Google Adsense Account Approve Kaise Karaye [Edition 2024]

Google AdSense Account Approve karane me sabse jyada problem hoti hai newbie blogger ko wo apni website aur blog ke liye jab bhi adsense ke liye apply karte hai to adsense reject ho jata hai. Agar aapke sath bhi yahi problem hai to is post me btayi Google Adsense Account Approve Karne Ki 7 Tips follow karke  adsense apply kare aapko easily google adsense approval mil jayega.

Google Adsense Account Approve Kaise Karaye

Agar hum thoda care care to adsense account approved karana bahut aasan hai bas aapko google adsense fast approve karane ki kuch important tips ko follow karna hoga uske bad aapko bahut jald aapka adsense account approve ho jayega.

Aaj main aapko adsense approved karane ki jo tips and tricks bta raha hu, unse main khud apni kai site par adsense approve kara chuka hu.

Aapko bahut sari tips ya guideline follow karne ki jarura nahi hai. Main sirf 7 tips btaunga aap bas inhe follow kar le aapka adsense account aasani se approve ho jayega.

Google Adsense Account Approve Karane Ki 7 Jaruri Tips

“How to get approved google adsense account – best tips 2024” ki ye amazing tips real me work karti hai. Aap try karke dekh sakte hai. Google adsense approval trick in hindi. Adsense approve amazing tricks 2024. Adsense account approve karane ki best tips 2024

7 Best Adsense Approval Tips 2024

1. Website 1-2 Week Old Ho

Aapki website ya blog 1-2 week old hona chahiye. Bahut se log domain and hosting buy kar blog banate hai aur 1-2 day me ya turant hi adsense ke liye apply kar dete hai.

Aap aesa bilkul na kare aur website 1-2 week old hone ke bad hi google adsesne apply kare, jaldi approval mil jayega.

2. Aapki Age 18+ Ho

Agar aapki age 18 year se kam hai to kabhi bhi adsense account ke liye apply nahi kare, kyuki google 18 saal se kam age ke logo ka application accept nahi karta hai.

Bahut se logo ka adsense approve ho jata hai lekin main kabhi bhi ye suggest nahi karunga kyuki isse adsense rejected hone ke chance jyada hai.

3. Minimum 10-20 Articles Ho

Aapki website or blog par minimum 15-20 quality content wale articles hone chahiye. Ek website ki tulna me blog par adsense approve karane me jyada problem hoti hai.

Agar aapke blog par 10-20 articles nahi hai to aap bilkul bhi google adsense account ke liye apply na kare.

4. Adsense Supported Content Ho

Google adsense guideline ke anusar google pornography, adult, mature content wali site par adsense allow nahi karta hai.

So aese topic par content likhe jise adsense support karta ho, jis content par google ad allow nahi karta us par adsense ke liye apply karna bekar hai.

5. Copyright Content Na Ho

Google copyright content par adsesne ads allow nahi karta hai to agar aapne kahi se kisi ka content apni website me copy paste kiya hai to aap adsense use nahi kar sakte.

Apni site par khud se content likhe aur itna better likhe ki jise dekhte hi google aapke adsense account ko approved kar de.

6. Jaruri Page Banaye Ho

Aapki website par About Us, Contact Us, Privacy Policy etc. kuch important page hone chahiye. Agar aapki website par ye jaruri pages nahi hai to aapko google se approval nahi mil sakta.

So google adsense ke liye apply karne se pahle apni site par ye sabhi jaruri page create kar le taki adsense approve hone me koi problem na ho.

7. Website Par Traffic Ho

Website traffic sabse important things me se ek hai jise kai log follow nahi karte hai aur 0 traffic ke sath adsense ke liye apply kar dete hai, finally unka adsense account disapproved ho jata hai.

Aap tabhi adsense ke liye apply kare jab aapki site par thoda (300-500/daily) traffic ho. Ye require nahi hai lekin site par traffic hoga to adsense approve hone me aasani hogi.

Aap kabhi bhi paid traffic na kharide, kyuki google ye allow nahi karta aur use iska patacha gaya to aapki website ko life time ke liye adsense se banned kar diya jayega.

At last,

Agar aap in 7 adsense approval tips ko step by step follow kar lete ho to I’m sure aapka adsense account 100% approve ho jayega wo bhi bina kisi problem ke aur jaldi approve hoga.

Jin logo ko adsense apply karne ke bad kafi time tak google response nahi deta hai, actually wo google adsense guideline follow nahi karte hai, aap aesi galti kabhi na kare aur thoda time nikal kar ek bar google adsense guideline read kar le.

Agar aapko ye jankari achhi lage to ise social media facebook, twitter par apne dosto ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 82 )

  1. Pragh Bhogey

    hello sir mera sawal ads ko lekar hai kya hum apane post me footer me sticky add laga sakate hai kya isase adsense disable to nahi hoga

    Reply
    • Jumedeen Khan

      sticky ads google allow nahi karta hai, aap skip able ad laga sakte ho apne risk par.

      Reply
  2. Pooja

    Sir maine jab Apply Kiya Toh Google Ne 3 Din Bad Mein Ye Notice Bheja Hai
    Your Site Iss Down Or Unavailable
    Sir Ab Mujhe Kya Karna Chahiye

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Jab google ne aapki site ka review kiya to aapki site down thi, next time apply karo aur dhyan rakho ki is bich aapki site proper live honi chahiye.

      Reply

Leave a Comment

Ad

I need help with ...