New blogger ko ye janna bahut jaruri hai ki blog banane ke bad use AdSense se kab jodna hota hai. or AdSense ke liye apply karne ka sahi time kab hota hai. is post me aaj hum isi ke bare me bat karenge. jisse aap ko pata chal sake ki blog ko AdSense ya kisi or advertising site se kab connect karna chahiye. or new blog banane ke bad kab paise kama sakte hai. iske liye kam se kam kitne visitors or pageviews hone jaruri hai.
Blog banane ke bad kya kya karna hota hai. new blogger ko iske bare me jyada kuch pata nahi hota hai. or wo ek do post share karte hi AdSense ke liye apply kar dete hai. jiska natija ye hota hai ki unka AdSense account block ho jata hai. in my case maine ayse bahut log dekhe hai. mai un sab new blogger se kahna chahunga ki mehanat karne se pahle uske fal ki icha karoge to nukshan hi hoga. agar aapko success blogger banna hai to sirf apne kam par dhyan do jab aap mehanat karoge to paisa khud be khud aapke pas aayega. bina mehanat ke duniya me kahi bhi kuch bhi nahi milta hai.
Blog Kaise banaye?
Blog banane ke sabse popular 2 platform hai. ek blogspot or dusra WordPress. inme se WordPress paid hai or blgspot free hai. new blogger ko mai blogger ke liye suggest karunga kyuki ye bilkul free or manage karne me aasan hai. or google ka banaya hone se ye SEO friendly hota hai. iske bare me asdhik jankari ke liye aap Blogpost Vs WordPress Kounsa Platform Behatar Hai post pado isme aapko dono ki puri jankari mil jayegi.
- Blog Ke Sitemap Ko Google Search Console Me Submit Kaise Kare
- Blog Ko Bing Webmaster Tools Se Submit Kaise Kare
Adsense Kya Hai?
Adsense ek advertising site hai. jise google ne hi banaya hai. AdSense ads par click karne ke paise deti hai. AdSense se paise kamane ke liye aapko ek blog website banane ki jarurat padti hai. blog bana kar usme aapko AdSense ke code lagane hai. aap blog me jaha AdSense ke code lagaoge waha ads show honge. or jab koi in ads par click karega to aapki income hogi. iski adhik jankari ke liye ye posts padiye.
Agar aap AdSense ke bare me jyada nahi jante hai to mai aapko bta du ki AdSense ke rules bahut shakht hao or unka ulaghan karne par AdSense aapko block kar sakta hai. mai iske bare me bahut post kar chuka hu so AdSense ke bare me or jyada jankari ke liye aap supportmeindia ki Adsense se related post padiye. ya fir aapko english aati ho to aap AdSense policy par bhi AdSense ke rules ki jankari pa sakte ho.
- Internet Se Ghar Baithe Online Paise Kaise Kamaye
- Online Paise Kaise Kamaye: Internet Se Paise Kamane Ke 20 Tarike
Blog Banane Ke Bad Adsense Ke Liye Apply Kab Kare
Jab AdSense aa[pki site ko review karta hai to aapki site me niche di gayi jankari check karta hai. mai yaha aapko iske bare me kuch bate bta raha hu. jinhe follow karke aapka AdSense account block ya ban nahi hoga.
- Traffic: Adsense account banane ke liye aapke blog par per day 500 pageviews google search engine se aaye visitors se hone chahiye. agar aap isse kab pageviews hone par AdSense ke liye apply karoge to AdSense approved ho bhi jayega to kab traffic ki wajah bahut jald disapproved ho jayega.
- Content: aapke blog par post me share ki jane wali jankari ko hi blog content kahte hai. AdSense aapke blog ke content ko dekh kar hi aapko ads lagana allow karta hai. so AdSense account banane se pahle aapke blog par kam se kam 5000-10000 words ka content hona jaruri hai. itne content ke liye aapke blog par 10+ post honi chahiye.
- Author Talent: jab aap AdSense ke liye apply karte ho to AdSense aapke blog ko review karta hai. yani aapke blog ki sari data check karta hai. usme AdSense aapke talent yani post likhne ka tarika kaisa hai ko bhi check karta hai. or agar aapki post ka talent AdSense ko pasand na aaya to bhi aapka AdSense account approved nahi hoga.
- Copyright Content: aap jo post blog par share kiye hai unme di gayi jankari aapki likhi huyi honi chahiye. or wo jankari aapne kahi se copy kiya hua nahi honi chahiye. agar AdSense ko aapke blog par kuch bhi copyright mila to AdSense account disapproved ho jayega.
- Bounce Rate: bounce rate yani aapke visitors aapke blog par kitne time tak rukte hai or unhe aapke blog par di gayi jankari me kitna interest hai. AdSense ise bhi check karta hai. bounce rate badhane ke liye aap blog par commenting use kare or post me kam se kam 1000 words use kare. jisse visitor aapke blog par adhik time tak ruk sake.
- SEO: AdSense me apply karne se pahle apne blog ko google, bing, yahoo, ask jaise search engine se submit kar le. jisse aapka blog search engine friendly ban jaye. jisse blog par acha traffic hoga or AdSense account jaldi approved ho jayega.
- Blog Design: AdSense account apply karne se pahle apne blog ko ache se design kar le. usme jaruri widget add kar le. in my case mai aapko simple design ke liye kahunga. kyuki simple design ko visitors sabse jyada pasand karte hai. or AdSense ko simple design hone ki wajah se aapke blog ko review karne me aasani hogi. or kam se kam waqt lagega.
- Create Page: AdSense account banane se pahle apne blog par about us, privacy policy, contact us page bana le. google search engine or AdSense dono ko ye page pasand hai.
- Sitemap: apne blog ka sitemap bana le or sitemap ko googe, bing or baki search engine se submit kare. sitemap me aapke blog ki sabhi post, pages ke links add hote hai. jisse AdSense ko blog ki jankari pata karne me aasani hoti hai.
- Traffic Rank: AdSense account banane ke liye aapke blog ki ranking 5,00,000-10,00,000 ke bich honi chahiye. isse jyada ranking huyi to ho sakta hai AdSense account approved na ho.
Ummid hai ab aapko blog banane ke bad AdSense account kab banana chahiye ki jankari mil gayi hogi. to ab aapko kisi se bar bar puchne ki jarurat nahi padegi. or na hi AdSense approved na hone ki problem ka samna karna padega.
- 20 Common Mistakes Jinki Wajah Se Google Adsense Block Hota Hai
- Apna Adsense Account Approved Kaise Kare 4-5 Din Me
Is post me btayi bate follow karke aap aasani se AdSense account bana sakte ho. or agar aapko iske bare me koi sawal puchna ho to niche comment kar sakte ho. sath hi agar aapko is post me achi jankari mili ho to is post ko share karna na bhoole.
Yuva Thakur
Meri Umra 21 Saal Hai Lekin Jaisa Ki Google AdSense Ki Sarte Hain Ki Aap 18 Saal Se Pahale Google AdSense Ke Liye Apply Nahi Kar Sakte Lekin Main To 21 Saal Ka Hoon Fir Google AdSense Ko Kaise Pata Chalega Ki Main 21 Saal Ka Hoon
Please Reply Me
Jumedeen Khan
Google aapse koi problem hone par identity verify karne ke liye kah sakta hai. Tab aapko documents ki copy send karni hogi.
akash
Kya me apne blog me payment getway lga skta hu ..
Yadi lg jayega to kese plz btaye.
Or payment getway kon sa best hai
Jumedeen Khan
Aap WooCommerce Payment Gateway – Inspire plugin use karo.
Sunil Kumar
deae mr. jume deen khan sahab mere paas pehle ae ek adsense account hai youtube se banaya hua ab usko main blog se kaise conect kar sakta hun plz details me samjhaye
Jumedeen Khan
First aap blog me custom doamin add karo fir us domain ko adsense me add kar blog me ad lagao.
Shivani sharma
Amazing tips about Google adsense and i hope these tips will works for me because my adsense account got rejected 2-3 times. Now i will follow these tips. Thanks Jume Deen for sharing these helpful tips.
Pawan Chaudhary
Sir post me ads kaise lagte hai aur kitne ads lga sakte hai post main.
Jumedeen Khan
Post me aap 3-4 ads laga sakte hai. Adsense par ad banao or direct post me ad code paste karo ya fir ye method use karo Blogger Ki Sabhi Post Me Adsense Ke Ads Kaise Lagaye
Rohit Mishra
sir
kya mai blog k free plane s paise kama sakte hai
Jumedeen Khan
Yes kama sakte ho.
Kalpesh Damor
hello sir me blog me Article hindi lekin english me likhta hu toh AdSense ke liye konsi language select karu .,
mera blog dekhar bataye toh achha rahega
Jumedeen Khan
Hindi select karo.
Saifuddin
Thanks ….all tips you provided are useful….
Muhammad Saifullah
Sir
Mera 1st sawal yeh ha kay domain regester karne se e blog ko Adsene se connect kia ja skta ha
2- Mein Urdu mein Post likhta hon jaise aap hindi ko english mein likhtey hain.Tu mein Adsene se connect karty wakt kon si language select karon. Urdu list mein Nahi ha
Jumedeen Khan
1. Aap apne sabhi blog ko ek hi AdSense se jod sakte ho.
2. hindi.
asmeer
me ne blog banaya hai or us me ek artical bhi likha he lakin mere artical ke words smallest he ho jatay hain me ne kai bar koshish ki large words ki per asa nahi huwa me kia karun yah meri kahan galti he mujhe batain
Jumedeen Khan
Without blog link me check nahi kar sakta.
Priyabrata Dash
Hey bro,
Mere blog par pehele AdSense sign up show nahi ho raha tha. Par aaj dekha to sign up button show kar raha hai. Iss ka matlab mera blog AdSense ke liye approve ho gaya?
Jumedeen Khan
Nahi iska matlab hai aap AdSense se blog ko connect kar sakte ho.
JAVED AHAMAD
SIR
MAINE DOMAIN PURCHASE KRKE
BLOG SE ADD KR DIYA Hai
AUR MERA SITE BLOG KA NHI RESULT, ADMIT CARD ETC KA HAI
TO MAI HOSTING KHARIDU YA ISI BLOG PR HTML KARU
kyuki godaddy wale ye bata rhe hai ki aapko storage km milta hai blogger mai
kyuki mai ek website hai sarkariresult.com jaisi apni site banana chahta hu pls sir ek baar aap dekh lijiye ki mai sarkariresult.com jaisi designig blogger mai kar sakta hu ki nhi aur blogger me aise site ka approvel milega ki nhi
meri website resultadda.com hai
Jumedeen Khan
Godaddy wale isiliye kah rahe hai taki aap unki hosting buy karo. But aapko iski jarurat nahi hai. Aap blgoger blgo me hi domain ko add karo or blog ka dns record godaddy domain setting me add karo. Iski jankari is post me hai Blog Me Blogspot.com Ko Hata Kar Apni Pasand Ka Domain kaise Use Karte Hai
JAVED AHAMAD
sir aap blog uses kr rhe hai ya C panel
kyuki hmne apne blog se sabkuch hata diya hai jo blogger me tha
kya is tarah karne se google AdSense approvel dega koi problem to nhi aayega
Jumedeen Khan
Nahi is tarah aapka AdSense account approve nahi hoga.
javed
to kya kare ab sir
pls aa[ mera site ekbaar dekh lijiye
http://www.resultadda.com
mai bahut confuse hu
mai kya karu
hosting kharidu ya phir blog use karu kyuki hme blog nhi likhna hai
information wali site banani hai
pls help me
Jumedeen Khan
Javed ye aapko hi decide karna hai.
JAVED AHAMAD
sir
aap sirf ye bata dijiye
agr mai hosting le lu to AdSense kitne din me approve ho jayega agr traffic 1000 daily ho
Jumedeen Khan
Adsense ke liye aapki site par daily 500+ traffic or site design complete hona chahiye. Hosting ka AdSense se koi lena dena nahi hai.
Altaf
Assalamualaikum jumedeen khan sahab mera naam altaf hai mera sawal hai kya hum jo ye language use kar rahe hain hindi wo bhi english text me means (hinglish)to kya google AdSense ise approved kar lega agar haan to apki iss site par bhi AdSense k hi adds hain
Jumedeen Khan
W/a Altaf,
Aap hinglish blog par AdSense me hindi language select kar AdSense approve kara sakte ho. No problem ho jayega.
Lyrics Bling
hello jumme deen khan sir – assalam o alaikum
sir meri ek site hai http:lyricsbling.com
3 months pehle AdSense ke liye apply kia tha pehle AdSense ne accept karlia phir code mujhe dia men ne code site men lagaya phir second stage men reject kardia. 2 mrtba AdSense ke liye apply karchuka hoon same problom. kindly help karden
ALLAH aap ko aur taraqqi de hamesha khush rakhe (aameen
Jumedeen Khan
W/a
aapko AdSense disapprove ko jo mail milta hai wo mujhe dikhao.
lyricsbling
sir jume deen khan
men ne AdSense disapprove mail aap ke comment ko reply kia magar comment show nahi hota. two times karchuka hoon reply. kindly ap se fb pe bat hosakti hai kia. agar han to plz apna address deden
shukriya
Jumedeen Khan
Iski wajah hai tum comment policy follow nahi karte or name se comment nahi karte ho.
naresh parmar
sir mene blog to bna liya hai
ab AdSense account bna rha hu to usme website puch rha hai kya website dalu
plzz help me sir fast
Jumedeen Khan
Abhi AdSense account mat banao first blog par traffic badhao or blog ko sahi design karo. Jab aap blog se apply karoge to koi link add karne ki jarurat nahi or agar aap custom domain se karna chaho to pahle domain kbuy kar blog se connect kar fir AdSense ke liye apply karo.
Avinash Kumar
Kya aisa koi rule hai India ke liye, Jisme Adsense ko apply karne ke liye Blog ka kam se Kam 9 month old hona jaruri hona chahiye?
Jumedeen Khan
Nahi aesa koi rule nahi hai.
kd ahir
sir ae ad ke paisa hame kese milte hai?? kha pe jama hote hai
Jumedeen Khan
Iske bare me ye post padhe Google Adsense India Me Payment Kaise Karta Hai
Sachin
achhaa thanks ..
Dev Kumar
SIR
jo parishani Dinesh Ji ki wahi meri hai ,
sir ab adsens account kaise banega ,
please help me
aur haan sir ek baat aur comment karne ke baad humara photo kyo nahi aata hain, jaise aapka aata hai
Jumedeen Khan
Pahle apne blog ko AdSense ke layak banao or fir se apply karo. apna photo comment me lagane ke liye ye post check karo. Gravatar Par WordPress Comment Me Apni Image Kaise Show Kare
annu
sir kya aap bta sakte ho ki ek fully blog kaise bnaye google AdSense work k liye .jisme sb kuch ho aur kaise bnana hai
Jumedeen Khan
ye post check karo Blogging Ki Shuruat Kaise Kare, Ek Successful Blog Kaise Banaye
Shashi yadav
Hallo Bro ! maine AdSense ke liye apply kiya, to 1 hour ke bad (Google AdSense has reviewed your application) mail aaya. Kya mera AdSense approved ho gya hai. And jab mai Adsense ki site par jata hu to vaha ek code milta hai jise template me code ke niche past karne ke liye kaha jata hai. aur aisa karne par template save nhi hota. help me..
Jumedeen Khan
nahi abhi google aapke blog ka review karega uske bad approved hoga tab aapke blog par ads show honge. aap blog ki widget me ads code add karo