Backlinks Kya Hai or Ye Blog SEO Ke Liye Kyu Jaruri Hote Hai

Backlinks Kya hai or Blog me backlink kya kaam aate hai. ye question most important hai. Bcklinks search engine optimazation me kaam aate hai or search engine se better result pane ke liye backlinks bahut jaruri hai. har ek success blogger ya website owner backlink pane ke liye har ek way follow karte hai. is post me mai aapko backlinks ke bare me puri jankari hindi me or details se btaunga. plz read carefully belove content.

What are Backlinks and why need blog to backlinks

Blogging me success hone ke liye aapko search engine se acha traffic milna jaruri hai or search engine se acha traffic pane ke liye aapko backlinks ki jarurat padti hai. so backlink ke bare me aapko puri jankari honi chahiye.

Jis se aap ek din success blogger ban sako. is post me mai aapko backlink ke bare me details se bta raha hu. agar fir bhi aapko meri koi bat samajh na aaye to niche comment me puch sakte ho.

Blog SEO ke bare me mai allready article likh chuka hu jinhe padh kar aap blog SEO ko achhe se samajh sakte ho. aaj hum baat karne wale hai website backlinks ke bare me ki aakhir backlink blog ya website me kya kaam aate hai or ye itne important kyu hote hai. backlink ke bare me aapke jo bhi sawal hai. un sab ka jawab is post me mil jayega. bas aap post ko dhyan se padhiye.

What Are Backlinks – Backlinks Kya Hai?

Backlinks wo external link hote hai jo kisi or site par aapki site par aate hai. jaise koi meri site par aapke link par click kar ke aapki site par visit karega to aapko meri site ka backlink milega, ise hi backlink kahte hai. aapki site par total kitni other sites se visitors aate hai wo aapki site ke total backlink hote hai.

Mera matlab backlinks un links ko kahte hai jin par click kar ke audience dusri website ya blog se aapki site par aate hai. ek page se dusre page par jate hai.

Backlinks Kitne Tarah Ke Hote Hai

Mai aapko yaha backlinks ke kuch points bta raha hu. jinse aapko backlinks or jyada clearly samajh aa jayenge.

  1. Internal Links: Ye wo links hote hai jo hum post me apni hi dusri post ya page ka link add karte hai.
  2. External Links: Ye wo links hote hai jo hum kisi other site ka link apni post me add karte hai.
  3. Link Juice: Jab aap kisi website ki post ya page hyperlink karte hai to googlebots wo link follow karte hai or wo link juice pass karta hai. Ye link juice article ki ranking and domain authority improve karne me help karta hai.
  4. Anchor Text: jab koi aapki site ke text ko kisi or site se copy kar search kar ke aapki site par aata hai.
  5. Low-Quality Links: jab koi spam, trash ya anya kisi harvested sites se aapki site par aata hai.
  6. High-Quality Links: Kisi high quality site se backlinks milna jiski domain authority DA and page authority achhi ho like wikipedia.com se backlinks milna high quality backlink hota hai.
  7. No-follow link: Search engine se external links ko hide karne ke liye link me rel=”nofollow” tag ka istemal karte hai. Isse googlebots us link ko follow nahi kar sakte. Agar aap chahate ho ki aap kisi site ko backlinks do but google use follow na kare to nofollow attribute use karo.
  8. Do-follow link: Jab hume kisi website ko dofollow link dena hai or hum chahate hai ki google bhi use index kare to rel=”dofollow” tag use karte hai.

Ab aapko clear ho gaya hoga ki backlinks kise kahte hai. to ab hume janna hai ki backlinks blog SEO ke liye kyu jaruri hai.

Blog SEO Ke Liye Backlinks Kyu Jaruri Hote Hai

Website or blog ke liye backlinks bahut jaruri hai. backlinks se site ki popularty or value increase hoti hai. sath hi aapki site par jitne backlinks honge aapko utna jyada traffic milega. or aapki utni jyada income hogi.

Sabse badi baat aapki site par backlinks jyada honge to aapko search engine se jyada traffic milega. mai yaha aapko kuch important poins de kar samajha raha hu ki backlinks ki blog ke liye kyo jarurat padti hai.

1. Search Engine Fast Index Your Site

Search engine jab aapki site ko index karta hai to wo sabse pahle aapki site ke backlinks par focus karta hai ki ye is site par kaha kaha se traffic aata hai or ye site other kitni sites se judi huyi hai.  ya fir aap ispost me kis ki jankari de rahe ho. ayse me backlinks search engine ki help karte hai or search engine ko aasani se pata chal jata hai ki aapki post kis bare me hai.

Examplay aap YouTube ke bare me me post likh rahe ho to aap us post me YouTube ka link add karoge. to aapke post publish karne ke bad search robot jaise hi aapki post ko index karne ke liye review karega to use post me YouTube ka backlinks milega. isse search robot fastly samajh jayega ki aapki post YouTube ke bare me hai.

Bilkul wese hi agar YouTube ki jagah koi aapki site ka link apni post me add karega to aapko us site se backlinks milega.

2. Improves Search ranking

Jab search engine aapki site ko faster index karega to jahir hai aapki site ki search engine me achi ranking hogi. or jab aapki site ko kisi or site se backlinks milta hai to search engine un site ke search result ke sath aapki site ko bhi search me dikhayega. ise organic search ranking kahte hai.

Examply agar aapki site ko supportmeindia se backlinks mila hai to search engine me aapki site bhi supportmeindia ke result me show hogi. isse aapki site ki ranking badhegi or aapko search engine se or adhik traffic milega.

3. Referral traffic

Backlinks ka sabse bada fayda hai ki isse aapki site ka dusri sites se relation banega or aapko unse direct traffic milega. yani aapko dusri site se direct backlinks milega.

Examply jaise aapko https://www.supportmeindia.com/post-link ki jagah https://www.supportmeindia.com se backlinks milega to ise referral traffic kahte hai.

Search engine me top ranking ke liye ye bahut important hai or search engine referral traffic ko sabse jyada pasand karta hai. isliye aap apni site ki search ranking badhane ke liye dusre blogger se achhe contact banaye or unse jude rahne ki koshish kare.

4. Increase Alexa Rank

Blog ke liye alexa ranking kitni jaruri hai iske bare me mai Alexa Rank Kya Hai Alexa Rank Blog Ke Liye Alexa Rank Kyu Jaruri Hai post me allready bta chuka hu. backlinks se alexa ranking badhti hai or aapki site ki value badhti hai.

Agar aapki site alexa me top apr hogi to aapki site par 60% visitors to aapki site ki ranking dekh kar visit karna pasand karebge. by the way aapki site par jitne jyada backlinks hone aapki site ki alexa rank utni jyada increase hogi.

5. Backlinks Help You To Get Success

Blogging me success hone ke liye aapko apne blog par acha traffic chahiye or backlinks iska sabse acha tarika hai jo aapki ek tarah se nahi balki kei tariko se help karta hai.

Search engine result, website value etc. sab ke liye backlink kaam aata hai. so agar aapki site par ache backlink honge to aapko bahut jald blogging me kamyabi milegi.

I hope aapko is post me backlinks ki basic jankari mili hogi or aapko backlinks ke bare me thoda bahut samajh aaya hoga.

To ab aap agar mujhse puchoge ki apni website par backlink kaise badhaye to mai aapko kahunga ki aapv humari Blog Ke Liye Comments Kyu Jaruri Hote Hai post padhiye. isme maine commenting se blog ke liye backlinks kamane ki jankari hai. backlinks badhane ke abhi or bhi bahut tarike hai jin ke bare me hum aane wale samay me bat karenge.

By the way agar aapko is post se related koi sawal puchna ho to niche comment kar sakte hai. sath hi post ke bare me 2-4 linesbhi jarur likhe or is post ko facebook, google, twitter jaha bhi aap karna chaho share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 116 )

  1. Sunil Hemrom

    Backlink ke bare me achi jankari mili . Sir mujhe janana h Kisi site se backlink milne ke baad hume kya karna chahiye ..

    Reply
  2. Raaj

    Dost kindli aap just mujhe yeh bta do ke yeh page SEO ke hisaab se sahi bana hai?

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Aapki site jis language me hai, us language me content likho, sath me english me bhi likh sakte ho, and ek post me 3-5 poetry add kare, isse single post me enough content ban sakega.

      Reply
  3. Urjaangan

    सर प्रणाम

    नए ब्लॉगर्स के लिए आपके द्वारा दी गयी जानकारी न सिर्फ

    एक सराहनीय प्रयास है , बल्कि ब्लॉगिंग की दुनिया मे

    अपना एक स्थान बनाने के लिए मेहनत करने की प्रेरणा भी

    देता है ।

    कृपया आगे भी नए ब्लॉगर्स का इसी तरह मार्गदर्शन

    कीजियेगा ।

    धन्यवाद ✌️

    Reply
  4. Ranjeet singh

    sahi janakri di hai sir apne Backlink ke bare me ………thanks sir g

    Reply
  5. Vasant Tiwari

    Sir maine apna ek blog creat kiya hai, Lekin vah search engine mai nahi aa raha hai, Maine seo kiya hai, Lekin search console mai process on hai. Sir please check this blog

    Reply
    • जुमेदीन खान

      ब्लॉग एसईओ करने के बाद आप पोस्ट लिखने पर ध्यान दो, गूगल आपके ब्लॉग को अपने आप इंडेक्स कर लेगा

      Reply
  6. shivam kushwah

    nice Information Sir Your Best Blogger for me

    Reply
  7. Nadeem Khan

    Hi Brother agar me apne post me aapki kisi post ka (jo meri post se milti ho) ka link dalta hu. to kya usse mujhe backlinks milega or meri site par traffic badhega.

    Reply
    • Jumedeen khan

      Backlink nahi milega lekin relevant content wali posts ko link karne se aapki post ki rank boost hogi.

      Reply
  8. Mayur

    nice article, आपने इस आर्टिकल में बहुत अच्छी information दी है …..Thank you

    Reply
  9. Mittu

    Thank you so much good information about backlinks nice article

    Reply

Leave a Comment

Ad

I need help with ...