Google Webmaster Tools Ko Use Karne Ki 7 Important Tips

Google search console  (google webmaster tools) site ki search ranking increase karne ki most important or free tool hai. Har koi janta hai ki Organic Traffic Website ke liye sabse jyada important hota hai. Search engine se high traffic recieve karne ke liye site ka SEO friendly or site ki good search ranking hona jaruri hai. Google webmaster tool isme sabse jyada helpful tool hai. Bas aapko GWT ko use karne ka tarika aana chahiye.

How to use google webmaster tools for better search ranking

Jis blogger ko google webmaster tool ke bare me achi jankari ho gayi or use pata chal gaya ki GWT kaise kaam karti hai or hum kis tarah se search console ki help se apni site ki search ranking badha sakte hai to uska blog ek din top 100,000 ki ranking me hoga.

In this post, Mai aapko google search console ko use karne ke kuch important features ke bare me bta raha hu. Submit sitemap to search console, fix crawl error and set up other services. Is post me btaye step follow karke aap aasani se apni site ki search ranking improve kar sakte ho.

Google Webmaster Tools Ko Use Kaise kare High Traffic Pane Ke Liye

Google search console me bahut sare features hai. Sabke bare me ek sath btane ke liye 10000 words ka article likhna padega. So mai search console ke bare me alag alag feature ki alag alag post likhunga. Filhal is post me mai aapko 7 important features ke bare me bta raha hu. Jo site ki better search ranking ke liye sabse jyada jaruri hai.

1. Sitemap Submission

Submit Sitemap

Google webmaster tools me website ka sitemap submit karne ka feature hota hai. Jab hum site ke sitemap ko search console me submit kar dete hai to google robot humari site ki new post ko bahut jaldi index kar leta hai. Jisse humari site ki post thode se time me search result me show hone lag jati hai. Iski puri jankari ke liye aap How to create sitemap for your site post padh sakte ho. Google webmaster tools ka ye bahut hi important feature hai. Isko ignore karne ka matlab hai ki aap apni site par organic traffic dekhna nahi chahate ho.

2. International Targeting

International Targeting

Agar aap kisi international country ko focus karke blogging kar rahe ho or us country me apni site ki achi ranking dekhna chahate ho to ye features aapke bahut kaam ka hai. Aap is features ki help se apni site ko kisi bhi country ke liye target kar sakte ho. Target karne se us country me aapki site ki search ranking badh jati hai. Mai iske bare me already Google Webmaster Tools Me Targeting Country Kaise Set Kare post me bta chuka hu. Aap is post ki help se apne blog ke liye target country select kar sakte hai. But aap sirf top-level domain ke sath hi target country select kar sakte ho. .in or .pk jaise country-level domain ke sath nahi. Country level domain ko search console usi ke country par fucus kar deta hai.

3. Fix Set Crawl Errors

Crawl Errors

Crawl Error google search console ka bahut hi acha or helpful features hai. Jisse hum apni site ke error 404 page not found jaise expire links ko fix kar sakte hai. Crawl error links ko fix karne se humari site ki search ranking increase hoti hai. Google Webmaster Tools Me Site Crawl Errors Fix Kaise Kare – GWT Guide articlem me maine crawl error ke bare me or crawl error links ko fix karne ki puri jankari details se btayi hai.

4. Control URL Parameters

Handling URL Parameters

Jab user socail sites, feedburner feeds, email se humari site par aate hai to site ki post ke links ke sath refferal codes jud jate hai. Search engine inhe index kar leta hai. Jisse site ki search rank low ho jati hai. Google webmaster me inhe bhi fix karne ka URL Parameters feature hai. But url parameters feature ko use karne se pahle iske bare me puri jankari pata kar le. warna aapki site par bad effect bhi pad sakta hai. Iski adhik jankari ke liye Google Search Console Me URL Parameters Kaise Use Kare post padhiye.

5. Sitelinks Settings

Sitelinks

Maine What Is Google Sitelinks and How To Remove Sitelink post me google sitelinks ke bare me details se btaya tha ki sitelinks kya hote hai or inse humara ka fayda hai. Search engine me humari site ke name ke niche jo 2 linkes me links hote hai unhi ko sitelinks kahte hai. Google search console ke is features ki help se hum sitelinks ko hide or remove kar sakte hai. Iske bare me adhik jankari ke liye yaha click kare [link..]

6. Robot.txt File

Robot.txt File

Robot.txt File google webmaster tools ka bahut hi important part hai. Iska kaam hota hai ki site ki kounsi jankari search me dikhani hai or kounsi nahi dikhnai hai. So is features par dhyan dena bahut hi jaruri hai. Kyuki jara si galti hai agar aapse galat Robot.txt File add ho gayi to aapki site ki ranking par bahut bura asar pad sakta hai. Robot.txt File ko use karne ki jankari ke liye Robot.txt Kya Hai or Robot.txt File Blog Me Kaise Use Kare post par visit kare. Yad rahe agar aapko iski jankari nahi hai to aap robot.txt file use na kare to hi behtar hai.

7. Data Highlighter

Data Highlighter

Data Highlighter google webmaster ka ek aysa feature hai. Jisse aap google ko apni website ke author, language, keywords, logo and other bahut sari jankari bta sakte ho or apni site ki google se achi pahchan kara sakte ho. Aap google search console me aasani se data highlighter ko use kar sakte ho. Jisse google search engine ko aapk site ke bare me or bhi ache se pata chalega.

Next time google aapke btaye tarike se aapki site ko index karega. Jaise man lijiye aap google search console me (name, location, date, and so on) option select kar Data Highlighter karte ho to google aapki agli post ko inhi topic ke aadhar par index karega.

Google webmaster tools google ki free service hai. Jo humari site ko google search engine se acha result dilane me humari help karti hai. Google duniya ka no.1 search engine hai so sab chahate hai ki unki site google me achi ranking me search me aaye. Isliye google search consoloe ko dhyan or full carefuly use karna chahiye.

I hope aapko ye post pasand aayegi or aapko isme good information milegi. Agar ha ato is post ko social media par share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 119 )

  1. It’s interesting to read your blog, the language you use in this blog is very very easy to understand.

    Reply
  2. hello sir …. nice information
    sir mujhe puchna tha ki ek email id se google web master account me kitne website ko attched kar sakte h..aap bata sakte ho kya

    Reply
    • अपनी सभी वेबसाइट को attach कर सकते हो

      Reply
  3. Hello sir… I just want to know hume sitemap one time hi submit krna hota hai??

    Reply
    • Yes, one time karna padta hai uske bad aapki new post apne aap google me index ho jati hai.

      Reply
  4. Hi Sir,

    1)Maine Google Webmaster me mere Blog ko Submit kiya,first maine Sitemap submit kiya lekin vo sitemap pending tha isliye maine dusra sitemap submit kiya.Ab Webmaster me aisa aa raha hai ki,’2 Url submitted and 1 Url indexed’.aisa kis liye aa raha hai?

    2)Maine mere Blog me 3 Post kiye the,lekin ab tak ek bhi post Index nahi hue aur Google Search me bhi ek bhi Post nahi dikhai de rahi hai,to kya karu?

    3)Mera blog kaisa hai?koi changes karne ho to batana.

    Reply
    • 1. Google me aapke 2 URL submit hai jinme se google ne ek ko index kar liya hai.
      2. SEO optimizing karo aa jayegi.
      3. Achha blog hai. no changes.

      Reply
  5. Bhai me aapki m mail id par block resources ki list mail kar rahu hu please ek bar check kijiye ho sakta ho aap problem ko samajh paye.me nahi samajh pa raha hu ki google ne pages ko block kyo kiya hai

    Reply
    • Ok main check karke aapko reply kar dunga.

      Reply

Leave a Comment