Blogger Me Meta Tags Description Code Kaise Add Kare

Blogspot.com google ki hi service hai. so blgspot par banaya blog allready SEO friendly hota hai. but kuch step hume khud complete karne padte hai. jaise blog ki konsi jankari google search engine me dikhani hai or kounsi search engine se chipani hai. iske alawa or bhi kei options hai jinke bare me mai pahle hi bta chuka hu. aaj mai aapko final option meta tags ke bare me bta raha hu. iske bad meri blogger blog ki SEO guide complete ho jayegi. or fir aap apne blogger blog ko supportmeindia ki complete SEO guide se SEO friendly blog bana sakte ho.

How To Add Meta Tags Code in Blogger Blog

Apne blog ko search engine me lane ke liye meta tags sabse jyada important hai. kyuki meta tags me hi hum hum apne blog ke bare me wo jankari add karte hai jo search engine me humare blog ka name ya url search karne par show hoti hai.

Meta Tags Code Kya Hai?

Meta tags code me humare blog ki description, title, keyword, language, author or country ki jankari ke code hote hai. jisse search engine ko inke bare me pata karne me aasani hoti hai. jaise aap google search engine me mere blog ka name, url kuch bhi search karoge to search engine aysa result show karega. 1. ye mere blog ka title hai. 2. ye mere blog ke bare me yani blog ka description hai.

Support Me India Search Result

Meta Tags Me Kya Hota Hai?

Search engine me aysa result show karne ke liye hum blog me meta tags code add karte hai. blogger par free blog ke liye ye sabse jaruri hota hai. agar aapne blog me meta tags code add nahi kiya hai to search engine ko ye pata karne me bahut problem hogi ki is blog ka name, blog ke bare me, blog ka author koun hai, blog kis desh ka hai, blog ki language kya hai or blog par kya jankari share ki jati hai. in sabke liye blog me meta tags add karna bahut jaruri hai. simple aapko samajh na aaya ho to mai topic ke throw bta du ke meta tags me kya kya hota hai.

  1. Blog ke title ke bare me.
  2. Blog ke bare me ki blog kis bare me hai.
  3. Blog me kis topc par jankari share ki jati hai yani blog keyword ke bare me.
  4. Blog author ke bare me ki blog ko koun manage karta hai.
  5. blog language ke bare me ki blog ki bhasha kya hai.
  6. blog ki country yani blog kis desh se hai ke bare me hai.
  7. blog ki kin kin chizo ko search me lana hai or kin-kin cheejo ko search engine se chupana hai.

Meta Tags Code Kaise Banate Hai?

Upar btayi jankari se aapko ye to pata chal gaya ki meta tags kya hai or ise blog me add karna kyu jaruri hota hai. to ab sawal hai ki blog me meta tags code kaise add karte hai. so blog me meta tags add karne se pahle hume meta tags banana hoga. meta tags code kaise banate hai. iske bare me mai aapko details sebta deta hu jisse aapko meta tags banane me koi problem na ho.

  1.  Description: isme aapko apne blog ke bare me likhna hai. blog ke bare me ayse shabd likhe ki jise padne se hi pata chal jaye ki aap is blog par kiski jankari share karte ho. yad rahe description 160 shabdo se jyada nahi hona chahiye.
  2. Keywords: keywords yani aapke blog par sabse jyada kis topic par jankari share ki jati hai. jaise mai is blog par blogging, make money, social media jaise keywords ke bare me jyada jankari share kartahu. same aapko bhi apne blog se sambandhit 10-15 words choonne hai. yad rahe har word ke bich “,” jarur lagaye. jaise social media, make money, earn money, SEO, intyernet etc.
  3. Author: author me blog admin yani apna name likhna hai. isse google ko aasani se pata chal jayega ki is blog ko kisne banaya hai or kon ise manage karta hai. kon post share karta hai.
  4. Language: isme aapko apne blog ki bhasha likhni hai. aapka hindi blog hai to hindi or english blog hai to english likhna hai.
  5. Country: yaha par aapko apner country ka name bharna hai. aap india se ho to india bharna hai.
  6. Robot: robot yani aapke blog ki konsi jankari search engine me dikhani hai or konsi chupani hai. mere hisab se is par all hi rahne do. kyuki hum blog ki sabhi jankari google search engine me lana chahate hai.

ab aapko in sabhi topics ke bare me to pata chal hi gaya hoga. so niche diye tool me btaye option bhar kar create batan par click karke aap aasani se meta tags code bana sakte ho.

Meta Code Generator Tool By Support Me India

Description:
Keywords:
Author (Optional):
Robots (Optional):

Copyright © 2024 All Rights Reserved by Jumedeen Khan @ Support Me India

Code banane ke bad us code me niche language or country ke ye 2 code or add kar le. or sabhi code ko copy kar le.

<meta NAME="language" CONTENT="Hindi" />
<meta NAME="Country" CONTENT="India" />
Ab aapne meta tags code to create kar liya hai. ab ise blog me add karna baki hai. to chaliye mai aapko iska bhi tarika bta deta hu.

Blogger Me Meta Tags Description Code Kaise Add Kare

Meta tags ko blog me add karna bahut hi aasan hai aapko bas blog tempalte option par ja kar <head> ke niche meta tag code paste karna hai. Step1 :
  1. blogger.com  par jao or apni log in id se log in karo.
  2. ab blog ke dashboard par template option par click karo.
  3. template par click karne ke bad EDIT/HTML par click kare.
add meta tag in blog Step2 :
  1. ab template box me kahi bhi click karo or ctrl+f key button daba kar <head> code search karo.
  2. ab meta tags code <head> ke niche paste karo.
  3. or save template par click karke setting save kar do.
paste meta tags code I hope is post ki help se aapko blog me meta tags code add karne ki problem solve ho jayegi. to ab 30 second ka time de kar post ke bare me comment jarur kare. or is post ko social media par bhi share kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 127 )

  1. Sir blogger me maine abhi meta tag 2 karan ki wajah se add nahin kiya. aapka lekh pura padha. mujhe aap se 2 bat ki jankari chahiye.
    1- aap ne bataya edit html me ye code add karana hai wo samajh aaya lekin blogger dashboard ki setting me bhi meta tag description hai to kya dono ko अलग अलग add karana hai?
    2- meta tag description hinglish me dalna hai ya हिन्दी में भी चलेगा? Plz help

    Reply
    • Abhi blogger setting me iska option de raha hai, to aap setting se hi karo, and jis language me aapki site hai us language me add karo.

      Reply
  2. bhut acchi post bhiya ji ..aap jo b likhte hai bhut accha likhte aur jaldi samjh aa jata hai thnku brother

    Reply

Leave a Comment