Aaj ham Google voice search kya hai or blog post ko voice search friendly kaise banaye? topic par bat karenge. Ye ek aisa subject hai jis par blogging future depend karta hai. Jab se Jio ka unlimited internet aaya hai tab se internet ka use jyada hi badh gaya hai or ab internet ki pahunch ganvo tak bhi hai. Log ab google voice search ka bhi istemal karne lage hai. Isiliye jaruri hai ki aapki website ka post content voice search-friendly ho. Write Voice Search-friendly Web Content in Hindi 2024.
Ab vo log bhi internet ka use karne lage hain jinhe achhi tarah se phone chalana bhi nahi aata. Isi karan aane vale samay me Google me type search (written) se jyada, voice search kiya jayega.
Is time me log bina typing kiye apne sawalo ke jawab pana chahate hai. Google ab voice search ko kafi had tak samajhne laga hai aur aane wale time me iska chalan jyada hoga.
Isi wajah se ham sabhi bloggers ko abhi se hi apne blogs ko Google voice search friendly web content banane ki taiyari shuru kar deni chahiye.
Table of Contents
Google Voice Search Kya Hai?
Google voice search ek fuction hai. Is feature se aap bol kar bina typing ke google search kar sakte ho. Matlab aap likhne ki bajaye muh se bolkar searching kar sakte ho.
Ham jo kuchh bhi likh kar search karne ki bajaye muh se bolkar search karte hain. Use google voice search kaha jata hai. Or muh se bolkar chijon ko dhundhne ka option Google app, Chrome browser or YouTube me aasani se dekh sakte hain.
Or jis tarah se internet ka use badh raha hai. Us hisab se bhavishya me log likh kar search karne se jyada, bolkar search karna jyada pasand karenge. Aap aisa soch rahe honge ki, “jab main likh sakta/sakti hoon. To voice search kyu karu?” To isaka jawab ham apko vistar se de rahe hain.
Google Voice Search Importance (Hindi)
Jaisa ki hamne aapko upar bataya ki Jio internet ke aa jane ki wajah se, ab gaanv dehat me rahne vale log bhi android phone use karne lage hain or internet bhi istemal karne lage hain.
Lekin inme se jyadatar log aise hain. Jo thik se english nahi jante aur naahi internet use karna jante hain.
To inme se jyadatar log, kisi aur se net ka istemal karna sikhate hain. To jahir si bat hai, koi sara din baith kar to kisi ko english type karna ya hindi type karna nahi sikha sakta na.
To vo sidha voice search karna sikha dete hai. Bas google app me jao, mike par click karo or jo bhi dhundhna ho, vo bol do, bas ho gaya.
Or aise log bhi hai jo search to likh kar karte hain. Lekin spelling, wrong type karte hain.
Jaise –
- Kaise – kese, kasy
- Website – websait, vebsait
- Technology – teknoloji
- Business – bijnes
To is tarah ki choti-moti wrong spelling to Google auto correct karke result show kar deta hai. Lekin kai baar user spelling type karne me badi galti kar dete hain.
Hamne upar jo “Technology” ki galat spelling batai hai. Aap use search karke dekhiye. Aap ko jitne bhi results milenge, vo sabhi Turki bhasha ke websites honge, Kyunki “Technology” ko “Teknoloji” Turki bhasha me hi kaha jata hai.
Yani ki Hindi bhashi vyakti ko sahi result nahi mil payega. To aise me vo voice search ka hi sahara lega.
Ye 2 sabse badi wajah hai Google voice search feature ke istemal karne ki, iske sath hi sabse important reason ye hai ki voice search karna aasan bhi hai or time bhi kam lagta hai.
Blog Post Ko Voice Search Friendly Kaise Banaye?
Ab tak to aap samajh hi chuke honge ki Google voice search kya hai or iski importance kya hai. Or ab bari hai aapko voice search friendly content banane ki tips dene ki.
Kyunki ye koi coding ka mamla nahi hai, jo ek baar coding kar liya or kam khatm ho gaya. Yahan jo bhi karna hai, post ke andar karna hai. Ham jo bhi aapko bata bata rahe hain. Aap use achhi tarah samajhne ki koshish kijiye.
1. Think Like a Human
Apne blog ki post ko voice search friendly banane ke liye sabse pahle to aapko aese sochna hoga jaise normally log sochte hai aur fir un keywords ko apne blog post content me add karna hai.
Aap aese keywords ka istemal kare jo aam taur par people karte hai. Keywords ko google search karke dekhe, isse aapko unse related aur bhi keywords mil jayenge jo google me search kiye jate hai.
2. Focus on Phrases and Long tail keywords
Iska matlab hai ki aap post title me jo bhi longtail keywords use kar rahe ho, usme short tail keywords bhi aa jaye.
- Mobile me website kaise banaye?
- Website kaise banaye mobile me?
- Free website kaise banaye?
Ye tino longtail keywords hai. Lekin in tino hi keywords me ek short tail keyword bhi aa jaa raha hai. To ap bhi isi tarah post title me short tail keywords ka use kijiye.
3. Use Short Tail Keywords in Headings
Title me to longtail keywords use karna jaruri hai. Kyunki post title attractive or puri post me kya milega? Ye batane wala hona chahiye. Lekin headings me longtail keywords use karna jaruri nahi hai. Bhale hi jyada headings use karna pade, lekin short tail keywords hi use kijiye.
Aisa isliye bhi jaruri hai. Kyunki jyadatar log voice search me short tail keywords ka hi use karenge. Koi bhi, “website kaise banaye website banane ka fayda kya hai” itna lamba search nahi karega.
Ya to, “website kaise banaye” ya fir, “website banane ka fayda” itna hi search karenge. To headings me short tail keywords use karne se, apki post ko fayda hoga.
4. Make Site Mobile Friendly
Mobile first-index ke bare me to aapne suna hi hoga, ab google mobile friendly site ko jyada rank deta hai. Aap bhi apni site design ko mobile responsive bana le taki aapki site all mobile devices me fix show ho.
Ab log mobiles ka use jyada karte hai aur voice search ka istemal bhi phone me hi hota hai kyuki bahut se desktop user ke pas microphone nahi hota hai.
Unique keywords ka matlab hai, khud se sochkar keyword banana. Kyunki user voice search kar raha hai, to vo kuchh bhi bol sakta hai.
Jaise –
- Website kaise banau
- Mujhe apni website banani hai
- Main apni website kaise banau
Is tarah ke keywords aap post me use karne ki koshish kare. Agar aapki wordpress blog hai to aap inhen “Add synonyms” ya “Add additional keyword” me use kar sakte hain. Agar aap Youst SEO ka premium version use karte hain to.
Lekin agar aapki blogger blog hai to aap description me bilkul youtube ki tarah tags likhkar, in keywords ko tags ke rup me use kar sakte hain.
Conclusion
Ant me ham bas itna hi kahana chahenge ki post ka google voice search friendly hona, future blogging me success hone ke liye bahut jaruri hai. To ap aaj se hi apne blog ko voice search me rank karne layak bana lijiye.
ye bhi padhe,
- Website Search Ranking & Traffic Down Hone Ki 20 Wajah
- Google Penalty Se Bachne Ki Top 3 Master Tips and Tricks 2024
Agar aapko voice search-friendly content likhne ki ye information achhi lage to is post ko share jarur kare. Thanks
wow !!! bahut achi janakri share ki mam aapne… thank you
google search me mera article aata hai to site-name>category aata hai , mai chahta hu ki search me site name ke baad post link aaye . iske liye mujhe kya karna padega ? plz bataye
Yoast posts ki settings me title me first sitename shortcode add kar do.
search me title ke niche jo link aati hai me uski baat kar raha hu.
jaise google search me aapki site ka tital “Hindi Blog Par Traffic Kaise Badhaye – Top 10 Important Tips” yah hai aur post link (sitename/how-to-make-high-traffic-hindi-blog-or-website-10) yah aa raha hai par mere title ke niche link (sitename/category ) aa raha hai , mujhe post link lana hai.
Aap blog se breadcrumbs ko disable kar do problem solve ho jayegi.
Useful article sir thanks for sharing good information
Nice Post Mam
Kaafi Achhi Jankari Share Ki Hai Aapne
Very Nice, Lekin sir Mera ek sawal hai ki agar hum voice search ke liye short tail keywords use krenge to Isse type search pe kitna effect hoga. Matlab abhi to jyadatar log type Karke hi search krte hai to SEO ke liye kya better hoga? Long keyword Ya short keyword.
Sabkuch dhyan me rakh kar content likhna better hai.
Bahut badhiya post hai hansa ji mai jab post ko upar se padh raha tha to lag raha tha Jumedeen sir ne likhi hai. Niche aakar dekha to aapki profile dekhne ko mili. Very good, aapka post likhne ka tarika bahut accha hai.
Post ko Voice search friendly banane ke ware me mene socha nahi tah bahut hi jankari Post h thanks for Sharing..
Mujhe lagta h ane wale time me Blogging ke sector me bahut sari changes ane wale h kiwki aj ki time me admi kuch v chiz ka short me ans pasand karta h ….wo log post ko long se read nahi karte h ..
sir aapne ye bahut he kaam ki post likhi hai is tarha ki post ke liye mujhe bahut he search karna padta hai. but aapke blog par bhut he aashani se mil jata hai thanks sir
Bahut acchi jaankari di aapne yaha mera aap se ek question h ? Future m Artificial intelligence ka bloging par kya fark padega m aap se request karta hu ki aap AI se bloging par hone waale prabhavo ke baare m ek post likhe.
Ok, main is bare me article likhunga.