Jab hum YouTube par koi video, movies, show, program dekhte hai to YouTube par sidebar, ads and comments extra load hoti hai or humara internet data jyada kharch hota hai jabki hum sirf video dekhna chahate hai. Agar hum video ko full screen me bhi dekhenge to bhi sidebar recommended videos, ads or comments load hongi. In this post, main aapko aesi tips bta raha hu jisse aap YouTube Sidebar, Advertisements, Comments ko delete /remove kar sakte ho or apna net pack data bacha sakte ho. So aayiye jante hai ki YouTube Sidebar and Comments Ko Remove Kar Data Kaise Bachaye.
Jab bhi online video dekhne ki bat aati hai to huamre dimag me sabse pahle YouTube ka name aata hai or office, home, with friends kahi bhi hum YouTube par hi online video dekhna pasand karte hai. But kei bar YouTube par sidebar me is type ke recommended videos show hote hai jinhe hum family, friends ke sath nahi dekh sakte. Aese me aap sochte honge ki YouTube sidebars ko hide kar de to ye problem solve ho jayegi.
Second sidebar, ads, videos ads and comments load hone me bahut jyada data kharch hota hai. Agar sidebar, ads, comments ko delete / hide kar denge to humara ye data bach jayega. Chaliye pahle iske fayde jan lete hai.
- Sidebar, Ads and Comments remove karne se data save hoga.
- Background loading nahi hogi so video par buffering fast hogi.
- Video ko fullscreen me karne ki jarurat nahi hogi.
- Video par ads show nahi honge so bar bar ad break ki problem khatm.
- Unrelated sidebar recommended videos ki problem nahi hogi.
- Video par commnets bahut jyada hone se load hone me jyada time lagta hai ye problem bhi khatm.
Youtube Sidebar, Ads and Comments Ko Remove Kar Data Kaise Bachaye
Normal YouTube page par video ke sath sidebar, sidebar ads, comments and video me ads show hote hai but after using this tricks screen par sirf video open hoga. Ise aap is example se samajh sakte hai.
Yani is trick ke istemal ke bad sirf video open hoga ye aap upar screenshot me clear dekh sakte hai. Iske liye aapko jyada kuch karne ki jarurat nahi hai sirf 2 steps follow karna hai. Main yaha aapko distraction ko avoid karne ki 1 nahi 2 tircks btaunga aapko jo easy or achhi lage wo use kar sakte ho.
Tricks 1:
Aapko jis video par se sidebar, ads and comments remove karne hai uske watch ke bad URL me _popup word add karna hai. Example, aap videos ke dono link open karke dekhe.
Generally YouTube videos ka link is tarah se hota hai.
- https://www.YouTube.com/watch?v=0CdmElYRfSE
Ab aapko iske watch ke bad _popup words ad karna hai. Trick follow karne ke bad URL ka look is tarah ka hoga.
- https://www.YouTube.com/watch_popup?v=0CdmElYRfSE
Isi type se aap kisi bhi videos ke link me after watch _popup word add karke sidebar, ads and comments ko remove kar video dekh sakte ho.
Tricks 2:
ye bhi same trick hai but isme aapko video URL me extra word ke sath video link ke words ko remove bhi karna hoga. Isiliye mai ye tips second number par bta raha hu. Is trick ke anusar aapko video me se “/watch?v=” ko remove kar only “v/” add karna hoga.
Example, normal video ka link is type se hota hai.
- https://www.YouTube.com/watch?v=DTu-G9T85oc&t=8s
Ab is video me aapko “/watch?v=” ko remove kar uski jagah “v/” set karna hai. Trick follow karne ke bad URL ka look is type ka hoga.
- https://www.YouTube.com/v/DTu-G9T85oc&t=8s
Ye dono bahut hi simple tricks hai or koi bih user inhe easily follow kar sakta hai. Is tarah se aap YouTube videos par distraction ko avoid kar apna internet data save kar sakte ho isse hone wali pareshaniyo se bach sakte ho. Isme koi problem nahi hai aap without confusing ke in tips ka istemal kar sakte ho.
I hope isse YouTube par videos dekhne walo ko bahut fayda hoga or YouTube sidebar, ads and comments ko hide kar net pack ke sath video buffering, ads and related videos se chutkara milega.
Agar aapko ye tricks pasand aaye to is post ko social media par apne friends ke sath share jarur kare.
Sir, wordpress pr jane ke liye kitni post honi acchi hoti hai
No requirement. Aapke blog par ek bhi post hai to bhi move kar sakte ho.
Pleasr sir mere dono qus. Ka ans. Jarur de
1.blog me ham jo har post me search discription likhte hai. Usme ham heading subheading ya minor heading likhte hai ya phir post ki important keywords ya phir upar ki teen char lines ko likhte hai.
2. Mere computer category ka ak post hai jiska link ye hai-
http://hindustanmag.blogspot.com/2017/02/computer-kya-hai-aur-ye-kaise-kaam.html
Please sir jarur btaye, agar aap is link ko short krege to kaise likhege.
1. Post ke bare me likho ki is post me kya hai.
2. Choose this link “computer-kya-hai-kaise-kaam-karta-hai”
Assalam alaikum bhai, mein ap se ye pchna chahta hon k mein WordPress pe blog banana chahta hon toh kia WordPress pe storage ki limit hoti hai kia agar hoti hai toh kitni hoti hai aur yehi cheez blogspot mein b samjha dain,
W/a
Wordpress me aap apni jarurat ke anusar bandwidth wali hosting le sakte ho. Nahi blogger par no limit hai. Kitni limit hoti hai google ne is bare me nahi btaya.
Sir, YouTube channel ko monetize karne ke liye minimum Kitne channel views hone chahiye.
No limit but 1000 to 2000 views honge to jaldi approve ho jayega.
Website ke ek pages par kitni ads AdSense ki show (add) Kar sakte he help me
Check this post Blog ke 1 Page Me Adsense Ke Kitne Ads Laga Sakte Hai
sir uc news me to sab likhna padta hai aur isme mera naam aa raha hai lekin meri website ka naam nahi aa raha hai isse visitor meri website me kaise jayenge kya iske liye uc news ko rss feed ki request karna padega
Maine UC news ke bare me jo post ki hai wo sahi se padho.
Very usefull article. Thnks for this!