Blog Par New Post Content Likhe Bina Traffic Increase Kaise Kare

“Blog par regularly content publish karne se jyada traffic aata hai or user aapki site par daily visit karte hai.” Ye bat 100 fisd isahi hai. But kya aapko pata hai ki aap apne blog site par bina new post publish kiye bhi apne blog ki traffic increase kar sakte hai. Is articles me mai aapko yahi btane wala hu ki kaise bina new content create kiye hum apne blog ki traffic improve kar sakte hai.

Increase Your Blog Traffic Without Write New Content

Aap cricket match ya kisi bhi or khel me dekha hoga ki usme palyers to 10-12 rahte hai but sirf kuch hi star player match winner hote hai or jyadatar wohi match jitane ke liye adhik run banate hai.

Same wese hi blogging me yahi rule work arta hai. Aapke blog par articles to bahut hote hai but jyada traffic kuch hi post receive karti hai. Or inhi popular posts ki help se aapka blog viral hota hai. Ye wo post hoti hai jo search engine se sabse jyada traffic hasil karti hai.

Ab aage mai aapko jo btane wala hu wo trick bhi isi rules par aadharit hai. Mai yaha aapko 3 valuable step bta raha hu jo real me blog par traffic lane me major role play karte hai.

Blog Post Content Update Kar Ke Traffic Kaise Badhaye 3 Killer Tips

Actually newbie blogger se ye galati hoti hai ki wo sirf new post likhne par hi dhyan deta hai or is wajah se wo apni old post par focus nahi kar pata hai. But agar aap apni site ki old post ko customize karte raho to i promise aapki site par old post bhi new post ke jitna traffic mil sakta hai.

Step 1: Research

Ye step is post me sabse jyada important hai. So ise ache se dhyan se padhe. Kyuki Is step me aapko ye pata karna hai ki aapki konsi post update karni chahiye or kis post ko aap first page par lane ke liye kya kar sakte ho. Kis post ko aap kaise promote kar sakte ho.

Jab hum koi badiya post content share karte hai to wo viral bhi ho jati hai. But jaise jasie dusre blogger us post se related or inforrmation share karte hai to bahut bar aapki post search engines me first page se niche ho jati hai. Jisse aapko us post se traffic milna kam ho jata hai.

Ab hume isi post ko update karna hai. But hum is post me aysa kya karoge ki aapki post fir se search me first page par show hone lage. Yahi poit hai research karne ka. Yaha mai aapko iske kuch tips bta raha hu jo aapki post ko update karne par first page me lane me aapki help karegi.

1. Google Search Console: 

Google Webmaster Tool mer ipost update karne ke liye research karne ki sabse badiya choice hai. Mai jab bhi koi post ko update karta hu to google search console ki help leta hu.

Google search console ke bare me aap bhi jante honge or ye bhi jante honge ki ye tool aapki site ki search engine me content index karne or better performance banane me help karti hai. But iske alawa bhi hum GWT se or bhi kaam kar sakte hai.

Aap agar google webmaster tools ko use karte ho to aapne dekha hoga ki GWT me search analytics ke option meClicks, Impressions, CTR, Position jaise feature diye huye hai. Jo hume humari site ki search performance btate hai ki kis keyword se aapko search se kitne click mile hai or aapki konsi post kis rank par show hoti hai.

Agar aapki post 2 ya 3 number par show hoti hai oto aap use 1 number par la sakte ho. Bas iske liye aapko apni post me kuch jaruri keywords add karne hai.

  1. Google webmaster tools par jaye.
  2. Left side sidebar me “search traffic” par click kare.
  3. or fir “search analytics” par click kare.
  4. Ab search analytics me Position ke samne tick kijiye or result check kijiye.

Ab yaha par aap clear dekh saktew ho ki kis keywords par aapki site content kis position par show hota ha. Examply meri site ki avarage position 6.9 hai. Yani meri sabhi posts 6 number ke aaspas show hoti hai.

Search analytics

Yaha par aapko Queries, Pages, Countries, Devices, Search Type or Dates 6-7 options milenge. Jin par aap apni site ki search performance report ache se pataa kar sakte ho.

  1. Queries: I option par click karne se aapko search kiye gaye keywords or us par kitne click mile hai and us keywords ko search karne par aapki site kis position par aati hai ki information milti hai.
  2. Pages: Is par click karne se aapko apni site ki sabhi posts or pages ki search ranking, wo kis postion par show hoti hai or un se aapko kitne click mile hai ka pata chlata hai.
  3. Countries: Aapki site search engine me ki country me kis rank par show hoti hai or aapko kis desh se kitne click kitna traffic mila hai.
  4. Devices: Ye feature bahut important hai. Isme aapko mobile, desktop or tablet 3 devies ki jankari milti hai ki aapko kis device se kitna traffic mil raha hai or kis device se search engine me aapki iste kis position me show hoti hai.
  5. Search Type: Is option me or queries option me ek hi result show hota hai isliye aap query option me hi iska result dekh sakte hai ki user search engines me kya type karke aapki site par aate hai.
  6. Dates: Yaha par aap apni site ki day by day search position check kar sakte hai ki aapko kis din kitne clicks or mile hai or aapki kis din kitni search rank rahi hai.

Ye sab check karne ke bad aap jarur sochoge ki google search console ka ye feature wakai kamal ka hai. Or mujhe ummid hai ki is features ko check karne ke bad aapke dimag me new ideas jarur ayenge ki mai apni site ko first page par lane ke liye kya kar sakta hu. Don’t worry agar aapka dimag ye nahi kar pa raha hai to koi bat nahi hai. Isme bhi mai aapko ek tips bta kar help kar sakta hu. Post ko clearly padhte rahiye niche iske bare me details me btaunga.

2. Google Analytics:

Jis tarah se aapne abhi google webmaster tools par apni site ki search performance report check ki hai. Same wese hi aap google analytics par dekh sakte ho. Or apni site ke content ko or jyada viral karne ke ideas hasil kar sakte ho. Mai aapko suggest karunga ki aap ek bar google analytics par bhi apni site ki search report jarur check kare. Kyuki aysa karne se aapko koi na koi new idea jarur milenga. Or aap apne blog par or jyada organic traffic lane ke tips sikhoge.

3. Semrush (Paid):

Semrush ek online marketing tool hai. Jo hume contains indispensable data for developing SEO, advertising, and link-building strategies ke bare me btati hai. Semrush paid tool hai or ise use karne ke liye aapko monthly payment karna hoga. But aap iske kuch features ko free me use kar sakte ho.

Organic search position

Google search console ki tarah hi semrush bhi hume humari site ki search performance report btati hai ki kis keywords se hume search engine se kitna traffic mil raha hai. Or kis keywords se humari site search me first page par aa sakti hai.

Ab aapko ye to pata chal gaya hai ki aapko apne blog ki konsi post update karni hai. But ab hume ye janna hai ki hume kiaise or kya kya update karna hai.

Step 2: Update Content

Agar aapki koi post pahle se search engine me 2-3 number par show hoti hai or aap use first page par lana chaahte hai to post ko update karna sabse simple option hai. Bahut se kamyab blogger is bat se agree hai or wo bih apni site par post updatibg tips ko follow karte hai. Mai yaha aapko iska sabse aasan uaye bta raha hu.

  1. Apni post se related keyword google me search kare or check kare ki aapki post kis number par hai. Uske bad agar aapki post dusre teesre number par hai to niche image me btaye anusar check kare ki first rank wali post me konse keywords aapki post se jyada show ho rahe hai.
  2. Uske bad apni post ko edit kare or post me jo first post me keywords show ho rahe hai unke bare me content badhaye.
  3. Post me jaruri content add karne ke bad post ki date change kare. Yaad rahe post ko update karne ke liye post me or content add karna jaruri hota hai. Sirf post ki date karne se aapko koi fayda nahi hoga.
  4. Jab aapko lage ki aap waki me is post me or jankari add kar sakte ho ya aapko kuch changes karne hai to hi post ko update kare.
  5. Jo blogger apne blog par monthly 4-5 articles share karte hai wo jyadatar isi trick ko use karte hai. I sure ye ek bahut hi badhiya trick hai apni post ko first page par lane ke liye.
  6. Post update karte time post ke first ya last me post publish time or last update time jarur add kare.
  7. Post ko update karte time post me apni us post se related new post ke link jarur add kare.

Site Content Search rank number

Post update karte time do bat important hoti hai. First aap post me or content add kar rahe ho or second aap post content me jaruri changes kar rahe ho. Dono important hai or wakai aapki site ki search ranking ko 100% increase karti hai.

So agar aap blogging SEO, search engine rules or lasted information ke bare me article publish karte ho to aapko weekly ya monthly post update karte rahna chahiye or usme new badlaw karne chahiye. Jisse aapke readers aapki har post ko fir se padna pasand karenge. Kyuki unhe pata hoga ki aapki post me humesha up to date information hoti hai.

Step 3: Content Promotion

Bahut se blogger ye galti karte hai ki apni site ki post ko update karne ke bad uska promotion karna jaruri nahi samajhte hai. Isi wajah se unhe post ko update karne se jyada benefet nahi mil pata hai.

Jiasa ki maine step 2 me btaya hai ki post ko update karte time post ki date jarur change kare. Or agar aap use lasted post bana do to or bhi behtar hai. Ab agar aap koi post update karte ho to wo aapki site par home page par show hogi. Ab aapke visitor jinhone use already read kiya hua hai to use ignore bhi kar sakte hai but ye post us user ke liye important hoti hai. Jisne use pahle nahi padha ho ya fir wo aapki site par pahli bar aaya ho.

Isliye post ko update karne ke bad use social sites and other way se promote jarur kare. Yaha mai aapko content promtion ke  kuch tips bta raha hu. Ummid hai aapko pasand aayenge.

  1. Yahoo answer form: Yahoo google ke bad dusra sabse bada search engine hai or iski sabse achi bat ye hai ki is par aapko dusre user ke sawal ka jawab de kar bhi apni site ka promotin kar sakte hai. Iske liye aapko apni yahoo profile or apne answers me apni site ki post ka link share karna hai. Jab bhi koi aapki site se related question puche to aap use apni site ki post ka link bta sakte ho. I sure is trick se bahut se blogger ne apni site ko top par bana liya hai.
  2. Join &  Create Community: Aap apni site ke name se facebook, google plus or other social sites par community bana sakte ho. Or us par apni site ka promotin kar sakte ha. Agar aap WordPress user ho to aa DW Question & Answer — WordPress Plugins se question answer form bana sakte ho.

Is article ko padhne ke bad aapko kaisa mehssos ho raha hai. Kya wakai me is post me aapko useful information mili hai. Agar ha to post ke bare me comment jarur kare or hume btaye ki next time aapko kis type ki jankari chahiye. I hope mai aapki pasand ka articl likh kar aapki special help kar skata hu.

Kya ye post aapko sachmuch pasand aayi hai. Agar ha to mai aapse rquest karta hu ki is post ko dusre hindi blogger ke sath bhi share kare. Jisse uski or meri help ho sake. I hope aap humari itni help jarur karna chahoge.

In: Categories SEO
Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 77 )

  1. Bhiwaram yadav

    Bhai kya blogger par ek hi paragraph mein blog bana sakte hai kya jaise ki ham blogger par post karte hai tho alag alag post show hoti hai ek hi paragraph mein post likh sakte hai.

    Reply
    • जुमेदीन खान

      हां लिख सकते हो

      Reply
  2. sameer shinde

    hello sir
    Blog post ko update karne se releated kuch question hai..

    1. Old Blog post ko update karne ke liye use “Revert To draft ” karna jaruri hai ?

    2. jab bhi old post ko revert to draft karke update karta hu to perma link me date change hota hai jisase search engine me old url ko 404 error ata hai.

    3. revert to draft kiye bina post ko update na kare to article ki publish date old hi rahegi jisase visitor old post ko read karna jyada pasand nahi karte hai.

    4. Post ke url ko redirect karne par SERP ka rank change hota hai.

    5. 10 post ko regularly update karne kar unake ab tak 70 url redirect ho chuki hai. isase seo par effect to nahi padega.

    Reply
    • Jumedeen khan

      1. Nahi, aap changes karke update kar sakte hai.
      2. Old post ko update karte time draft nahi karna hai warna jab koi usko open karega to error 404 show hoga nahi permalink change nahi karna hai.
      3. Blogger par features limited hai wordpress me aap post ko update karoge to published date ki jagah modify date show hogi.
      4. Yes
      5. Very bad aap URL kabhi change hi mat karo sirf post ke content me jo jaruri ho wo update karo.

      Reply
  3. Naresh

    Sir aapne meri baat ka jawab nhi diya or mera comment bhi approved nhi kiya kyu Sir….

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Nahi maine aapki comment delete nahi ki hai aap page refresh karke check karo.

      Reply
  4. Naresh

    Sir mera ek sawal hai!
    Mera blog pehle blogger par tha aapke post ke dwara mene ise wordpress par le liya….
    Ab mere jo pehle ke post the wo bina SEO se likhe gye the kyu ki iski jaankari kuch nhi thi..
    Ab me usi post me sab kuch change karna chahata hu
    Jaise ki….
    Post titel
    Permalink
    Content
    Categories
    Samaj lo us post se bilkul alag likh ke update karna chahta hu. kya ye uchit hai….
    Ya fir me un sabhi post ko delete kar du…
    Sir plz help…

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Yes un sabhi post ko optimize karo nahi delete nahi karni hai.

      Reply
  5. sahab lal

    Sir maine ek youtube channel banya h aur uss mera adsense account bi approve hai maine ek blog bi banya hai to kya blog ke id se adsense account ko naya banana parega ki youtube ka adsense account se he ho jayega

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Youtube ke adsense account se hi blog me ad laga sakte ho but uske liye aapke blog me custom domain hona chahiye.

      Reply
  6. Abhishek Meena

    Hello Bro…
    Jab me koi bhi post update karta hu to uska notification ke jariye mere feedburner subscribers ke paas chala jata hai to isse subscribers irritate ho sakte hain…
    So agr iska koi solution ho to plz tell me…

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Nahi isse koi problem nahi hai ulta fayda hai.

      Reply

Leave a Comment

Ad

I need help with ...