HTTPS blog ki data security ke liye ek acha tarika hai. kuch important jankari jaise paise transfer karna, forum bharna, personal data saving me https ki security baht jaruri hai. agar aap inme se ek hai to aapko https enble rakhna chahiye. agar aap blogspot user hai to aap apne blog me simply https enable kar sakte hai. to chaliye ab hum iske bare me aage baat karte hai.
Table of Contents
HTTPS:- HTTP (Hyper-text transfer protocol) S (secure)
jab aap kisi website ko open karte ho to wo website only http ke sath open hoti hai. SSL cetificate https security enable na hone ki wajah se aapki data history koi bhi hacker hack kar sakta hai. jaise aap online koi forum bhar rahe ho to to aapki data kahi or bhi transfer ho sakti hai. or koi bhi hacker aapki personal data chura sakta hai.
log in karne par aapke username or password bhi hack ho sakte hai. yani aapki puri information koi hack kar sakta hai. ab sawal ye hai ki is hacking se apni blog ko secre kaise kare. mai aapko btana chahunga ki banking and maney related site humesha green color me HTTPS:// ke sath hi open hoti hai.
Iska matlab hai ki ye website SSL Cetificate HTTPS security se apni data ko hack hone se bachati hai. aap bhi https enable kar ke apni site ko secure kar sakte hai.
Also Read: Blogger Ki Har Post Me Search Description Enable Kaise Kare
HTTP vs HTTPS
Manlo aap apne kisi friend ko personnal data (sername & password) send kar rahe ho. agar aapke browesr me https na ho kar only http hai to koi bhi aapki data hack kar sakta hai. screenshot me maine http vs https ko clear show karne ki koshish ki hai.
Ummid hai aapko screenshot se ssl cetificate https security ke bare me sabkch samajh aa gaya honga. jaise ki image me btaya hua hai ki hum jab http secure code se data tranfer karte hai to wo hacker ke ps ja sakta hai or agar hum https use kare to humari data secure 90% badh jati hai. or koi humari personal data hack nahi kar sakta.
Also Read: Blogger Me Recent Comments (With Avtar) Widget Kaise Add Kare.
Blogspot Blog Ke Liye Free HTTPS Security Enable Kaise Kar
Google ne pahle se hi Blogger me free https secure diya hua hai. kyuki Blogspot google ki hi service hai. aap blogger par custom domain use nahi karte hai to siply apne blog me https enable kar sakte hai.
- sabse pahle apne Blogspot.com blog par log in kare.
- blog ke dashboard par jaye or DROP DOWN par click kare.
- settings >> basic par click kare.
- ab HTTPS settings ke samne Yes select kare.
That’s all good, blog ki HTTPS security enable ho gayi hai. aapka blog ab secure hai. ab aapki blog ki data koi bhi hack nahi kar sakta. aapki blog ki personal data (username & password) ab puri tarah safe hai.
Warning: Blogspot blog par aap custom domain use karte ho to aap HTTPS enable nahi kar sakte. Blogger me HTTPS only blogspot.com domain par hi kaam karta hai.
Custom domain use karne par https kaise enable kare?
WordPress blog ke liye free https kaise enable kare?
aane wale dino me hum inke bare me baat karenge. aaj humne blogspot blog par https enable karna sikha hai. to aapko mneri ye jankari kaisi lagi hai.
Aapko mujhse koi sawal puchna hai to chaliye comments ke throw humse apne sawal puchiye. hume aapki problem solve karne me khushi hogi. or agar aap bhi humari help karna chahe to is post ko apne dosto ke sath social network par share jarur kare.
- Also Read: Youtube Par Video Ko Monetize Kaise Kare
aap humse Facebook, Google Plus, Youtube, Twitter par jud kar bhi humari new activity ki notification prapt kar sakte hai.
Ya fir humari site ke subscribe forum par site ko subscribe karke email ke throw new post pad sakte hai.
Sir maine apne blogspot blog me custom domain ke liye CNAME aur A records bhi add kar liya h . Bloger ke settings me custom domain enter karke save bhi kiya ,settings sucessfully message bhi show ho raha h .
Par custom domain se blog open hi nahi ho raha h .
Sir custom domain add karne me meri madad kare .
wait… dns update hone me 24 to 72 hours ka time lagta h.
hello Sir,
jaisa ki aapko bhi pata lag gya hoga ki ab blogger me bhi Custom Domain se HTTPS ki security milne lagi hai, aaj maine godaddy se .com domain purchase kiya, aur maine blogger me domain ko add bhi kar diya jo ki succesfull bhi ho gaya, sath hi sath HTTPS ki security bhi Yes hai. ab kyuki HTTPS enable hone se ab error bhi aane lage hai, jaisa ki aapne apne blog me bataya ki developer>Console me jakar jo error show hota hai.
ab aapke bataye gaye instruction ke anusar mai Theme ki Edit HTML par jakar sabhi HTTP:// ko HTTPS:// me convert bhi kar diya.
ab yaha se problem shuru hoti hai, mai save button par click kar raha hu to 5 se 6 second baad to lagta hai jaise save ho gyi ho but jaise hi back button par presss karta hu to
“You have unsaved changes that will be lost.”
ye message show hota hai, maine bahut baar try kiya har ek tarike se jaise Saari coding ko Notepad++ me jakar HTTP ko Replace Karke HTTPS me karna aur phir Puira Code copy karke Blog me jakr Paste karna, but wo save hi nahi ho rahi hai, maine blog forum support ke instruction bhi follow kiye bahut sare articles padhe but kahi bhi jawab na mila aur mere jaise kafi logo ki ye same problem hai Blog Forum me but usme bhi kahi bhi Sahi Ans nahi mila hai.
sara din ho gaya but kahi solution nahi mila
ab to meri himmat bhi tootne lagi hai
“Can u help me Sir”
I know aap sabhi logo ke jawab nahi de sakte but phir bhi..
i hope aaap meri madad kare
आप theme change करके try करो
waise, ab blogger ne Custom Domain ke liye bhi HTTPS enable kar diya hai
Dear JDK,
Blogger par maine custom domain par ssl (https) enable kiya to ho gya, par adsense ads showing hona band ho gye hai. Kabhi homepage par hote hai to posts me show nhi hote hai, ek post me hote hai next 4-5 posts me nhi hote hai. Or ssl ko disable karta hoon to all pages or posts par ads barabar show hote hai. Please aap mujhe yah bataye jab blogger per custom domain par ssl enable karte hai to adsense ke ads barabar show kyon nhi hote.
Aap search console and analytics me https ke sath site submit karo aur adsense me all ad units ko hide kar fir se ad unit create kar ad lagao.
Sir Https Setting kar Dene ke Baad apne blog me Kya changes Karne honge..kyuki maine ye Setting kar di hai….Please Reply jrur kre…
Apne blog me sare URL me http to https add karo, analytics and search console me https enable karo aur http to https redirection sahi se karo.
Sir blogger ne new update kiya hai..ab Custom domain ke sath bhi free me https setting kr sakte hai..lekin jaise hi maine ye setting krni chaahi toh ye Show hota hai…”HTTPS Availability is being processed. Try again later.”……to kya Ye boht jld suru hogi..???
Thoda wait karo enable ho jayega.