Backlinks Ko Google Me Jaldi Index Kaise Kare [Free Tools]

Agar aapke banaye backlink ko google index nahi arta hai to wo backlink nahi hota bhale hi aap kitne bhi non-indexed backlinks bana lo unka koi fayda nahi hona wala. Aapki site ki search ranking tabhi improve hogi jab google aapke banaye backlinks ko index kare. Is post me aapko Backlinks Ko Google Me Fast, Free and Manually Index Kaise Karaye? ki step by step hindi jankari milegi.

Backlinks Ko Google Me Jaldi Index Kaise Karaye

Backlinks tab tak koi kaam ke nahi hai jab tak unhe search engines index na kar le. Normally backlinks ko index hone me kuch weeks ka time lagta hai lekin aap manually is process ko short kar sakte ho. Ji haa dosto aap kisi bhi backlinks ko 24 ghante (under 24 hours) me index kara sakte ho.

Is post me aapko in sab sawalo ke jawab mil jayenge.

  • Backlinks Ko Google Me Index Kaise Karaye
  • Backlinks Ko Index Hone Me Kitna Time Lagta Hai
  • Google Backlink Ko Kitne Time Me Index Karta Hai
  • Backlinks Ko Fast and Free Index Kaise Kare
  • Backlinks Ko Manually Index Kaise Kare
  • Google Backlinks Ko Index Kyu Nahi Karta Hai
  • Aur bhi Bahut Se Sawalo Ka Jawab Mile Jayega

Google ke according 100 low quality backlinks banane se better hai 1 high quality backlink banana. Low quality backlinks ko index karne me jyada time lagta hai kyuki google low PR wali sites ke pages ko kam crawl karta hai.

Aapko backlinks tabhi milega tab google use index kar le, so better hai high page authority wali site se backlinks banaye. Lekin ye possible nahi hai ki aapko humesha sirf High PR wali site mile.

Aese main aap apne banaye backlinks ko manually kuch tools ka istemal karke google me index kara sakte ho. Main yaha par aesi hi backlinks indexer tool ke bare me bta raha hu.

Backlinks Ko Google Me Jaldi Index Karane Ki Best Free Tools

Google jitni jaldi backlink page ko crawl karega backlinks utna hi jaldi index hoga aur aapki site ki search engine ranking improve hogi.

Google hume search console jais free tool deta hai. Jisme fetch a google feature ka use karke hum apni site ki kisi bhi post ko kuch hi seconds me google me index kara sakte hai.

Bilkul wese hi hum google ki hi ek tool ka istemal kar backlinks ko next 24 hours se pahle google me index kara sakte hai. Us tool ka name hai Google Submit URL jiska istemal URL submit karne ke liye kiya jata hai.

Ye web pages ko index karane ki sabse best aur free tool hai, aap ise backlink index karne ke liye bhi use kar sakte hai. Is method se backlinks google me under 24 hours me index ho jate hai.

Simply, iske liye aap google me “Google Submit URL” type kar search kare, top me hi tool mil jayegi ya fir aap direct Google Submit URL par ja sakte hai.

  1. Google me Google Submit URL search kare.
  2. Backlink URL add kare.
  3. Submit button par click kare.

Submit URL to Google

Backlink URL submit karne ke 24 hours me google URL ko index kar lega.  Kai bar isme 24 hours se jyada time bhi lag sakta hai.

Ab sawal ye hai ki kaise pata kare ki humare kaun kaunse backlinks index nahi hai to iske liye bhi kai tools hai. Maine is bare me researching to mujhe Bulk index Checker tool sabse best lagi.

Backlinks ko fast and free index karne ke liye aap is tool ka bhi istemal kar sakte hai. Is tool ke free plan me ek time me 50 backlinks add kar sakte hai aur paid plan me 100 URL add kar sakte hai.

Bulk index Checker

Is tool site par jaye aur apne sare backlinks URL paste kar Bulk indexing look up now button par click kare. Uske bad jo jo backlinks google me index honge unke samne yes likha show hoga aur jo index nahi honge unke samne no likha show hoga.

Indexing Status

Iske alawa aap index checking tool ka bhi istemal kar sakte ho. Aap google search karenge to is tarah ki bahut si tools mil jayegi lekin ye kafi hai.

Non-indexed backlinks ka pata kare aur google submit URL tool method se unhe index karaye. Main backlinks index karane ke liye isi tools ka istemal karta hu.

Agar aapko isse better koi aur tarika pata hai backlinks ko fast index karne ka to comment me bta sakte hai aur haa aapko ye article pasand aaye to ise social media par share jarur kare.

In: Categories SEO
Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 44 )

  1. zain

    bulk backlink ko google ma index karna ha
    free tool bta dy

    Reply
  2. Jayesh Shrimali

    Aapki post to kamal ki hai but mera ek sawal Hai Qs -1 hame jis site ya blog se Backlinks mile hai uska Back link URL kaise pata Kare.. Qs-2 Kaya Back link URL Check kar ne ke liye koi tool hai

    Reply
    • जुमेदीन खान

      Semrush se pata kar sakte ho.

      Reply
  3. jaipal

    bohut acha article likha hai aapne. ye bohut faaydemand hai. sath me seo friendly theme use kare jisse zyada faayda milega

    Reply

Leave a Comment

Ad

I need help with ...