Gravatar ek “Globally Recognized” avtar hai. jise WordPress platform ke liye banaya gaya hai. WordPress par apna photo show karne ke liye aapko gravatar par profile banani padegi. uske bad aap WordPress blog par post or comments karoge to waha aapki image show hogi. is post me aapko iski puri jankari step by step milegi. jisse aap agle 5 minutes me gravatar profile ready kar sakte ho.
Bahut se blogger jo blogging me naye hote hai. unhe “WordPress comment me apna photo kaise idkhaye” ke bare me pata nahi hota hai. mai aapko is post me jo jankari de raha hu.
Use pad kar aap gravatar par account bana kar WordPress comment me show hone wale icon ki jagah apni photo laga sakte ho. jisse aapke alag pahchan banegi. or aap jis blog par comment karoge, wo bhi aapko aasani se pahchan sakega.
- Smartphone Ki Memory Badhane Ke 5 Badhiya Tarike
- Smart Phone Ki Battery Life Badhane Ke 10 Android Apps
Gravatar Kya Hai?
Gravatar ek “Globally Recognized” avtar hai. simply ye WordPress par aapki image ka avatar hota hai. jisse aapko site to site relation banane me aasani hoti hai. gravatar service ko Tom Preston-Werner ne 2007 me start kiya tha.
Is par aap sirf email id se account bana kar apna photo upload kar sakte ho. fir aapki sabhi WordPress comment (?jo aap pahle kar chuke ho or aage karne wale ho) par aapki image show hogi.
Gravatar Par Account Kaise Banaye
Gravatar par account banana bahut hi easy hai. aapko bas email id ki jarurat padegi.
Step 1:
sabse pahle aap gravatar.com site par jaye. or Create Your Own Gravatar par click kare.
- Agar aapke pas pahle se WordPress account hai to aap gravatar par apni WordPress ID se log in kar sakte ho.
- apna email enter kare.
- apna USERNAME select kare.
- Password choone.
- Sign up→ par click kare.
Step 2:
Ab aapke gravatar aapki email ID par ek message send karega. aapko us par click kar ke apna email confirm karna hai.
Jab aap email message me gravatar ke link par click karoge to aapko gravatar account ban chuka hoga. ab aapko is par apni photo upload karni hai. agar aap chahe to gravatar profile me ek se jyada email addpress add kar sakte hai.
Gravatar Par Apni Photo Kaise Upload Kare
Step 1: Gravatar site par ja kar log in kare or apni image par mouse le ja kar Add an image par click kare.
- Upload New: aap direct apne pc me se apna photo upload kar sakte ho.
- Form URL: aap apne blog me add apni kisi image ka link dal kar photo add kar sakte ho.
- Pat Upload: aapne jo gravatar par pahle image upload ki thi unme se profile photo choose kar sakte ho.
- From Webcam: agar aapke pas apni koi image nahi hai to aap yaha pae click karke abhi apni photo le sakte ho or gravatar profile par add kar sakte ho.
Set Up Your Gravatar Profile – Gravatar Profile Set Kaise Kare
Gravatar par aap aasani se apni profile ki setting kar sakte ho. jaise apna name or details, websites, email addpress. ye sab aap aasani se kar sakte ho.
- My Profile par click kare.
- apna first name or last name likhe.
- apna full name enter kare.
- aap WordPress pos or comment me jo name dikhana chahate hai, wo select kare.
- apni location set kare. agar india hai to india select karo.
- apne bare me thoda details me likhe, jo bhi aap likhna chaho.
- finaly Save Profile par click kare.
Isi tarah aap gravatar par apni site add kar sakte hai. ab jab bhi aap kisi WordPress blog par comment karoge to waha aapki image show hogi.
- Mobile Se Paise Kamane Ke 5 Best Android Apps
- Online Paise Kaise Kamaye: Internet Se Paise Kamane Ke 20 Tarike
I hope aapko ye post pasand aayegi. or ab aap bhi apni image WordPress comment me dikhana chahenge. to abhi apni gravatar profile bana le. by the way aapko ye post kaisi lagi.
Or agar aapko gravatar ke bare me kuch puchna hai to niche commnet kare.
Bhai spam comment ke liye kya kre jo english ya dusri language ke hote hai ve sirf apni site ki link add krna chahte hai aur post se related comment bhi ni krte hai
akismet plugin use karo.
Sir aap multiple author ke liye koun sa plugin use kar rhe hai.
Agr yah setting aapko theme hai to eisa konsa plugin hai jis par multiple author be naam daal skate hai.
Multi author feature already wordpress me hota hai. aap users >> add new option par ja kar new user profile create kar sakte ho.
good article and very useful thank you sir
sir Gravatar par account bnane k baad bhi mere image show nhi ho rahi
Picture show hone me time lagta hai kuch time bad ho jayegi.
Sir gravatar PR account bana liya hai or my profile ko bhi set kar liya but commant me pic show nhi ho RHA hai jabki photo set kite huye 1 day ho gya
Aapki image show ho rahi hai. Gravatar par image upload karne ke bad kuch time bad image show hoti hai.
Sir mai gravatar PR account nhi bna pa RHA hu
Jab mai WordPress ID se Los in karta hu to password wrong btate hail
Jabki mera WordPress usi username or WordPress se opne hota hai. Please help me sir
Aap first wordpress par log in karo gravatar ki site open karo.
Hello sir gevatar muje jo email send karta hai vo muje milti hi nahi hai kinki mene apne WordPress par jo email diya hai vo admin@hindidit.com se hai
Sir me ye janna chahta hu ki is wale email par mail keise receive hoga
Aap hosting cpanel par ja kar email account create karo fir aap webmail.hindidit.com par ja lar log in karo yaha sare mails mil jayenge.
sir gravatar per acconut create kya ab show image nahi hwa to kya karooo…!
Garavatar par image upload kar use profile me par set karo uske bad next 30 minutes me aapko photo comment me show hoga.