Google Search Console Me URL Parameters Kaise Use Kare

Google search console no.1 best SEO optimization tools hai, Jise lagbhag har blogger or website owner use karta hai. Agar aapne abhi tak apne blog ko google webmaster tools me submit nahi kiya hai to aap search console me blog url add kar apni site ki search ranking improve kar sakte hai. Is post me hum bat karenge ki GWT me URL parameters kya hai or ise kaise use karte hai.

How To Use URL Parameters in Google Webmaster Tools

Mai google webmaster tools ke bare me How to set target countryFix Crawl ErrorsSubmit site google, bing, yahho or Submit siemap to GWT jaisi bahut post likh chuka hu. In this post, Mai aapko google search console me URL parameters use karne ki jankari de raha hu. Jisse aap google webmaster tool ke URL parameters feature ko ache se samajh sakoge.

URL Parameters Kya Hai?

URL parameters kya hai. Iski koi nishchit paribhasha nahi hai. But fir bhi mai aapko kuch simple step bta raha hu. I hope aapko aasani se URL parameters ki jankari samajh aa jayegi.

Humari website blog ki post ka permalink iss tarah se hota hai.

  1. WordPress: yousitename.com/how-to-earn-money-online
  2. Blogspot: yousitename.com/2016/05/how-to-earn-money-online.html

But jab koi visitor refferals sites facebook, google, twitter, feedburner and other se humari site par aate hai to site ke permalink me kuch extra words add ho jate hai or post ka url is tarah ho jata hai.

  1. WordPress: yousitename.com/how-to-earn-money-online?utm_source=facebook
  2. Blogspot: yousitename.com/2016/05/how-to-earn-money-online.html?utm_source=facebook

Is extra links se google ko ye pata chalta hai ki humari site ko kis refferal site se traffic mil raha hai. Google analytics me isi ki help se google humari site ka refferals traffic result show karta hai. Inhi links ko URL Parameters kahte hai.

Ab problem ye hai ki google search robot social sites se mile refferal trafficURLs ko index kar leta hai or search result me ye links bhi display hone lagte hai. Jisse site ki search ranking par asar padta hai. Google search console me URL parameters ko hide karne ka features bhi hai. Aap URL parameters ko google me index hone se band kar sakte ho.

Google Search Console Me URL Parameters Kaise Use Kare [Handling URL Parameters]

URL parameters feature google webmaster tool ka bahut acha feature hai jo aapki crapet refferal links ko indexed and deindexed karne me help karta hai. GWT URL parameters me UTM url ko control karne ke many features hai. Iski jankari ke liye aap niche diye step follow kar sakte hai.

Go to Google Webmaster Tools and log in by your gmail ID and click on CRAWL>>URL Parameters. Ab yaha par dekhiye aapko kuch parameters links dikhayi denge.

URL Parameters

In above image, clear ek message show ho raha hai. “Use this feature only if you’re sure how parameters work. Incorrectly excluding URLs could result in many pages disappearing from search.” Iska matlab aap URL parameters features ko tabhi use kare jab aapko iski puri jankari ho. Warna aapki site ki search ranking par bura asar pad sakta hai. So mai aapse kahna chahunga ki is feature ko dhyan se ache se samajhne ke bad hi use kare.

Mai aapko yaha par aysa tarika bta raha hu jisse search engine aapki site ke URL parameters ko index nahi kar sakega. Iske liye aap links ke samne Edit/Reset me se Edit par click karo.

  1. Yes: Changes, reorders, or narrows page content select karo.
  2. Other select karo.
  3. Ab No URLs ke samne tick karo.
  4. Ab aap dekhenge ki sabhi url disable ho gaye hai. Iska matlab hai ki ab search robot aapki site ke utm links ko index nahi kar payega.
  5. Finaly save par click are.

URL Parameters Settings

Isi tarah aap sabhi Parameters ki setting kar sakte ho. Or agar aapse kahi koi galti ho jati hai to links ke samne reset par click karke aap setting default kar sakte ho.

Bahut jyada URL parameters links or crawls link aapki site ki search ranking ko low kar sakte hai. Isliye inhe fix karna SEO ke liye important hai. Aap weekly crawl error or parameters link ko check karte rahe or fix karte rahe jisse aapki site ki search ranking good bani rahe. Crawl links ko fix karne ki jankari ke liye How to fix crawl errors in google webmaster tools article padh sakte hai.

Agar aapko is article me share ki gayi information helpful lage to is post ko apne friends ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 114 )

  1. Apni blog ka mobile aur pc URL ko kaise fix kare

    Reply
  2. Sir maine blog google search console mai submit कर diya hai or sitemap भी submit kar diya है
    Post ko search mai kaise laau mobile से
    Please help me

    Reply
    • wait थोड़े समय बाद अपने आप search में आ जाएगी

      Reply
  3. sir phali baar mai apke site ke jariye is parameters ki problem ko solve kiya iske liye mai bahut dino se paresan tha.

    thanku so much sir

    Reply
    • Sir jin jin keywords ko target krta hu vo search console me update nai hote pr unki ik do headings show hoti h iesa ku hora h?

      Reply
      • search console में वोही keywords शो होंगे जिनसे आपकी साईट पर ट्रैफिक आता है

        Reply
  4. sir mere Google Console account me aisi post ke url par 404 not found bata raha hai jo post mene kabh bhi apne blog par publish kiya hi nahi.me is parkar ki url ko remove bhi kar deta hu lekin fir kisi dusre post ke url par 404 not fount dikhai deta hai.me ri problem yah hai ki jo post kabhi bhi mene mere blog par publish kiya hi nahi uska 404 error kyu dikha raha hai.sir kya aap meri help kar sakte ho me is problem ko kaise thik karu

    Reply
    • Aap jo domain use kar rahe ho use pahle koi aur use kar raha hoga.

      Reply
  5. Hello Bro. Webmaster tool pr abhi kuch dino se mujhe ye msg. bar bar aa rha h

    and jb me us link pr gya to vaha mujhe (Indexed, though blocked by robots.txt) ki report me 29 pages affected dikha rha h to bro. ye problem kaise solve hogi ??

    Reply
    • Aapne robots.txt me double code kiye huye hai unhe theek karo.

      Reply
  6. Sir Maine Check Kiya, Yahaan Par ‘Id’ ke nam se parameters hain jisme 800 url hain. crawl me ‘Let Googlebot decide’ likha hain. jab maine ise edit kiya to example url me mere blog ke post url hain. aur ek hi url ke kai page bane hain. bas url ke last me /?id=441467. is tarah ka number hain. to sir ise kaise fix kare.

    Reply
    • ‘Let Googlebot decide set karo apne aap fix ho jayega.

      Reply

Leave a Comment