Blog Par New Post Content Likhe Bina Traffic Increase Kaise Kare

“Blog par regularly content publish karne se jyada traffic aata hai or user aapki site par daily visit karte hai.” Ye bat 100 fisd isahi hai. But kya aapko pata hai ki aap apne blog site par bina new post publish kiye bhi apne blog ki traffic increase kar sakte hai. Is articles me mai aapko yahi btane wala hu ki kaise bina new content create kiye hum apne blog ki traffic improve kar sakte hai.

Increase Your Blog Traffic Without Write New Content

Aap cricket match ya kisi bhi or khel me dekha hoga ki usme palyers to 10-12 rahte hai but sirf kuch hi star player match winner hote hai or jyadatar wohi match jitane ke liye adhik run banate hai.

Same wese hi blogging me yahi rule work arta hai. Aapke blog par articles to bahut hote hai but jyada traffic kuch hi post receive karti hai. Or inhi popular posts ki help se aapka blog viral hota hai. Ye wo post hoti hai jo search engine se sabse jyada traffic hasil karti hai.

Ab aage mai aapko jo btane wala hu wo trick bhi isi rules par aadharit hai. Mai yaha aapko 3 valuable step bta raha hu jo real me blog par traffic lane me major role play karte hai.

Blog Post Content Update Kar Ke Traffic Kaise Badhaye 3 Killer Tips

Actually newbie blogger se ye galati hoti hai ki wo sirf new post likhne par hi dhyan deta hai or is wajah se wo apni old post par focus nahi kar pata hai. But agar aap apni site ki old post ko customize karte raho to i promise aapki site par old post bhi new post ke jitna traffic mil sakta hai.

Step 1: Research

Ye step is post me sabse jyada important hai. So ise ache se dhyan se padhe. Kyuki Is step me aapko ye pata karna hai ki aapki konsi post update karni chahiye or kis post ko aap first page par lane ke liye kya kar sakte ho. Kis post ko aap kaise promote kar sakte ho.

Jab hum koi badiya post content share karte hai to wo viral bhi ho jati hai. But jaise jasie dusre blogger us post se related or inforrmation share karte hai to bahut bar aapki post search engines me first page se niche ho jati hai. Jisse aapko us post se traffic milna kam ho jata hai.

Ab hume isi post ko update karna hai. But hum is post me aysa kya karoge ki aapki post fir se search me first page par show hone lage. Yahi poit hai research karne ka. Yaha mai aapko iske kuch tips bta raha hu jo aapki post ko update karne par first page me lane me aapki help karegi.

1. Google Search Console: 

Google Webmaster Tool mer ipost update karne ke liye research karne ki sabse badiya choice hai. Mai jab bhi koi post ko update karta hu to google search console ki help leta hu.

Google search console ke bare me aap bhi jante honge or ye bhi jante honge ki ye tool aapki site ki search engine me content index karne or better performance banane me help karti hai. But iske alawa bhi hum GWT se or bhi kaam kar sakte hai.

Aap agar google webmaster tools ko use karte ho to aapne dekha hoga ki GWT me search analytics ke option meClicks, Impressions, CTR, Position jaise feature diye huye hai. Jo hume humari site ki search performance btate hai ki kis keyword se aapko search se kitne click mile hai or aapki konsi post kis rank par show hoti hai.

Agar aapki post 2 ya 3 number par show hoti hai oto aap use 1 number par la sakte ho. Bas iske liye aapko apni post me kuch jaruri keywords add karne hai.

  1. Google webmaster tools par jaye.
  2. Left side sidebar me “search traffic” par click kare.
  3. or fir “search analytics” par click kare.
  4. Ab search analytics me Position ke samne tick kijiye or result check kijiye.

Ab yaha par aap clear dekh saktew ho ki kis keywords par aapki site content kis position par show hota ha. Examply meri site ki avarage position 6.9 hai. Yani meri sabhi posts 6 number ke aaspas show hoti hai.

Search analytics

Yaha par aapko Queries, Pages, Countries, Devices, Search Type or Dates 6-7 options milenge. Jin par aap apni site ki search performance report ache se pataa kar sakte ho.

  1. Queries: I option par click karne se aapko search kiye gaye keywords or us par kitne click mile hai and us keywords ko search karne par aapki site kis position par aati hai ki information milti hai.
  2. Pages: Is par click karne se aapko apni site ki sabhi posts or pages ki search ranking, wo kis postion par show hoti hai or un se aapko kitne click mile hai ka pata chlata hai.
  3. Countries: Aapki site search engine me ki country me kis rank par show hoti hai or aapko kis desh se kitne click kitna traffic mila hai.
  4. Devices: Ye feature bahut important hai. Isme aapko mobile, desktop or tablet 3 devies ki jankari milti hai ki aapko kis device se kitna traffic mil raha hai or kis device se search engine me aapki iste kis position me show hoti hai.
  5. Search Type: Is option me or queries option me ek hi result show hota hai isliye aap query option me hi iska result dekh sakte hai ki user search engines me kya type karke aapki site par aate hai.
  6. Dates: Yaha par aap apni site ki day by day search position check kar sakte hai ki aapko kis din kitne clicks or mile hai or aapki kis din kitni search rank rahi hai.

Ye sab check karne ke bad aap jarur sochoge ki google search console ka ye feature wakai kamal ka hai. Or mujhe ummid hai ki is features ko check karne ke bad aapke dimag me new ideas jarur ayenge ki mai apni site ko first page par lane ke liye kya kar sakta hu. Don’t worry agar aapka dimag ye nahi kar pa raha hai to koi bat nahi hai. Isme bhi mai aapko ek tips bta kar help kar sakta hu. Post ko clearly padhte rahiye niche iske bare me details me btaunga.

2. Google Analytics:

Jis tarah se aapne abhi google webmaster tools par apni site ki search performance report check ki hai. Same wese hi aap google analytics par dekh sakte ho. Or apni site ke content ko or jyada viral karne ke ideas hasil kar sakte ho. Mai aapko suggest karunga ki aap ek bar google analytics par bhi apni site ki search report jarur check kare. Kyuki aysa karne se aapko koi na koi new idea jarur milenga. Or aap apne blog par or jyada organic traffic lane ke tips sikhoge.

3. Semrush (Paid):

Semrush ek online marketing tool hai. Jo hume contains indispensable data for developing SEO, advertising, and link-building strategies ke bare me btati hai. Semrush paid tool hai or ise use karne ke liye aapko monthly payment karna hoga. But aap iske kuch features ko free me use kar sakte ho.

Organic search position

Google search console ki tarah hi semrush bhi hume humari site ki search performance report btati hai ki kis keywords se hume search engine se kitna traffic mil raha hai. Or kis keywords se humari site search me first page par aa sakti hai.

Ab aapko ye to pata chal gaya hai ki aapko apne blog ki konsi post update karni hai. But ab hume ye janna hai ki hume kiaise or kya kya update karna hai.

Step 2: Update Content

Agar aapki koi post pahle se search engine me 2-3 number par show hoti hai or aap use first page par lana chaahte hai to post ko update karna sabse simple option hai. Bahut se kamyab blogger is bat se agree hai or wo bih apni site par post updatibg tips ko follow karte hai. Mai yaha aapko iska sabse aasan uaye bta raha hu.

  1. Apni post se related keyword google me search kare or check kare ki aapki post kis number par hai. Uske bad agar aapki post dusre teesre number par hai to niche image me btaye anusar check kare ki first rank wali post me konse keywords aapki post se jyada show ho rahe hai.
  2. Uske bad apni post ko edit kare or post me jo first post me keywords show ho rahe hai unke bare me content badhaye.
  3. Post me jaruri content add karne ke bad post ki date change kare. Yaad rahe post ko update karne ke liye post me or content add karna jaruri hota hai. Sirf post ki date karne se aapko koi fayda nahi hoga.
  4. Jab aapko lage ki aap waki me is post me or jankari add kar sakte ho ya aapko kuch changes karne hai to hi post ko update kare.
  5. Jo blogger apne blog par monthly 4-5 articles share karte hai wo jyadatar isi trick ko use karte hai. I sure ye ek bahut hi badhiya trick hai apni post ko first page par lane ke liye.
  6. Post update karte time post ke first ya last me post publish time or last update time jarur add kare.
  7. Post ko update karte time post me apni us post se related new post ke link jarur add kare.

Site Content Search rank number

Post update karte time do bat important hoti hai. First aap post me or content add kar rahe ho or second aap post content me jaruri changes kar rahe ho. Dono important hai or wakai aapki site ki search ranking ko 100% increase karti hai.

So agar aap blogging SEO, search engine rules or lasted information ke bare me article publish karte ho to aapko weekly ya monthly post update karte rahna chahiye or usme new badlaw karne chahiye. Jisse aapke readers aapki har post ko fir se padna pasand karenge. Kyuki unhe pata hoga ki aapki post me humesha up to date information hoti hai.

Step 3: Content Promotion

Bahut se blogger ye galti karte hai ki apni site ki post ko update karne ke bad uska promotion karna jaruri nahi samajhte hai. Isi wajah se unhe post ko update karne se jyada benefet nahi mil pata hai.

Jiasa ki maine step 2 me btaya hai ki post ko update karte time post ki date jarur change kare. Or agar aap use lasted post bana do to or bhi behtar hai. Ab agar aap koi post update karte ho to wo aapki site par home page par show hogi. Ab aapke visitor jinhone use already read kiya hua hai to use ignore bhi kar sakte hai but ye post us user ke liye important hoti hai. Jisne use pahle nahi padha ho ya fir wo aapki site par pahli bar aaya ho.

Isliye post ko update karne ke bad use social sites and other way se promote jarur kare. Yaha mai aapko content promtion ke  kuch tips bta raha hu. Ummid hai aapko pasand aayenge.

  1. Yahoo answer form: Yahoo google ke bad dusra sabse bada search engine hai or iski sabse achi bat ye hai ki is par aapko dusre user ke sawal ka jawab de kar bhi apni site ka promotin kar sakte hai. Iske liye aapko apni yahoo profile or apne answers me apni site ki post ka link share karna hai. Jab bhi koi aapki site se related question puche to aap use apni site ki post ka link bta sakte ho. I sure is trick se bahut se blogger ne apni site ko top par bana liya hai.
  2. Join &  Create Community: Aap apni site ke name se facebook, google plus or other social sites par community bana sakte ho. Or us par apni site ka promotin kar sakte ha. Agar aap WordPress user ho to aa DW Question & Answer — WordPress Plugins se question answer form bana sakte ho.

Is article ko padhne ke bad aapko kaisa mehssos ho raha hai. Kya wakai me is post me aapko useful information mili hai. Agar ha to post ke bare me comment jarur kare or hume btaye ki next time aapko kis type ki jankari chahiye. I hope mai aapki pasand ka articl likh kar aapki special help kar skata hu.

Kya ye post aapko sachmuch pasand aayi hai. Agar ha to mai aapse rquest karta hu ki is post ko dusre hindi blogger ke sath bhi share kare. Jisse uski or meri help ho sake. I hope aap humari itni help jarur karna chahoge.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 77 )

  1. Kya bat hai sir me aaj apse puchne hi wala tha kyuki me apke blog ka daily visitor hu so me humesha dekhta hu apki post jo ki old hai letest show ka rhi hai ajkl.ki date me par aaj trika apne bta diya dil se thankyu sir
    Or ek baat upar kisi bhai ne apse swal kiya ki apke blog ko follow karne ke baad bhi adsense acount aproov nhi ho rha hai
    Uska jwab me dena chahta hu us bhai ne apke blog ko follow kiya hi nhi hai dhyan purvak wrna mera blog dekho sport me india ko follow karke meri post first page show kar hai 2nd ya 3rd number pe na to mene jada post dali na na jada traffic hai ha syad search engine se muje trafic na milna meri hi kuch kami se hai but is blog ko.follow karke mene 1mnth or 20 se 30 post or 300 only 300 page view se adsens account approved ho gya
    Iska srey support me india ko jata hai thik se follow kro bhai dil se

    Reply
  2. Bahut hi badhiya aapne information diya hai jo bahut special hai

    Reply
  3. Sir main apne mobile main keyword search karta hun to mera blog show hota hai search result m but alag mobile m nahi ..ye kya prblm hai ?
    Aur mujhe is comment ke jawab ka kaise pata chalega ?
    Mera blog hai www.selfhindi.com

    Reply
    • Blog jitna mobile friendly hoga utna achha mobile search results me perform karega. Is comment ka jawab yahi milega.

      Reply
  4. Hello Bro,
    Main ak newbie hu aur blog http://www.chandansaini.com start kia hi hai….par mujhe kuch problems aa rahi hai. kya aap meri help kar sakte ho. I will discuss my problems.
    please reply

    Thanks in advance

    Reply
    • you send me direct mail.

      Reply
  5. Sir, Mai Kuchh Dino Ke Liye man lijiye 2 Ya 4 Mahine ke liye post nahi likhna chahta hu kisi majburi ke karan To kya aap mujhe bata sakte hai ki Agar hum kuchh Dino Ke Liye Apni blog Par post na Dale to kisi bhi tarah ki problem bhi aa sakti hai

    Reply
    • Nahi koi problem nahi hogi.

      Reply
  6. sir meri ek bhi post ka title Google me show nhi ho rhi hai bas website search kro to aa jati hai.sur maine ek post copyright ki thi but use ab remove kr diya hai.ab sir kya ktu ki meri post google me show ho jaye

    Reply
    • Aapke blog par sirf do hi post hai. Bro abhi aap kuch or post likho search me bhi aa jayegi.

      Reply
  7. Bhai old post ko update krne ke baad kya usja url edit karna jaruri hai? Agr jruri hai toh last wala invalid ho jayga.fer new link ko websmaster tool me submit karke dusra wala delet karna hai.
    Dusra swaal best resuslts ke liye sirf title url and discription hi edit edit krna chahye ya fer fer pura content edit krne ki jarurt hai

    Reply
    • 1. galat aapko blog post ka url change nahi karna hai sirf content change karna hai.
      2. bro ek bar aap is post ko ache se padhoge to samajh jaoge.

      Reply
      • Bhai mene pada thansk.
        Ek swaal or ek post me ek se jyada key use kar skte hai kya

        Reply
        • key means

          Reply
  8. Sir, janiyehindimain.blogspot.in ye meri blog link hai. Muze blog banaye huye lagabhag 2 month se jyada ho gaye hai. aur Mene apane blog ka sitemap banakar Google search console me bhi submit kar diya hai. and mere blog pe abhi 19 posts hai. Me blogger platform use karata hu isiliye meri post automatic google me index honi chahiye na.. Phir bhi Google mere posts index Q nahi kar raha. Meri sirf 1 hi post index hai baaki ki Q nahi. Aap ek baar meri site check karake bataiye ki kya problem hai. Aur ha mere blog par page view Q nahi bash rahe hai ye bhi bata dijiye.. Please help me sir, me bahoot pareshaan hu…

    Reply
    • First aap kisi or ka content copy mat karo. second google webmaster tool ki sabhi guidelines ache se follow karo.

      Reply
      • 1. Par sir Mene kisi ka bhi content copy nahi kiya hai.
        2. Me Google webmaster me apani site ki sari details de chuka hu aur usake tips follow bhi kar raha hu
        Fir bhi aisa Q ho raha hai

        Reply
        • Right. thode din bad aapki sabhi post index ho jayegi. Don’t worry aapko iski tention karne ki jarurat nahi hai.

          Reply
          • thanks sir me isako lekar bahoot pareshan tha lekin aapane meri problem solve kar di. thanks once again.

  9. Hello Dear Jumedeen Khan,

    pichle kafi dinose mai aapke blog ko follw kar raha hu par aaj tak mai google AdSense ko safalta purvak apne blog ko google AdSense me nahi laga paya maine 3 bar koshis ki par google approved nahi kar raha hai but YouTube approved ho gaya hai shayed meri blog me hi kahi koi kami ho kya aap meri madat karenge aur aap muze batavonge ki kya kami hai mere blog me aapka aabhari……………..!!!!

    Reply
    • Aap mujhe AdSense ka wo message dikhao jo aapko AdSense disapproved hote time mila tha. Mai use check karke aapko sahi se guide kar sakta hu.

      Reply
  10. bhai aap hamera tricks toh bhut kaam ki batate ho lekin kuch blogger ko aaj tak yeh samaj me nahi aaya ki konsi tricks kaha lagani hai . isliye jayadatar hindi blogger blogging me fail ho jate hai .

    Reply
    • Surendra commenting isi ke liye hai ki agar koi bat samajh na aaye to puch sakte ho.

      Reply

Leave a Comment