Blog Post Me SEO Friendly Meta Description Use Karne Ki 10 Tips

Blog Post Me Meta Descriptions Add Karne Ki 10 Best Tips? Ye bahut hi important question hai or har content writer ko iske bare me information honi chahiye ki kis type se meta description istemal karne se aapko google search engine se jyada clicks milenge. Aaj hum isi ke bare me bat karne wale hai. I hope aapki site SEO optimized, fast loading, image fast loaded, awesome designed and search engine friendly content ready hogi so chaliye ab time hai meta description ko SEO friendly banane ka taki aapko bhi google se adhik clicks mil sake.

Write SEO Friendly Meta Description

Search Engine Optimized Content likhne ke sath aapke article ki meta description ka SEO friednly hona bhi jaruri hai. Aapki post google search me top par aati hai but users meta descrptions dekh kar hi aapki post par visit karta hai. Meta description me hum maximum 155 to 160 characters istemal kar sakte hai or hume isi short paragraph me post awesome summary likh kar description ko attractive banana hota hai.

Agar aapki site ki post search engines me top par aati hai or aapko traffic kam milta hai to iska sabse bada reason hai aapki post ki meta description ka affective and eye catching nahi hona. Agar aap site meta descriptions par care karoge or better meta description use karoge to aapki site ki search badhegi or aapko More Organic Traffic milega.

Sabse pahle main aapko bta du ki aap meta title me maximum 60 to 65 characters and meta description me 155 to 160 characters istemal kar sakte hai. Halanki google letter ke anusar meta data length count nahi and search width ke anusar lenghth count hoti hai. So ise aap ek idea man sakte hai ki aapko metadata me isse jyada letter use nahi karne hai.

Generally, jab hum in rules ko follow kar metadata set karenge to page description and post description ka tiny bit show hoga jiska look kuch is tarah se hoga. Aap google me apne results ke sath competitors ke pages ki bhi deccription check kar ke dekh sakte hai ki unki post aapki post se top par kyu hai.

Example meta decription

Search engines already chahate hai ki aapki site ki search ranking boost ho or site search results me top par rank kare but isme aapko uski help karni hogi or apne content ko or adhik search engine optimized banana hoga or site ki search ranking improve karne me page’s meta description major role play karti hai. So agar aapko google se lakho me traffic chahiye to aapko ye karna hi hoga.

Jaruri nahi hai ki post ke search me top page par aane par hi user us par click karega. Post ki meta descriptions badhiya hai to users 2, 3, 4, 5 number taki bhi post par click karenge. Chaliye ab shuru karte hai ki kaise blog post meta description ko SEO friendly banaye or google search me site ko top page par la kar organic traffic kaise increase kare.

Blog Ki Post Me Meta Description Kaise Use Kare

Best 10 tips to use better meta description full guide in hindi: Jis tarah aap facebook viral post, status and twitter par awesome tweet share karte ho same usi tarah aapko viral post meta descriptions istemal karni hai. Aapki post ki meta description jitni Succint, Eye Catching, Catchy, Clear, Relevant, Attractive, Effective, Contain Keywords and Audience already talking about wali hogi user use jyada like karenge or aapko search se utne hi jyada clicks milenge.

1. Bina Meta Description Ke Post Publish Na Kare:

Kisi bhi post ko without meta description ke publish na kare ye post ki search rank badhane ka sabse achha mauka hota hai. Jab aap 2000 words and isse bhi jyada length wala content likh sakte ho to aap only 155 characters ki metadata write kyu nahi kar sakte. Kyuki meta descriptions aapke 1000 words ke barabar hai.

Jaha aapko post ko top par lane ke liye 1000 unique words wala content likhne ki jarurat hoti hai wohi aap short post par strong description add kar post ko top par la sakte ho. So apne blog home page, page and posts ke liye best se best description write kare.

2. Meta Description Me Post Content Ko Copy Paste Na Kare:

Maine kafi bloggers ko dekha hai wo direct apne web page content ke paragraph me se kuch lines copy kar meta description box me paste kar dete hai. Shayad aesa karke wo time save karte hai or unka sochna hoga ki isse time west nahi hoga.

Reality ye hai ki aap aesa karke na sirf apna time west kar rahe ho balki apna future bhi kharab kar rahe ho. Ye same wesa hi work hai jaise bath wash ke bad comb na karna. I mean nahane ke bad baal kanghi na karna. So post description ke liye thoda time nikale or unique description type kare.

Post description me content copy paste na kare to users ke liye post ki short summary write kar guide kare ki is post me kya hai or aap ne isme kiske bare me kis tarah se writing ki hai. Like, Step by step full guide, Complete guide in hindi, 5 steps with screenshots etc.

Kuch log meta description me post title and heading ko copy kar paste kar dete hai wo bhi galat hai. Meta description me post title, heading, suheading and content copy paste nahi karna hai. Post ke liye description alag se type karo.

2. Meta Description Me Jaruri Keywords Add Kare:

Jab hum kisi bhi topic par post likhte hai to hume use kisi main keyword par target karna hota hai. Agar aap post me targeting keyword istemal nahi karoge to aapki post search me top position par aayegi kahna mushkil hoga.

Site keywording SEO efforts ke liye jaruri hai or meta description me keyword ka istemal karna bahut hi jaruri hai. Kei bar writer post summary likhte time description me keywording use nahi karta jo bahut badi mistakes hai take now care and post description me keyword jarur use kare.

Use keywords in meta descriptions

User jab mostly keyword ka istemal kar hi search engine me searching karte hai or google search results me us keywords ko bold kar highlight karta hai. Is matter se aapko description me keyword use karna chahiye but jarurat se jyada nahi or mostly target keyword hi add kare.

4. Post Title Ke Sath Meta Description Bhi Show Kare:

Mostly websites par ye option nahi milega but agar aap meta description ko post title ke sath display kare to user ise jyada pasand karte hai. I sure isse aapki post ko sabse jyada readers milenge or jab google aapke page ko crawl karega to use bhi post ke bare me samajhne me aasani hogi or google aapki post ko jaldi index karega.

Maine aese kafi website and blog dekhe hai jo post description ko top par show karte hai or unki search rank bahut jyada hai. So kyu nahi hum bhi is method ko try karke dekh sakte hai.

High bounce rate ko kam karne ke liye kamyab tricks hai or agar possible hai to aap aesa kar sakte ho halanki main iske liye aapko suggest nahi karunga but ye ek awesome features hai and I like it or want to enable it in the future time.

5. Visitor Ko Attract Karne Wale Words Use Kare:

USP ka matlab hota hai  Unique Selling Proposition yani aapka products ko sell karne ke liye parshtav rakhna ka tarika kaisa hai or aap customer ka kitna attract kar pate ho. I hope you are the expert to aap same wese hi apne content ke liye description write karte time apna USP istemal kar sakte ho or jyada users ko attract kar sakte ho.

Readers ko btaye ki aapke Search Engine Result Page (SERP) par unhe kyu click karna chahiye or aesa karne se unhe other search pages se alag kya benefit milne wala hai.

I know iske liye aapke pas only 155 characters hai but aapko ye karna hi hoga. Yes, aap ye kar sakte ho bhale hi isme thodi problem hogi but aapko success bana degi.

6. Meta Description Limit Words Me Likhe:

Google humesha limit description wale pages ko top me show karta hai or jo meta description me jarurat se jyada words use karte hai unki search position 2, 3, 5 ya usse bhi niche hoti hai. Long meta description use karne se users ko careless feel hota hai.

Example, aap ye screenshot dekh sakte ho.

Know your limits

Yaha par aap clear dek hsakte ho ki post title and description short hone par bhi post top par rank kar rahi hai jabki baki post me title and description jyada hai or post second and third position par show ho rahi hai. Iski main wajah long description use karna hai.

7. Reader Ke Liye Meta Description Add Kare SEO Ke Liye Nahi:

Ek time tha jab google chahata tha ki hum uske liye content likhe or isi ke liye usne apni blogspot.com wali blogging service shuru ki thi iska main karan tha google ke pas content ki kami or wo chahata tha ki apne customers ke har question ka answer de.

But ab time puri tarah badal gaya hai ab internet par millions websites and blogs hai or google ko kisi ko hire karne ki jarurat nahi. Google ab nahi chahata ki hum uske liye likhe balki google bhi yahi chahata hai ki hum apne audience ke liye content likhe.

Aapke content ko jitne jyada users like karenge google bhi use top par show karega. Actually, google ke old rules the wo users ke har sawal ka jawab de but ab to google ke pas ek sawal ke lakho jawab hai so google un lakho contents me se users ko sabse top and best content provide karna chahata hai.

Google ab internet par mojud sabhi sites ke content me se top site ke content ko first ranking display karta hai baki content ko avoid karta hai. So ab aapko google ke liye na likh kar apne readers ke liye likhna hoga. Ab aapko ye sochna hai ki kis tarah ke content ko visitors like karenge.

8. Other Post Ke Keywords Check Kare:

Kei bar badhiya content write karne ke bad bhi google aapki post ko index nahi karta hai. Aese me aapko confusing hoti hogi ki mera content unique hone par bhi google me show kyu nahi ho raha hai. Actually, iski wajah bad page description hoti hai.

Iske liye aap apne post ke title ko google me search kare or us keywords se jo post first me show hoti hai unke highlight keywords check kare or apni post ki description ko edit kar un keywords ka istemal kare. I mean aapki post google me show na hone par aap uski meta description change kare aapki post google me show hone lag jayegi.

9. Social Media Ke Liye Alag Se Meta Description Use Kare:

Jab aap social media par post share karte hai to aapki post ke URL ke sath me post description show hoti hai. Aapko ise or effective banana hai kyuki social media par share ki gayi post ko google jaldi index karta hai or good rank bhi deta hai.

Aap humesha post ke title se post share kare without text post share karna bekar hai. Title ke sath 2-3 lines me post ke bare me bhi write kare. Ye social users and SEO dono ke liye better way hai.

Is porcess se aap Facebook, Google plus, Twitter, Pinterest, Linkedin, Instagram and other social media networking sites par post share karte time metadata ka istemal kar post search rank ko double kar sakte ho.

10. Advertising Services Ka Istemal Kare:

If possible, agar aap pay kar sakte hai to aap apne content and product ko top par lane ke liye google adwords service use kar sakte ho. Iske liye aapko more description use karne ki jarurat nahi hai. Example, aapne google me searching karte time top par google ad dekhe honge jinka look kuch is type ka hota hai.

Use advertising services

By the way, agar aap paid service use nahi karna chahate hai to aap paid product ka look dekh sakte hai ki advertisers kis tarah ke ad create karte hai or kin kin keywords ka istemal karte hai. Usse idea le kar aapko unique meta description write karne me help milegi.

Post me Meta description istemal karne ke liye aap kei method use karte hai but sabse best tarika hai Yoast SEO Plugin use karna jo aapko better meta title, slug, meta description and targeting keywords add karne ke metadata fileds provide karta hai or sath hi aapki post ki keywords density check kar aapki post SEO mistakes ko solve karne me help karta hai.

Is plugin se aap apni site ki search rank settings good tarike se kar sakte ho. Main already iske bare me WordPress Yoast SEO Plugin Setup Kaise Kare Complete Guide with Screenshot post me full details share kar chuka hu so agar aapka blog WordPress par hai to aap is guide ko follow kar blog ki right SEO settings kar sakte ho.

Post Conclusion,

In methods ko follow kar aap easily completely unique meta description write kar sakte ho or apne content ki search ranking increase kar sakte ho.

Optimizing ka matlab ye nahi hai ki aap ek bar site ko optimize kar us par care karna chord do balki aap time to time apni site ko more optimize karne par focus karna chahiye or humesha site ko behtar banane ki koshish karni chahiye.

In tariko ko follow karoge to aapki 500 words wali short post bhi google me top par show hogi or 100% aapki site ki search ranking better hogi. Main is bare me future me or bhi article write karunga taki aap or behtar kar sako so aap kuch time bad humari recent posts jarur check kare.

I hope aapko is post me useful and helpful information mili hogi or ab aap wright meta description use kar sakoge so please is post ko other bloggers ke sath share jarur kare.

In: Categories SEO
Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 158 )

  1. Ashish kumar

    Very informative knowledge for new bloggers thanks sir ji

    Reply
  2. Rakesh verma

    Apki ye post mujh jaise new bloggers ke liye kafi helpful hai. Really is post se mujhe kafi kuch sikhne ko mila hai.

    Reply
  3. Arif Ansari

    Bahut he badhiya artical hai

    Reply
  4. Er. Mahtab Ansari

    Thank you JDK Shahab. Itni andruni or achhi baate share karne ke liye. jo new or old sabhi bloggers ke liye jaanana bahut hi jaruri tha jisse ki or sudhar kar achha kare. But ek question hai itna kuchh karne ke baad bhi post ko pahla page ke do char post ke baad or dusra tisra page me aa raha hai. isse related kuchh bataiyega kya kare achha rank karne ke liye. waise jaankari to aapne bahut achha diya hai.

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Yoast SEO plugin use karo or blog ki SEO setting complete karo.

      Reply
  5. Kamlesh Sharma

    Meri Site Ke Khuch Links Publish Karne ke baad search result main aate hai lekin khuch di. baad wo google par khi bhi nhi milte aisa kyo…

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Aapka blog proper work nahi kar raha hai DNS error hai ise solvek aro google apake pages index kar lega.

      Reply
  6. Abbas ali

    Sir mai jab mera blog google me search karta hu to .com ke sath karta hu tabhi mera blog show hota hai. Agar mai .com nahi lagata to mera nlog show nahi hota iska kya karan hai plz..

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Jin topics par aap post likh rahe ho un par already bahut si post hai kisi unique topic par post likho.

      Reply
  7. राकेश

    सर आपके हर पोस्ट में एक बेहतरीन जानकरी दिया है
    थैंक्स फॉर शेयर वैल्युएबल जानकारी

    Reply
  8. Ritika Yadav

    Helle Sir,

    1. sir ye Phantom Update kya hota or seo mein kya advantage or disadvantage hai esha update ke…
    2. mobile friendly website create karne ke liye hum ko seo point of you se kya kya dhyan rakha na chahiye…
    3. sir 1.5 years ho gaye hai mere kuch keywords hai 1 page pe nahi aa raha hai or 2 page pe hi rahte hai… 1 page pe lane ke liye kya karu mein SEO mein…

    Reply
    • Jumedeen Khan

      1. Ye google ki updates ka hi ek hissa hai google ki bahut sari update hai jinhe google alag alag category me bant’ta hai. Jaise algorithms update. Phantom Update me mobile updates aati hai.
      2. Iske bare me main post kar chuka hu Google Mobile-first Index Ki 10 Jaruri Bate Aapko Pata Honi Chahiye
      3. SEO ko sahi se samajho or badhiya content likho.

      Reply
  9. Akash Chaudhary

    Thank you for sharing this helpful article hope you will achieve more success

    Reply
  10. Kamlesh Sharma

    Bro Site Ke Homepage Ke Liye Focus Keyword Kaise Set Kre…

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Iske bare me aapne kaha padh liya. Iski jarurat nahi hai apa bas homepage ko SEO friendly banao.

      Reply
      • ali

        Mari home page ki main discription mai hindi show hoti but mai nay description mai english lika howa to plz guide kariya ga is mai kia issue ho sktah

        Reply
        • Jumedeen Khan

          cache issue.

          Reply

Leave a Comment

I need help with ...