Search Engines Me Aapki Website Ke Kitne URL Index Hai

Aapki site ki kitni post,  page,  category,  tags or images search engine me index ho rahi hai. iska pata karne ke liye mai aapko ek simple tips bta raha hu. jisse aap apni site ka content check kar sakte ho ki aapki site ka kya kya googe search engines me index ho raha hai or kya kya nahi.

Google Search Engine Aapki Site Ke Kitne URL Index Hai

Google search engine aapki website y ablog ki un post ko index nahi karta hai. jinme copyright content hota hai. maine apni pichli post me copyright content check karne ki 1o tools ke bare me btaya hai. un sab par aap apni site ka content check kar sakte ho ki aapki site kisi or se match to nahi ho rahi but is post me mai aapko aysi trick bta raha hu. jisse aap 1 minute me ye pata kar sakte ho ki aapki konsi post copyright hai or kise google search engine index nahi kar raha hai.

Which URL of Your Website Search Engine Index

Google.com par jayiye or search bar me apni site ke link se pahle site: laga kar search karo.

Example: site:yoursiteurl.com

Ab search engine me jo result show honga usme aapki site ke total url jo search engine index kar raha hai honge. sath hi ye bhi check kare ki aapki site ke total url ko search engine kitne time me show kar raha hai. agar aapko lagta hai ki aapki site ki kisi post ko search engine index nahi kar raha hai. to aap yaha par sabhi result ko check kar ke pata kar sakte hai ki aapki konsi post search engine index nahi kar raha hai.

I hope ye post short jarur hai but aapki is se bahut badi help milegi. aapko pata chalega ki aapki site par kya copyright hai or kya nahi. by the way pata chalne ke bad apni site ki copyright post ko update karke usme se copyright content ko remove jarur kare.

In: Categories SEO
Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 81 )

  1. Vivek SM

    thanks Mr. KHAN

    Apke dwara is post me di gayi jaruri jankari kaphi faydemand he aur is trick ki madat se hi mai bhi ye jaan paya hu ke mere konse post google me index ho rahe he aur konse post index nahi ho rahe he,sath hi mere kuch aise post bhi google me index ho rahe the jo post mai blog se delete kar chuka tha par apke dwara batayi gayi is trick ki madat se mai aise post ke bare me jan paya hu aur aise post ko mai redirect bhi kar chuka hu aur google search se delete ki request bhi kar di he,
    I hope ke supportmeindia blog ke sath jude rahne se mujhe isi taraha behetarin jankariya hamesha milti rahne wali he,

    Reply
  2. Phaguni

    sir mera bhi post index nahi ho raha hai,

    Mera blog pe 50 post hai lekin usme se 19 hi index huwa hai? To Kya Kare ki sari index ho jaye

    Reply
    • Jumedeen khan

      Jo page ya post index nahi ho raha hai use fetch karke index kara lo.

      Reply
  3. veerendra

    aha simple aur sort article. isse hame seedhe pta chalega ki kya index ho rha hai kya nhi

    Reply
  4. Akash Yadav

    Bhai mere me bs 2 hi result show kar rha h sare post kaise show karwau

    Reply
  5. Sabiha khan

    Bahut badhiya post hai,, mai bahut Dino se search kar rhi thi kaise pta lagaye ki index ho rhi hai ya nhi aur aapkii website se answer mil gya thanks for this post. But ek question hai. .In aur .Com se alag alag result show hota hai esa kyu?

    Reply
      • sabiha khan

        thank you sir,, maine code lagakar redirection ko band kar diya,,sir maine check kiya meri sabhi post index ho rhi hain to iska yahi matlab koi bhi copyright content nhi hai? please reply ,, and thank you so much aapne meri bahut help ki

        Reply
        • Jumedeen Khan

          Nah iiska matlab y nahi hai google copyright post ko bhi index kar leta hai. Koi post copyright hai ya nahi ye site owner sabse behtar janta hai.

          Reply
  6. Love Kaushik

    Mere site me 38 post hai but sitemap me 21 hi index ho raha hai…. Sitemap me pura site kaise submit hoga.

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Quality content likho.

      Reply
  7. Ravi parwani

    bhai meri ek bhi post index nahin ho rahi hai? kya problem hai?

    Reply
    • Jumedeen Khan

      aapke blog ke 109 link google me index hai. aap site:example.com se check karo.

      Reply
  8. yasir khan saqlaini

    thanks to share mai yahi dekhna chahta tha ki meri site ki kitni post submit hui hain par tarika nahi pata tha. share karne ke liye shukriya. mera ek sawal aur hai ki post kitne din me index ho jati hai publish karne ke baad. aur dusra sawal jab ham post likhte hain to kya sare seo and readability green hona zaruri hai ya ek do red hain tab bhi thk h

    Reply
    • Jumedeen khan

      Aapki post kitne time me index hogi ye post quality par depend karta hai. Jitni achji post hogi utni hi jaldi google use index karega. SEO friendly post likhni hai to jaruri hai.

      Reply

Leave a Comment

Ad

I need help with ...