Google AdSense se sirf ek click se $10 to $50 kaise earn kare ye bat sun kar aapko ajeeb laga hoga. But ye impossible nahi hai. Aap bhi aysa kar sakte ho. Bas aapko iske liye kuch important information honi chahiye. So aayiye iske bare me bat karte hai ki aapko iske liye kya karna hoga.
“Aap AdSense se itni earning kaise kar lete ho kya aap iski wajah bta sakte ho” Ye sawal mujhse ek friend ne pucha tha. Mai iska simple jawab dena chahunga ki post me high CPC keywords use karoge to aapki AdSense se achi earning ho sakti hai. Or sabse badi bat aapko AdSense ke bare me complete information honi chahiye.
- Top 20 High Paying Keywords in Google Adsense Adwords Advertising
- Google Adsense Se Sabse Jyada Paise Kamane Wali Top 10 Websites
Duniya me 2 tarah ke log hote hai ek wo jo Hard Word karte hai or dusre wo jo Hard Work ke sath Smart Work bhi karte hai. Inme se hard work ke sath smart work karne wala humesha aage rahta hai.
Actually, Sirf kateen parisharm karne se aapko saflta n ahi milti hai. Success wohi log hote hai jo kisi bhi kaam ko apne tarike se karte hai or dusro se best work karte hai.
- Google Adsense Se Related 20 Important Question Answer List
- Google Adsense Account Me Payment Address Change Kaise Kare
Ek blogger ya website owner chahata hai ki uski site ranking better position me ho. Iske liye wo rat din ek karke hard work karta hai. Iske liye wo apni site par original content share karta hai or sabse alag article likh kar visitors ko impress karne ki koshish karta hai. Yaha uska talent uske kaam aata hai ki log use kitna pasand karte hai.
Itni mehanat karne wala ka pura haq banta hai ki use uski mehanat ka sahi munafa ho. Yani use apne kaam ke pure paise mile. Ayse me agar wo blogger AdSense user ho to uske liye sabse badi problem AdSense ki Low CPC hoti hai.
Jiski wajah se kuch blogger ko bliggng tak chodni pad jati hai. Aysa jyadatar hindi bloggers ke sath hota hai. Yakinn jab mujhe ayse blogger ke bare me pata chalta hai to bahut dukh hota hai. Isiliye aaj mai ye article likh raha hu un sabhi AdSense users ke liye jo AdSense ki Low CPC se pareshan hai.
- Google Adsense Se $100 Per Day Kaise Kamaye
- Google Adsense Se 10 Dollar Per Day Kaise Kamaye 2024 Earn Money
India me google AdSense per click $0.5 to $0.20 tak pay karta hai. Ye bat aapko internet par ek do nahi lakho websites or blog par mil jayegi. Par world me aysi koi problem nahi hai jiska solution nahi hai. I mean iska bhi solution hai. Mai aapko garatee deta hu ki aap india me rahte huye google AdSense se one click se $10 to $50 earn kar sakte ho. Bas iske liye aapko kuch jaruri bato ka khyal rakhna hoga. Ab ye aap par depend karta hai ki aap isme kitne paresent success hote ho.
Chaliye, Ab mai apne topic par aata hu ki aakhir kis tarah se hum only ek click se $10, $20, $30 or $50 earn kar sakte hai.
Table of Contents
Google Adsense Se Per Click $10 To $50 Kaise Kamaye – Earn Money From Google Adsense
Sidhi si bat kahunga har blogger janta hai ki blog ke liye organic traffic yani search engine se milne wala traffic kitna jaruri hota hai. Or shayad ye bhi jante honge ki search engine se traffic pane ke liye SEO yani search engine optimization ki jarurat padti hai.
Google AdSense se per click $10 se $50 kamane ke liye aapko main cheezo ko focus karna hoga.
- Long Tail Keywords
- Organic Traffic
- Google Adsense Terms (Full Guidelines)
Bas aapko in teeno me expert hona jaruri hai. Agar aapko in sabke bare me achi jankari hai or aap inhe ache se handle kar sakte ho to aap AdSense se 1 click se $50 to kya %70 bhi kama sakte ho.
1. Long Tail Keywords:
Long tail keywords AdSense se achhi earning karne me sabse important metter hai. mai ye confirm kar chuka hu ki agar aapke articles me keywords sahi tarah se use kiye gaye honge to aapki post search me high ranking me hogi or AdSense aapko usse related advertising se jyada benefet dega. Adsense CPC long tail keywords jyda better hoti hai.
Apne blog ke liye long tail keywords research karne ke liye aap online keywords research tools use kar sakte hai jaise Google adwords keywords planner, SeMrush, HitTail and other.
Mai aapko SeMrush or HitTail tools ko use karne ki salah dunga. Kyuki ye aapko baki tools se better performance reprot show karti hai. Wese google keywords planner tool bhi kafi best hai. In sabhi par aap kisi bhi keyword ki CPC check kar sakte ho.
HitTail tools aapki ste ki analysis report ko calculate karke aapko long tail keywords suggest karti hai. Jisse aapke contet ki quality or better ho jati hai.
Agar aap meri pasand ki bat karte ho to mai aapko SEMrush tool suggest karunga.
Use SEMRush to find profitable Adsense keywords:
SeMrush keywords search karne ki ek bahut hi badiya best marketing tool hai. Is time mai iska member nahi hu. Isiliye mai aapko yaha perfectly guide nahi kar paunga. But aapse itna jarur kahunga ki aapko jo kuch chahiye wo sab aapko is tool par mil jayega. Yaha humare liye important bat ye hai ki hum SeMrush tool se google AdSense ke liye high CPC keywords kaise search kare.
- Blog Post Me High Quality Keywords Kaise Aur Kaha Use Kare
- Google Adwords Keyword Planner Tool Kaise Use Kare SEO Ke Liye
Bahut simple hai aapke pas SeMrush ka premium plan hai to aapko isme aasani se keywords CPC ki information mil jayegi.
Aap semrush tools par ja log in kar keywords search karke organic search par click kare. Uske bad list of keywords, and see a list of keywords par click kare. Ab yaha driving traffic presented in the Warrior Forum me aap sabhi keywords ki CPC dekh sakte hai.
Now, Aapko yaha jo bhi high CPC keywords mile unme se aap apne jarurat wale keywords ko copy kar apne blog content me use kar sakte hai. Isi tarah se aap semrush par keywords change kar search karke high CPC long tail keywords ki list bana sakte hai.
Ya fir aap apni pasand ki kisi or tool par long tail keywords search kar sakte hai.
2. Organic Traffic:
Aap soch rahe honge ki organic traffic ka AdSense CPC se kya contact hai. Actually, Search engine se aane wale visitors newbie hote hai or jab wo aapki site par aa kar kisi ads par click karke advertisment sites par visit karte hai to wo usme full interested hote hai. Or AdSense ayse visitors ko sabse jyada pasand karta hai. Example, Mujhe AdSense se ek click se $16 tak mil chuke hai jabki mai india se hu or hindi blogger hu.
- Google Webmaster Tools Ko Use Karne Ki 7 Important Tips [GWT Overview]
- On Page SEO: Website Ko Search Engine Me First Page Par Lane Ki Top 10 Techniques
Suppose aapki site par 10,000 pageveiws per day hote hai or aapko 5,000 pageveiws search engine se milte hai. To mere hisab se aapki AdSense se $50 to $100 earning easily hogi.
Or agar aapki site par 10,000 pageveiws daily hote hai or search engine se 2,000 maximum traffic milt hai to aap mushkil se $30 – $40 earn kar sakte ho.
Organic traffic pane ke liye aapko SEO ki achi information honi chahiye. Agar aapko SEO karna aata hai to aap aasani se search engine se adhik traffic handle kar sakte ho.
3. Google Adsense Terms:
Follow Adsense Terms & conditions: Google AdSense se achhi earning karne ka ek sabse bada raj ye hai ki AdSense ki policy ka ullaghan mat karo. Uske rules ache se follow karo. Yaha mai aapko iske kuch reason bta raha hu.
Kuch new blogger AdSense approved hote hi apne blog ke ek page par 3 ad units se jyada use karte hai. Unki site par ads to show hote hai but CPC bilkul down ho jati hai. I sure unko per click $0.02 to $0.05 tak hi milta hai. Yakin mainye agar aap aysa karte ho to aapki CPC normal hone me bahut waqt lag jayega.
Mai aapse jabardasti nahi karunga but ek bar aap AdSense ki policy follow karke dekhiye. Mai garantee deta hu aapki earning me 100% changes honge.
Adsense terms ko follow karne ka matlab sirf ye nahi hai ki aap apni site par ek page pe sirf 3 ad unit use karo or bahut ho gaya. Google AdSense ke rules bahut shakt hai or khas kar ke indian blogger ke liye ye mushibat ban jata hai. So plz jitna ho sake AdSense ka har step follow karne ki koshish kare.
Google AdSense me weekly ya monthly koi na koi changes hote rahte hai. Isiliye aapka up to date rahna bahut jaruri hai. Aapko ye jankari hona bahut jaruri hai ki AdSense se jyada earning kaise kare, AdSense kaise kya kis tarah se hume pay karta hai or kis type ke ads se hum jyada earning kar sakte hai.
- Google Adsense India Me Payment Kaise Karta Hai
- 20 Common Mistakes Jinki Wajah Se Google Adsense Block Hota Hai
Finally, Ab aapko teeno steps ke bare me ache se pata chal gaya hai. Bas yahi tips mai apne blog par use karta hu. So ab aap faisla kar sakte hai ki aapko aage kya karna hai or AdSense ko kis tarah se handle karna hai. To ab comments me mujhe btayiye ki aap future me kya karne wale hai or AdSense se adhik money earn karne ke liye apni blogging me kya changes karne wale hai.
Agar aapko is post me btaye tips pasand aaye ho to is post ko social media par apne friends ke sath share jarur kare.
इतनी महत्वपूर्ण जानकारी के लिए आपका बहुत-बहुत धन्यवाद ।मेरा ब्लॉक “परमात्मा और जीवन “2015 से मैं लिख रही हूं पर आज तक भी मैं ज्यादा ट्रैफिक नहीं जुटा पाई हूं और अर्निंग तो कुछ भी नहीं होती है। मैंने आपको पूरा ब्लॉग पढ़ा है। मैं कोशिश करूंगी कि आपके दिए हुए आइडिया से कुछ ट्रैफिक जुटा पाऊँ। आप मेरे ब्लॉग पर जाकर क्या मुझे बता सकते हैं कि मुझे कुछ चेंज करना चाहिए उसमें धन्यवाद
Kisi website ko 1 hour 100 people chalye to earning kitni hogi
यह इस बात पर निर्भर करता है कि उन 100 लोगों में से कितने लोग ऐड पर क्लिक करते हैं
Mera 1 blog hai jisme adsense approval huwa 2-3 din pehle huwa par mera ads sab article mai show nhi ho raha hai.
new ad unit create karke ad lagao.
maine adsense verification hone ke baad theme change kiya tha kya isse kuch problem hoga
No problem.
Sir mere ads kuch time ke liye pin time par na milne ke karan band ho gaye the band hone se pahle mujhe per day $1 se $2 doller milte the lekin ab phhir se %0.12 milne laga hai (jab se dubara khula hai ) aisa kyu kya aap bata sakte hai.
Thank you
Aapki site ka traffic or ad clicks kam huye honge.
meri website par traffic pahle se jyadahi hi aa raha hai par click 5-6 hi ho rahe hai aur cpc 0.1-0.2 hi hai. kya ise phhir se waqt lagne wala hai recover hone me 🙁
main ise thik karne ke liye kya kar sakti hu koi sujhav dein
Aap ad placement sahi se karo clicks or cpc dono badh jayenge.
Thank you so much aap ne mujhe bahut achche se guide kiya aur aap ke samye ke liye bhi thank you
Sir mujhe aapse kuchh important baat Karna hai aap apna mobile number please de
Contact me on mail.
Sir, invailed click vala kab tak bach sakta h. I mean kitne dollar kar sakta h
No limit its depend on google.
Sir kya hum blogspot pr se paise kama sakte hai kya
Yes.