Agar aapki site par original or SEO friendly content hai to is bat me koi shak nahi hai ki aapko search engines se high traffic milta hoga or aapki search ranking high hogi. But blog article ko seo friendly banana aasan nahi hai. Iske liye aapko blog post me keywords kaha kaha use karna chahiye ki puri information honi chahiye.
SEO friendly post likhne ke liye hume ye pata hona chahiye ki post me kaise or kaha keyword use karke post ko search engines optimization ready bana sakte hai.
Search engines usi article ko jyada like karta hai. Jis article me keywordfs ka sahi istemal kiya gaya ho. Hum apni post me keywords isliye use karte hai taki search engines se high traffic recieve kar sake or apne visitors ke liye humari post badiya information sabit ho sake.
SEO friendly post likhne ke bahut se tarike hai. But yaha mai aapko unhi tariko ke bare me btaunga jinke bare me mai janta hu or jinhe use karke maine search engine se better traffic paya hai.
Blog Ki Post Me High Quality Keywords Kaise or Kaha Add Kare
Is article ke topic par bat karne se pahle mai aap se kahna chahunga ki bina wajah post me extra keywords use karne se aapko koi fayda nahi hoga. Ulta aapka nukshan hi hoga. So post me only jaruri keywords hi use kare. Ye ek important seo optimization tips hai.
1. First and Last Paragraph
Jab aap apne blog par new post likho to post content me first paragraph (Starting post 4-5 lines) me apna main keyword add kare. Uske bad post complete likhne ke bad last paragraph me bhi wohi keywords use kare.
Post se pahle or post ke bad me keywords use karna seo me sabse jyada important hai. In do jagah par high quality keywords use kar hum post ko search engine friendly bana sakte hai.
Post starting and post end ke alawa bhi aap main keywords ko post content me jaha jarurat ho jarur use kare.
Ek hi keywords ko bar bar repeat mat kare. Aap ek keywords ko 100 words ki post me 5-10 bar hi use kar sakte ho. Agar aapko post me kahi main keywords ki jarurat bhi pade to aap main keywords se related keywords use kar sakte ho.
Agar aap jarurat se jyada bar kisi word ko dohraoge to aapko google ki terms na manne ki penalaty bhugtni padegi. Jisse aapki site ki search ranking down ho sakti hai.
2. Post Title and Heading
Blog par post likhte time post title or headlines me main keywords jarur use kare. Search engine sabse jyada humari post ke title or heading par focus karta hai. Ayse mai aapka main keywords search engine ko sahi target ki janakri pata karne me help karta hai.
Sath hi aap post title or heading me high ranking keywords use karke apne reader ko attract kar sakte ho. Aapki post ka title or heading jitna chaha hoga. Reader utna hi jyada aapki post padna pasand karenge.
Ek acha title wali post na sirf aapke readers ko pasand aati hai. Balki ache title ki post ko socail media sites or search engine se high traffic milne lagta hai.
3. Post Image, Alt Tag and Title Tag
Images post content ko explaination karne me major role ka kaam karti hai. Jisse reader ko post me di gayi information aasani se samjh aa jati hai. Isliye hume apne blog ki har post me kam se kam ek photo jarur use karna chahiye.
Ek image 2000 words ke barabar hoti hai. Or mai is bat ko 100% sahi manta hu. Agar aap ach image create karne me mahir ho to aap apne reader ko ek image se wo samajha sakte ho jo 2000 words ke content sae nahi samajha sakte.
But post me image ke throw main kewords ko target karne ke liye aapko post image ko seo friendly banane ke liye image title, image alt tag add karna hoga. Iski jankari ke liye aap Blogspot Blog Ki Images Ko SEO Friendly Kaise Banaye post padhiye. Isme aapko blog post ko seo ready banane ki puri jankari milegi.
4. Post Permalinks
Permalinks aapke blog ki post ka URL (Link) hota hai. Jo bhi search result me show hota hai. So aap permalinks me bhi top level keywords use kar post ko seo friendly bana sakte ho.
Post title ki tarah hi post permalinks me keywords use karna search ranking increase karne ki killer trick hai.
Default permalink ki jagah agar aap post links me se extra words (का, की, कैसे कहा, उसको, इसको ) ko remove kar de to aapko search engine se or jyada traffic milne ke changes badh jate hai.
Permalink edit karne ke liye aap post editer > permalink par jaye or custom permalink par click kar post ka link edit kar sakte hai. Blogspot blog me permalink use karne ki details me janakri ke liye aap humari Blogspot Blog Me Custom Permalink Kaise Use Kare post padh padhe.
Mai aapse kahna chahunga ki post permalinks me aap only target keywords hi use kare or extra words ko remove kar de.
5. Post Category and Tag or Labels
Blog post me category, tag or label sirf blog par related post dikhan ke liye nahi hai. Agar hum category or tags me bhi high quality keyword use kare to hume isse bhi search engines se benefit mil sakta hai. Kyuki search robots post categories ko bh index karta hai. Iske liye aapko ye tips follow karni chahiye.
- Blog par category, tag me none keywords use nahi kare.
- Jitna ho sake top level keywords ki hi category banaye. Jaise maine apne blog par blogging, make money top keywords ki category banayi huyi hai. Make money online keyword ki february 2025 me rs.300 se jyada CPC thi.
- Blog par jarurat se jyada category or tag na banaye. Mere hisab se 20 category bahut hai. But fir bhi aap 30 tak bana sakte ho. Isse jyada category banane se aapka nukshan hi hoga.
Agar aapne galti se apne blog par galat category ya tag add kiye huye hai to don’t worry, Aap category edit karke use keyword me badal sakte hai.
6. Post Comments
Post ko first search ranking me lane ke liye comment bhi help karti hai. So aap commets me bhi high keywords use karke apni post ki search rank increase kar sakte hai. Iske liye aap apne readers ke liye comment policy bana sakte hai. Or aap bhi jab kisi user ko reply kare to aap comment me top keywords use kar sakte hai.
Yeh bat meri personal soch hai. But ye galat nahi ho sakti. Kyuki search engine me comments keywords se bhi post search me aa jati hai. Ye mera confirm kiya hua hai.
So, Mai aapko suggest karna chahunga ki aap commnets me keywords use karke bih apni post ki ranking badha sakte hai.
- Google Search Console Me URL Parameters Kaise Use Kare [Handling URL]
- Anchor Text Kya Hai or Ye SEO Ke Liye Kyu Jaruri Hote Hai [SEO Guide]
To friends, Ye meri ek or secrert tricks wali post thi. Jise mai apne blog par use karta hu. Agar aapko mera tarika pasand aaye to ab aap bhi iske bare me keywords ke sath commentt kar sakte hai. Iske liye bas aapko apne sawal me ek do keyword use karne honge.
Agar aapko is post me btayi jankari helpful lage to ise social media par apne friends ke sath share jarur akre.
Deepak
Jumedeen sir aap apni site mai affiliate marketing ka banned lagkar paise kamate ya product bechkar paise kamate ho.
Jumedeen Khan
Banner lagane se hi product bache jate hai.
Deepak
Very nice post jumedeen sir. Jumedeen sir meri site niche theme name aaraha hai toh mai theme ka name kaise hatu.
Jumedeen Khan
blog ki template me jao or us theme ka name search karke delete kar do.
Narayan Soni
Achha Post He Nice . Mera Bhi Ek Blog He Usme Me Logo Na Technology Or Blogging Or Aadi Ke Baare Me Jaankari Deta Hu
vivek darji
muje ek chiz samaj nahi aati me jab post daalta hu to 1 din tak first page Pe Google search me aa jaati he aur dhire dhire wo search mese nikal jaati he iska karan aur upay bataye
Jumedeen Khan
SEO firendly post likha karo.
Sunny Chauhan
Ye article apne bhut accha likha h pr mera apse ek sawaal h ki apne ye comments se thoda upar posted by jumee deen khan i am professional blogger wala plugin kaise aur kaha se use kiya h please help me ye mujhe bhi apne blog pr add krna h
Jumedeen Khan
Ye feature already blog ki theme me hai.
satish kushwaha
Blogger me Labels me Koi keyword daalne ka koi fayda hai ? Plz reply ..
Labels ka use sirf category ke liye hota hai?
Jumedeen Khan
Ha label me aap keywords use kar sakte ho. Search engine categories ko bhi index karta hai.
Mohammed
Bahut Acchi Jankari …Thanks
sandeep Kumar
Maine bhi tips ko fallow karuga.Thanks for sharing
Rafiq Ansari
Sir main (html css js php) webdesigning ka course kar raha hu sir aap is field ke bare me thoda bistar se bataye aap ko kitne coding ki knowledge hai sir plz bataye
Jumedeen Khan
Rafiq mai is blog par blogging ki janakri share karta hu. Coding ke bare me post nahi kar sakta.
Aman Chauhan
Bhai. AdSense pe Transaction successfull bata rha hai, par money bank me nai aai.. Kyu????
Jumedeen Khan
payment aane me 3-5 day ka time lagta hai. 30 tarikh tak wait karo.
vikram
sir hindi font jyada SEO hota hai ya हिंदी फॉण्ट ज्यादा SEO होता है
Jumedeen Khan
Dono se
vikram
sir web hosting kya hai or yah website ke liye kyu jaruri hai ..?
Jumedeen Khan
Ye post padho Web Hosting Kya Hai Aur Hosting Kaha Se Kaise Kharide – What is Hosting
surendra
hostgator couple code sirf aaj hi kaam.karega kya yaa fir kuch or din
Jumedeen Khan
hostgator ki post me btaya gaya hai ki ye offer kab tak hai.
prashant
bahut acha hai. mene bhi ek naya blog banaya hai or usme ek post ki hai kya aap dekh sakte ho usme kya kami hai.
Jumedeen Khan
Achi post hai. Koi kami nahi hai.
surendra
aapke site supportmeindia ke header logo ki size kya he?
Jumedeen Khan
width=500px
Harman
Bro app ka blog bhut hi jayda helpful raha hay, may yaha janaa chata hu ki may kaysay hindi keywords ho research karou
Jumedeen Khan
Harman aap ye link ope nkarke hindi keywords search kar sakte ho. google adwords keywords planer
Manish Sharma
Sir Ye Keybord Ki Information Mujhe Best lgi
hari narayan
Apke iss tricks ko mai apne blog me jarur follow karunga….Aur ek sawal hai ki agar mai apne blog ko blogger se WordPress me le jata hu to kya blogger ke post ko delete karna hoga nahi to wah copy kaha jayega bataye.
Jumedeen Khan
Jab yak aap WordPress par complete setting nahi kar lete tab tak blogger blog ko delete mat karo. tab tak aap blogger blog me redirectionn code add karke WordPress par redirect kar sakte ho.
Ashish sahu
Jume deen bro keyword use ke bare me meri bahut si pareshani is post se solve ho gaya, point to point jankari share kiya hai thanks.
atul
comment mai to nofollow tag lga hota hai fir ye kaise possible hai ki comment mai high quality keyword use karne se post ki ranking badegi.
Jumedeen Khan
Comment ka sirf link nofollow hota hai commnet content nahi. Atul aap meri hi kisi old post ki comment google me search karke dekh sakte ho ki comment keywords se post search me aati hai ya nahi. Aapki confusing dur ho jayegi.