी तक मेरा एक भी पोस्ट index नहीं हुआ है ।

    जब मैंने गूगल सर्च console में जाकर manual action check किया तो वहा पर मुझे 1 issue मिला है ..

    1 issue detected
    Pages affected by manual actions can see reduced display features, lower ranking, or even removal from Google Search results.

    Pure spam
    Description
    Pages on this site appear to use aggressive spam techniques such as automatically generated gibberish, cloaking, scraping content from other websites, and/or repeated or egregious violations of Google’s Webmaster Guidelines. Learn more
    Affects
    Affects all pages

    अभी तक मैंने एक भी backlink create नहीं किया है लेकिन जब मैं backlink check कर रहा हूँ तो बहुत सारे

    backlink मिल रहे हैं mere domain का supportmeindia और hindimehelp से ।

    manual action issue को solve करने के लिए क्या करे ॥

    Reply
    • जुमेदीन खान

      Aapne automatically generated content publish kiya hai use delete karo problem solve ho jayegi.

      Reply
  2. sanju dangar

    sir aapne bahut hi achi aur useful jankari share ki hai, but mere blog me ak problem ho gayi hai, shayad aapne is baare me article likha hoga but muje nahi mila, to aapko yaha par bata raha hu, google search me maine jab kuchh topic search kiya to mere blog ke kuchh article search me aata hai but ise open karne ke baad No posts match your query show hota hai jab ki article show hona chahiye, is se traffic aur seo pe bed effect pad sakta hai, actually google search result me kuchh is tarah se domain link show hota hai. my domain name ke baad search?updated-max=2018.. real me sirf domain name aana tha, sir ye issue ko fix kaise kare?

    Reply
    • Jumedeen khan

      Aap blog sidebar me date archive widget add ki huyi hai use remove karo google ise index kar raha hai aur robots.txt file se search? ko disallow karo.

      Reply
      • sanju dangar

        thank you so much sir ji, fast reply ke liye, aur aapne kafi aasan tarika bataya hai, and sorry pahli comment me aapko batana bhul gaya tha ki , ham blog ki category, label, tegs, etc ko index hone se rokane ke liye kya karna hoga, ya to aap ne kaha ki robots.txt me disallow karne se ho jayega.

        Reply
        • Jumedeen khan

          Yeah! aap robots.txt se disallow kar do.

          Reply
  3. Vishvajit Rao

    Thanks sir aapne hum blogger ke liye kaphi acchha post share kiye hai.Hum is post se apne blogger blog ka speed increase kar sakte hai.

    Reply
  4. chems tamang

    very informative blogs sir ..it helps me a lot ..wese ek post me kitna bar inter linking kr skta h ?
    awr main keyword and title ko kitna bar use krne se acha rhga

    Reply
    • Jumedeen khan

      Jarurat ke hisab se karo, taki user ko asahaj mehsoos na ho.

      Reply
  5. bheshpratap sahu

    bahut hi achhi post likhi aapne sir par mere kuchh sawal hain is post se related

    1. sir ham ek post me kitne internal aur kitne external links use kar sakte hain ?

    2. spam traffic kya hota hai aur kaha se aata hai ?

    3. aapne 37 no. par sponser link ki baat ki hai to sir agar hamare site par bad site se user aa rahe hain to unhe kaise roke?

    plz help me sir i am waiting

    Reply
    • Jumedeen Khan

      1. Jitni jarurat ho.
      2. robots traffic.
      3. Aap unhe IP address se block kar sakte ho.

      Reply
  6. Sourav

    Very Informative article, thanks for sharing…

    Reply
  7. Bir Sing

    kese se google site palalty recover.. please samjadoo bro

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Jald hi iske bare me post likhunga.

      Reply
  8. raja

    thanks for the reasons bro very good post.

    Reply
  9. Vipin Mishra

    Itni achhi post ke liye shukriya. Sach me aapne bahut hi serious issues ko sabke saamne rakha hai. dhanyawaad.

    Reply

Leave a Comment

I need help with ...