Youtube Videos Ko Blogger Post Me Kaise Add Karte Hai

Youtube videos ko aap blog post me add (embed) kar ke bhi views increase kar sakte ho. YouTube video ko blog post me add karna bahut hi simple hai. blog me video kaise add karna hai. uske bare me mai aapko details me bta raha hu. aap post me niche diye gaye step follow kar ke 2 minute me blog post me YouTube video add kar sakte ho.

How To Add Youtube Videos in Blog

Agar aapne abhi tak blog nahi banaya hai to pahle aap Website (Blog) Kaise Banate Hai Online Paisa Kamane Ke Liye post padh kar apna free blog bana lijiye or aapne abhi tak YouTube par koi video upload nahi ki hai to pahle aap YouTube Par Video Upload Kaise Karna Chahiye Hindi Jankari post padh kar YouTube par video upload kar le.

Agar aap YouTube se paise kamana chahate hai to aap humari Youtube Ki Puri Jankari Hindi Me – Youtube Full Guide in Hindi post adiye isme aapko YouTube se paise kamane ki puri jankari hindi me mkilegi.

Youtube Videos Ko Blog Post Me Kaise Add (Embed) Kare

Step 1:

sabse pahle aap YouTube par jayiye or aapko jo video blog post me add karna hai us video ko open kijiye.

  1. Share par click kare.
  2. ab embed par click kare.
  3. is link ko copy kare.

Add YouTube video in blog

Ab aapko YouTube video ka link to mil gaya hai. ab aapko ye link blog post me add karna hai.

Step 2:

blogger par jaye or aapko jis post me link add karna hai. uske edit option par jaye.

  1. HTML section par click kare.
  2. ab aapko jaha bhi video dikhana hai waha video ka code paste kare.

paste video code in blog postIs tarah aap YouTube videos ko aasani se blog ki post me add kar sakte hai. or agar aapko video ka size change karna hai to to aap video ke code me width or height ko change kar video ka size change kar sakte hai. jaise

<iframe width=”560” height=”315” src=”https://www.YouTube.com/embed/DTu-G9T85oc” frameborder=”0″ allowfullscreen></iframe>


Video code ko post me add karte time aap video ki width or height change kar sakte ho. aamto r par allready diya hua size better hota hai. log sabse jyada isi size me apne blog par video add karte hai.

Agar aapko lagta hai ki is post se really aapko help mili hai to post ko socual media par share kare. aap chahe to hume bhi YouTube par subscribe kar sakte ho. agar aapka post ke bare me koi sawal hai to niche commnet me puch sakte ho.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 43 )

  1. Vipul DIXIT

    Bahi Muje mere subscribe bandne hai to me YouTube videos ko blog per kase post karu ye batto

    Reply
  2. Tarikul Molla

    bohot aschi aur bohot helping post hai, is post ko share karne ki liye thanks.

    Reply
  3. Gayasuddin Ansari

    Hello sir ji maine video add kiya magar ye to achha nahi dikh raha hai . But maine you tube me full hd Video dale hai

    Iske liye kya kare please help e

    Reply
    • Jumedeen khan

      Video browser me open karo aur setting icon par click kar quality change karo.

      Reply

Leave a Comment

I need help with ...