Jab bhi keywords research karne ki bat aati hai to google keyword planner ka name jarur yad aata hai. Har koi google adwords keyword planner tool ko use karne ka tarika janna chahata hai. But ye simple nahi hai. Iske liye aapko keywords research karne ki basic information honi jaruri hai. Tabhi aap is tool ki madad se apne content ka SEO optimization kar saktew ho. In this post, Yaha hum bat karenge ki kaise hum google keyword tool se keywords searh kar sakte hai.
Blog par quality content likhna hi blogging me success hone ka first option hai or koi bhi ise ignore karna nahi chahenga. Sabhi blogger apne blog par full SEO friendly post likhne ki koshish karte hai.
- (101) Blog Ki Traffic Kaise Badhaye 101 Popular Tarike 2024
- Top List Articles Se 1 Month Me 100,000 Visitors Kaise Paye
But kya aapko lagta hai ki aap wakai mai quality content likh rahe ho or apni post ko SEO optimize kar sakte ho. Agar aap aysa sochte hai to aap galat bhi ho sakte hai. Quality content likhoge to aapko search engine, social media, email marketing har jagah se traffic milega. Or agar aapke sath aysa nahi hai. Aap SEO optimized articles likhne ke bad bhi traffic receive nahi kar pa rahe ho to samajho aapse kahi koi galati ho rahi hai. Ho sakta hai aap Black Hat SEO ko follow kar rahe ho.
- Website Blog Ki Traffic Badhane Ke 50 Best Tarike in Hindi
- Kya Aap Ek Successful Blogger Banna Chahate Hai – Success Baniye
High quality content likhne ke liye top level keywords ki jarurat hoti hai. Aap apni post me top quality keywords use kar ke hi post ko viral bana sakte ho. Or badiya se badiya keywords search karne ke liye aapko “Keywords Research karne ki jarurat hoti hai. Jiske liye aap online bahut si tools ko use kar sakte ho. Jaise ki google adwords keyword planner tool, Hum yaha isi ke bare me bat karne wale hai. But usse pahle aapko On Page Optimization ke bare me jan lena chahiye.
- Search Engines Se Adhik Traffic Nahi Milne Ke 11 Karan
- Blog Ki Traffic Ghatane Wali 10 Badi Mistakes
“Mai apne blog par SEO friendly content likhta hu fir bhi traffic bahut kam hai” ye question shayad aap bhi puchna chahate hai. Right quality content likhne ke bad bhi articles par traffic kam ho to iska reason hota hai google search engines aapki post ko focus nahi kar raha hai or use aapki post me koi na koi kami nazar aa rahi hai.
- Blog Par Search Engine Optimized Top Articles Kaise Likhte Hai
- Blog Post Title and Heading Create Karne Ki Top 5 Badiya Tools
Search engine ka aapki post ko ignore karne ki do wajah ho sakti hai. First aap aysi post nahi likh pa rahe ho jo log chahate hai or search engine me search karte hai. Second aap quality content likhne ke bavjood bhi article content ko search engine friendly nahi bana pa rahe ho. In dono hi reasons me ek hi problem hai. Aap content me high keywords use nahi kar pa rahe ho. or iske liye aapko high quality keywords ki jarurat hai.
Table of Contents
Google Adwords Keyword Planner Tool Kya Hai?
Google keword planner tool google ki hi service hai. Jis par aap traffic receive karne ke liye target keywords search kar sakte hai. Is tool par aap apni site or blog content se related keyword search kar sakte ho. Iske liye aapko ye step follow karne honge.
- Google keyword planner service google ki free service hai but ise use karne ke liye aapko google adwords par account banana padega. Aap simply apni gmail id se hi google adwords par account bana sakte ho.
- Google adwords par aap keywords research karne ke alawa or bhi bahut si google adwords services ko istemal kar sakte ho.
- Google keyword planner tools aapko target and high AdSense CPC keyowords ki jankari deti hai. Jis par aap keywords ke anusar uski CPC pata kar sakte ho ki is keyword se aapko per click kitne paise milenge. Ye tool mostly advertising targeting keywords ke liye hai. But aap isse aap apni post ke liye keywords search karne ke liye bhi use kar sakte ho.
Google Adwords Keyword Planner Tool Kaise Use Kare SEO Ke Liye
Google adwords keyword planner tool ek popular keyword research tool hai. Jis par aap apni post me keyword ranking check kar sakte ho. Or sath hi new keywords search kar unki value, CPC, avarage or competion check kar sakte ho.
Sabse pahle aap Google Keyword Planner Tool par jaye. or sign in kare. Uske bad “search for new keywords using a phrase, website or category” par click kare.
- Yaha par koi bhi keyword add kijiye. Jiske bare me aap janna chahate hai. Aap chahe to yaha par post title bhi add kar sakte hai.
- 2. Agar aap pahle se likhi gayi apni kisi post me keywords ki information check karna chahate hai to yaha us post ka link add kare. Ya fir aap sirf is keyword ki value pata karna chahate hai to ise khali chod de.
- Yaha par aap product category choose kar sakte hai.
- Iske bad keywords target set karke Get ideas par click kare.
Jaise hi aap get ideas par click karoge to ek new page khulega. Usme us keyword ki all information hogi. Ab yaha par aapko is keywords se related other bahut sare keywords ki details btayi jayegi. Jisse aap aasani se pata kar sakte hai ki konsa keywords kitna popular hai or kis keywords ko use karne se AdSense aapko kitna payment karega.
Yaha par aap get ideas par click karke quality keywords pata kar sakte ho. Aapko 40-50 keywords or unki value btayi jayegi. Inme se aap apni post ke liye badiya keywords choose kar sakte ho.
Example: Maine yaha par SEO Optimazation keyword search kiya hai. Ab google keyword planner tool mujhe is keyword ki performing btayega or sath me is keyword se relevant keywords ki bhi jankari dega. Niche iska screenshot dekh sakte ho.
Ab mai in sabhi keywords me se high value wale keywords ko ek hi post me use kar sakta hu. Jo post me SEO optimization keywords par likhunga. (Note:- Ek post me ek keywords ki 1.5% se jyada use na kare.)
Is tarah se aap google adwords keyword planner tool ko use kar apni post ke liye badiya keywords search kar sakte hai. Ab aap ye aasani se samajh sakte hai ki aapko high keywords hi use karne hai. Jinki value jyada ho. isse aapki search rank bhi increase hogi or agar aap AdSense user ho to AdSense CPC bhi increase hogi.
- On Page SEO: Website Ko Search Engine Me First Page Par Lane Ki Top 10 Techniques
- Hindi Blog Par High Traffic Kaise Badhaye 10 Important Tarike
Aane wale time me mai iske bare me details se btaunga ki kis tarah hum google keyword planner se top keywords search kar sakte hai or apne blog ki posts ki search rank badha sakte hai. So agar aapko isse related koi sawal ho to aap yaha comment me bta sakte hai. Jisse mai next post me uska solution bhi bta saku.
Agar aapko ye post pasand aaye to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare. Or sath hi post ke batre me comment bhi kare.
Bhai go to keyword planner par ok karte hi waha 3 option arahe h:-
1.Get more calls
done
2.Get more website sales or sign-ups
3.Get more visits to your physical location
To inme se kis par click karke agee badhna hai…
very useful article thanks providing this information
New Bloggers ke liye bahut sari information apki website par milti hain. Thank you for sharing this information. Google Keyword Planner ek bahut accha keyword reserch tool hai. Main khud is tool ka use karta hu.
Wo average monthly searches pe click karne par jo data dikhata hai wo kya hai pls reply
Uska matab hai mahine me itne searches kiye jate hai.