Blogger Ki Sabhi Post Me Adsense Ke Ads Kaise Lagaye

Blogspot blog ko 6 month se pahle AdSense se connect nahi kar sakte. but blog me custom domain add karke 3-4 din me AdSense account bana sakte hai. but problem ye hoti hai ki hume har post me har bar AdSense ke ads ke code paste karne padte hai. is post me mai aapko aysi trick bta raha hu. jisse aap ek hi bar me apne blog ki sabhi post me AdSense ke ads laga sakte ho. agar aap bhi blogger user hai to kyu na ek bar is trick ko try kiya jaye.

How to insert ads in blogger post

Blogger me post likhte samay har bar post me ad ke code paste karne padte hai. lekin ab aapki ye problem me 50% solve kar dunga. ab aap sabhi post me sabse upar sirf ek jagah AdSense ke ads code add karke dikha sakte ho. to chliye pahle aap Adsense Par Ads Kaise Banate Hai post pad kar AdSense par ads bana le. uske bad ye post follow karna. or agar aapko AdSense ke bare me or jyada jankari chahiye to aap humari AdSense se related post pad sakte ho.

Blogger Ki Har Post Me Adsense Ke Ads Kaise Lagate Hai

Ye bahut hi aasan hai. agar aapko blogger ki coding ki thodi bhi jankari hai to aap ye aasani se kar sakte ho. aap new blogger ho to step ache se follow kare. or agar na kar pao to niche comment me problem btaye.

Step 1: apne blog ke dashboard par jaye.

  1. or template section par click kare.
  2. Edit HTML par click kare.

choose edit html

Step 2: Ab html box me mouse le ja kar kahi bhi click kare. or Ctrl+F key button daba kar <data:post.body/> code search kare.

Step 3: Ab ye code copy kare.  “Apna AdSense ads code yaha paste kare” ki jagah ads ka code paste kare.

<b:if cond='data:blog.pageType == &quot;item&quot;'>
<div align="center">

Apna AdSense ads code yaha paste kare.

</div>
</b:if>

Step 4: ab is code ko <data:post.body/> ke upar yani code se pahle paste kare.

Paste code above

blog template me “<data:post.body/>” code kei jagah par hoga. hume dusre code ke upar code paste karna hai.

Change Ads Placement:

  1. agar aap ads post ke ke bich me nahi dikhana chahate to. code me diye center ki jagah right ya left karke ads ko right or left me dikha sakte hai.
  2. agar aapke blog me post me ads show na ho to dusre  <data:post.body/> ke niche upar btaye code ko paste karke try kare.
  3. agar aap post ke and me ads dikhana chahate ho to post me btaye code ko <data:post.body/> ke niche paste kar sakte ho.

I hope is post me btayi tricks se ab aapko bar bar post me code paste karne ki jarurat nahi padegi. to plz don’t ignore it. post ko share jarur kare. sath hi humari site ko subscribe bhi kare.

Agar new blogger hai aapko blogger ke bare me or bhi jankari chahiye to aap Blogspot Par Free Blog Banane Ke Bad Kya Kare Full Guide post padiye. isme aapko blog ko design karne, seo friendly banane, fast loading banane ke sath or bhi bahut sari jankari milegi. so new blogger is post ko ek bar jarur read kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 285 )

  1. Sir, maine blog creat kiya and adsence ke liye bhi apply kiya but mujhe accept nahi kiya, please mera blog check karke batayein.

    Reply
  2. Sir blogger se blogging start kardi hai

    Maine domain buy kar liya

    Achha tarika hai kya

    Sir kitana traffic, post,

    Reply
    • Template ki jagah theme hai
      Template hai hi nahi bloggers par

      Reply
  3. blog ke post ke beech me google ka advertisment kaise post kerte hain? ki her post me google ka add dikhe .

    [ads id=”ads1″]

    main ye daal kar add post Ker rahi hun apne blog par.but 2 add show Hota hain some times nahi google ka add automatic set kayak Hua hain. agar ye code post nah kart to add nahi dhikhta hain….ek Baar mera blog check kijiye.

    please guide

    Reply
    • आप auto ads supported theme इस्तेमाल करो, मुझे आपके ब्लॉग पर कही कोई ad नहीं दिख रहे है

      Reply
  4. Sir me AdSense ke liye apply kar sakta hu
    Ek bar jarur reply kare koi problem to nahi ha mere blog me

    Reply
    • haa kar sakte ho.

      Reply
  5. Hello sir,
    Mene abhi new blog create kiya hai
    Or third party domain bhi blog me set kr diya
    Me roj uss prr blog post likhta hu
    Or mene google AdSense ke liye bhi aply kiya

    Wha muje 3 dino ka tym diya tha. Abhi tk koi reply bhi nhai aaya google AdSense ki trf
    , muje meri site prr google AdSense ka apurval kb tk mil jayega, sir aap ek baar mere blog ko check kr sakte ho, usski them me Koi problem to nhai hai.

    Plsss help me sirr
    Aaj 5 din ho gye hai google ki trf se koi reply nhai aaya hai..

    Reply
    • आपके ब्लॉग पर सिर्फ ३ पोस्ट है जबकि आपको कम से कम 8-10 क्वालिटी पोस्ट लिखने के बाद अप्लाई करना था, इंतजार करो हो जाये तो ठीक वरना अगली बार इस guideline को पढ़कर अप्लाई करना, Google Adsense Account Approve कैसे कराएं [Edition 2019]

      Reply
    • Sir .. Web push ads notification ko uesd kerny ka trika bata de..
      Meny new video blog banayahe .. Article thems per .. Jismy ads bar bana howa he .. Koi acha sa ads network bata deen ..

      Reply
  6. Sir Bina domain name ke add LGA sakte h ya nhii

    Reply
    • हां लगा सकते हैं

      Reply
  7. Hello Sir,
    Nice article.
    Mera ek saval he, mere blog me auto ads he or aane jis tarah har page me ads dalne ka tarika bataya vo bhi try kiya he. Lekin mere blog me har post me ads nahi show ho rahe he? Kya auto ads har post me automatic nahi aata he? Mobile me bhi ads nahi show hote he..please check karke bataye ki meri theme me koi problem he.

    Reply
    • हां, auto ads प्रॉपर्ली वर्क नहीं करते हैं, आपको manual ad placement करना चाहिए

      Reply
  8. Hello sir I am a biggest fan your blog i love your blog posts
    Can you write post this topic
    (Ebooks me Adsense ke ad Kaise lagaye aur free ebooks writing karake paise kamaye)
    I have surf on google this topic but I cannot get information about this topic this topic article posts not available on google can write about this topic related post
    I hope you will write on post this topic
    Thank you reply me
    Happy bloging…………………………………..

    Reply
    • बताने के लिए धन्यवाद, यह बहुत अच्छा टॉपिक है, हां मैं जरूर लिखूंगा

      Reply

Leave a Comment