Google Search Engine Se Traffic Na Milne Ke 5 Badi Wajah (Big Reasons)

Janiye Aapki Site Ko Google Search Engine Se Traffic Kyu Nahi Milta: Aaj hum bat karenge ki site par quality content write karne par bhi google search engine se good traffic kyu nahi milta, iske kya reasons hai. Aap content ka On Page, Off Page optimization karte hai fir bhi google se bahut kam traffic milta hai to ye article aapke liye hi hai. Blog par achha content likhne par search engines se good organic traffic na milna bahut badi problem hai or kisi bhi blogger ya website owner ko ise fix karne ki information honi chahiye.

Google Search Engine Se Traffic Na Milne Ke 5 Reasons

Site par google search engine se traffic nahi hai to site ka success hona bahut mushkil hai so aayiye jante hai ki kin reasons ki wajah se aapko google search engine se achha traffic nahi mil raha hai. Ek blogger ko sabse jyada nirasha tab hoti hai jab uske quality and SEO friendly content likhne k bad bhi use google se good traffic nahi mil pata.

Is problem ki wajah se hi kei blogger blogging chord dete hai. Actually, mostly bloggers ka traffic source google search hi hai or agar aapko google se hi traffic nahi milega to blog ka success hona bahut mushkil hai. Quality content likhne par bhi google se trafifc nahi milne ki bhi wajah hoti hai or agar aap us karan ka pata kar fix kar loge to aapko bhi google se enough traffic milne lag jayega.

Sirf search engine optimized article write karne se wo google me top raning nahi bana sakta. Uske liye aapko or bhi settings and care karna hota hai. Google me higher ranking banane ke liye only quality content write karna kafi nahi hota. Site par achha content hone ke bavjud site ki search rank down ho sakti hai. Iske kuch main reasons main aapko yaha bta raha hu.

Quality Content Par Bhi Google Search Engine Se Traffic Nahi Milnta

5 Big Reason, Why You don’t Receive Enough Traffic From Google Search Engine: Mujhse kei visitors is bare me question puch chuke hai or maine iske bare me pata kiya ki aakhir site par achha content hone par bhi use google search engines se good organic traffic kyu nahi milta. Mujhe iska reason pata chala or main wo aap sabhi ke sath share kar raha hu.

1. Too Much Competition:

In most cases, aapki post ka google me top rank na karne ki sabse badi wajah hai bahut jyada competition hona. So agar aap apni post ko Justin Bieber ke liye optimize karoge to aapko google search engine se enough traffic milne ke chance hai.

I mean aapko sari duniya se aage nikal kar Justin Bieber ki tarah famous hona hoga kyuki aaj ke time me internet par itna competition hai ki aapke kisi topic par article likhne par lakho user us topic par likh dete hai. Aese me aapko un sabhi se behtar content likhna hoga.

Aap ji niche par quality content write kar rahe ho uske bare me google me search kare aapse pahle bahut sare blogger and websites us topics par likhe chuke hai unme se kuch sites ki authority bahut jyada hoti hai or unke competition me content ko top par lana bahut mushkil hai. Iske liye aapko unse jyada quality content likhna hoga.

I know hume SEO-friendly text content write karna chahiye but sirf SEO ko mat dekho jis topic par likh rahe ho us ka competion bhi check karo or decide karo ki aap in sabhi se behtar kar sakoge to hi aapki post google me top ranking me aayegi.

Agar aap chahate ho ki aapki post google me top par aaye to main aapko suggest karunga ki aap Long Tail Keywords istemal kare or long content likhe. 200, 300 and 500 words length ke content ka google me top ranking aana mushkil hai kyuki google 500 words ki jagah us post ko top par show karega jisme 1000 to 2000 ya isse jyada words hai.

Competitive keyword par writing karne se pahle uske bare me achhe se pata kar le fir us par content likhna shuru kare. Kyuki jis keyword par already long content hoga uske hote huye aapka short content rank nahi karega. Last me main aapse yahi kahunga ki aap content likhne me expert ban jaye fir aapki har post top par rank karegi.

2. Technical Issues:

Agar aapki site ki post google me kahi apr bhi show nahi ho rahi hai to iska matlab hai ki aapki site par koi technical issue hai. Jo aapki site ko google search engine me show hone se prevent kar raha hai.

Technical issue me site Theme, Plugins, Coding, Software and wrong SEO settings at yoast plugin or search console etc. aate hai. Iski wajah aapka blog ya koi plugins ho sakta hai ya fir aapke blog ki theme me koi problem hai.

Mostly WordPress blogger Yoast SEO Plugin ka istemal akrte hai. Halanki yoast setup karte time full care karta hai or technical issue hone par warning show karta hai but fir bhi aap ek bar blog ki SEO settings check kar le to behtar hoga.

Iske liye aap yoast plugin ki Support steps guide follow kar sakte ho ya fir humari WordPress Yoast SEO Plugin Setup Kaise Kare wali post read kar blog ki search engine settings kar sakte ho.

Second, aapke Google Webamster tools me blog ka sahi se property setup nahi karna ya Crawl Errors and URL Parameters ko avoid karna ho sakta hai.

Main google webmaster ko handle karne ke bare me already kei articles likh chuka hu so iski adhik jankari ke liye aap humar isearch engine optimization wali post read kare.

3. Internal Linking:

Internal linking optimize sahi nahi hone par bhi aapki site ki search ranking kam ho sakti hai ye bih site par google search engine se traffic na milne ki bad iwajah hai. Mostly, new blogger ko iski information nahi hoti or is karan unki post top rank nahi kar pati.

Search engine me top ranking ke liye internal links use karna jaruri hai but content me apni site ke others links add karne ke liye bhi hum free nahi hai iske lyie bhi hume search terms dhyan rakhni hoti hai. Agar content me use kiye internal links clear nahi hai or google ko unhe read karne me problem hogi to aapki site ki rank down hogi.

Post me jitna ho sake clear and related internal links hi use kare unrelate and unwanted links add karne se bhi page ki search rank down hoti hai so post me jarurat se jyada links use na kare only us topic se related links hi use kare.

In other words, Agar aapki internal linking structure bahut poor or bkrar hai to bhi aapki post ke top ranking me aane ke changes hai iske liye aapki post me awesome High Quality Content hona chahiye.

I mean aapki post me awesome wonderful content hai to poor internal links hone par bhi page google par top me rank karega.

But achha hoga agar aap internal link par bhi focus kare or good linking use kare taki aapko low quality content me search me top par aa sake or usse aapko achha traffic mil sake.

4. Few Backlinks or Bad Backlinks:

1. Few Backlinks:

Agar aapne just kuch time pahle hi site start ki hai to jahir hai aapki search rank kam hogi or google search engine se kyuki aapki sit par backlinks nahi honge. Agar aapki site ko banaye kafi time ho gaya hai or search traffic nahi hai to iski wajah hai aapki site par few backlinks ka hona. Site par kam backlinks ka matlab search engine se 0% to 10% traffic milna.

Google me top par aane ke liye aapki site ko others related wbsites se backlinks milna jaruri hai warna google aapki site se humesha exit karega.

Aap guest posting, other site owner se contact kar ya kisi or method se apni site ka link mention karwa sakte ho ya fir aap Commenting ke through bhi backlinks bana sakte ho.

2. Bad Backlinks:

Agar aapki site par broken links, bad links add hai to bhi aapki site ki search ranking down ho sakti hai. Example, Wikipedia jaisi famous site se aapki site ko 1 backlinks milna other common sites ke 10,000 backlinks ke barabar value rakhta hai.

Same wese hi adult, p*rn and other bad websites se aapko ek backlinks milna 10,000 common bad websites se backlinks milne ke saman hai. So apni site ke backlinks par care care or kisi bhi other site ka link apni site par add karne se pahle achhe se confirm kar le ki wo site aapki site ke liye danger to nahi hai.

Main iske bare me already Hard Truth About Links: Content Linking Ke Bare Me 10 Jaruri Bate post me complete details share kar chuka hu.

5. Your Site is Hacked:

I don’t want it, humesha koshish karo ki aapki site kabhi hack na ho but agar aapki site hack ho gayi hai to aapki site ki sabhi older posts ki search ranking decrease ho jayegi or google search engine se organic clicks kam milenge sath hi new post bhi easily top par rank nahi karengi.

Jitna ho sake apni site ko secure kare or Strong password, SSL Certificate, Robots.txt, Hide version, Disable file editing, Hosting server security, Stay up to date, Add two factor authorization etc. se apni site ki security badhaye.

Main is blog par specially Security Tips bhi share karta hu. Iske liye aap humar iye post read kar sakte hai.

Inke alawa bhi aapko is blog par bahut si security tips mil jayegi uske liye aap humari Security Tips category wali posts read kar sakte hai.

Agar aapki site secure hai to aapki site ki search rank best hogi google kahta bhi hai ki agar aap site par SSL Certificate https:// security use karte ho to aapki site ki search rank better hogi or last kuch time se cyber crimbe bahut badh raha hai so site security bahut jaruri ho gayi hai. Main aapko highly recommend karunga ki aap sabhi SSL Certificate Licence ka istemal kare or apni site ko https:// se secure kare.

Final Conclusion,

Google search engine se good traffic na milne ki ye main wajah hai. Inke alawa, aapki site ka design, loading time, content writing skills, low traffic and user engagement etc. or bhi bahut reasons hai but mostly upar wali problem aapki site par nahi honi chahiye.

Main is bare me pahle bhi content likh chuak hu or aage bhi new tips btaunga. Aapko site ko google me top par lana hai to ye sab mistakes ko fix kar le or achha content likhe.

Sath hi aapki site par good User Engagement bhi jaruri hai kyuki google sabse pahle ye check karta hai ki aapki site ko kitne people read karte hai or kitne time tak unhe aapka content kitna pasand aa ra hai. Agar aapke readers aapke content ko kam read akrte hai to google bhi aapki site ki kam care karega.

I hope is article ko padh kar aapko quality content hone par bhi site ka google me top rank me na aane ke reasons pata chalenge or aap apni site par aesi koi bhi problem ko fix kar lenge or aapki site ab google me top par rank karegi.

In: Categories SEO
Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 88 )

  1. Tinku Sharma

    sir mera blog health and fitness pe hai. to kya mujhe backlink banane ke liye sirf health and fitness wale blogs par hi guest post karni hai ya un blogs par bhi kar sakte hain jo multiniche par kaam kar rahe hain aur halth ke baare me bhi likh rahe hain.

    Reply
    • Jumedeen khan

      Yea un par bhi kar sakte ho.

      Reply
  2. Tinku Sharma

    Jumedeen sir aapka Bahut Purana fan hu mai. Aapko sayad yaad nahi hoga. Mai aapse ye poochhna chahta hu ki mere blog ko 1 Mahina ho gaya hai aur maine 15 post likhi hain. 15 me se 2 post google ke 1st page pe, 2 post 2nd page pe, 3 post 3rd page par aur 5 post 4th aur 5th page par pahunchi hain. Sir meri problem ye hai ki mujhe google se traffic nahi mil raha hai. Google se daily bas 3-4 bande hi pahunchte hain site par. Sir mai ye poochhna chahta hu ki google se achha traffic Milne me kitna time lag jata hai?

    Reply
    • Jumedeen khan

      Site ke liye backlink banao aur posts ko promote karo.

      Reply
  3. Abhijit Pelmahale

    Sir blog ko approve karne ke liye minimum kitne blog view chahiye

    Reply
  4. GouravwebSEO

    Guest posting kaise karte hain, kisi other website owner Ko kaise request kare apni website ka link add karne ke liye ?

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Simple hai use achi post likh kar do.

      Reply

Leave a Comment

Ad

I need help with ...