Blogspot Blog Me Advanced SEO Settings Enable Kaise Kare

Is tutorial me mai aapko blogspot ke advanced SEO options (Search Preference) ke bare me information bta raha hu. Jiski help se aap apne blogger blog ko or jyada SEO friendly bana sakte ho. Blogger team ne ye feature blogspot blogger ko isliye diya hai taki search engines robot ko apna content index karne me humara us par control ho sake or search robot wohi index kare jo hum chahate hai.

How To Enable Blogspot Advanced SEO Settings

Google SEO terms ke anusar isme aap apne blog post content ko search result me apni marzi ke hisab se show kar sakte ho. But blogspot ke is feature ko use karne se pahle aap is guide ko carefully padh le.

Warna aapka blog search engine me index ki jagah de-index bhi ho sakta hai. So, Mai yaha jyada bat karna nahi chahunga. Hum sirf yaha blogspot advansed SEO settings ke bare me bat karenge.

Mai jab bhi blogging SEO ke bare me koi article likhta hu to mujhe dar rahta hai ki kahi mujhse koi galati na ho jaye. Kyuki meri ek galati kisi ki life barbad kar sakti hai. Isliye mai aapse rquest karta hu ki is post ko dhyan se padhe or ache se samajhne ke bad hi follow kare.

Blogspot Blog Me Advanced SEO Settings Kaise Enable Kare – Search Preferences

Blogspot advanced SEO option blogger ki har post me hota hai. Bas uske liye hume blogger ki setting me ja kar advanced SEO setting “Custom Robots Header Tag” enble karna padega. Chaliye iske bare me mai aapko step by step bta deta hu.

Blogger dashboard par jaye or drop down menu me settings select kare. Ab search preference par click kare. Custom robots header tags ke samne edit par click kare.

  1. Yes par tick kare.
  2. Save changes par click kare.

Blogspot Blog Me Advanced SEO Settings Kaise Enable Kare - Search Preferences

Yaha par aapko blogger advanced seo ke all option milenge. Jinme aapko upar image me btaye anusar option par tick karna hai. Yaad rahe aapko ek ek option ki setting ache se samajh kar karni hai. Mai aapko yahi suggest karunga ki aap is gudie ko complete padhne ke bad hi is features ko istemal kare.

Kyuki aapke ek galat option select karne se aapko blog search engines se no-index ho sakta hai. Mera matlab ye nahi hai ki aap mujhe hi follow karo. Mai aapse isliye kah raha hu ki Blogging SEO ko seriously lena jaruri hai.

Blogspot Blog Ki Har Post Me Search Preferences Kaise Enable Kare

Custom robots tags

Blogspot setting me Custom robots header tags enable karne ke bad  new post likhne ke option par jaye. Waha aapko right side sidebar me “Custom Robots Tags” ka option milega. Aap jab bhi new post likhoge to yaha se apni post ko search engines me kaise index karna hai ko control kar sakte ho.

Isme 10-12 options hai. Jinke bare me mai aapko details se btaunga. Agar aapko custom robots.txt tags ke bare me puri jankari nahi hai to aap advanced setting ko default hi rahne de. Agar aapka blog WordPress par hai to aap Yoast SEO WordPress Plugin use kar sakte ho. Yoast seo plugin ko use karne ki guide aapko How To Set Up Yoast SEO Plugin For Better Search Ranking tutorial me mil jayegi.

By the way agar aap blogspot blog ki advanced settings ke bare me english me janna chahate hai to aap humari english site mozedia par visit kare. ya ye article follow kare. How To Setting Up Blogger Blog To Help People Find Your Blog. Is post me aapko search preferences ki jankari details me milegi.

Ab aapne apne blogspot blog me advanced setting to enable kar li hai. So ab hum janenge ki “blogger advanced settings ko use kaise karte hai?”.

Blogspot Advanced SEO Settings Robots.txt Files Meta Tag Redirection Search Preference Ko Kaise Use Kare

Search preferences me 3 features hai, Meta tags, Errors and Redirections and Crawlers and Indexing. In 3 features me 5-6 option hai. Jo is tarah se hai.

  • Description Meta Tag
  • Custom Page Not Found (Error 404)
  • Custom Redirects (Redirect any error 404 page on your blog)
  • Custom Robots.txt
  • Custom Robots Header Tag

Chaliye inke bare me details se bat karte hai. Jisse aap is seo features ko easily use kar sake or logo ki aapke blog ko search karne me help kar sake.

1. Meta Tags Description

Ye wo description hoti hai jo search engine me humare blog ka title ya link search karne par Blog Name Ke Niche show hoti hai. Yaha par aap ye bta sakte ho ki aapka blog kis bare me hai or aapke blog par kis tarah ki jankari share ki jati hai. Aap apne blog ke bare me only 150 characters me hi likh sakte ho.

My means aapko sirf 2-3 lines me apne blog ki information likhni hai. Agar aap 150 se jyada character use karoge to search engine unhe index nahi karega. So jyada words use karne se koi benefit nahi hai.

Enable Search Description

Example: “A blog about social networking and web design.” Jaise mai blogging ke bare me jankari share karta hu to mujhe description me blogging ke bare me hi likhna hai.  aap mere blog ki description ka screenshot upar image me dekh sakte hai.

2. Custom Page Not Found (Error 404)

Error 404 page not foung problem lagbhag har blog me hoti hai. Jab hum kisi post ya page ko delete kar dete hai to visitor ke us page ya post ko open karne par ye error aata hai. Blogger ke is features se aap error 404 page nout found ko apne hisab se control kar sakte ho. Iske liye aapka custom page not found me redirection link code add karna padega.

Custom page not found

Agar aapko redirection code banana nahi aata hai to aap is code ko copy kar Custom Page Not Found me upar image ke anusar add kar sakte ho. Go to blogger dashboard > settings > search preferences > errors and redirections and click on Custom Page Not Found or paste below code here.

<a href="https://www.supportmeindia.com" target="_blank">Error 404 Page Not Found</a>
<p>Aapke dwara search Kiya Gaya page abhi nahi mil raha hai. Please Visit<a href="https://www.supportmeindia.com" target="_blank">home page</a>
<a href="https://Facebook.com/Jumedeenkhan" target="_blank">Contact on Facebook</a>.</p>

3. Custom Redirects (Redirect any error 404 page on your blog)

Kisi or site ko apni site par ya apni site par redirect karne ke liye ye feature bahut important hai. Agar aapse apne blog ka koi page delete ya remove ho gaya hai or aap chahate hai ki us page ki jagah aapke visiter dusre page par jaye to aap us page ko new page par redirect kar sakte ho. error 404 page ka pata lagane ke lie aap google webmaster tools par  Crawl Errors Links check kar sakte ho.

Custom Redirects

4. Custom Robots.txt Files:

Blog SEO ka robots.txt feature ek most important part hai. Jisko aap bahut carefully use kare. Thodi si wrong setting se aapki site search engines se deindexing ho sakti hai. Robots.txt file ka upyog search engines se apne blog ke kisi part ko chipane (hide) karne ke liye kiya jata hai.

Jaise hum apni site ke kisi personal content ko search engine me show nahi karna chahate hai to robot.txt file ki help se hum use search resuls se hide kar sakte hai.

Mai aapko suggest karunga ki aap blog tag, category and navigation page ko noindex kare. Robot.txt files ko use karne ki jankari ke liye aap How to use Robots.txt file in blogspot blog tutorial follow kare. Is post me maine robot.txt ke bare me details se btaya hai.

5. Custom Robots Header Tags:

Blogspot advanced seo ka ye feature sabse jyada confusing hai. Custom Robots Header Tag bahut se blogger ko samajh nahi aata hai. But really me ye itna hard nahi hai, aapko bas ek bar iske options ki achi information ho jaye to aap ise aasani se use kar sakte hai. Mai yaha aapko ek ek point ke bare me details se btaunga.

Fir bhi aapko samajh na aaye to niche comment me puch sakte ho. “Custom Robots Header Tag ka scrrenshot upar second image me already bta chuka hu“.

Ye post 15  March 2024 ko likhi gayi hai or is waqt Custom Robots Header Tag me all, noindex, nofollow, none, noarchive, nosnippet, noodp, notranslate, noimageindex or unavailable after total 10 option hai.

  1. all: Is option ko select karne se search engine aapke post ke all content ko index karega or isse seo par koi effect nahi padega.
  2. Noindex: Search engine post ko index nahi kar sakta or na hi search results me show karega.
  3. Nofollow: Search wengine page me diye links ko follow nahi karega.
  4. None: Simply noindex, nofollow. Search engine na hi to aapki post ko index karega or na hi aapki post me di jankari ko padh sakega.
  5. Noarchives: Search engine aapki post ki archives yani tag or category ko index nahi kar sakta.
  6. Nosnippet: Search engine search result me aapki post snippet show nahi kar sakta.
  7. Noodp: Search engine post ki meta data ko index nahi karega. Yani post ke koi bhi words show karega.
  8. Notranslate: Search engine aapki post par translate offer nahi kar sakta.
  9. Noimageindex: Search engine aapki post me di gayi kisi bhi image ko index nahi karega.
  10. Unavailable_after: Agar aap apni post ko kuch day bat search engines se gide karna chahate hai to uski date yaha par set kar sakte hai.

Note:- Custom robots header tag ka option har post me hota hai. Aap new post likhte time is features ko use kar sakte hai. Upar maine iske sabhi features ke bare me bta diya hai ki kis par select karne se aapki post ka kya hide ho sakta hai. Ab aap aasani se ise use kar sakte hai.

Finaly, Aap advanced seo ko use kar apne blog ki search ranking sudhar sakte hai. Jisse aapko jyada se jyada organic traffic mil sake.

Agar aapka blogger search preferences se related koi sawal hai to niche comment me puch sakte ho or agar aapke pas blogspot advanced seo ke bare me koi jankari hai to aap comment me apne thoughts share kar sakte hai.

By the way agar aapko is article me share ki gayi information pasand aaye to is post ko social media par apne dosto ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 146 )

  1. dharmesh rajput

    bahut badhiya post hai ha share karne ke liye dhanyawad

    Reply
  2. Lokesh kumar

    नमस्कार सर् जी मैं एक ब्लॉग बनाया हु जिसमे कोई भी पोस्ट लिखने के बाद उसे शेएर करना चाहता हु तो इस समय मेरे ब्लॉग पर शेएर का ऑप्शन नही बता रहा है क्या करूँ कृपया बताईये

    Reply
  3. Bhupendra Singh

    bhut jankari wali post dali ha apne dhanywaad sir

    Reply
  4. Neha

    Thank you so much for sharing this info about Social media and Seo ranking factors. Very helpful & informative article. Please keep sharing Digital marketing tips!

    Reply
  5. Manish

    Custom robot header tag me noodp ✔ kiya है Search Console me html improvement fix karne ke liye isse पोस्ट index hone me कोई problem तो नहीं होगा

    Reply
  6. Pankaj Kumar

    Mai Blogger par blogging kar raha hu but meri site rank nhi kar rahi h Alexa par
    Abhi bas 7 post hi publish kiye hai maine
    Kitne post publish karne par site Alexa par rank karti hai.

    Reply
    • Jumedeen khan

      Jab aapki site par traffic aane lagega, alexa rank karegi.

      Reply
  7. Antesh kumar

    Sir, Bahut achhi setting hai aaj hi maine aap ki batai hui setting maine apne blog pe apply kar di hai.. thanks for sharing

    Reply
  8. Ankit Prasad

    post padhke bahoot kuchh naya sikhne ko mila

    Reply
  9. Aryan

    1. Bhai mere blog ke robots txt me maine disallow /search kiya hua hai kya ye achha hai yaa hata du
    2. robots txt edit kar sakten hai
    3. maine search console me home page fetch kiya waha status me redirect likha aaraha hai kya karna honga

    Reply
    • Jumedeen khan

      Yes isse aapke blog ke search page google index nahi karega.
      Yes kar sakte hai.
      jis url par redirect bta raha hai use bhi search console me submit karo.

      Reply
  10. Deepak Prajapati

    sir aap ki content bahot achchhi hoti hai i like it. aap ke bataye gaye anusar mai bhi apni index ki gai sitea ko dekha but vaha 1 post 2-3 bar show ho rahi hai. isse koi probleam aa sakti hai kya?agar aa sakti hai to iska solution kya hoga plz comment kare.

    danyawad

    Reply

Leave a Comment

Ad

I need help with ...