Google Keyword Ranking Check Karne Ki 5 Badhiya Websites

Wbsite SEO ke bare me aap thoda bahut to jante hi honge. or agar nahi bhi jante ho to pahle humari site ki SEO se related post padh le. is post me mai pahle bar website SEO ke bare me jankari share kar raha hu. jinse aap pata kar sakte hai ki aapka blog search engine me kis ranking me hai. or google, bing, yahoo me koi keyword search karne par aapka blog kis ranking me aata hai.

Top 5 Website Check Keyword Ranking

New blogger aksar ye galti karte hai ki bina keyword use kiye article ko share kar dete hai. jisse unhe  search engine se acha result nahi mil pata hai. Google keyword search tool par aap top keyword ka pata laga sakte hai. or aaj se ye tay kar le ki aap aage se kabhi bhi bina keyword use kiye koi bhi post share nahi karenge. post me jyada se jyada keyword ho iske liye post me lagbhag 2,000 word hone chahiye. jab itne sare word honge to jahir hai post me keyword bhi jyada honge.

Jab aap ek full SEO friendly post likh lo to aap google search engine me ranking bhi pata kar sakte ho. agar aapko seo friendly post likhne ki jankari nahi hai to pahle Blogger Post Ko SEO Friendly Banane ki 10 Killer Tips post pade or SEO friendly post likhna sikhe. uske bad aap apni post ki ranking is post me btaye tools se check kar sakte ho ki aapki post search engine me kis number par aati hai. better result ke liye post 1-20 number par aani jaruri hoti hai.

Google Keyword Ranking Check Karne Ki 5 Badhiya Websites

SEO ke bare me aapko jyada jankari nahi hai to mai aapko suggest karunga ki SEO ke bare me ache se jane or seo friendly post likhna sikhe jisse aapko google or other search engine se possitive result mil sake.

1. Google Rank Checker:

Google rank checker ek bahut hi badhiya or sahi result btane wali service hai. jo aapki post ya keyword ki google search engine me position show karti hai.

  1. yaha par apni site ya blog ka url enter kare.
  2. ab jo keyword ki ranking aapko pata karni hai wo enter kare.
  3. aap jis country me ranking pata karna chahate ho wo country select kare.

Google rank checker

2. SEOCentro Rank Checker:

SEOCentro Rank Checker par keyword ki ranking ke sath date, time or us keyword se related other keyword ka bhi pata chalta hai. but ye tools google, bing se jyada yahoo ke result show karta hai. so agar aapke search karte waqt goog me keyword na mile to ghabraye nahi.

SEOCentro Rank Checker

3. Small SEO Tools:

ye tool aapki site ke keyword ki sabhi position show karti hai. jaise agar aap apni kisi post title se related koi bhi words search karte ho to search engine me us keyword se related jitne bhi word aapki site ke hone wo sab is tools se pata chal jata hai.

Small Seo Tools

4. Free Keyword Rank Checker & SERP Checker:

Free Keyword Rank Checker me aap desktop or mobile dono ke result check kar sakte ho. sath hi is tool me country ke sath state or zip code ki service bhi hai. isme aap google or yahoo dono ke search result pata kar sakte hai. bilkul small seo tools ki tarah isme bhi aapko keyword se related other result ki bhi jankari milti hai.

Free Keyword Rank Checker & SERP Checker

5. Search Engine Position:

ye tool bhi bilkul google rank checker ki tarah result show karti hai. or isse aapko post ke top keyword ka pata chalta hai. agar aapki post me top keyword hoga to hi ye tool result show karega. warna no result found error show hoga.

Search Engine Position

In sabhi tools me se Google Rank Checker mujhe sabse best lagta hai. kyuki ye tools currect or better result show karta hai.or mai ye bat aap se bhi kahunga ki ek bar is tool ko try karne par aapko bhi pasand aayega.

I hope aapko is post se apni blog ki post me keyword use karne se hone wale fayde ke bare me jankari mili hogi. or ab aap apna post likhne ka tarika thoda change karne wale hai. so comment karke btaye ki ab aap post me keyword use karoge ya fir pahle ki tarah bina keyword ke post publish karte rahoge.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 30 )

  1. Gourav Singh

    Bhai, 301 or 302 redirect ko kab or kaise use me lete hain ?

    Reply
    • Jumedeen Khan

      301 redirection permanet jaise kisi domain ko another domain par forwad karna ya http to https redirection karna. 302 temporary redirection iska istemal affilate links ya kisi aur site par redirect karne ke liye karte hai.

      Reply
  2. vinesh b bhuriya

    Maine AdSense account bhi bana liya hai or AJ subah me AdSense k home me my ads me Jake ads bhi bana li or mere blog competitive-gujarat.blogspot.com me deshboerd me Jake code paste kiya ekbar Maine ads mere blog me dikhi par AB nahi dikh rahi kya ho Sakti hai uski wajah?

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Aapko AdSense approved ka koi mail aaya ho to wo dikhao.

      Reply
  3. rohit

    mai admin toh ban gya par hindi.supportmeindia.com me login kaha se karu login ka option kaha par aata hai

    Reply
    • Jumedeen Khan

      hindi.supportmeindia.com/wp-admin par aap log in kar sakte ho.

      Reply
  4. rohit

    bhai muje jawab kyo nhi de rhe

    Reply
    • Jumedeen Khan

      aapki post maine publish kar di hai. aap check kar sakte ho. rohit itni jaldi aap paise bhi mangne lag gaye abhi to aapne ek hi post ki hai. jise 30% mujhe edit karna pada.

      Reply
  5. rohit

    Isme registration completed likhkar aaya hai lekin muje koi mail nahi mila mai login kaise karu

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Aapka username hai “rohitkumarrajpur” or password hai “ROHITKUMAR@00” log in karne ke bad password change kar lena.

      Reply
  6. Jumedeen Khan

    Rohit aapki post to sahi hai. ab aap aysa karo. post ki meaning check kar lo. or yaha click karke syupportmeindia ko join karo. or post update kar do. mai post ko publish kar dunga.

    Reply

Leave a Comment

I need help with ...