Kaise Pata Kare Ki Hamara Google Account Koi Use Kar Raha Hai

Janiye Aapke Google Account Ko Kuon Istemal Kar Raha Hai? Aapka gmail account kin websites and devices me use ho raha hai. kei bar humare external site par visit karne se wo site humare google account se connect ho jati hai or hume pata bhi nahi chalta. Google third party apps and sites ke sath aapki site ke personal information ya password share nahi karta but kei bar isse hacking jasi problem ho jati hai ya fir hume bahut jyada spam mail milte hai. Aaj main aapko aesi trick bta raha hu jisse aap ye pata kar sakte ho ki aapke google account ko koun istemal kar raha hai or aapka account kin sites and device par use ho raha hai ya fir kitni sites or devices aapke google account ko use kar rahi hai.

Find Devices and sites using your google account

Ho sakta hai aapke google account ko koi or bhi use kar raha ho or aapko uska pata hi na ho ya fir koi aapki personal details chori karne ki koshish kar raha ho. In sabhi problems se bachne ke liye aapka ye janna bahut jaruri hai ki aapki Gmail ID ko koi or to istemal nahi kar raha hai.

Internet use karte time kei bar hum hackers ki site par visit karte hai or wo humare account se chedchad karne lag jate hai. Mostly aesi site ko use karne se pahle google account ya social media account se connect karne ya sign karne ki jarruat hoti hai.

Janiye Aapke Google Account Ko Kuon Istemal Kar Raha Hai

Aapke account ko kitni sites and apps access karte ha iye pata karne ke liye aap Security Permission Link page open kare. Ab jo screen open hogi usme wo sabhi apps honge jinse aapka google account connect hai.

1. Find Which Apps and Sites Connected With Your Google Account:

Apps connected your google account

Yaha par add account authorization wale apps me se kuch app service fake hoti hai or aapke liye danger ho sakti hai. Jab aap kisi app se google account se jodte ho to aapse full acess ke liye pucha jata hai. Full access ka matlab hai ki wo app aapke contact and mails ko read kar sakta hai.

So aap sirf full access unhi apps par enable kare jin par aapko full trust ho. Aapko jis apps se jude rahne ki jarurat nahi hai ya jis par aapko trust nahi hai us par click kar remove kar de.

Remove connected apps

2. Check The Devices Using Your Google Account:

Agar aap janna chahate ho ki konsi device (Computer and Smartphone, android mobile, tablets etc.) me aapka google account use ho raha hai to iske liye aap ye steps follow kare.

First aap Security Activity Page open kare. Ab jo page open hoga usme un sabhi devices ki details hogi jinme aapka google account istemal ho raha hai or jo aapke account ko use kar rahe hai. Inme wo device bhi show hogi jo aap use kar rahe hai or jinme aapne ID se log in kiya hua hai.

Recently used devices

Agar aapko yaha par koi aesi device mile jo aap use nahi karte to aapko jaldi hi password badal lene chahiye or strong password banane ke sath google 2 step verification bhi enable kar lena chahiye. Inki jankari ke liye ye post check kare.

Isme kis device kam or kitne time par sign in kiya gaya hai ki details bhi show hoti hai like 1 Hours Ago, Yesterday at 5:30 PM sath hi us device ki location, state, country name bhi show karta hai.

Agar aapko koi unrelated device mili hai or aap turnat password change karna chahate ho to aap yaha Change Password link par click kar abhi apne account ke password change kar sakte ho.

Google account ki security ke bare me aapko ye post kaisi lagi agar achhi lage to humari security related or bhi post padhe.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 31 )

  1. kamal

    bhut hi badiya jaankaari aap humesha aachi jaankaari share karte hai aapka dhaywaad

    Reply
  2. Sadhan Dan

    Sir Aap kon SA template use karte Hein Aur aapka blog WordPress me Hein ya blogger me Hein

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Genesis wordpress par hai.

      Reply
  3. indrajeet

    bhai ye blogger me maine buhut template use karke dekha hai kisi bhi template me page navigation thik se kaam nahi karta next karo to next hi nahi hota . koi acha sa templates bataye

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Indrajeet aap soratemplate site ki template use karo.

      Reply
  4. Ashvin Chaudhary

    great information Mr Jume Deen Khan,

    Apki information kafi useful hoti hai,

    thanks for that.

    Reply
  5. rahul

    Sir blog ke andar outher kaise add kare jese apne header me apna about add kar rakha hai profile ke sath

    Reply
  6. Rahul

    Sir mene 1 blog create kiya hai me apne blog ko google per search karta hun to WO ajata hai lekin uske description ke andar tamplate Ki information show hoti hai me kaise apni information show karu description or title kaise change karu btae zara

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Blog ki template ke edit option me jao or jis description ko hatana hai sue search kar apni details add karo.

      Reply
  7. vinod kumar

    Sir jab apne blog me labels ko menu me lagata hu to templete error aata hai, maine bahgt baar try kiya aur dusra template bhi badal kar dekha lekin usme bhi yhi problem …….please iska koi upay btaye

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Jo error aata hai wo mujhe dikhao.

      Reply
  8. Raju

    nice information, isse sab gmail user ka account secured rahega.

    Reply
  9. Abhishek kumar

    Bahut achhi post hai isme ham asani se jayege ki kahi kisi ne hamari ID hack kar kis device me open ki hai
    JDK bro ye Expires headers kya hote hai aur inhe blogger blog se kaise remove kare?

    Reply
    • Jumedeen Khan

      .htaccess code use karo iske bare me maine mozedia.com par post ki hai.

      Reply
  10. Manish

    jume deen sir plz aap mujhe apna copy paste disable code or AdSense block ads wala code email par send karde. kyoki ye dono maine intetnet par bhut search kiye lekin ye nahi mile nahi to fir aap mujhe us site ka link batade.

    Reply

Leave a Comment

I need help with ...