Broken Links Check Karne Ki Top 5 Best Websites

Broken links wo dead links hote hai jo humse galti se blog post me add ho jate hai ya fir hum apne blog par kisi post, pages or file ko delete kar dete hai. Search engines or aapke readers ke liye ye problem bante hai. Isliye dead hyperlinks ko solve karna bahut important hota hai. Agar aap aysa nahi karte ho to search engine me aapki site ki ranking bahut kam hogi. Aaj mai aapko broken links check karne ki 5 websites ke bare me bta raha hu. Jin par aap apni site ke 404 broken link online pata kar sakte hai or apni site ko or adhik SEO friendly bana sakte hai..

5 tools to find broken links on your site

Is post me mai aapko 5 free online 404 broken links checker tool ke bare me bta raha hu. Jo aapko aapki site par mojood dead links ke bare me jankari dete hai. Inki help se aap apni site par se broken link ko fix kar sakte ho or apni site ki search engine ranking badha sakte ho.

Broken Links Kya Hai?

Hum jab apne blog par koi post ya page share karte hai to post me hum internal links bhi add karte hai. Jaise other post, category, tags etc. Aane wale time me hum kisi karan se apni kisi post ya image ko delete kar dete hai. to delete ki gayi post or photo ka link expirew ho jata hai. jab hum iske links ko open karte hai to Error 404 Page Not Found show hota hai.

Ya fir hum apni site par kisi link ko change karte hai to uska old link expire ho jata hai or broken link bn jata hai. I mean broken links wo expire links hote hai jinhe hum apni site add kiye huye rakhte hai but uski file ko remove kar dete hai. yani website owner ke links change karne se broken links bante hai.

Kyuki hum files ko delete karne ke bad uske links jo dusri post me add hote hai ko remove nahi karte hai. ayse jab visiotrs us link par click karte hai to error show hota hai. bas yahi broken links hote hai. aapko is post me btayi tools me check kar inhi links ko delete karna hai.

Broken Links Ko Fix Karna Kyu Jaruri Hota Hai

Jab hum apni site par se kisi post ya files ko remove kar dete hai to uska link broken link ban jata hai or ise open karne par error 404 code show hota hai. Jo search engine or aapke visitors ke liye ke liye useful nahi hote hai. Isliye mai aapko suggest karunga ki aapko ye dead links fix kar dene chahiye.

Yaha mai aapko kuch free online broken links checker bta raha hu. Jin apr aap apni site ke broken links check kar sakte ho. So agar aapne pichle time me apne blog ya website par se koi post ya images ko remove kiya hai to aapke liye ye post helpful sabit hogi or aap apni site par se broken links remove karna chahenge.

Kyuki search engine ayse links ko like nahi karta or aapki site ki ranking search engine me low ho jati hai. Jisse aapko search engine se kam traffic milega.

Agar aapke visitors ko bar bar aapki site par broken links milte hai to wo error 4o4 page not found ki problem  se tank aa kar dubara aapki site par aana pasand nahi karega. Kyuki koi bhi broken links ko open kar ke apna time west karna pasand nahi karta hai.

To aap abhi in online broken links checker tool se apni site ke broken links delete kar sakte hai. Jisse aapko search engine se adhik traffic mil sake or aapki site ko visitors bhi pasand kare.

Apni website or blog ko SEO friendly banane ke liye broken links ko remove karna bahut jaruri hai. So aap apni site ka search engine optimation karna chahate ho to is post me btaye tarike follow kar sakte ho.

Website Blog Broken Links Check Karne Ki Popular 5 Free Websites

Agar aap WordPress user hai to aap broken link checker plugin use kar sakte ho. jo aapki site ko check kar ke sabhi broken links ke bare me btata hai ki konsa broken link kaha or kis post me hai. Is se aap aasani se apne WordPress blog par se broken link delete kar sakte hai.

1. Dead Links Checker

Dead Links Checker

Dead Links Checker website use karne me bahut hi aasan or simple hai. Ye Website aapko broken links ke title ke sath uske bare me puri jankari deti hai ki ye broken aapki kis post me kaha add hai. Jisse aapko apni site par broken link ka pata lagane me aasani hogi. [go to site…]

2. W3C Link Checher

W3C link checker

W3C link checker website aapko broken links ke sath aapki website par koi problem hogi to uske bare me bhi btayega. bahut si templates me redirection code add hote hai. ye website aapko redirection code ke bare me bhi btayega. [link…]

  • Blogging Ki Puri Jankari Hindi Me – Blogging Full Guide in Hindi

3. BlC Broken link checker

BLC Broken link checker

BLC Broken link checker ek or badhiya online dead links checker website hai. Iski tool aapka broken links ki clear jankari deti hai. jisse aap apni site ke broken links easily remove kar sakte ho. Is website par aapko result me aapki site ke googd and bad links ke bare me clear jankari milti hai. [go to blc]

4. Free Links Checker

Free Links Checker

Free Links Checker aapko internal links ke sath external brokenlinks ki bhi details btayega. yani agar aapki site par koi expire external link hoga to ye tool uske bare me bhi aapko btayega.

Is website par aapko clear pata chalega ki broken links kis kis post and pages par hai. Iske alawa ye aapko aapki site ki expire images ke bare me bhi jankari dega. [Free link Checker]

5. Online Broken Link Checker

Online Broken Link Checker

Online Broken Link Checker site par bih aap internal links ke sath external links check kar sakte ho. Ye site aapko sabhi broken links ki location bhi btati hai. [go to site…]

Broken hyperlinks internet par aapki site ki images kharab karte hai or search engine me aapki site ki ranking ko bhi low kar dete hai. Jisse visitors aapki site par visit karna kam kar dete hai.

Agar aapko abhi tak iske bare me pata nahi tha to mai aapko suggest karunga ki aap upar di kisi bhi website par ja kar apni site ke broken links check kare or unhe remove kare. Iske 10 minutes se jyada time nahi lagega. Ye apni website ki traffic badhane or website ko SEO friendly banane ki free or most important advice hai.

Agar aapko lagta hai ki is post ko padhne ke bad aapko Website SEO ke bare me new jankari mili hai to abhi apni site ki broken links check karke delete kijiye or ha is post ko social media par share jarur kare.

Sath hi aap hume bhi social media par follow kar sakte ho.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 45 )

  1. Arun gawande

    Sir kya no follow backlink bhi hamare website ke liye important hain

    • Jumedeen

      Yes.

    • Jumedeen Khan

      No worry jaruri nahi hai ki broken link checker ki report 100% sahi hi ho aapke page work kar rahe hai to no problem.

  2. Ritu kashyap

    Sir mujhe apni kavitaye logo tak pahuchani hai ….kaise pahochau kuch samajhme nahi aa raha hai ….plz help

    • Jumedeen Khan

      Aapni ek site banao or usme kavita share karo sari duniya padhegi.

  3. sunil

    Hello sir muze wabsite banane ke liye google me kya likhna hoga?.

  4. suman sharma

    sir main yes ID pe kya kya karna hoga jise mujhe profit hoga plz help me

  5. chandrakant

    I want to make blog page
    plz guide me

    • Jumedeen Khan

      check our other blogging articles.

  6. Pravin Yaduvanshi

    Sir Mere computer me kisi bhi file par click karne par automatic delete option show krne lag RHA h kaise thikhoga

    • Jumedeen khan

      Aap details me sawal kiya karo. aap left ya right kya click kar rahe ho or kis file par click kar rahe ho.

  7. गोलू

    सर वेबसाइट कैसे बनाये वीडियो के द्वारा बताईये ना

    • Pankaj kumar

      Mai pankaj kumar plrase sir website kaise banati hai batae.

        • Ameen shaikh

          Sir YouTube me montiemize to ho gaya hai jab mai Next pe click karta hun to aage ki adsens windo open nahi ho rahi
          Kya is ke liye Won Web site ka hona zaruri hai

          • Jumedeen Khan

            ye google ki problem hai aap kuch day bad try kare.

    • sudhanshu srivastava

      WordPress par website banana bahut easy hai, hosting and domain name kharidne ke baad tumhe ek C panel milega hosting providers ki taraf se, us C panel par login karo then you will see an option to download or install WordPress, bas install karo, theme choose karo and theme ko edit kar lo, edit karne ke liye kisi coding ki bhi jarurat nahi hogi. try karo 1 din me sikh jaoge.

  8. aman saif

    Supr.. bro.. bro..ek bat btao k website kese banti hai

  9. jiten

    Blogging par site kese Babae jati he……..

  10. Rohit

    Bhai blogging kaise banae kuch batao plz

  11. raj roy

    halp me i am used by .net and income for money please halp me sir

    • Jumedeen Khan

      You can read our lake money related posts and learn to make money from blogging.

  12. Vijay Singh Panwar

    jaisa ki aapne ek post likhi he 14 days ke liye free hosting cloudways se mene hosting leli he par WordPress par kaise add karu?

    • Jumedeen Khan

      Hosting ko WordPress par add nahi kar sakte. balki hosting par WordPress blog install karte hai. aapne jaha se hostinbg li hai. use customer care me bat karo.

  13. dev

    bhayi 500 se jyada post hone par mughe kitan pay karna hoga sitmap.xml generator ke liye

    • Jumedeen Khan

      Paid sitemap create karna jaruri nahi hai aap dusri free site se sitemap bana sakte hai. is site par jao Check DOMAIN is par aap unlimited pages ka sitemap bana sakte ho.

  14. Amit Kumar

    Bhai Post ke andr best size kya hota AdSense code lagane ka.. Aur bhai maine 3 se 4 ads creat karke use hide kar diya hu kam nahi tha to ise koi iffect to nahi parega AdSense pe

    • Jumedeen Khan

      Post me aap responsive size, 336×228, 300×250, 290×70 size ke ads use kar sakte ho. ha jis ads ka code aap use nahi kar rahe ho use hide karna chahiye.

  15. sandeep kumar

    mere AdSense me ye show kar raha bataye ki AdSense prove hua hai ya nahi.
    स्वयं अपनी वेबसाइट पर विज्ञापन दिखाने के अपने अनुरोध को पूरा करने के लिए, आपको अपनी साईट पर अपना विज्ञापन कोड लागू करना होगा. उस डोमेन पर आपके विज्ञापन कोड को इंप्रेशन मिलने के बाद ही आपके अपग्रेड अनुरोध की समीक्षा की जा सकती है.
    topbar par Hosted account show kar raha hai please bataye.

    • Jumedeen Khan

      Report me clear likha hua hai ki AdSense ko activate karne ke liye aapko apni site par ads lagane hai. uske bad AdSense aapki site check karega. uske bad ads show honge ya nahi hong iska aapko AdSense mail send kar dega.
      AdSense par jao or settings gear icon par click karo. uske bad left side sidebar me sitemanagement par click karo or apni site ka link add karo. uske bad AdSensepar ads create kar apni site par lagao. Sandeep mai ye bat aapko kei bar bta chuka hu. plz care my answer and follow carefully.

  16. Prince

    Bhai mene aapke bataye hua tarike se saare site ko block kia hai par phir bhi mujhe 1 click se 0.03 $ q mil raha hai, din me 2/3 click milte hai aur isse to mera income na k barabar ho raha hai, kya karu…???

    • Jumedeen Khan

      Iski wahah hai aapki site par traffic na hona. aap AdSense ke rules follow nahi kar rahe ho to CPC high kaise hogi.

  17. AbdUl QaDeer

    Bhai Ek Problem Hai Yar Meri Posts bahut Copy Horhe Hain Kitne website admin meri posts copy kar k apni website per de dete hain aor sath men jo main Post k darmiyan Links Use Kartaa hn woh bhi Copy krkete inage etc ek ek word ye Kia Masla hai

    • Jumedeen Khan

      Agar koi aapke content copy kar raha hai to kitne in karega. bahut jald uski site ko search engine ban kar dega. dusri bat aap uske khilap report kar sakte ho. report kaise karni hai uske bare me mai agli post me btaunga.

    • sudhanshu srivastava

      Right click disable kar do, you can use “WP Content Copy Protection & No Right Click” plugin for that if you are using WordPress. just search the plugin name in WordPress.

  18. Ankit Jha

    Bro aapka har post mujhe bohot achcha lagata hai aapke website ke wajah se maine bohot kuch seekha hai blogging field mein. Bro aapko now-a-days kitne page view daily mil rahe hai or jab aapne yeh website banaya tha uske 1 month tak aapko kitne mil rahe the

    • Jumedeen Khan

      Abhi mer isite par 7k-8k pageviews per day hai. jab maine blog banaya tha to 1 mohine bad 1,000 to 15000 pageviews the.

Comments are closed.

Ad

I need help with ...