Blogspot ek free blogger platform hai. google ki service hone ki wjah se blogger ko seo friendly banana bahut aasan hai. maine blogger SEO ke bare me kei post share ki hai. jinki help se aap easily apne blog ko seo friendly bana sakte ho. aaj is post me aapko blogspot seo ke bare me complete guide bta raha hu. is post ko follow karke aap blog ko 80% SEO friendly bana sakte ho.
Abhi kuch day pahle hi kisi harshit ne mujhse ek sawal pucha tha “Hello Sir mere blog par 394 post hai but traffic srif 200-300 pageviews per day hai. mere blog me kya kami hai plz mera blog check kar ke btaye.” actualy hum bina kisi jankari ke blogging start karte hai or blog rules ko ignore karte hai. natijan hume sahi traffic nahi mil pata hai.
New blog banane ke bad hum blog par post share karna start kar dete hai. blog SEO, search engine rules, copyrighting, keyword, high quality content in sabhi ko ignore kar dete hai. i suggest you 100 bad post likhne se acha agar aap 10 top list article likhe to i promise un 100 bad post se 5 guna jyada traffic 10 high quality article se recieve kar sakte ho. maine apne blogging ke safar me blogger ko yahi sikhane ki koshish ki hai.
- Blogspot Par Free Blog Banane Ke Bad Kya Kare Full Guide
- Online Paise Kaise Kamaye: Internet Se Paise Kamane Ke 20 Tarike
Mai Aapko SEO Ke Liye Guide Kyu Karta Hu
Jab maine blogging start ki to mai blogging ke bare me post likha karta tha. but jab mai blogging me purana hota gaya to mujhe pata chala ki 60% log kam traffic ki wajah se blogging me success nahi ho pate. tab maine tay kiya ki aaj se mai blog seo ke bare me hi post karunga. by the way blog seo ke bare me jitni jankari share kare kam hi hogi. jiske bare me mai aapko aane wale time me bhi guide karta rahunga. ab tak mai blog seo ke bare me itni post kar chuka hu ki un sabhi post ko complete seo guide kahna galat nahi hoga.
Blog Ke Liye SEO Kyo Jaruri Hai
Bina seo ki jankari ke aapki blogging bilkul wese hi hai jaise bina hathiyar ke dushman ke samne aa jana. jisme aapki har nischit hai. duniya ka har ek success blogger seo ko follow karta hai. kyuki traffic me search engine no.1 hai. lagbhag har blogger ke 60% visitors search engine se blog par aate hai. so agar aapko seo ki achi jankari hai to aap ek high quality article se 1 month me 1,00000+ visitors pa sakte hai. iski jankari maine Top List Articles Se 1 Month Me 100,000 Visitors Kaise Paye post me details se btayi hai. aap ek bar is post ko pad le.
SEO ke bare me janne ke liye ye post padiye:- Black Hat SEO Vs White Hat SEO Kya Hota Hai
Complete Guide: Blogspot Blog Ko SEO Friendly Banane Ki
lagbhag har blogger blogspot blog banane ke bad apne blog ko seo friendly nahi bana pata. iska reason hai usko seo ke bare me kuch bhi pata nahi hota. blogging ko dusri duniya kahna galat nahi hoga. kyuki isme itne feature hai ki sabke bare me janne me kei sal ka time lag jayega. but agar hume kahi se iske bare me jankari milti hai to use ignore nahi karna chahiye. kyuki ek mental man ki bato se bhi hume koi na koi achi sikh mil jati hai.
Blogspot blog ko SEO friendly banane ke liye mai aapko step by step samajha raha hu. agar fir bhi aapko meri koi bat samajh na aaye to comment me puch sakte ho.
1) Blog Design
blog banane ke bad sabse pahla kaam hota hai. apne blog ke liye ek achi template select karna or use ache se design karna. yad rahe bar bar template change karne se search engine par bura asar padta hai. isliye bar bar template change karne se bache. aap ek bar ache se tay kar lo ki aapko konsi template us karni hai. kyuki template choose karne ke bad use SEO friwendly banane ke liye important changesk arne padte hai.
“Hello sir mai blogspot blogger hu or mai apne blog par full seo ready template use kar raha hu but fir bhi mera blog search engine me nahi aa raha.” ye sawal aaj hi kisi ne mujhse pucha hai.
Mai aapse ek bat kahna chahunga ki koi bhi template auto seo ready nahi hoti. use SEO ready banana padta hai.
2) Meta Tags
Blog Meta Tags: Blog ke liye template change karne ke bad dusra kam hota hai. blog me meta tahs code add karna. meta tags search engine ko aapke blog ke name, description, language, country, keyword ke bare me btata hai ki is blog par kis kis ke bare me jankari share ki jati hai. bar bar template chane karne se ye meta tags code delete ho jate hai. jiski wajah se search engine ko aapke blog ko samajhne me problem hoti hai.
Blog me meta tags code add karna bahut aasan hai. iske liye aap upar di gayi post par jaye or post me btaye step follow kare.
Post Meta Tags: post ki search engine me achi ranking ke liye post ka title acha hona jaruri hai. title ke alawa google search engine ne blogspot me ek feature or diya hai post ke sath 160 words me post ke bare me likhne ka. isme aapko post ke bare me ayse keyword likhne hai. jo post se related ho. or jinmse aapko or jyada traffiic mil sake.
Jab bhi new post likho to post meta description me post ke bare me jarur likhe. yad rahe yaha post se related word hi likhe agar aap other word likhoge t osearch engine aapki post ko ignore kar dega.
3) Verify Blog To Search Engine
Upar diye 2no step follow karne ke bad aapko apna blog sabhi search engine se submit karna hai. Better SEO ke liye ye sabse acha tarika hai. or lagbhag har search engine ise offer karta hai. so ise aap ignore nahi kare or apne blog ko google, bing, yahoo, ask jaise sabhi search engine se submit kare.
- Blogger Ki Har Post Me Search Description Enable Kaise Kare
- Blog Ko Google Search Engine Se Submit Kaise Karte Hai
- Blog Ko Bing Webmaster Tools Se Submit Kaise Kare
In post me btaye step follow karke aap aasani se apne blog ko search engine se submit kar sakte hai. yad rahe har success blogger ise sabse pahle follow karna suggest karega.
4) Sitemap
Sitemap kya hai: Sitemap me humare blog ke sabhi posts, pages, images ke links hote hai. ek tarah se sitemap humare blog ki summary hota hai. jisme search engines ko humare blog ka pura data ek jagah mil jata hai or search engine ko humare blog ko samajhne me aasani hoti hai.
Create sitemap: blogger blog ka sitemap banane ke liye paid or free bahut sari services hai. but mai aapko free service suggest karunga. upar di gayi post par ja kar aap free me apne blog ka sitemap bana sakte ho. aapko bar bar sitemap create karne ki jarurat nahi hai. sitemap automatically aapki new post ko index kar leta hai.
5) Submit Sitemap
Sitemap create karne ke bad bahut se blogger sochte hai ki ab sitemap ka kam free ho gaya. but important kam to sitemap create karne ke bad hota hai. sitemap ko sabhi search engine se submit karna. jisse search engine ko humare blog ke bare me or bhi jyada or jaldi pata chal sake. or hume search engine se or jyada traffic mil sake.
search engine me sitemap add karne sitemap pending me rahta hai or ye kuch hours bad success ya failed hota hai. new blogger ek bar search engine me sitemap add karne ke bad use dubara check nahi karte. so sitemap submit karne ke bad kuch time bad search console me check kare ki aapka sitemap submit hua hai ya nahi. agar nahi hua hai ya koi error show ho raha hai to fir se sitemap crate karke submit kare.
6) Keyword Ranking
Post title or post content me jitne ho sake jyada ayse keyword use kare jo sabse jyada search kiye jaye hai. aapki post me jitne jyada keyword honge aapki post ki search engine me utni hi achi ranking hogi.
is post me aap apne blog ki post ki ranking check kar ke pata kar sakte hai ki kis kami ki wajah se aapki post top ranking me nahi hai. acha traffic pane ke liye post 10-20 ki ranking me honi jaruri hai.
7) Post Content
Search engine se better traffic ki ummid tabhi kare. jab aapki post me 2000+ word ho. kyuki aapke alawa or bhi bahut blogger hai. jo aap hi ke topic par post likhte hai. so agar aapki post me kam content hua to aap unse bahut piche rah jaoge.
in post me aap seo friendly post likhne ke bare me jankari pata kar sakte hai ki high quality article kaise likhte hai. jo search engine par no.1 ranking me ho.
8) Optimize Image
aapko itna to pata hi hoga ki post me image kitne jaruri hote hai. par kya aapko pata hai ki image ko bhi seo friendly bana kar search engine se or jyada viewers recieve kar sakte hai. ji ha imahes ko optimize karke aap search engine se or jyada traffic kama sakte ho.
Is post me aapko blogger image ko search engine friendly banane ki puri jankari milegi.
10) Post Sharing
Social Media Search engine ke bad blog ki traffic badhane ka dusra sabse acha tarika hai. post likhne ke bad use social media par share karna ignore nahi kare. jab aap post likhne me ghanto time lete ho to 1-15 minutes de kar post ko share jaru kare.
Is post ke alawa maine iske bare me or bhi kei post ki hai. unhe bhi jarur pade. i promise aapko achi jankari milegi.
Post Summary
Maine is post me aapko jo options btaye hai. unse aapko blog lagbhag 80% SEO complete ho jayega. aap inhe follow karke blogging karoge to yakinn aapko acha traffic milega. aane wale samay me mai aapko isse bhi achi jankari dene ki koshish karunga. tab tak aap supportmeindia ki seo se related posts pad kar unme btaye step follow karke apne blog ko or jyada seo ready banaye. or sath hi agar aapke pas blog search engine friendly banane ka koi better idea hai to hume uske bare me jarur btaye. or mere sath sath logo ki help kare. jisse or bhi blogger blogging me success ho sake. by the way agar aapko koi or janakri chahiye to comment me hume uske bare me suggest kare. hum aapke liye specialy us jankari par post likh sakte hai. or iske badle aapko koi charge nahi dena padega. yani ki aap free me kisi bhi topic par supportmeindia par apne liye article likhwa sakte ho.
I hope aapko is post me koi na koi important jankari mili hogi. or aapko kuch naya sikhne ko mila hoga. to agar aap chahate hai ki hum future me bhi aapki help karte rahe to abhi humari site ko subscribe kare or is post ko apne dosto ke sath share kare. or ha comment karte waqt post ke bare me 1-2 lines jarur likhe. jisse hume bhi lage ki meri is post se real me kisi ko help mili hai. sath hi aap hume facebook, google+, twiiter or YouTube par follow kar sakte hai.
Bahut badhiya
Hello, I’m Noah Amelia, a technological content writer who loves to research the newest developments in the digital world. I have a keen interest in all aspects of online event technology, from online meetings to B2B Webinars. My expertise extends to webinar trends, Education Webinars, Webinar Platform, Webinar Software and other webinar technologies, enabling me to write compelling, informative content that engages and informs audiences.
Do you need any help from us ?